Jump to content

Allama Shatbi or Al i'tsam - Kya iska koi Jawab likha gaya?


فقیرقادری

تجویز کردہ جواب

السلام علیکم

میرا یہ سوال ہے کے علامہ شاطبی کی کتاب جو انہوں نے بدعت کے موضوع پر لکھی بنام الاعتصام اس کا               کوئی                جواب /رد               وغیرہ ہے ؟ اور جمہور مالکی علماء کا کیا قول ہے اس بارے میں ؟

Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum,

Mein nay pari nahin. Magr andaza heh kay biddat ki tareef mein ikhtilaf par hogi ya jamhoor ki istilah biddat say different hogi joh aaj kal bazahir Wahhabi istimal kartay hen. Biddat ki tareef mein ikhtilaf Ijtihadi Ikhtilaf heh. Yehni aqsar Sunni Ulamah: Biddat Hasanah aur Biddat Zalalah ki taqseem kartay hen. Magr kuch Ulamah is taqseem kay qail nahin. Un kay nazdeeq har biddat gumrahi heh aur Mawlid waghayra Sunnat Hasanah say hen jin ki ijaad ka aur amal ka sawab heh. Woh Mawlid ko Biddat Hasanah nahin tehratay balkay Sunnat Hasanah say gintay hen. Yeh kohi khaas ikhtilaf nahin aur nah radd ki zeroorat heh. Wahhabiyon nay in ki definitions ko hijack kar kay apnay taraf say gumrah kun izafahaat keeyeh hen jin apna maqsid pura kartay hen. Wahhabiyon say asal ikhtilaf un kay apnay gumrah kun izafahaat hen ya yoon keh lenh kay un ki defintion say ikhtilaf sirf Wahhabiyon kay gumrahi kay izafahaat ki waja say heh. Mein ba-zaat e khud Shaykh Ibn Rajab al-Hanbali rahimullah ki tareef ko istimal karta hoon. Yehni har biddat gumrahi wali ... shoroon say yahi seekhi thee ... magar Wahhabi ghaleez izafahaat say paak heh is waja say Mawlid, Khatam, Geeyarweenh par ihtiraz nahin ...

Biddat woh heh joh ghayr shar'ri ya gunahoon say bani ho aur har biddat gumrahi heh. Magar Mawlid mein toh kuch bi Sunnat kay khilaf nahin is leyeh woh Biddat nahin. Jab biddat nahin toh phir ihtiraz ki koi baat nahin. Abh yeh toh teh pa gaya kay biddat nahin abh sawaal heh kay toh phir kia heh. Woh Sunnat e Hasanah heh. Sunnat is waja say keun kay Sunnat e RasoolAllah sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam ka majmua heh aur Hasanah is wajah say kay yeh achai heh ... keun kay Sunnatoon par amal heh toh achai huwi. Meri aksar Wahhabiyon say discussion is'see definition par hoteen hen  ...

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...