Jump to content

Ahle Hadith banna Na Mumkin-Jhoot hai !!


Ya Mohammadah

تجویز کردہ جواب

(ja) asif bhai. bohot hi informative post ki hai apne.

aik ghair muqalid ko main ne ja al haq se yahi bat le ker post ki thi ke sirf namaz ke faraiz o wajib mujhe hades se sabit ker do. woh in baton ka jawab na deta. shuro se akhir tak imam o mujtahideen or rafa yadain ke peche laga raha. mujhe lagta hai ye rafa yadain ko eman o kufr ka masla samjhte hain. :)

 

aik latefa sunaon. sabiqa deobandi o ahlehadees or mojodah shia sadiq kohati ka munazira mufti shokat sialwi sahib se noor o bashr masle per howa. ye us waqt wahabi ahlehades tha. mufti shokat sialwi sahib ne munazira ki sharait main likha ke jo Aaqa (saw) ko bashar na mane woh kafir hai or jo noor na mane woh gumrah hai. sadiq kohati ko kaha ab tum hukm lagao. woh or uska assistant kehne laga hum munazira ke baad hukm lagayen ge. :) sialwi sahib ne kaha ye kya bat hoyi hukm pehle se tay hota. humain pata tu ho akhir tum jo munazira karne aye ho humain kya samajhte ho.. phir sub ne mashwara kya or sadiq kohati ne aelan is terha kya. "jo Aaqa (saw) ko noor mane woh ghalti per hay"

shokat sialwi sahib or sub sunni hansne lagey. sialwi sahib ne kaha GHALTI PER.. yani ye jo tum apne bayanat main shirk shirk or mushrik mushrik ki rat lagate ho masla noor par woh kya hai? yani tum lagon ko dhoka dete hoo..

 

ye hai inki doghali policy.

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Ya- muhammadah ki to kia hi baat hai.

Ager Ahlehadees banana na mumkin hai to itne mohadasseen aur aaema kia na'samajh the jo khud ko Ahlehadees kehte rahe.

Ager her hadees per amal mumkin nahin to kia her sunnat per amal mumkin hai? Phir yeh asool kis ne nikala hai k ager kissi hadees per ya sunnat per amal na ho saka to banda Ahlehdees ya Ahlesunnat se kharij ho jae ga. Mufti-e-Jaa-ul-Haq ki poori kitaab aisi hi be'tukke istadlalat se bhari hui hai.

 

Hadees ka lugvi maani le ker ager aitraaz sahih hai to phir koi Sunnat ke lugvi maani le ker bhi her aik sahih ya bad tareeqe ko sunnat kehna shuroo ker de ga. Na jaane Mufti sahib Munkereen-e-Hadees ke shagird hain ya woh inn ke.

 

Imam Bukhari ya doosre Aema-e-Hadees ne kabhi khud ko muqalid nahin kaha. Doosron ke kehne se koi faraq nahin parrta. Doosre to her bande ko apne saath milane k liye muqalid keh dete hain. Imam Bukhari R.A. ne apni Sahih main kai jaga per Shafia ke hilaaf daleel la ker baab baandha hai phir unhen Shaafi kaise kaha ja sakta hai?

 

Aik aur sawal kia gaya hai k kia hadees se bataya ja sakta hai k Namaz main kitne faraez, Sunnat, Wajbaat wagera hain?

Ham poochte hain k ager hadees ne nahin bataya to Fiqa ko kis ne ijazat di hai k kissi cheez ko fix kerti phire k kia sunnat hai kia faraz aur kia wajib.

Doosra yeh k Khalil Rana sahib se poochen k ager Fiqa iss baat ko batati hai to khud Imam Abu Hanifa R.a aur unn ke shagirdon main iss baat main itna ikhtilaaf kion hai. Koi aik cheez ko faraz kehta hai to dossra sunnat to teesra mubaah. Yahan per kon faisla kare ga?

 

Aik aur Hadees dushmani mulaheza ho k koi hadees per kaise amal kare k iss main to barra ikhtilaaf hai....

Shabash hai ham kehte hai Sahih Hadees k dermian koi ikhtilaaf nahin aur jo zahen ka bimaar aisi baat kehta hai usse samajhna chahiye k uss ka zahen sahih nahin. jis tarah ka ikhtilaaf Ahadees main nikala jaata hai uss tarah ka to kai mufti saaheb jaise quran se bhi nikal dete hain, phir kia Quran ko bhi choro ge? Ahadees per aisa aitraaz kerne wale ko sharam aani chahiye k pehle fiqa ki kitaabon ka haal to dekhe. Aik Aik masle per Imam Abu Hanifa ki 3 alag alag aara mojood hain. Jin main kissi soorat tatbeeq nahin di ja sakti.

 

Allah taqleed pasandi main Hadees Dushmani se mehfooz rakhe, Aameen

Link to comment
Share on other sites

talinenoor' date='Oct 26 2007, 11:39 AM' post='13426']

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Ya- muhammadah ki to kia hi baat hai.

Ager Ahlehadees banana na mumkin hai to itne mohadasseen aur aaema kia na'samajh the jo khud ko Ahlehadees kehte rahe.

 

hawala?? :rolleyes:

Ager her hadees per amal mumkin nahin to kia her sunnat per amal mumkin hai? :rolleyes::rolleyes::lol::lol::lol: Phir yeh asool kis ne nikala hai k ager kissi hadees per ya sunnat per amal na ho saka to banda Ahlehdees ya Ahlesunnat se kharij ho jae ga. Mufti-e-Jaa-ul-Haq ki poori kitaab aisi hi be'tukke istadlalat se bhari hui hai.

 

is paragraph se aapki ilmi sadaqat aaj poori tarah wazeh ho chuki hai janab shoaib miyan sahab. Huzur (saw) ka har wo fail jisy mujtahedeen or akabir ulemaon ne sunnat kaha hai wo fail hi amal karny ke liye hai agar us par amal na ho sakta to usy sunnat kaha hi nahin jata..aapko lagta hai sunnat ke defination bhi nahin maloom..huzur ka har fail sunnat nahin...jaisy huzur (saw) ke 4 se zyada nikah..huzur (saw) ka kalima...huzur (saw) ke rozy, huzur (saw) ki 6 waqt ki farz namaz.. is liye har sunnat amal karny ke liye hi hai or har sunnat par amal ek saath ho sakta hai or har hadith par ek saath amal na mumkin hai ....ismy to shayad aap ko bhi koi ikhtelaaf na ho.

 

Hadees ka lugvi maani le ker ager aitraaz sahih hai to phir koi Sunnat ke lugvi maani le ker bhi her aik sahih ya bad tareeqe ko sunnat kehna shuroo ker de ga. Na jaane Mufti sahib Munkereen-e-Hadees ke shagird hain ya woh inn ke.

 

iska jawab upar de chuka hu ki kya sunnat hai kya nahin ye har ek aam aadmi nahin pata kar sakta...

Aik aur sawal kia gaya hai k kia hadees se bataya ja sakta hai k Namaz main kitne faraez, Sunnat, Wajbaat wagera hain?

Ham poochte hain k ager hadees ne nahin bataya to Fiqa ko kis ne ijazat di hai k kissi cheez ko fix kerti phire k kia sunnat hai kia faraz aur kia wajib.

lagta hai janab shoaib sahab ne post parhny me kotahi barti, humny ye kab kaha ki hadees ne nahi bataya ye sab, balki ye kaha ki har ek aam aadmi barahy rast hadeeso se istadlaal kakrky deeni masly masail nahin nikal sakta ye kaam mujtahid ka hai har ek aam aadmi ye kese karega ye to aklan muhaal hai. agar aapko mere is baat se ikhtelaaf hai to aisa kar dijye ki sari ahadees ki kutub or quran pak samny rakh kar bina kisi ki madad ke nikal lijye na farz wajib sunan...ismy der hi kitni lagni hai?? or mere khayal se aapny ye asb nikal ke hi rakh liye hongy wrna aap apny aap ko Ahle Hahdith nahin kehty..mere khayal se yahi matlab hai na Ahle hadith ka jo mujtahid ki nahin manta wo aap mujtahid hai?? :unsure:

 

Doosra yeh k Khalil Rana sahib se poochen k ager Fiqa iss baat ko batati hai to khud Imam Abu Hanifa R.a aur unn ke shagirdon main iss baat main itna ikhtilaaf kion hai. Koi aik cheez ko faraz kehta hai to dossra sunnat to teesra mubaah. Yahan per kon faisla kare ga?

 

agar ikhtelaaf ho bhi to wo ek dusry k muyshrik nahin kehty is bina par haan aap log zaoor taqleed karny waly ko mushrik kehty ho...

 

Aik aur Hadees dushmani mulaheza ho k koi hadees per kaise amal kare k iss main to barra ikhtilaaf hai....

Shabash hai ham kehte hai Sahih Hadees k dermian koi ikhtilaaf nahin aur jo zahen ka bimaar aisi baat kehta hai usse samajhna chahiye k uss ka zahen sahih nahin. jis tarah ka ikhtilaaf Ahadees main nikala jaata hai uss tarah ka to kai mufti saaheb jaise quran se bhi nikal dete hain, phir kia Quran ko bhi choro ge? Ahadees per aisa aitraaz kerne wale ko sharam aani chahiye k pehle fiqa ki kitaabon ka haal to dekhe. Aik Aik masle per Imam Abu Hanifa ki 3 alag alag aara mojood hain. Jin main kissi soorat tatbeeq nahin di ja sakti.

 

Allah taqleed pasandi main Hadees Dushmani se mehfooz rakhe, Aameen

 

Dushmani Ahadith se nahin Janab Shoaib sahab balki dushmani unsy hai jo muqallid ko kafir kehty hain..or rahi ikhtelaaf ki jo baat aapny quran or hadith me kahi wo ikhtelaaf bazahir lag sakta hai par haqeeqatan wo ikhtelaaf nahin ki wo nasikh or mansookh ka maamla hai jisy akabir ulema or mujtahid bataty hain na ki har Aira Ghera nathThu Khera...BAKI AAP KHUD SAMJHDAAR HAIN ........ (sa)

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum,

Yeh baat batai ja chuki hai k Ahlesunnat ya Ahlehadees sifaati naam hain. Aur jis main jo siffat ho usse ussi se pukara ja sakta hai.

Jis tarah tafseer kerne wale ko mufassir kaha jaata hai, hadees ke aalim ko muhaddis kaha jaat hai, rahem ki sifat jis main ho usse Rahem'dil kaha jaata hai. Issi tarah jo jamaat Quran-o-Hadees ya Quran-o-Sunnat ko apna manhaj maanti hai usse Ahlesunnat aur Ahlehadees kaha jaata hai. Hamesha se Muhadasseen aur Aaema Ikram yeh naam istimaal kerte aaye hain.

 

Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Al'Hamdulillah, Yahan kuch log iss baat ko to tasleem kerna shuroo hue k Ahlehadees naam theek hai aur hamesha se Aema Ikraam aur Muhadaseen yeh naam istimaal kerte chale aaye hain.

Sheikh Abdul-Qadir Jailani R.A. ki kitaab Gunia-tu-Talibeen main bhi unhon ne Ahlesunnat aur Ahlehadees ko aik hi qarar dia hai. Main ne to chand naam pesh kie hain werna yahan per aik poori list paish ki jaa sakti hai k Aema Ikraam Ahlehadees naam pasand kerte the. Sirf Biddati iss naam se chirrte hain.

Jahan tak taluq hai Angrezon se Ahlehadees naam ka ijraa to iss main kon si burri baat hai. Jo hamara haq tha ham ne hasil kia. Aaj ager India main Babri Masjid ka faisla Musalmanon k haq main aa jaata hai to kia yeh kaha jae ga k Babri Masjid hindu logon se hasil ki gai hai. Zahir hai Babri masjid musalmanon ki hi hai. Issi tarah ahlehadees naam pehle bhi istimaal kia jaata tha, mager jab iss ko wahabi ke naam se pukara jane laga to asal baat tasleem kerwai gai k ham Ahlehadees hain, Al-Hamdulillah

Kam se Kam ya-Muhammadah ki yeh galat-fehmi to door ho k Ahlehadees banana na-mumkin aur jhoot hai.

Baaqi taqleed per aik tafseeli mezmoon tiar ker raha hoon. InshaAllah jald post keroon ga.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Khalil Rana sahib, Kabhi Saeed Ahmed Kazmi se ooper bhi kuch dekh lia karen.

Jahan tak taluq hai k mazhab ya maslak k aitbaar se aaj tak koi Ahlehadees nahin hua to iss ka hawala bhi aap ko mil jae ga. Halan k ager aap gor kerte to meri post main mojood hai k Imam Bukhari ne fermaia k taefa mansoora Ahlehadees hain to kia phir Imam Bukhari sirf Muhadasseen ko Taefa-Mansoora samajhte the..?

Imam Muslim ka hawala bhi shamil hai k ham ne Ahlehadees k mazhab ki tashreeh ki to kia iss se saabit nahin hota k Ahlehadees ka aik alag maktaba-e-fiker tha.

Imam Navavi ki Sharah Sahih Muslim parh lain wahan woh Hanfia, Shafia, Hanabla aur Malkia k saath saath akser muqamaat per Ahlehadees ka mazhab bhi bian kerte hain.

Akhir kab tak aap log haqeeqat se chehre chupate phirain ge...

Hamara naam Ahlehadees aur Ahlesunnat hi hai. Ager kissi ne hamara doosra naam se mash'hoor kerne ki koshish ki to uss main bhi nisbat achi ban gai iss main bura lagne wali kia baat hai......!

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Janab Talinenoor sahib,

Mujhey Yeh Hairat Hai Key Aap Key Liye Muhadiseen Ki Bat Kyonker Hujat Hai? Jab Key Unki Taqleed Hujat Nhin.. Aur Waisay Bhi Shakhsi Taqleed Ko Tu Aap Loog Shirk Aur Pata Nhin Kiya Kiya Kehtey Hain..

Aap Koi Aisa Muhadis Batain Jo Ghair Muqalid Hoo Aur Mujtahid Bhi Na Hoo... Phir Aapki Baat Ka Kuch Na Kuch Matlab Nikal Sakta Hai.. Werna Ahle Hadees Fun Key Hisab Sey Naam Diya Gaya Maslak Key Aitabar Sey Nhin..

 

Aur Sub Sey Aehm Baat Key Aap Ka Minhaaj Ager Quran-o-Hadees Hai Tu Ahle Hadees Ko Quran-o-Hadees Sey Sabit Kerein Kisi Muhadis Key Qool Sey Nhin.. Key Konsi Aayat Ya Hadees Mein Sub Musalmano Ko Ahle Hadees Kaha Gaya Hai? Baqi Aap Ney Taaifa Mansoora Wali Jo Hadees Ki Tashreeh Post Ki Hai.. Uska Jo Hawala Hai.. مساءلۃ بالاحتجاج الشافعی Yeh Kiya Imam Bukhari (ra) Ki Tasneef Hai?

 

Imam Bukhari Shafa'e Muqlid Hain. Jiskey 3 Dalail Oper Post Kiye Gaye (Unka Jawab Bhi Aap Key Zimey Hai).. Aap Imam Bukhari (ra) Jesey Naamwar Muhadis Key Is Amal Ko Hujat Kiyon Nhin Letey? Imam Muslim, Imam Tabrani wa Deger Muhadiseen Yeh Sub Bhi Muqalid They Tu In Muhadiseen Key Is Amal Per Kiya Hukm Lagey Ga Kiya Yeh Baqool Aapkey Phir Bhi Ahle Hadees Rahain Gey? Jab Key Yeh Tu Muqlid Hain..

 

Acha... Hanafi Shafayi Maliki Hanbali Waghera Lakhoon Aahadees Per Amal Kertey Hain.. Tu Kiya Yeh Sub Bhi AhleHadees Kehlaye Jayen Gey Ya Nhin? Ager Nhin Tu Kiyon Nhin?

 

Aur Aap Ney Tu Bachon Jesi Bhi Batain Kerna Shurow Ker Di Hain... Hum Allamah Kazmi (aleh rahma) Ka Hawala Pesh Kerein Ya Mufti Ahmad Yaar Khan (aleh rahma) Ka.. Apney Jis Aalim Ki Bhi Bat Pesh Kerein Woh Bat Quran-o-Hadees Key Dalail Key Sath Hai.. Maza Tu Tab Hai Jab Aap Hamarey In Ulema Key Hawalon Ka Rad Kerein.. Allamah Kazmi aur Mufti Ahmad Yar Khan Dono Ney Likha Hai Key Her Hadees Per Amal Nhin Ho Sakta.. Her Sunnat Per Amal Ho Sakta Hai.. Aap Her Hadees Per Amal Ko Sabit Ker Dein..????

 

Aur Hamarey In Ulema Ahle Sunnat Ki Tu Shan Yeh Hai Key Hazaron Bad Aqeedah Logon Ki Zindagiyan Badal Ker Unko Sirat-e-Mustaqeem Per Gamzan ker Diya.. Per Baat Nazer Nazer Ki Hai..

Aankh Waley Tere Joban Ka Tamasha Dekhein

Deedah-e-Koor Ko Kiya Aaye Nazer Kiya Dekhey

Link to comment
Share on other sites

Asslamoalaikum 2 all muslims,

Janab Sage-Attar sahib gussa aik taraf rakh ker sochen ge to baat samajh main aa jae gi.

Yeh post start hui thi k koi Ahlehadees ho hi nahin sakta. Main ne iss ka jawab dia k bohat se muhaddasseen ne iss naam ko pasand kia hai.

Aap ka kehna hai k jap ham taqleed nahin kerte to phir muhaddaseen ka hawala kion pesh kia?

Janab main ne apni post main likha tha k Ahlehadees ho ya Ahlesunnat yeh aik siffati naam hai. Aur naam rakhne k liye aap khud bataen kia Quran-o-Hadees ki daleel chahiye hoti hai. Sifaati naat Siffat ki wajah se hota hai, jis main siffat ho. Lahaza aisa bachkana aitraaz koi maani nahin rakhta.

Aap ne likha Imam Bukhari Shafai the. Main ne pehle bhi likha hai k iss ki koi daleel nahin. Imam Bukhari ne kabhi khud ko muqalid nahin kaha. Jin logon ne Tabqat per kitaben likhi hain unhon ne apne apne tabqat main naam likh die hain ya keh dia hai k yeh shafai hain. Doosra yeh k Nisbat taqleed saabit nahin kerti.

Aap se araz hai k kissi muhaddiss se taqleed saabit karen ya unn se taqleed-e-shakhsi ki tareef hi bian ker dain. Baherhaal iss baat ka jawab main apne taqleed wale topic main zara wazahet se doon ga.

Imam Bukhari R.A. ka jo hawala main ne Taefa-Mensoora wali hadees ki tashreeh main dia tha uss k aage wazahet mojood hai k sanad sahih hai. Doosra yeh k siref Imam Bukhari ka hi nahin Imam Muslim ka hawala bhi dia tha jo hamare maoqaf ki taeed kerta hai k imam muslim ne Ahlehadees k mazhab ki tashreeh ki. Imam Navavi ki Sharah Sahih Muslim dekh lain aap ko pata chal jae ga k Ahlehadees aik aleg maktaba-e-fiker ki sooret main mojood rahe hain

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Janab... Aap ka kahna hai keh ahleshadith aik sifaati naam hai yaani sifat hai aap logo chonkeh har sifat aik mosoof hota hai .

Aur hazrat keh topic se yeh baat b wazih howi hai keh harhadith par amal na mumkin hai kya aap hadith e irneyen jo keh bukhari shareef ki hai ! us par amal hai ? nahi tu yeh naam rakhna kesa kya yehmuhadeseen ki taqleed nahi...

...chonkeh aap geer muqaliden ki taraf se numainde ban kar jawab dairhe tu janab jawab dene keh kuch osool b hote hain sirf apnimarzi se aik do qaol byan kar keh apni man maani taweelain karna durust nahi hoga .. balke aap ko is topic main humari taraf se byan ki gayi har dalel ka jawab dena hoga takeh yeh claer hosakee.. na keh apni baat ko dosre par thopa jayee ....

...ap ne kaha kisi muhadis se dalel byan kardee chonkeh is par b replay kardi jayeegi lakin zara yeh batain keh keh 4 aima aap keh nazdeek muhadith nahi ? aur muhadith aap ki nazar main kaun hai ...aur tabqat aur asma e rijaal ki kaunsi kutub aap keh nazdeek muatbar hai .. batayen in sab nukat ko mila kar kya yeh nateeja nahi nikalta keh aap ki batain khud aik shaksi taqeleed ka jawaz sabit karti hain ...

bar e karam hosh wa hawas ko madd e nazar rakhte howee apne moqaf ki wazahat karain ....

Link to comment
Share on other sites

Janab Shareef Raza sahib,

Aap se guzarish hai k Sunnat aur Hadees ki tareef kissi mustanad aalim jo donon fareeq ke nazdeek moatber ho se pesh karen.

Jamhoor Muhadasseen Hadees aur Sunnat main faraq nahin kerte. Unn ke nazdeek jo hadees saabit ho woh sunnat bhi hai chahe usse Nabi s.a.e. ne kia na ho bal k usse qaoli sunnat kehte hain. Issi tarah aik kaam aap s.a.w. ke saamne ho aur aap khamosh rahen usse taqreeri sunnat kehte hain.

Yeh baat galat hai k Sunnat siref wohai hai jo aap ne ki ho bal k aap ke aqwaal bhi sunnat hain.

Issi liye jo amal aap ne kia na ho bas aap ke qaol se saabit ho usse bhi masnoon kehte hain.

allah samajhne ki tofeeq de, Aameen

Link to comment
Share on other sites

MASHALLAH, Azawajal, Ap ka jawab parh ker kaafi khushi howi ,aap neh bjaye mere sawalat ko claer karne keh, ulta mujh se hi sawal karlya khair sawal karna sab ka haq hai lakin is ko alag topic mai karain.. ap ka yeh sawal is topic se related Nahi hai aur na hi maine aisi koi baat ki hai jisse hadith ki koi mukhtalif tareef sabit hooti hai ya qauoli aur faili ki tarded hooti hai yeh tu parhne walay ko uljhana hi howa , Takeh parhne wala alfaz keh is khail main ulajh jaye aur samjhe keh main qaoli aur faili hadith ka inkar karrha hoon .....................

...........bare karam mere sawalat ko claer karain jo maine sabiqa replay main kiye hain..........note : mere sawalat aap keh zimmehain man mani taweelain aur alag ssawalat peda karke ap iss se bari nahi hosakte.

Link to comment
Share on other sites

  • 6 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...