Jump to content

Barellvi Aur Imkan Kizb 2


Saife Raza Sunni

تجویز کردہ جواب

Ye Wahabiyo Ke Aitraz hain inke jawab chaiye

.

Ummid hai khalil Rana Sahab Jawab Jarur Denge

.

khair barelwi hazrat jitne b hawale dete he olamaa e deoband ki kitabo se waha par har jagah masla khalf e waeed ka he jiske qail khud barelwi he or agr kahi ye likha ho olama e deoband ki kitbo me khuda jhuta he to meri nazar me wo kafir he chahe wo koi b ho 

 

molana gangohi r.a. fatawa rashidiya me fatwa de chuka ke jo shakhs khuda ko jhuta mane wo shakhs kafir he murtad he qk Allah se zada sach bat or kis ki hogi 

{ fatawa rashidiya safa no. 93 } 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1770605586500520&id=100006532860819&set=p.1770605586500520&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

or fatawa rashidiya safa 96 me likha he ke molwi nazir khan sahab ne khat likha jisme ye likha ke sahib e barahin e qatia me ye likha he ke Allah taala se kizb mumkin he is masle ki wajah se kutub e ilahiyya me ahtmal jhut ka peda ho sakta he yani mukhalifeen keh sakte he ke shayad ye quran hi jhuta ho 

 

to iska jawab haji imdadullah muhajir makki r.a.ne ye diya :- 

wazah ho ke imkan e kizb k jo mane apne liye he to bilittifaq mardood he yani Allah taala ki taraf waqu kizb ka qail hona batil he 

raha khilaf e olama ka jo darbarh me waqu or adam or waqu khilaf e waeed he jisko sahib e barahin e qatia ne likha he wo dar asal kizb nhi he surat e kizb he iski tahqeeq me tol he al hasil imkan e kizb se murad dukhool e kizb e bari taala he yani Allah ne jo wada kiya he uske khilaf pr Allah qadir he lekin iska waqu na hoga 

 

ye pura khat haji imdadullah muhajir makki r.a. ka fatawa rashidiya me mojood he 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1770603009834111&id=100006532860819&set=p.1770603009834111&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

jaha jaha b imkan e kizb ka lafz liya he olama e deoband ne us se murad khalf e waeed hi he har jagah iski tashreeh mojood he mgr in jahilo ke samjh me kaha ati he 

 

chalo aao me inke hi ghar se inko dalail dikha deta hu 

 

sabse pehle ye masla hadees se sabit karta hu :- 

barelwiyo ke hakimul ummat barelwiyo ke mufti e azam barelwiyo ke mufassir e kabir janab mufti ahmad yr khan ne tafseer e naeemi me etraz or jawab ke mozu me ek hadees naqal ki he :- 

 

hadees shareef me he ke agr rab taala jahan ko ( puri duniya ko) dozakh me dal de to wo zalim nhi balke adil he 

 

tafseer e naeemi jild 4 safa 81

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1772011859693226&id=100006532860819&set=p.1772011859693226&source=47&refid=52

 

me barelwiyo se puchta hu Allah taala ne quran me jagah jagah momino ko jannat ke rahmat ke wade kiye he badi badi basharate d he fir iske khilaf agr Allah kare to kya kizb lazim nhi ayega ????

 

misal :- 

ahmaq raza ne angrezo se wada kiya ke me olama e deoband ko khatam karke rahunga ab agr wo na kare jabke wo qadir b ho to kya jhuta hona lazim ni aya ???

 

olama e deoband ka aqeeda he ke khuda jhut se pak he jo khuda ko jhuta kahe ya mane wo kafir he

.

raha imkan e kizb ka masla to ise har jagah khalf e waeed se tabeer kiya gaya or ye b upar bata diya ke Allah apne wade k khilaf par qadir he mgr wo esa karega nhi qk wo wada khilafi nhi karta 

 

khair ab ye masla tafseer se b le lo yahi jahil mufti ek ayat ki tafseer karte hue likhte he :- 

ho sakta he ke kuffar isaaiyo ( yahudiyo ) k kufr ki bakhshish hi murad ho or maqsad ye ho ke agr tu un kafiro or mushriko ko b bakhsh de to tujhe koi rok nhi sakta isi surat me ye arz o marooz shafat nhi balke rab taala ki badayi bayan karna he jese hazrat abdulillah bin umar ka farman he ke rab Taala sab ko dozakh me bhej de to uska adl he or sare bando ko jannat de de to uska raham he waha b rab taala ki qudrat ka zikr he 

 

{ tafseer e naimee jild 7 safa 182} 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1770607769833635&id=100006532860819&set=p.1770607769833635&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

ye lo barelwiyo ek or dalil wo b tafseer se or wo b apke mufassir ki tafseer he 

 

ab bolo kuffaro ki bakhshish ka koi wada he ??

yahudiyo ki bakhshish ka koi wada he ??

 

balke in kuffaro ke khilaf sirf azab ki waeede nazil hui he mgr tumhara mufassir is ka qail he ke Allah inko b jannat me bhej sakta he 

 

Allah ne quran me khabar d he ke yahudiyo ki kuffaro ki bakhshish nhi hogi mgr tumhara molwi iska qail he ke Allah unki b bakhshish kar sakta he to tumhare usool se lazim ayega ke quran jhuta ho sakta he baqol tumhare mufti ke jab Allah apne wade k khilaf kar sakta he to lazim ayega ke Allaah ka kalam jhuta ho 

 

ab lagao na apne mufti pe fatwa ???

 

ab aao age or b he 

 

fawaidul fawaad me hazrat meer hasan ali sanjari r.a. likhte he :- 

 

rasullalah sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke agr qayamat ke din Allah mujhe or mere bhai isaa a.s. ko dozakh me bhej de to adl ( insaf ) hi karega 

 

{ fawaidul fawaad jild 3 } 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1770607953166950&id=100006532860819&set=p.1770607953166950&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

ab bolo barelwiyo nauzubillah nabi saw khud quran k khilaf farma rahe he ???

 

ye to bilkul muhaal he na mumkin he ke nabi saw ko zarra barabar b azab diya jaye Allah ne inko bheja hi rahmat bana kar he fir nabi saw khud bol rahe he ke Allah qadir he ke mujhe or mere bhai isaa alaihissalam ko allah jahannum me bhej de 

 

batao kya yaha kizb lazim nhi ata ??

kya yaha khuda ki wada khilafi lazim nhi ati ??

 

barelwiyo kuch to aqal rakho 

 

khair age b aao 

 

ab dekho tumhara mufti khud qubool kar raha he ke Allah apna wada tod sakta he 

 

tafseer e naeemi me ek ayat ki tafseer me likhte he :- 

 

yani ham qadir he ke apna wo wada tod de or tum par azab bhej de 

 

{tafseer e naeemi jild 7 safa 458}

 

scan 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1770608536500225&id=100006532860819&set=p.1770608536500225&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

age olama e deoband ko apni dalil banate hue likhte he ke Allah taala ki wada khilafi unke yaha b gair mumkin he 

 

jab ayat ki tafseer karne ki majboori samne ayi to foran olama e deoband ka aqeeda man liya kya bat he yaha wada khilafi qubool karke khuda ko jhuta nhi mana ???

 

apke yahi jahil mifti apni tafseer me likhte he :-

.

agr rab taala kisi ki sari nekiya barbad kar de to zulm nhi or agr kisi ko bila jurm saza de tab b zulm nhi 

{ tafseer e maeemi jild 4 safa 300 } 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1770607583166987&id=100006532860819&set=p.1770607583166987&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

molwi ahmad raza ne b likha he :- 

 

ye bat aqalan jaiz he ke Allah taala apni makhlooq ko bagair jurm ke azab de or bad me is par sawab na de 

 

{ al mustanadul mu,tamad safa 201 } 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1770608059833606&id=100006532860819&set=p.1770608059833606&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

isi kitab me dusri jagah likha he :- 

 

ese ita,at guzar bande ko azab dena jo Allah ke ilm me wesa hi he maturidiya ke nazdeek aqalan jaiz nhi or ashairah ke nazdeek aqalan jaiz he 

 

{ almutamidul mustanad safa 204 }

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1771975379696874&id=100006532860819&set=p.1771975379696874&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

age ek or jagah likhte he :- 

 

kafir ko maf karna hamare nazdeek yani hanafiya ke nazdeek aqalan jaiz nhi is me ashari ka ikhtilaf he or ahle iman ko dozakh me or kafiro ko jannat me hamesha rakhna unke nazdeek yani shariya ke nazdeek aqalan jaiz he 

{ al mutamidul mustanad safa no. 211 } 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1771975449696867&id=100006532860819&set=p.1771975449696867&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

isi kitab ke agle safe pe likha :- 

ahle jannat ko dozakh me jane ka hukm de or dozakhiyo ko jannat me dukhool ka hukm de to uska ye hukm mahaz hikmat hoga 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1772001483027597&id=100006532860819&set=p.1772001483027597&source=47&refid=52

 

ahmad raza ne to apne aqaid or mazhab sab badal liya olama e deoband ko kafir kehne k liye mgr ahmad raza bhul gaya ke uske walid uske khilaf dharna dekar bethe hue he

.

aao batata hu 

anwar e jamal e mustafa jo ke molana naqi ali khan ne likhi he jo ahmad raza ke walid the wo is kitab ke safa no. 296 pe likhte he :-

hatta ke ahle sunnat ke mazhab me kufr ka bakhsha jana aqalan jaiz he 

bap bete ke khilaf he ya beta bap k khilaf he ( sach to ye he ke ahmaq raza or uske molwiyo ne olama e deoband k khilaf qalam utha kar khud usi qalam se apna sar qalam kar liya )

 

age aao alfathur rabbani jo shaikh abdul qadir jilani r.a. ne likhi he uska tarjuma kiya barelwiyo ne jiska nam diya fuyuz e gos e yazdani iske safa no. 552 pe likhte he :- 

agr Allah taala ( farzan ) agr Allah taala kisi pegambar ya saliheen me se kisi ko dozakh me dakhil kar de tab b wo adil rahega or ye muhabbat baligah hogi yam par to yahi wajib he ke ham kahe ke mamla or hukm sacha he esa ho sakta he ye mumkin he or agr hoga to haq bajanib hoga or sarapa insaf hoga albatta ye esi bat he ke waqu me na ayegi 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1771975596363519&id=100006532860819&set=p.1771975596363519&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

ab ahmad raza ke khalifa ko b dekh lo fatawa faizur rasool me likha he:-

noman qadri sahab ne masla pucha ke mugfirat e mushrikeen tahte qudrat e bari taala he ya nhi 

 

al jawab 

beshak magfirat e mushrikeen tahte qudrat e bari taala he 

( yani ye Allah ki qudrat me shamil he ke wo mushriko ki b bakhshish kar de ) 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1771975689696843&id=100006532860819&set=p.1771975689696843&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

ab aao barelwiyo ke allama gulam rasool saeedi sahab ki muslim shareef ki sharah se b saboot le lo 

 

janab likhte he ke ;- 

ahle sunnat ke nazdeek Allah taala par koi chiz wajib nhi balke tamam jahan uski milkiyat he balke duniya o akhirat uski saltanat he Allah taala jo chahata he wo karta he agr Allah taala tamam nek logo ko or ita,at guzar logo ko jahannum me dakhil kar de to ye uska adl hoga ( insaf ) or jab wo unpar inaam or ikram karke unko jannaat me dakhil karega to ye uska fazl hoga isi tarah agr wo tamam kuffar par inaam farmaye or unko jannat me dakhil kar de to wo iska malik he lekin Allah taala ne khabar d he or uski khabar sadiq hoti he or wo esa nhi karega balke wo momineen ki magfirat farmayega or unko apni rahmat se jannat me dakhil karega or kafiro ko azab dega or apne adl se ( insaf se ) unko jahannum me dalega 

( sharah muslim jild 7 safa 653}

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1771976596363419&id=100006532860819&set=p.1771976596363419&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

ab to sab kuch sabit ho gaya ke Allah taala apne wade k khilaf karne par qadir he or wada khilafi hogi to kizb lazim ayega mgr Allah esa nhi karega qk wo wada khilafi nhi karta na hi wo jhut bolta he olama e deoband har jagaah isko bayan karte he ke Allah qadir he apne wade or waeed k khilaf karne par ajiz nhi he mgr wo karega nhi 

 

khair itne dalail se barelwiyo ko samjh me aa gaya hoga 

 

dosto dalail itne he ke me apne dimagh me unka taswwur b ni kr sakta 

 

barelwiyo ki bani e shirk o bidat ne molana ismaeel dehlwi ra. ke khilaf ek kitab likhi jiska nam he subhaan as subbuh is kitab me tanziyah 4 puri is bat ki dalil he ke Allah apne wade k khilaf kar sakta he wo is par qadir he jagah jagah usne khalf e waeed ko sabit kiya mgr use kizb kehne ka inkar kiya or molana gangohi ne ise imkan e kizb kaha is par use etraz he halanke ise imkan e kizb hi kaha jayega ye ahmad raza khud likhta he ise agli post me sabit karunga inshallah 

 

or al mutaqadul muntaqad jispe hashiya ahmad raza ne likha or kitab ka nam almutamadul mustanad rakha he isme pura bab he jisme yahi sabit ho raha he ke Allah taala wade k khilaf par b qadir he jiske kuch scan mene upar de diye he ha is kitab me thodi mantiq ke bina per k ghode chalaye he jin ki wajah se wo kufr ki ghati me ja gira isko b age wazah karunga 

 

or tamheed e iman me ahmad raza ne kaha ke molwi ismaeel dehlwi r.a. ke khilaf imkan e kizb ke wajah se 78 wajah se kufr sabit karke subhaan as subbhu me bil akhir safa 80 par yahi likha ke hasha lillah 1000 bar hasha lillah me har giz unki takfeer pasand nhi karta or unke muqtadiyo yani mud,iyaan e jadeed ko to abi tak muslim hi janta hu 

{ tamheed e iman safa 46 } 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1770605379833874&id=100006532860819&set=p.1770605379833874&source=47&refid=52&_ft_=top_level_post_id.1763732217187857%3Atl_objid.1763732217187857%3Athid.100006532860819

 

barelwiyo me puchta hu ke olama e deoband ne agr tumhari nazar me khuda ko jhuta kaha to in par kufr ka fatwa q nhi diya ????

.

balke unhe muslim kaha ahmad raza ne

 

ab dekho barelwiyo ki kalabaziya 

 

molwi ahmaq raza ne tamheed e iman me safa 39 par likha ke olama e ahle sunnat ka ye mazhab he 

 

{ khulasa } 

jab kisi masle me esi wajeh ho jo kufr ko wajib kare or isme ek wajah esi ho jo mana kare kufr ka fatwa dene ko to mufti par or qazi par wajib he ke wo us ek wajah par amal kare yani use muslim hi kaha jayega 

 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=1772011829693229&id=100006532860819&set=p.1772011829693229&source=47&refid=52

 

ab me puchta hu barelwiyo se ke imkan e kizb ki wajah se molwi ahmaq raza ne takfeer ko pasand nhi kiya 

 

or ab ahle sunnat ke usool se ek wajah b agr baqi ho to b fatwa nhi lagega or is masle me ek b wajah esi nhi he jis par kufr ka fatwa lge fir olama e deoband ko is masle par kafir q kehte ho ?????????

 

upar me sabit kar chuka ke khalf e waeed me barelwi khud iske qail he or ahmad raza ne olama e deoband par koi fatwa nhi lagaya 

 

ahmaq raza sahab mar gaye mare marte tamheed e iman me keh gaye ke unhe kafir na kaha jaye khair 

 

dosto ye kuch hawale he jo mene diye he ye mukhtasar hawale he qk mere pas kitabe zada nhi he isliye jitni kitabe he unhi se saboot diye he warna saboot beshumar he 

 

agli post part 2 ke nam se banunga kuch jahil barelwi kehte he ke khalf e waeed ko imkan e kizb kaha he isliye kafir hue 

 

halanke ye galat he qk barelwi molwiyo ne olama e deoband k khilaf qalam utha kar angrezo ki himayat karna tha unki madad karna tha isliye unhone khalf e waeed ka b inkar kiya he ha sach bol raha hu yar ye b sabit karunga 

 

ab agli post me ye sabit karunga ke khalf e waeed ko imkan e kizb kaha ja sakta he or hawale barelwiyo k ghar se bhi honge 

 

uske bad ek or post hogi part 3 k nam se jisme barelwiyo ne khud khalf e waeed par kufr ke fatwe de kar apne qalam se khud apna sar qalam kiya he 

 

Allah hame haq par rehne ki or haq samjhne ki tofeeq ata farmaye

.

Inke scan link par Mozu hain

=========

Koi to bhai ilm wale aao jawab dene

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...