Jump to content

info required: Msg/Sms/Text se talaq ka masla


Shaukat Ali

تجویز کردہ جواب

  • AqeelAhmedWaqas changed the title to info required: Msg/Sms/Text se talaq ka masla

Salam alayqum

Janab maslay ki tafseel likhtay toh kohi khatami fesla hota. Agar aap nay 3 talaqen likh deenh hen, ya phir aap nay ek likhi magar murad hasil 3 wali thee toh phir talaq ho chuki. Text message mein behjen, khat kay zariya, email, WhatsApp, telegram, postcard, banday kay zariyeh message behjen, video recording ho, sab ki soorat mein agar banday nay teen talaq deeh toh teen talaq lagoo huwi aur Nikkah khatam huwa. Teen talaqoon mein ruju be mumkin nahin. Sirf ussi halat mein Nikkah mumkin heh kay aurat kissi mard say shadi karay aur dosray khawand say jismani rishta qaim karay aur phir kissi waja say talaq ho jahay toh pehlay walay khawand say nikkah kar sakti heh, issay Halalah kehtay hen. Is halalay ki ek haramay wali soorat bi heh jis mein talaq shoda aurat kissi mard say nikkah is shart par karti heh kay woh pehli, dosri, maheenay, haftay ... ek motayyin waqt par ... ussay talaq deh ga. Yeh harama heh. Halala ki asli soorat heh kay aurat talaq kay bad phir kissi say shadi karay baghayr talaq ki shart kay aur mard joh us say nikkah karay woh talaq kay wastay nikkah nah karay balkay donoon asli, haqiqi shadi karen aur phir asli waja say donoon mein rishta qaim nah rahay aur talaq ho.

Link to comment
Share on other sites

  • 4 years later...

As salam o alikum

Mera  sawal  yeh  h kai  jb  nabi  k dour  mai  na  whatsapp  tha  na  mobile,Instagram,Facebook other  social  app  jo  kai  fitna  fasad  phelanai  wali  cheezain  nhi  thi  tow hum  kaisy na  he  court  papers tow  hum  talaq  kai  mamly  mai  kun  promote  kar  rai  aj  kitnai  he  ghr whatsapp  per  talaq  ke  waja  Sai  kharab  hoo  rai  h  talaq  ka  ratio  bharta  jaa  raha  hai  kia  yeh  sahi  h jb  kai  dekha  jai  tow  surah  talaq  mai  2 gahwa  zaroori  hain  tarjuma  phara  jai  tow per  yeh  yehi  bola  jata  h nhi  talaq  k liye  zaroori  nhi shadi  k liye  zaroori  hai  kindly  rehnumai  farmai

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...