Jump to content

Hayat Un Nabi Sallalaho Alaihe Wasallam


Khalil Rana

تجویز کردہ جواب

bismillah.gif

 

 

Assalamu alykum pehlay to saeedi bhai ko me khush amdeed kehta hun is debate me.

 

sab say pehlay to yeh bataien keh aap hadees ko ziadah jantey hain ya sihaba? ya muhaddiseen? agar aap ziadah jantey hain to sihaba ka faham kharjiioon nay nahi liya tha. aur islam say kharij huye.

 

abu huraira raziallahanho farmatey hain.

‏خرج رسول الله ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏من الدنيا

(Rasool Sallahu alihe wasallam duniya say chalay gaye)

صحيح البخاري

الأطعمة

ما كان النبي صلى الله عليه وسلم وأصحابه يأكلون

 

Samrah bin Jundub razi allah anho aik taveel hadees mai farmatey hain farishtoon nay nabi kareem sallahu alihe wasallam say farmaya

‏ ‏فارفع رأسك فرفعت رأسي فإذا فوقي مثل السحاب قالا ذاك منزلك قلت دعاني أدخل منزلي قالا إنه بقي لك عمر لم تستكمله فلو استكملت أتيت منزلك ‏

Be shak aap ki omer abhi baki hai jis ko aap nay abhi poora nahi kiya agar aap wo poori kar letey to apnay makaan mai aa jatey

(bukhari:1386)

ما قيل في أولاد المشركين الجنائز صحيح البخاري

agar Allah kay nabi qabar mai aisey hee zinda hain to Junnat mai kon hai nauzubillah....

 

phir is ki tashreeh muhaddiseen say suno

 

sahih muslim ki hadees hai.

 

حدثنا يحيى بن أيوب وقتيبة يعني ابن سعيد وابن حجر قالوا حدثنا إسمعيل هو ابن جعفر عن العلاء عن أبيه عن أبي هريرة

أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال إذا مات الإنسان انقطع عنه عمله إلا من ثلاثة إلا من صدقة جارية أو علم ينتفع به أو ولد صالح يدعو له

 

 

ما يلحق الإنسان من الثواب بعد وفاته الوصية صحيح مسلم

 

is ka mafhoom yeh hai keh marnay kay baad insaan ka amal ka silsila khatam ho jata hai.

 

lekin aik doosree sahih hadis hai.

 

حدثنا أحمد بن حنبل وسريج بن يونس قالا حدثنا هشيم أخبرنا داود بن أبي هند عن أبي العالية عن ابن عباس

أن رسول الله صلى الله عليه وسلم مر بوادي الأزرق فقال أي واد هذا فقالوا هذا وادي الأزرق قال كأني أنظر إلى موسى عليه السلام هابطا من الثنية وله جؤار إلى الله بالتلبية ثم أتى على ثنية هرشى فقال أي ثنية هذه قالوا ثنية هرشى قال كأني أنظر إلى يونس بن متى عليه السلام على ناقة حمراء جعدة عليه جبة من صوف خطام ناقته خلبة وهو يلبي

قال ابن حنبل في حديثه قال هشيم يعني ليفا

 

Abdullah bin abbas raziallahanho say riwayat hai keh Rasool Allah sallahu alihewasallam say guzrey to farmaya yeh kon c wadi hai? logoon nay kaha wadi e arzaq aap nay farmaya.( كأني أنظر )goya mai moosa(alehsalam) ko dekh raha hun woh utar rahey hain choti say aur awaz labbaik pukar rahey hain phir aap harsha ki choti par aaye. aap nay poocha yeh konsi tekri hai? logoon nay kaha yeh harsha ki tekri hai aap nay farmaya كأني أنظر goya mai dekh raha hun yunus bin mati ko woh aik surkh untni ghatee hui par sawar hain aur aik jubba pehney hain baloon ka in ki untani ki nakeel khalba ki hai aur woh labbaik keh rahey hain. ahmad bin hamble nay apni hadees mai byan kiya hai keh hisam nay kaha khalba say murad leef hai (yani khajoor kay darakht ki chal)

 

الإسراء برسول الله صلى الله عليه وسلم إلى السماوات الإيمان صحيح مسلم

 

imam nawawi nay is ki zabardast sharah ki hai. sahih muslim mai aisey kartey hain.

 

قال القاضي عياض رحمه الله : أكثر الروايات في وصفهم تدل على أنه صلى الله عليه وسلم رأى ذلك ليلة أسري به وقد وقع ذلك مبينا في رواية أبي العالية عن ابن عباس , وفي رواية ابن المسيب عن أبي هريرة , وليس فيها ذكر التلبية . قال : فإن قيل كيف يحجون ويلبون وهم أموات وهم في الدار الآخرة وليست دار عمل فاعلم أن للمشايخ وفيما ظهر لنا عن هذا أجوبة : أحدها أنهم كالشهداء بل هم أفضل منهم والشهداء أحياء عند ربهم فلا يبعد أن يحجوا ويصلوا كما ورد في الحديث الآخر وأن يتقربوا إلى الله تعالى بما استطاعوا لأنهم وإن كانوا قد توفوا فهم في هذه الدنيا التي هي دار العمل حتى إذا فنيت مدتها وتعقبتها الآخرة التي هي دار الجزاء انقطع العمل .

الوجه الثاني أن عمل الآخرة ذكر ودعاء قال الله تعالى { دعواهم فيها سبحانك اللهم وتحيتهم فيها سلام } .

الوجه الثالث أن تكون هذه رؤية منام في غير ليلة الإسراء أو في بعض ليلة الإسراء كما قال في رواية ابن عمر رضي الله عنهما " بينا أنا نائم رأيتني أطوف الكعبة " وذكر الحديث في قصة عيسى صلى الله عليه وسلم .

الوجه الرابع أنه صلى الله عليه وسلم أري أحوالهم التي كانت في حياتهم ومثلوا له في حال حياتهم كيف كانوا وكيف حجهم وتلبيتهم كما قال صلى الله عليه وسلم : ( كأني أنظر إلى موسى , وكأني أنظر إلى عيسى , وكأني أنظر إلى يونس عليهم السلام .

الوجه الخامس أن يكون أخبر عما أوحي إليه صلى الله عليه وسلم من أمرهم وما كان منهم وإن لم يرهم رؤية عين . هذا آخر كلام القاضي عياض رحمه الله . والله أعلم .

 

 

translation

 

qazi aiyaz nay kaha aqsar riwayaat say pata lagta hai keh Rasool ALLAH Sallahu alihewasallam nay in paighambaroon ko meraj ki raat dekha aur yeh amar tasreeh kay sath abu al aliya ki riwayat mai ibn e abbas say mojood hai aur ibn e musiyyab ki riwayat mai abu hurairah say magar us mai labbaik kehnay ka zikar nahi. ab agar koi kahey keh paighambar to marr gaye aur aakhirat mai gaye(ويلبون وهم أموات وهم في الدار الآخرة )? ab labbaik kesey kehtey hain aur hajj kesey kartey hain woh to amal karney ka muqam nahi? to hamarey mashaikh aur hum nay is kay kai jawab nikalay hain. aik to yeh keh paighambar shaheedoon ki misal hain balkeh in say bhi afzal hain. aur shaheed zinda hain apnay (والشهداء أحياء عند ربهم )parwardigaar kay pass. to kya baeed hai keh wo hujj karien ya namaz parhien jesey doosree hadees mai warid hai aur jhaan tuk in say ho sakay Allah say is ki nazdeeqi hasil karien aur go wo marr gaye par abhi tuk duniya mai hain jo amal ka muqam hai jub qiyamat ho jaye gee albattah jub qayamat ho jaye gee aur duniya ki miyaad khamat ho jaye gee us waqat amal khatam ho jaye ga.

 

doosrey yeh keh aakhirat ka amal zikar o dua hai ALLAH tala farmata hai دعواهم فيها سبحانك اللهم وتحيتهم فيها سلام

 

teesrey yeh keh shayed yeh khwaab ho kisi aur raat mai siwaye meraj ki raat kay jesey ibn e omar ki riwayat mai hai keh mai so raha tha keh mai nai apnay taien dekha kabay ka tawaf kartey huye aur byan kiya qissa Eesa alehsalam ka.

 

chothey yeh keh Rasool ALLAH ko in paighambaroon ka haal dekhaya gya bator tamseel kay keh in ka hujj kesa tha aur labbaik kion kar thi is liye keh khud aap nay farmaya keh كأني أنظر goya mai dekh raha hun moosa alehsalam ko aur goya mai dekh raha hun eesa alehsalam ko aur كأني أنظر Goya mai dekh raha hun yunus alehsalam ko.

 

panchwaan yeh keh aap nay byan kiya is baat ko jo wahi ki gai aap ki taraf in paighambaroon ki kaifiyat aur halat say agarcha aap nay in ko apni ankh say na dekha ho tamam hua kalaam qazi ayaz ka.(end)

 

 

qazi sahab ko kya kaho gay?

aap nay kaha is par ahl e sunnat ka ijma hai jhoot bola.

 

haan brelviyah ka ijma zroor ho skta hai.

 

aik hadees ki sharah kartey huye hafiz ibn e hajar asqalani fathul bari mai farmatey hain

 

لأنه بعد موته وإن كان حيا فهي حياة أخروية لا تشبه الحياة الدنيا

be shak aap (sallahu alihe wasallam) agarcha zinda hain lekin aap ki zindage ukharwi (barzakhi) hai duniyawee zindagee say mushabiha nahi hai (fath ul bari jild 7 tehat hadees(tashreeh of hadees) 4046)

غزوة أحدالمغازيصحيح البخاري

 

lagao fatwa hafiz ibn e hajar asqalani par.

 

ANBIYA ki zindagee ukharwi hai aur yeh hum bhi mantey hain.

 

is hee tarhaan hafiz zahbi farmatey hain.

Aap sallahu alihe wasallam api qabar mai barzakhi torr par zinda hain.(Seyar ilaam al nabla9/161)

 

imam behqi farmatey hain

fahum ahyau inda rabbihim kasshuhada e

 

(pus wo (anbiya) apney rabb kay pass shohda ki tarfaah zinda hain (hiyat ul anbiya al behqee page 20)

 

lagao fatwa imam behqi par. unhu nay samjha diya anbiya kesey zindah hain. shohda ki tarhaan aur shohda ALLAH kay pass hain jin ko wapis aanay ki ijazat nahi.

 

aur shohda ki zindagee ka shaoor hum nahi rakhtey. wo aish o aram e hain.

kharji wahabi ki baat yahaan na shuroo karien hum hee ahl e sunnat hain. yeh aap hee hain jinhu nay apnay aap ko hanafi kaha phir brelvi kaha.

 

shaykh abdul qadir jelani nay ahnaaf ko ahl e sunnat say khaij kiya aur ahle hadees ko ahlus sunnah kaha.

 

aap hiyat un nabi kya aisey nahi mantey keh nabi qabar me aisey zidah hain jesey hum? agar nahi mantey to kesey mantey hain?

 

sihaba kiram salam kehtey the to janab hum bhi kehtey hain. durood un(sallahu alihewasallam) tuk pohonchaya jata hai.

 

hazrat ayesha raziallah anho farmati hain

 

‏حدثنا ‏ ‏عبد الله بن يوسف ‏ ‏حدثنا ‏ ‏الليث ‏ ‏قال حدثني ‏ ‏ابن الهاد ‏ ‏عن ‏ ‏عبد الرحمن بن القاسم ‏ ‏عن ‏ ‏أبيه ‏ ‏عن ‏ ‏عائشة ‏ ‏قالت ‏

‏مات النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏ ‏وإنه لبين ‏ ‏حاقنتي ‏ ‏وذاقنتي ‏ ‏فلا أكره شدة الموت لأحد أبدا بعد النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم ‏

مرض النبي صلى الله عليه وسلم ووفاته المغازي صحيح البخاري

‏مات النبي ‏ ‏صلى الله عليه وسلم

ka kya matlab hai?

zahir hai nabi sallahu alihewasallam ki wafaat hui.

agar hum kaheen maat an nabi sallahu alihewasallam to gustakh agar hamari ammi jaan kaheen to wo kya?

 

ayesha raziallah anha said

mai aap sallahu alihewasallam say sunti thi kay koi nabi bhi wafaat nahi pata yahaan tuk kay duniya aur aakhrat kay darmiyaan ikhtiyaar day diya jata hai (bukhari:4435)

 

ab zahir hai ALLAH kay nabi ALLAH kay nabi nay akhirat ko chuna duniya ko nahi agar chuna hota to aaj musalmanoo kay sarey jhagrey khatam ho jatey.

 

aaj us hadees ko chorr bethey jis me ruh lotanay ka zikar hai khair koi baat nahi. apna nuqsaan khud kiya hai.

 

Abu bakar razi allah anho said

Sun lo jo shakhs Allah kay nabi ki ibadat karta tha to beshak wo fout ho gaye hain. (Sahi bukhari: hadees 3668)

 

ab jub abu bakar raziallahanho nay un(sallahu alihe wasallam) ko bosa diya to nabi ko kehna chahiye tha keh mai zinda hun lekin aisa nahi hua.

 

is hee tarhaan BUKHARI mai hai

 

حدثنا عبد الله بن يوسف حدثنا الليث حدثنا سعيد عن أبيه أنه سمع أبا سعيد الخدري رضي الله عنه قال

كان النبي صلى الله عليه وسلم يقول إذا وضعت الجنازة فاحتملها الرجال على أعناقهم فإن كانت صالحة قالت قدموني وإن كانت غير صالحة قالت لأهلها يا ويلها أين يذهبون بها يسمع صوتها كل شيء إلا الإنسان ولو سمع الإنسان لصعق

 

قول الميت وهو على الجنازة قدموني الجنائز صحيح البخاري

 

 

 

mafhoom is ka yeh hai keh murda marnay kay baad bolta hai lekin hum us ko sun nahi saktey. doosra yeh keh hadees mai khas khas moqoon ka zikar hai keh kub murda sunta hai kub murda bolta hai.

 

yahaan say to yeh sabit ho raha hai keh murda bolta hai lekin kya hum sun saktey hain? nahi na. yeh mamla barzakh ka hai duniyawee nahi. aap duniyawee zindagee aur ukharwee zindagee ko samjho.

 

meri batoon ka one by one jawab diya jaye.

Edited by Usman Razawi
Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(bis)

fi-aman:

Phir aap woh hi harkat kar rahye hain, sirf aik hadeeth per apni tamam Hayat-e-NAbvi (saw) ki imarat khari kar rahye hain.

 

Aap ko kaseer ahadeeth nazar nahin aa rahi hai hai or nahi hi is se istadlal kar rahye hain,

 

Agar aap ko koi aik bandye ke barye main bohat sari sachi batyen bataye or phir us main aik aisi khabar de dey ke jis se ishtabah peda ho to aap ka kehna hoga or sooch hogi ke jab itni sari sahi batyen hain to phir yaqeenan is khabar ko bhi mujhye inhi waqyat ke saath pass-e-manzar main dekhna hoga kion ke ayes to nahin sakta ke kaseer sahi bateyn ghalat hon or sirf ye wali aik baat jo ke ishtabah peda kar rahi hai woh sahi ho

 

to yahan per bhi aap se yahi guzarish hai ke phir ye to aap pehlye mannyen ke Asim sahib ke pehs karda tamam Ahadeeth sahi hain, phir aap khud is apni pesh karda hadith ko Asim sahib ke peshkarda hadeethon ko samnye rakh kar fyesla karayn

Jawab aap ko khud mil jayega

 

Abdul Salam

fi-aman:

(salam)

Link to comment
Share on other sites

@ tohidee

 

pehlay aap nay kaha tha

 

aap meri tehreer say duniyawee zindagee kay alfaaz nikal kar dekhaien?

 

jis par me nay kaha keh aap nay maan liya keh nabi ki zindagee ukharwi hai jesa muhaddiseen nay farmaya. aur hum bhi yeh ehe kehtey hain aap ka hamara ikhtilaaf khatam.

 

sahih hai na

 

ab aap nay us hadees ka tarjuma hee ghalat kar diya

 

aap nay kaha anbiya apni qaboor me haqeeqatun zindah hain aur haqeeqatun namaz parh rahey hain.

 

janab yeh (haqeeqatun) kis ka tarjuma hai?

 

aur agar yeh haqeeqatun hai to phir to yeh duniyawee zindagee say mushabiha hui na? jo keh aap nay khud kaha keh mai ney nahi kaha.

 

aap nay kaha is ki tashreeh kisi muhaddis say karo.

 

qazi ayaz ki tashreeh ki ya nahi? balkeh qazi ayaz nay kaha hum nay aur hamarey mashaikh nay is kay jawab nikalay hain.

 

is kay baad me nay is hadees ki tashreeh doosree ahadees say ki hai aap ko kion samajh nahi aa rahi?

 

kya ho gya hai aap ko?

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

Saeedi sahab aap ke sawal # 15 se mere zehan mein aik sawal he please usko clear kardein....

 

 

Agar Hazrat Musa (as) ko unki qabar mein Rasool Allah  (saw) ne namaz parhate dekha aur uske ilawa agar unho ne meraj ki raat sare Anbiya (as) ki imamat karai to jab wo aasman par pohonche to kion sare Anbiya (as) ke bare mein poocha ke Jibrael ye kon hay ..ye kon hay...aur Jibrael  (as) ne sare Anbiya ka ta'aruf aik aik karke karaya..Jabke wo  (saw) to zameen par sab ki imamat karkar aaey hein sab se mil kar aaey hein aur Musa  (as) ko Qabar mein dekh bhi chuke the...Please ye zara ....Quran o Hadees ki roshni mein clear karein...Apni tashree dayne se parhez keejyee ga...kisi hawala se baat karye ga..

Link to comment
Share on other sites

Jawab no: 1

 

qol o fail e sihaba ko hujjat nahi mantey agar wo Rasool kay amal say takraye. aqeedah sab sihaba ka aik hee tha agar alag tha to sabit karo. sihaba ka faham laina zroori hai

 

 

 

jawab no: 2

 

Alhumdulillah aaj maan liya nabi hazir o nazir nahi. ALLAH tera shukar hai in ko hidayat day de.

 

Jawab no: 3

 

Hum bhi to yeh hee kehtey hain keh wo Junnat me hain jesey shohda bhi junnat me hain duniya me nahi. aap un ko kehtey hain hazir nazir. aaj chor diya aqeeda ALHUMDULILLAH. Abhi aur bhi bohet kuch choro gay.

 

 

 

Jawab no 3(asal me 4 hai aap nay 3 lagaya hua hai)

 

us hadees ka kis nay kaha aam momin kay liye hai nabi kay liye nahi? koi muhaddis ka qol paish karo doosra mai nay qazi ayaz ki baat ki thi unhu nay kaha tha agar ijazut day d to kya farq parta hai? is kay ilawah 4 jawabaat aap jesey logoon kay liye diye unhu nay.

 

 

 

jawab no 4 (5)

 

Yeh baat mai nay parhi bhi thi aur arabi smait tarjuma bhi kiya tha. lihaza ilzam batil hai

 

aur un kay 5 jawabaat mai sirf aik kion nazar aaya baqi jawabaat ko dekha jaye ga go hadees kay muwafiq ho ga liya jaye ga jo nahi us ko chor diya jaye ga.

 

Jawab no 5:

 

Badar ul din aini hanafi tha ya ahle sunnat? doosra yeh keh hafiz zahbi nay bhi kaha anbiya ki zindagee barzakhi hai duniyawee nahi. aur hum bhi yeh hee kehtey hain.

 

Jawab no: 6

 

MASHALLAH aaj hafiz ibn e hajar ko maan liya to janab hum say ikhtilaaf kion? aur un kay qol ki taveel kion kartey ho? seedha seedha un ki baat ko mano na. isay kehtey hain ALLAH ki MADAD.

 

Jawab 7

 

AAP KA HAMARA IKHTILAAF hee khatum ho gya to hum ko gustakh kion kha jata hai? jub aap bhi zahbi ko mantey ho? is kay baraqas tum to nabi ko hazir nazir bhi mantey ho. qabar to dur ki baat aaj sab aqeeday khatum hun gay. INSHALLAH

 

 

 

Jawab no: 8

 

aap is ko haqeeqatun kion maan rahey ho. aik taraf kehtey ho duniyawee zandagee say mushabiha nahi doosree taraf haqeeqatun kehtey ho? is kay barey mai ALLAH janta hai tum kya ALLAH say aagey ho Naudhubillah? ALLAH nay kaha shaoor nahi.

 

 

 

Jawab no: 9

 

Mout ka zaika na chakkha to janab hum bhi yeh hee kehtey hain. (ikhtilaaf khaan hai)

 

 

 

Jawaab no: 10

 

WAHABI kon hai? janab sahab Humien Ahl e sunnat kehtey kitna JESLOUSE feel kartey ho tum? bhag kar molvi ismaieel dahalwi par chalay gaye? kya mai nay us ki baat ki hai? doosra yeh keh us ki baat ko tum ziadah samajhtey ho? Anbiya kay ijsaam par matti haraam hai.

 

 

 

Jawab no: 11

 

AAJ tuk brelviat kay alambardaroon say suna tha aur samjha tha keh nabi hiyat hain hameen dekh rahey hain hazir nazir hain qabar me zindah hain. aaj sab khatam ho gya ALHUMDULILLAH. nabi nay aakhirut ko chuna duniya ko nahi ab wo duniya me nahi maan liya aaj aap nay aaj ahlus sunnah (ahl e hadees ho gaye aap to)

 

 

 

jawab no: 12 us hadees ka zahiri mani kis nay liya janab? jhoot bola ALLAH say daro

 

jawab no: 13

 

to kya khyaal hai nabi nay un ko jawab diya?

 

yeh hee to hum kehtey hain ALLAH kay nabi par doosree mout nahi aaye gee.

 

Jawab no 14

 

hiyat e barzakhi sabit hoti hai duniyawee nahi.

 

Jawab no 15

 

is adees ko tum samajhtey ho ya sihaba? aur yeh nabi ka mojza hai aur kya mojzaat say hujjat pakri jati hai? jesey aap kay hee bhai nai is hee topic par abu jahal kay waqiya me stone(pathar) kay bolnay ki baat ki thi. to kya khyaal hai stone(pather) kabhi boltey hain? nahi aur yaqeenun nahi wo nabi ka mojzaa hai us say hujjat nahi pakri jati.

 

Link to comment
Share on other sites

Moosa alehsalam ko unhu nay apni qabar me wakai nahi dekha tha un ko dekhaya gya tha un ki zindagee ka haal jesey bilal raziallahanho ki akhirut ka haal junnat me dekhaya gya

 

Kya haqeeqi zindagee duniyawee zindagee hai?

 

Alhumdulillah yahaan maan liya keh yeh tarjuma nahi agar me na poochta to logoon ko dhkoa diya ja raha tha is lafz say. aur mai phir kahoon ga mojzaat say daleel nahi pakri jati.

 

 

junnat mai zroor abdaan mai hun gee arwaah.

 

suniya aur akhirut kay darmiaan ki zindagee ukharwi hai aur akhirat kay baad junnat mai haqeeqi zindagee ho gee.

 

Adam alehsalam ki junnati zindagee duniyawee nahi thi janab yeh aap ko kis nay kaha? junnati zindagee ko duniywee kesey keh raho ho tum? adam aleh salam ko bator e saza ALLAH nay junnt mai laye the. yahaan to aap ka aqeeda bhi batil hota hai duniya mai kisi ka anay ko dil nahi karta siwaye un kay jo yeh chahtey hain keh hum duniya mai aa kar dobarah shaheed hun lekin un ko bhi nahi aanay diya jata.

 

EESA alehsalam ki zindagee kay barey me bhi ALLAH hee janta hai hum nahi jantey agar aap jantey hain to bata dien un ko ALLAH nay zindah uthaya tha kesey? is ko sirf ALLAH JANTA hai hum ahi.

 

phir kaha mai nay jhoot bola qazi ayaz nay is hadees ki tashreeh nahi ki ab tum mujgh par ilzam na lagao. ALLAH say darr jao. kya qazi ayaz nay yeh na kaha shayed tuim nay parha nahi

 

فلا يبعد أن يحجوا ويصلوا كما ورد في الحديث

 

.to kya baeed hai keh wo hujj karien ya namaz parhien jesey doosree hadees mai warid hai

 

kya khyaal hai ab tumhara yeh doosree hadees konsi hai? jhoot boltey sharam karo

 

 

Qazi ayaz ki baqi tojihaat khaan gaien kion nazar na aaien? agar hum kaheen un ki 4th tojeeh sahih hai jo keh hadees kay muwafiq bhi hai. to?

 

aur agar pehli wali ko bhi maan liya jaye to unhu nay farmaya.

 

: فإن قيل كيف يحجون ويلبون وهم أموات وهم في الدار الآخرة وليست دار عمل فاعلم أن للمشايخ وفيما ظهر لنا عن هذا أجوبة : أحدها أنهم كالشهداء

 

(translation)

 

ab agar koi kahey keh paighambar to marr gaye aur aakhirat mai gaye(ويلبون وهم أموات وهم في الدار الآخرة )? ab labbaik kesey kehtey hain aur hajj kesey kartey hain woh to amal karney ka muqam nahi? to hamarey mashaikh aur hum nay is kay kai jawab nikalay hain. aik to yeh keh paighambar shaheedoon ki misal hain

 

بل هم أفضل منهم والشهداء أحياء عند ربهم

 

balkeh in say bhi afzal hain. aur shaheed zinda hain apnay (والشهداء أحياء عند ربهم rabb kay pass.

 

(end)

 

janab wo apnay rubb kay pass hain duniya me nahi.

 

meetha meetha hup hup korra korra thu thu

 

baqi jawabaat bhi parho molvi gee.

 

Link to comment
Share on other sites

YA ALLAH MADAD bhai aap nay prove kar diya ALHUMDULILLAH, prove to me ney bhi kiya hai lekin in ko ab samajh nahi aaye gee.

 

ALLAH kay nabi junnat me hain.

 

un ki zindagee kay barey me sawalaat nahi karna chahieen bus ALLAH kay pass hain junnat me aish o aram mein.

in logoon na is debate me maan liya nabi hazir nazir nahi hain kion keh yeh bhi ukharwi zindagee mantey hain jesa hafiz ibn e hajar,aur zahbi nay kaha

behqi nay bhi shohda ki zindagee kay mushabiha kaha

 

qazi ayaz nay sab say pehley yeh hee baat ki keh shohda apnay rabb kay pass zindah hain aur anbiya un say bhi afzal hain.

 

apnay rabb kay paas na keh duniya ki qabar me

Link to comment
Share on other sites

YA ALLAH MADAD bhai aap nay prove kar diya ALHUMDULILLAH, prove to me ney bhi kiya hai lekin in ko ab samajh nahi aaye gee.

 

ALLAH kay nabi junnat me hain.

 

un ki zindagee kay barey me sawalaat nahi karna chahieen bus ALLAH kay pass hain junnat me aish o aram mein.

in logoon na is debate me maan liya nabi hazir nazir nahi hain kion keh yeh bhi ukharwi zindagee mantey hain jesa hafiz ibn e hajar,aur zahbi nay kaha

behqi nay bhi shohda ki zindagee kay mushabiha kaha

 

qazi ayaz nay sab say pehley yeh hee baat ki keh shohda apnay rabb kay pass zindah hain aur anbiya un say bhi afzal hain.

 

apnay rabb kay paas na keh duniya ki qabar me

 

Jazak Allah bhai...Hidayat Allah ka khaas inaam he jo uske khazane ki sab se qeemti cheez hay..Rasool Allah  (saw) ke kitne apne khooni sage rishtedaaron ko nahi mili aur kitne sare ghair kaalay habshiyon ko mil gai.. (ja)

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

Sab se pehlay aap ki is baat ka jawab ke itni bari aksaryat kaysay gumrah ho sakti hay uska jawab ye hay وَلَقَدْ أَضَلَّ مِنْكُمْ جِبِلاًّ كَثِيراً ke Allah farma rahe hein shaytan ne tumhari bohot bari aksaryat ko gumrah kia hoa tha..is liye ye baat to chor do ke aksaryat gumrah nahi ho sakti..

 

 

Quran pak ke mutabiq har shaks marne ke baad BARZAKH mein chala jata hay..aik bhi aesa nahi hay jiska Allah is dunya say raabta rakhtay hein..Daleel ho to Quran ya hadees se dena ..kisi ki tafseer ya aqwaal se nahi...

 

Aur jo Allah Ta'ala ne farmaya Ae nabi aap ko bhi marna hay aur unko bhi marna hay..is mein qabil ghor ye cheez hay ke nabi ki maut ko bhi doosre logon ki maut ki tarah farmaya hay..

 

aap qabar ko ye dunyavi qabar samjhtay hein..halaanke aesa nahi hay..hamara asal qabristan aalam barzakh mein hay..Allah farmate hein..     ثُمَّ أَمَاتَهُ فَأَقْبَرَهُ

(pas tumko maut aur qabar di) beshumaar log aesay hote hein jinko qabar nahi milti..hindu apne murde jala dete hein..aur bohot sare mazhab hein jo apne murde distroy kardete hein..to kia unko qabar nahi mili ?? kia unko azaab qabar nahi hoga...sab kuch hota hay magar is dunyavi qabar mein nahi balkay asal barzakhi qabristan mein..

qazi ayaz ya in jaysay sahibaan ke hawale na diya karein mera in say koi maamla nahi hay..ye hazraat mere liye wajib ul ataat nahi hein..

Link to comment
Share on other sites

Sab se pehlay aap ki is baat ka jawab ke itni bari aksaryat kaysay gumrah ho sakti hay uska jawab ye hay وَلَقَدْ أَضَلَّ مِنْكُمْ جِبِلاًّ كَثِيراً ke Allah farma rahe hein shaytan ne tumhari bohot bari aksaryat ko gumrah kia hoa tha..is liye ye baat to chor do ke aksaryat gumrah nahi ho sakti..

 

 

Quran pak ke mutabiq har shaks marne ke baad BARZAKH mein chala jata hay..aik bhi aesa nahi hay jiska Allah is dunya say raabta rakhtay hein..Daleel ho to Quran ya hadees se dena ..kisi ki tafseer ya aqwaal se nahi...

 

Aur jo Allah Ta'ala ne farmaya Ae nabi aap ko bhi marna hay aur unko bhi marna hay..is mein qabil ghor ye cheez hay ke nabi ki maut ko bhi doosre logon ki maut ki tarah farmaya hay..

 

aap qabar ko ye dunyavi qabar samjhtay hein..halaanke aesa nahi hay..hamara asal qabristan aalam barzakh mein hay..Allah farmate hein..     ثُمَّ أَمَاتَهُ فَأَقْبَرَهُ

(pas tumko maut aur qabar di) beshumaar log aesay hote hein jinko qabar nahi milti..hindu apne murde jala dete hein..aur bohot sare mazhab hein jo apne murde distroy kardete hein..to kia unko qabar nahi mili ?? kia unko azaab qabar nahi hoga...sab kuch hota hay magar is dunyavi qabar mein nahi balkay asal barzakhi qabristan mein..

qazi ayaz ya in jaysay sahibaan ke hawale na diya karein mera in say koi maamla nahi hay..ye hazraat mere liye wajib ul ataat nahi hein..

(salam)

saab ap ne aik istilah use kia hai " Barzakhi Qabristan" is per chand sawal hain ager jawab de dein tu.

 

1. is barzakhi qabristan ka zikr kia quran o hadees main hai ?

2. kia murday ki body duniya k qabristan se utha ker barazakhi qabristan mein daal di jati hai ? if yes .. any refrence?

3. is barzakhi qabristan mein qabren kon banata hai ? ref from quran o hadees only pls !

4. kia ye aik hi bada qabristan hai ? ya chote chote qabristan hain ?

 

 

plz in k jawab quran o hadith ki roshni mein de ker hamari rahnumayi ferma dein zara is masle per .

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

saab ap ne aik istilah use kia hai " Barzakhi Qabristan" is per chand sawal hain ager jawab de dein tu.

 

1. is barzakhi qabristan ka zikr kia quran o hadees main hai ?

2. kia murday ki body duniya k qabristan se utha ker barazakhi qabristan mein daal di jati hai ? if yes .. any refrence?

3. is barzakhi qabristan mein qabren kon banata hai ? ref from quran o hadees only pls !

4. kia ye aik hi bada qabristan hai ? ya chote chote qabristan hain ?

 

 

plz in k jawab quran o hadith ki roshni mein de ker hamari rahnumayi ferma dein zara is masle per .

 

fi-aman:

 

Insha Allah iska tafseeli suboot milega..aaj nahi day sakta aaj masroofiat ziyada hay Insha Allah kal  fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

(salam)

saab ap ne aik istilah use kia hai " Barzakhi Qabristan" is per chand sawal hain ager jawab de dein tu.

 

1. is barzakhi qabristan ka zikr kia quran o hadees main hai ?

2. kia murday ki body duniya k qabristan se utha ker barazakhi qabristan mein daal di jati hai ? if yes .. any refrence?

3. is barzakhi qabristan mein qabren kon banata hai ? ref from quran o hadees only pls !

4. kia ye aik hi bada qabristan hai ? ya chote chote qabristan hain ?

 

 

plz in k jawab quran o hadith ki roshni mein de ker hamari rahnumayi ferma dein zara is masle per .

 

fi-aman:

 

Barzakhi Qabristaan ki tafseel zara ghor se parhein..

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...