Jump to content

Divorce by husband


Simi

تجویز کردہ جواب

Is it correct that husband must (wajib on him) divorce his wife if his parents ask him to do so, even husband doesn't want to do so and has no any issue and wife is not wrong?

 

 

Some people give the reference of Ibn e Umar (Radi Allah anho) who divorced his wife because Hazrat Umar (Radi Allah anho) told him to do so AND one more saying (hadith) of Holy Prophet (Peace be upon him) where he mentioed to divorce your wife if parents say so?

 

 

If son refuses to divorce then he is not obedient and hence Allah ta'ala will be angry with him?

Link to comment
Share on other sites

(salam)

sister!

walidain k kehnay per talaq denay ka kia hukum hay is baray mein is fatway ko read karen

ummeed hay ap ko is se kafi rehnumai milay gi inshaAllah (azw)

 

 

talaq.GIF

ager is baray mein kisi or member ko ilm ho to ham sab ki maloomat mein izafa farmain

 

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Sister Masha Allah (azw) aap ne buhat achha fatwa share kia hay. Aur is men sab kuchh hai to sahee.

 

Hadrat Ibraheem (as) ne Hadrat Isma'eel (as) ko jo hukum diya tha k "Apni biwi ko tallaq do.", to is men Hadrat Isma'eel (as) ki biwi ka qusoor tha k us ne Allah (azw) ki na shukri ki thi. Issi wajah se Hadrat Ibraheem (as) ne Hadrat Isma'eel (as) ko aissa hukum diya tha.

 

Aur mazeed yeh k us zammanay men tallaq shuda aurat se nikaah karna ma'iyoub nahin samjha jatta tha, lakin aaj k halat aap k saamunay hain. Aik Tallaq shuda aurat ko kis nigaah se dekha jatta hai.

 

Baqi Hadrat Umar (ra) ne Apne betay ko jo hukum diya tha, to ho sakta hai k Hadrat Abd-ul-Allah bin Umar (ra) ki biwi ka koee qusoor ho.

 

Ab in baaton se ye to bilkul clear hai k "Aulaad ko aisa nahin karna chahiye."

Edited by Mudasir Yaseen
Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

ji jazakallah brother ap ne acha clear kiya.

hazrat ibrahim alaihissalam ne jo hazrat ismail alihissalam ko apni zoja ko talaq denay ka hukum diya us ki waja yehi thi k unhon ne nashukri ki thi or wo Allah azzawajalla k pyaray jo ma'soom anil khata(gunahon se paak) thay to unhon ne apnay muta'alliqeen ki mamooli khata ko bhi munasib na samjha,or (sa) hazrat ismail alaihissalam ka hukum ki pairwi kernay ka jazba marhaba!

yaqeenan hazrat abdullah ibne umer (ra) ko farooq e azam (ra) ne jo hukum diya hoga us main bhi koi aisi hi hikmat hogi,hamain in waqiyat ko base bana ker nahi chalna chahiye.

fatway mein mufti sahib ne wazeh farmadiya k waliden k hukum per aisa kerna wajib nahi hay fi zamana,han ager khilaf e shara umoor ka sudoor ho phir alag muamla hay.

Allah (azw) ham sab ko sharai ahkamat ki mukammal pairwi kernay ki madani sa'adat ata farmaye aaameeeeeen bijahin nabiyyil ameen (saw)

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam) bohut hi zaberdast fatwa hai laikan mein aik baat pochna chahti hoon sab say kay biwi jo kay aksur biwiyan choti choti si buraiee kur kur kay husband ka dil us ki maa say bura kurti rehti hain un kay baray mein koi fatwa hai ya nahin aur meray tu khayal mein biwi tu yahan aik nay 4 char mil sakhtin hain kya maa baap bahan bhai kahain say mil sakhtay hain kya ?
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...