Mrs.hassan مراسلہ: 28 اپریل 2017 Report Share مراسلہ: 28 اپریل 2017 Asalam o Alaikum. meri shadi ko 4months hue hy . aur mere shohar mjh se naraz hy musalsal larai behass ho rhi hy. me kohish bhi kro toh vo ulahj partein hy. es liye k unko lagta hy k me har waqt mou bana k rkhti ho . aur unki baat bhi baja hy mere mood kharab hota hy kyu k vo mjh se zyada importance apni bare bhai ki biwi ko dete hy. apni maa ki har baat sunty hy. mjhy samjh ne ki kohish tak ni krty. me yeh sari baat unko bol chuki ho lkn mjhy koi positive respones ni dia unho ne.ulta mjhy hi ghalat sabit krty rhy. me chup ho gi . ab mjhy yeh btya jye k Mera kya haq hy apne shohar pe? Islamic point of view se .aur unki Maa ka kya mjh se zyada haq hy? ya unki bhabhi ka bhi un pe haq hy?? plz mjhy jawab dein kyu k me boht pareshan ho. Jazak Allah khair. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
M Afzal Razvi مراسلہ: 28 اپریل 2017 Report Share مراسلہ: 28 اپریل 2017 Wa Alikum salam.. Behna Kuch isi tarha Ka Masla Hmari Jan'ny wali family mein bhi hy.. aur Jahan tak Maine Unhy Judge kiya hy wo Muhtarma bas yahi chahti k Uska Husband Usk siwa aur kisi ko time na dy.. Halan k uska husband kafi dafa keh chuka k wo Apni Babhi ko Bari behna ki tarha samjhta aur Izzat karta hy aur family member hony ki hesiyat se Bas sab ko time dyta hy.. Baqi Apka Mamla ap loag Ya Allah behtar janta hy.. Main Yahi Kahun ga k ap Apny Husband k Sath Compromise krain Means k pyar se usy samjhyain Aur Choti Choti Baton Ko Ignore Kar diya krain Kun k ye Rishta hi aisa hy k Husband aur Wife ko aik dusry ki bohat c Baton ko Darguzar karna parta hy.. Baqi main 1 mashwara ye bhi don ga k ap Apny Husband ko Uski Maa se pyar ya izzat karny se rokny ki bjaye khud bhi 1 Maa ki tarha unka khayal Rakhain..Umeed hy k is se bhi apki zindagi mein Positive Tabdeeli ayi gi.. Aur Is tarha k choty choty Masail taqreeban har ghar mein hoty rehty hain, Behtar ye hy k Ap pareshaan hony ki Bjaye Namaz ki pabandi Krain aur Allah se dua Kiya krain.. Sab Acha hoga.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ahsan Iqbal Attar مراسلہ: 23 فروری 2023 Report Share مراسلہ: 23 فروری 2023 Allah pak ne shoharon ko biwion par haakim banaya hai aur bohat barri buzurgi di hai. Es liye har aurat par farz hai ke woh apne shohar ka hukum manay aur khushi khushi apne shohar ke har hukum ki tabedari kare. Kyun kay Allah pak ne shohar ka bohat barra haq banaya hai. Shariat ne shohar ke huqooq bhi muqarar kiye hen. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔