MuhammedAli مراسلہ: 24 اپریل 2017 Report Share مراسلہ: 24 اپریل 2017 (ترمیم شدہ) Salam alayqum, Mein nay note keeya thah ke Ahle Islam ki taraf say Hazir Nazir kay mozu par ihtirazat kay jawabat toh deeya ja rahay hen magar kissi nay is maslay par tafseeli tor par kaam nahin keeya. Jis ki waja say Sunniyoon ko bi confusion hoti heh is ko samajnay mein. Wahhabi aur Deobandiyoon ko toh samjana chaand say tukra lanay kay mutaradif heh. Is leyeh Khadim nay koshish shoroon ki heh kay is maslay par tafseelan aur har pehloo ko achi tara wazia keeya jahay. Aur apna aqeeda e Hadhir Nazir ko pehlay tehreeri tor par biyaan karoon aur phir ihtirazat kay jawabat bi deeya jahen. Is mozoo ko mein nay likhnay mein 3 hissoon mein taqseem keeya heh. i) Introductory Articles x10, ii) Evidence Articles - x8/10, iii) Refutations x?, Abhi sirf introductory kay 4 article complete huway hen 6 rehtay hen. Un kay complete honay kay baad uneh post kar doon ga. Abh mujjay step two/three kay leyeh kutub darkar hen joh nayab hoon is maslay par aur jayyid Ulamah ki likhi hoon joh asaani say millen net par woh samjen meray pass hen. Aur is kay ilawah Deobandiyon aur Wahhabiyoon ki agar kohi kitab is maslay kay radd par ho toh woh private mein zeroor share kar denh. Kohi esa ihtiraz joh in kay kissi maulvi nay keeya ho. Taqay mein English mein is mozoo par tafseelan say likh sakoon. Joh sunni kitabenh hen unneh forum mein paste kar denh kohi harj nahin Deobandiyoon Wahhabiyon ki private mein link ya naam waghera behij denh. Allah ta'ala aap ko jaza e khayr deh. Edited 24 اپریل 2017 by MuhammedAli اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔