Jump to content

Ijma Ka Maslah


Abdullah Yusuf

تجویز کردہ جواب

Mere pas aitrazat aye hain quran ki kuch ayat ko le kr 
AB jo maine dalail parhe hain un main in ayat ki tafaseeren or mufasireen k aqwal bhi parhe hain or bohat mushkil se in aitrazat ko khatam kiya hai lekin ab bohat bara maslah paida huwa hai

WOH MASLAH YEH HAI K JIN AYAT KI TAFSEER MAINE PARHI HAIN OR MUFASIREEN K AQWAL PARHE HAIN UN MAIN JAMHOOR MUFASIREEN K AQWAL MAIN GHALTI HAI UNHON NE GHALAT TAFSEER KEE HAI US AYAT KI JAB K
1 YA 2 MUFASIREEN AESE HAIN JINHON NE UN TAMAM MUFASIREEN KI GHALTI KO THEEK KIYA HAI OR USKA RAD KIYA HAI

AB MUJHE YEH SAMAJH NAI AA RAHI K JAMHOOR KA IJMA KAISE GHALAT HO GYA THA
JAMHOOR MUFASIREEN GHALAT KAISE HO GAYE 
OR AB HUM UN JAMHOOR MUFASIREEN KA IJMA MANEN GE YA SIRF UN 2 MUFASIREEN K AQWAL PER AMAL KREN GE JINHON NE JAMHOOR IJMA KA RAD KIYA HAI

NOTE:_(JIN 1 YA 2  MUFAISREEN NE JAMHOOR IJMA KA RAD KIYA HAI WOHI SAHI AQWAL HAIN) 
MATLAB JAMHOOR IJMA GHALAT HAI

Edited by Abdullah Yusuf
Link to comment
Share on other sites

Ab yahan se masail dekhte hain k Nasikh wal Mansukh k maslah main ULAMA KARAM MAIN KITNA IKHTALAF HAI

Ibn khuzayma ne kaha k 113 quran ki ayaten mansukh ho gaye hain is ayat ki wajah se QURAN KI SURA 9 AYAT 5
IS AYAT MAIN hai K JAHAN BHI KUFAR KO PAO UNHEN QATAL KR DO

 

1.Ab ibn khuzayma kehte hain k is ayat se tamam woh ayaten jin main aman or sakoon ki baten hain woh sab mansookh ho gayen hain ibn khuzayma k nazdeek mansookh ho gayen hain

2.Imam jalaludin sayuti bhi tafsir jalalayn main yehi kehte hain k is ayat (9:5) se tamam aman or sakoon ki ayaten mansookh ho gayen hain

3.Imam ibn kaseer bhi yehi kehte hain k is ayat ki wajah se surah tauba sura 9 ayat 5 se tamam aman or sakoon ki ayaten mansookh ho gayen hain
 

ab in 3 imamon k ilawa imam ZARKASHI FARMATE HAIN JO LOG YEH KEHTE HAIN K IS AIK AYAT KI WAJAH SE WOH AMAN OR SAKOON WALI TAMAM AYATEN MANSOOKH HO GAYEN HAIN WOH SAB GHALAT HAIN KYUNKI JIS WAQT IN MUFASIREEN NE YEH TAFSEER KEE US WAQT IS AYAT KI TAFSEER SAHI NAI KEE GAYE THEE.

AB IMAM ZARKASHI NE IN SAB KA RAD KR DIYA TAU AB KIS KI BAAT MANI JAYE GE JAMHOOR TAU AIK TARAF OR IMAM ZARKASHI KA QOL AIK TARAF.

DOOSRA MASLAH

                              Nasikh wal mansukh per tamam imam or ulama karam ka ikhtalaf dekhen ab 

 

Imam jalaludin sayuti kehte hain sirf 20 ayaten mansookh huwin

Imam ibn khuzayma k nazdeek 113 ayaten mansookh huwin

Shah abdul haq muhadis dehlvi k nazdeek sirf 5 ayaten mansookh huwin

OR BHI BOHAT SARE MUFASIREEN KA APAS MAIN IKHTALAF HAI K KITNI AYATEN OR KONSI AYATEN MANSOOKH HUWIN AB KIS KI MANI JAYE GE 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...