Jump to content

Hadees Ko Kaise Samjhen


Abdullah Yusuf

تجویز کردہ جواب

Hadeeson ko samajhne k liye humare pas kya zaraye (Resources) hain

Kyun k maine bohaaat sari aesi hadeesen parhi hain jo bohaat ajeeb hain or jin ko samjhna bohaat mushkil huwa hai
kuch aesi hadeesen hain jinhen parh kr log murtad ho jate hain or isi wajah se qurani muslims aik firqa nikal aya tha jo sirf quran ko mante they hadees ko mante hi nai they
Ab mujhe sirf itna janna hai k hadees ko samajhne k liye humare pas kya kya zaraye mojood hain

1.HADEES KI SHARAH

Mujhe sirf hadees ko samajhne k liye is aik cheez ka pata hai k hadees ki sharah se hadees ko samjha ja sakta hai lekin is k ilawa sharah k ilawa hadees ko kaise samjhen 
agar us hadees ki sharah bhi mojood na ho tau ap hadees ko kaise samjhen ge 
sharah k ilawa humare pas or kya zariye hain hadees ko samajhne k plz jawab den

 

Link to comment
Share on other sites

tamam ahadees pay ulama ka kalam aur sharah maujood hai un ko seekhnay samjhnay kay leay kisi aalim say seekhain darul uloom buhat say maujood hain ulama e ahlesunnat say rabta karain .. ilam hasil karnay ka tareeka yehi kay kisi aalim say seekha jaiay . jo loag az khud quran hadees seekhnay ka dawa kartay hain wo kahe na kahe gumrahi mai gir jatay hain illa ma sha Allah

 

dawat e islami ki website pay link maujood hai online courses bhe karwaiy jatay hain 

 

was salam

Link to comment
Share on other sites

tamam ahadees pay ulama ka kalam aur sharah maujood hai un ko seekhnay samjhnay kay leay kisi aalim say seekhain darul uloom buhat say maujood hain ulama e ahlesunnat say rabta karain .. ilam hasil karnay ka tareeka yehi kay kisi aalim say seekha jaiay . jo loag az khud quran hadees seekhnay ka dawa kartay hain wo kahe na kahe gumrahi mai gir jatay hain illa ma sha Allah

 

dawat e islami ki website pay link maujood hai online courses bhe karwaiy jatay hain 

 

was salam

Ap ki baat bilkul theek hai aaftab main apne sheikh hussain sahab se hi hadees k uloom parhta hon or quran ki tafaseer unhi se parhta hon lekin maine jab un se yeh sawal kiya k hadees ko samajhne k kitne tareeqe or zaraye hain tau unhon ne kaha hadees ko samajhne k liye sirf sharah hoti hai

 

AB MUJHE YEH NAI SAMAJH AA RAHA HAI K KAI AESI HADEESEN HAIN JIN KI SHARAH K BAWAJOOD UN KO NAI SAMJHA JATA YA KUCH NA KUCH KAMI HOTI HAI INFORMATION MAIN 

TAU HADEES KO SAMAJHNE K LIYE SHARAH SHURUHAT OR SHARAHEEN K ILAWA BHI KOI OR ZARAYE HAIN TAU PLEASE AP YAHAN BTA DEN WOH KON KON SE ZARAYE HAIN JIN SE HADEESON KO SAMJHA JAYE 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...