Jump to content

Ummet-e-Muslima aur Shirek


Talinenoor

تجویز کردہ جواب

Shoeb... aik baat samajh lo keh jiss ke dil per mohar lagi ho ... ussey haq aur sach

baat samajh main nahi aati.. Khuda azawajal ke liye dushmani main aur khudh ko

sahi samajhney ke zeham main itni door na nikal jaao keh bilkul clear aur saaf

rasta phir kabhi na paa sako...

Akele main ghor karo aur yeah sab posts aur books jo yahan share kee gai hain in

ko dobara parho aur har zaviye se dekho keh asal sirate mustaqeem per koan hai..

woh "Ahlesunnat" jo keh Nabi Sallalah o ali wasalam kee tazeem aur azmat per behs

kartey hain .. ya phir woh "Wahabi" jinnoh ne azmat-e-Rasool Sallalahoaliwaslam ko

pamal karney kee napak jasarat kee aur kufriya ibaarat wali books likhi hain.

 

Yaad rakho tum yeah keh kar bari u zimma nahi ho saktey keh main uss alim ya molvi

kee baat nahi manta jiss ne aisi baatain likhi hain... kiyoon keh kudh tum jo aqeeda apna

bata rahey ho woh inhi "wahabiyon" ne ejaad kiya hai.. yeah saarey hathkandey inhoan

ne hi ejaad kiye hain bholey bhaalye musalmano ko phasaney ke liye..

 

Plz plz agar waqi ikhlas se talabe haq ke mutlashi ho to phir dimagh ko cool aur dil

ko wasih kar ke in posts ko dobara parho.. Mujhey apney Allah azawajal se umeed hai

keh woh tum ko seedhi rah zaroor dikhaye ga..

 

Aamin...

 

Asslamoalaikum,

Raza Bhai, aap ki reply ka bohat bohat shukriya. Mujhe acha laga k aap jo samajhte hain uss k motabiq aap ne mujhe ache andaaz aur ikhlaas se naseehat ki. Allah aap ko aur mujhe Sahih raaste per gaamzen kare.

Aap ne jo mujhe kaha hai main inshaAllah uss per zaroor amel keroon ga kion k aap ne mujhe goar-o-fiker ki dawet di hai. meri bhi aap se yehi guzarish hai. Main to yehi samajhta hoon k hamesha hadayat ka talib rahna chahiye aur iss k liye apne Allah se dua bhi kerte rehna chahiye. Jo yeh samajh leta hai k mujhe bilkul sahih sab pata hai woh kabhi hadayat nahin paa sakta.

Aap se bhi guzarish hai k main jo post keroon usse billa tasub khule zahen se zaroor parhen sirf issi liye inkaar na karen k yeh to Ahlehadees ka likha hai. Jahan mujhe galat samjhen islaah zaroor karen.

Baat sirf itni hai k main her molvi ki baat aankh bund ker k nahin maan sakta. Aap mujhe iss lahaz se yeh nahin keh sakte k main rigid hoon k main to daleel dekh ker hi doosri taraf badla tha. Ager mujhe yahan per kissi maamle main apni galti saabit ho gai to main abb bhi haq qabool kerne main ghabraoon ga nahin.

Mager yaqeen janiye aap uss waqet tak sahih faisla nahin ker sakte jab tak aap ko yeh pata na ho ko doosre iss maamle main kia kehte hain??

Hamare haan ziada ter sunni sunnai baten aisi maani jaati hain jaise wahi ho, mager haqeeqat main woh hergiz saabit nahin.

Baherhaal aap se bhi yehi guzaarish hai k meri post ko bhi parhen zaroor. Aap ke islaahi jawabaat ka intezaar rahe ga. Allah ham sab ko samajhne ki tofeeq de, Aameen.

Link to comment
Share on other sites

Main ne pehle bhi kaha tha k sunni sunnai baten na ki jaen. Mager iss k bawajood aap ne phir aisa hi kia hai.

Aap ne likha hai,"Abu Hurairah(RA) narrated that Rasoolillah(SAW) said "If Ilm was suspended from the Turaiya star and the Arabs are unable to reach it, even then a man from the sons of Persia will be able to reach it" (Bukhari, Muslim & Tabarani)."

Main poochna chahta hoon k yeh hadees Bukhari-oMuslim main kahan hai? Umeed hai rehnumai karen ge.

GG YE LEIN REHNUMAI as usual abhi tak wahi to karty aaye hain par koi aqlmand ho to faizyaab ho bhi...............

Haath kangan ko aarsi kya or parhy likhy ko (Persian) FARSI KYA

 

Sahih Muslim

(1) Abu Huraira reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: If the din were at the Pleiades, even then a person from persia would have taken hold of it, or one amongst the persian descent would have surely found it. (Book #031, Hadith #6177)

 

(2) Abu Huraira reported: We were sitting in the company of Allah's Apostle (may peace be upon him) that Sura al-Jumu'a was revealed to him and when he recited (these words):" Others from amongst them who have not yet joined them," a person amongst them (those who were sitting there) said: Allah's Messenger! But Allah's Apostle (may peace be upon him) made no reply, until he questioned him once, twice or thrice. And there was amongst us Salman the persian. The Apostle of Allah (may peace be upon him) placed his hand on Salman and then said: Even if faith were near the Pleiades, a man from amongst these would surely find it. (Book #031, Hadith #6178)

In commentary of this hadith Imam Suyuti(rh), the renowned Shafie scholar, said "It has been communicated unanimously that this hadith refers to Imam Abu Hanifa.

 

 

Doosra yeh k yeh hadees hergis Imam Abu Hanifa k haq main nahin hai kion k unn ka taluq persia se nahin tha.

 

GG bilkul aapny ne jo irshad farma diya ab to maanna hi parega itna bhari bharkam aalim fazil gumrah GM Biddati group se jo aaye hain yahan apni ilmi sdaqat dikhnay warna baki ulma e deen, muhaddiseen muarrekheen, mujatahedeen, mohaqiqeqeen, buzurgan e deen, owliya ikram in sab ki bisaat hi kya aapky samny sab ke qowl ek taraf or nariyon ka inkaaar ek taraf.

 

Aap ne 20 Sahaba Ikram R.A. se Imam Abu Hanifa ki mulaqaat hona bataya tha. Main ne kaha tha 10 se saabit ker dain aur abhi baat kehne, sunnane tak hi aayi hai to koi 5 kehta hai to koi 8. Jab saabit kerna parre ga to 1 Sahabi se bhi mulaqaat saabit na ho sake gi. Aur iss baat main Imam Abu Hanifa per koi zadd nahin parti mager aap log unn per aisi baten kerte hain jo saabit nahin ho saktin.

Ager phir bhi aap ko apne dawe per barra maan hai to aik hadees pesh ker dain jo Imam Abu Hanifa ne kissi sahabi si bian ki ho aur woh Sahih ho...?

 

Tumhari demands bhi ghareebon ki tarah barhti ja rahi hain...behas kahin se kahin pohcha di hai tumny imam abu hanfia ka naam lekar...tumhy unky tabaeen hony par aitraaz tha or me nahin janta tha ki tabaeen hona kamaz kam 10-20 sahaba se mulaqat par hi mabni hai..kher sirf aitrraz karny ke liye aitraaz karna alaga baat hai...abhi jis topic me ho usi par raho shirk or towheed to samajh lo insha Allah (azw) imam e azam (ra) or unki fiqh ko baad me samjhty rehna......

 

Aksiriaet hergiz miar nahin. Nabi (saw) ki hadees k meri Ummet gumrahi per jama nahin ho gi se Ijmaa ka saboot nikalta hai. Tum log apne aqaed per Ijmaa hergiz saabit nahin ker sakte. Iss hadees se aksiriet muraad lena intahai galat hai. Jese aaj musalmanon ki aksiriet deen se door hai to kia yehi baat sahih hai...? Allah samajhne ki tofeeq de, Aameen

 

Aey Gumrah GM tumhy itna bhi shaoor nahin ki gumrahi par jama na hony se murad kisi bhi mamly ya umoor par is baat par muttafiq hona ki falan baat islam ke mutabiq hai ya islam ke khilaaf...aaj agar kaseer tadad me muslamaan khilaaf e shara kaam kar rahy hain ya deen se door hain ya gunahgaar hain to wo usy gunah hi samjhty hain usy neki samajh kar nahin kar rahy bad aamaali to hai par is par jama nahin huey ki ye bad aamaali islaam ke khilaaf nahin....haa ye baat to thi Sunni muslamano ki tumhary wahabi GM group me kis kis baat par ijma hai wo bhi qabil e fikr mozu hai insha Allah (azw) would be discussed later..so would you mind putting your dalail form Quran o Sunnat on your topic...Shirk & Ummat e Muslima.

 

HIDAK ALLAH (azw)

Link to comment
Share on other sites

GG YE LEIN REHNUMAI as usual abhi tak wahi to karty aaye hain par koi aqlmand ho to faizyaab ho bhi...............

Haath kangan ko aarsi kya or parhy likhy ko (Persian) FARSI KYA

 

Sahih Muslim

(1) Abu Huraira reported Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: If the din were at the Pleiades, even then a person from persia would have taken hold of it, or one amongst the persian descent would have surely found it. (Book #031, Hadith #6177)

 

(2) Abu Huraira reported: We were sitting in the company of Allah's Apostle (may peace be upon him) that Sura al-Jumu'a was revealed to him and when he recited (these words):" Others from amongst them who have not yet joined them," a person amongst them (those who were sitting there) said: Allah's Messenger! But Allah's Apostle (may peace be upon him) made no reply, until he questioned him once, twice or thrice. And there was amongst us Salman the persian. The Apostle of Allah (may peace be upon him) placed his hand on Salman and then said: Even if faith were near the Pleiades, a man from amongst these would surely find it. (Book #031, Hadith #6178)

In commentary of this hadith Imam Suyuti(rh), the renowned Shafie scholar, said "It has been communicated unanimously that this hadith refers to Imam Abu Hanifa.

 

 

Asslamoalaikum 2 alla muslims,

Main ne aap se poocha tha k yeh hadees Bukhari-o-Muslim main kahan hai. Batane ka bohat bohat shukriya.InshaAllah iss ko dekh ker iss per mazeed baat keroon ga.

Imam Suyuti se pehle aap k khiyal main koi iss hadees ko samajhne wala na guzra jo sirf Imam suyuti ko iss hadees k baare main bilkul sahih pata chal gaya...? Baherhaad main iss ko mazeed dekh ker iss per baat keroon ga.

Baat ko barhaya aap ne hai. Sab se pehle aap ne likha tha Imam AbuHanifa k baare main aur kaha tha k unn ki 20 Sahaba Ikraam se mulaqaat hai, Jis ko aap hergiz saabit nahin ker sake na ker sakte hain. Tabaee hone k liye aik Sahabi se mulaqaat bhi kaafi hai lakin phir jhoot to na bolen k 20 se mulaqaat hui hai. Doosra yeh k 1 se bhi saabit kerna parre ga, Ager aap ne saabit ker dia to main maan jaoon ga mujhe Haq baat tasleem kerne main aar nahin, haan aankhen band ker k nahin maan sakta. Imam DaruQutni Imam Abu Hanifa ko Tabaee tasleem nahin kerte aur mahez zubani dawa nahin uss per dalael bhi hain. Iss saari baat ko inshaAllah main tafseel se aik alag post main likhoon ga.

Main apne mozoo per hi hoon yeh to aap ne dermian main aur mozoo ko cher dia tha.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)
Shoaib bhai mein aap se ye poochna chahta hoon ke

Kya Ummat e Mustafa ki Aksariat Kafir,Mushrik ya Gumraah ho sakti hai??

Asslamoalaikum,

Aashique Mustafa Bhai, aik cheez samajh lain k Ummat ka kufer ya shirek per ijmaa mumkin nahi. Aaj ummat ki aksariet Be Namaz hai aur Imam Ahmed bin Khanbel R.A. k nazdeek Be Namaz kaafir hai. Aur bhi kai Aema Ikraam ka yehi maoqaf hai. Sheikh Abdul Qadir Jailani R.A. se bhi mansoob hai k Be Namaz ka Janaza na parha jae. Abb inn k nazdeek to phir ummat ka kaseer tabqa kaafir hai. Lahaza iss bahes main uljhne ki bajae sirf yeh dekhen k jo masla hai uss main Quran-0-Sunnat ka hukam kia hai. AGer woh sahih saabit hota hai to sahih hai chahe kerne wala aik hi ho. Aur ager woh masla galat saabit hota hai Quran-o-Sunnat ki roshni main to woh galat hi hai chahe kehne wale aur kerne wale kaseer ho hon

Nabi (saw) ne fermaya tha k main tum main 2 cheezain chor ker jaa raha hoon jab tak inn ko thame rakho ge kabhi gumraah nahin ho ge 1) Allah ki kitaab 2) Meri Sunnat.

Ummet-e-Muslima main shuroo se chaar cheezen dalael main shumaar hoti hain, 1) Quran, 2) Sunnat, 3) Ijmaa, 4) Qiyaas ya Ijtihaad

(Ijmaa aur Ijtihaad, Quran-o-Sunnat se hi saabit hai)

Kabhi Aema-o-Mohadaseen ne Aksiriet ko daleel nahin banaya. Mager aaj sab se barree daleel hi akseriet ko bana lia gaya hai. Hatta k Quran-o-Sunnat ke muqable main kaha jaata hai k kia itne log galat hain? Allah hamen maaf fermae aur Seedhe raaste per chalne ki tofeeq de, Aameen.

Edited by talinenoor
Link to comment
Share on other sites

imam_abu_hanifah_page_008.gif

Asslamoalaikum,

Imam Abu Hanifa ki kissi bhi Sahabi se mulaqaat saabit nahin hai. Mahez namon ki list bana dene se mulaqaat sabit nahin ho jae gi. Werna to koi bhi kissi ke bare main bhi dawa ker sakta hai. Imam Abu Hanifa se aik bhi sanad saabit nahin jis main unhon ne kissi Sahabi ko dekhne ka dawa kia ho na hi unn k kissi shagird se. Issi tarah jis ne bhi yeh dawa kia hai uss ne koi sahih sanad pesh nahin ki aur zubani dawe ki koi haqeeqat nahin.

Baherhaal main iss topic per dalael k saath tafseel se likhoon ga.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

Main ne pehle bhi kaha tha k sunni sunnai baten na ki jaen. Mager iss k bawajood aap ne phir aisa hi kia hai.

Aap ne likha hai,"Abu Hurairah(RA) narrated that Rasoolillah(SAW) said "If Ilm was suspended from the Turaiya star and the Arabs are unable to reach it, even then a man from the sons of Persia will be able to reach it" (Bukhari, Muslim & Tabarani)."

Main poochna chahta hoon k yeh hadees Bukhari-oMuslim main kahan hai? Umeed hai rehnumai karen ge.

 

Shoaib shaib aap ko jo ahadees reqd hain unn kay hawala jaat note kar lain.

 

 

 

. عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضي الله عنه قَالَ : کُنَّا جُلُوْسًا عِنْدَ النَّبِيِّ صلي الله عليه وآله وسلم فَأُنْزِلَتْ عَلَيْهِ سُوْرَةُ الْجُمُعَةِ : (وَآخَرِيْنَ مِنْهُمْ لَمَّا يَلْحَقُوْا بِهِمْ). (الجمعة، 62 : 3) قَالَ : قُلْتُ : مَنْ هُمْ يَارَسُوْلَ اﷲِ؟ فَلَمْ يُرَاجِعْهُ حَتَّي سَأَلَ ثَلَاثاً، وَفِيْنَا سَلْمَانُ الْفَارِسِيُّ، وَضَعَ رَسُوْلُ اﷲِ صلي الله عليه وآله وسلم يَدَهُ عَلَي سَلْمَانَ، ثُمَّ قَالَ : لَوْکَانَ الإِيْمَانُ عِنْدَ الثُّرَيَا، لَنَالَهُ رِجَالٌ، أَوْ رَجُلٌ، مِنْ هَؤُلاءِ. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ وَهَذَا لَفْظُ الْبُخَارِيِّ.

 

 

Link to comment
Share on other sites

Doosra yeh k yeh hadees hergis Imam Abu Hanifa k haq main nahin hai kion k unn ka taluq persia se nahin tha.

 

Iss Hadees main Imam Azam Abu Haneefa raddi ALLAH anhu ki hee basharat dee gai hay.

Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih nay iss mazmooon ki chand ahadees ko Tabyeez ul Saheefa bi Manaqib e Abi Hanifa main naqal kiyya hay aur iss hadees ka misdaq Imam Abu Haifa ko thehraaya hay.

[Tabyeez ul Saheefa bi Manaqib e Abi Hanifa ]

 

Iss kay ilawa Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami Shafa'i rhmatullah alaih nay bhi issi mazmoon ki ahadees ko al-Khairat al-Hisan Fi Manaqibe Imam al-Azam main naqal kiyya hay aur uss kay baad

 

Imam Suyuti rehmatullah alaih kay baaz students kay hawalay say likha hay keh hamaray ustad Imam Jalal ul Deen Suyuti rehmatulla alaih yaqeen kay sath kehtay thay kay ISS HADEES KAY AWALEEN MISDAQ SIRAF IMAM AZAM rehmatullah alaih HAIN. KIUN KEH IMAM AZAM KEH ZAMANAY MAIN AHLE FARAS MAIN SAY KOI SHKHS BHI AAP KAY ILMI MUQAM KO NA PA SAKA.

[al-Khairat al-Hisan. Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami (d.943 H).p 15-16]

 

Iss kay ilawa Imam Muwaffaq bin Ahmed Makki(d.568 H) nay bhi apni ki kitab Manaqib Imam Azam main inn ahadees ko naqal kiyya hay aur iss ka misdaq Imam Azam ko theraaya hay aur yahan tak likha hay keh

 

"Imam Azam ka muqam tau alag raha aap kay talamiza kay muqam ko bhi aap kay muasireen main say koi shakhs na pa saka."

[Manaqib Imam Azam vol_1 P 590]

 

Apnon nay tau aiteraaf karna hee tha mukhalifeen nay bhi aiteraf kiyya hay keh iss hadees ka misdaq Imam Azam Abu Hanifa hee hain. Nawab Siddiq Hassan Bhopali ko bhi Hanfiyyat say ta'sub kay bawajood aiteraf karna parra keh

 

ہم امام دراں داخل است

[Athaf ul Nubla' by Siddiq hassan Bhopali pg.224]

 

Aur aik bata ki mazeed wazahat kar doon keh yeh basharat Hazrat Salman farsi raddi ALLAH anhu kay liye nahi thi. kiun keh ayat main مَّا يَلْحَقُوْا بِهِمْ kay baray main sawal tha.ayr jawab main aainda loggon ki nishandahi ki ja rahi hay.Lahaz woh log ghalat fehmi ka shikar ahin jo yeh khetay hain keh yeh hadees tau Hazrat Salman farsi raddi ALLAH anhu kayliye thi aur Ahnaf aur Ullma e Shafa'i nay Imam Azam par chispan kar di.

 

post-367-1191733336.jpg

post-367-1191732713.jpg

post-367-1191732740.jpg

post-367-1191732773.jpg

post-367-1191732792.jpg

post-367-1191732820.jpg

post-367-1191732849.jpg

Link to comment
Share on other sites

aur aap ka yeh kehna keh Imam Azam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu ka taluq Faras say nahi tha bilkul ghalat hay. Imam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu kay abao ajdad Fars kay rehnay walay thay.

 

Khateeb Baghdadi nay Imam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu kay potay Ismail bin hammad bin Abi haneefa say naqal kiyya hay keh

"Hum Ahle Faras say hain aur hamaisha say azad rahay hain. hamaray khandan main kabhi ghulami nahi aai."

سمعت إسماعيل بن حماد بن أبي حنيفة يقول أنا إسماعيل بن حماد بن النعمان بن ثابت بن النعمان بن المرزبان من أبناء فارس الاحرار والله ما وقع علين

ا

 

[Tarikh Baghdad, Vol_15, pg.448]

 

iss kay ilawa deegar muhaqiqeen nay bhi yehi likha hay keh aap kay Abao Jadad ka taluq Ahle Faras say tha.

[al-Khairat al-Hisan. Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami (d.943 H).p 22]

[Tabyeez ul Saheefa bi Manaqib e Abi Hanifa ]

 

 

Sahibe Fathul Baari Sharah Bukhari ,Imam ibne Hajar Asqalani Shafa'i nay likha hay

 

النعمان بن ثابت التيمي أبو حنيفة الكوفي مولى بني تيم الله بن ثعلبة وقيل إنه من أبناء فارس

 

[Tahdhib al-tahdhib, Vol_4 pg.229]

 

issi tarah Mulla Ali Qari Hanfi rehmatullah alaih nay bhi [Zail ul Jawahir Vol_2 pg 452] main bhi aap ka Farsi ul Nasal hona likha hay.

post-367-1191733756.jpg

post-367-1191734691.jpg

post-367-1191733572.jpg

post-367-1191733640.jpg

post-367-1191733771.jpg

post-367-1191733862.jpg

post-367-1191733875.jpg

Link to comment
Share on other sites

Aap ne 20 Sahaba Ikram R.A. se Imam Abu Hanifa ki mulaqaat hona bataya tha. Main ne kaha tha 10 se saabit ker dain aur abhi baat kehne, sunnane tak hi aayi hai to koi 5 kehta hai to koi 8.

Jab saabit kerna parre ga to 1 Sahabi se bhi mulaqaat saabit na ho sake gi.

 

Imam Azam Abu Haneefa raddi ALLAH anhu tabai hain aur unhon nay kai sahaba karam say mulaqat bhi ki thi. iss baray main ullma kay aqwal mukhtalif hain.

 

Aik qol hay keh 6 say mulaqat ki thi(5 Sahaba aur 1 Sahabia) doosra qol hay keh 7 say mulaqat ki thi (6 Sahaba aur 1 Sahabia) aur aik qol main 16 aaya hay (15 Sahaba aur 1 Sahabia).

 

iss kay ilawa Sheikh Muhammad Hashim AlMuhaddis al-Sindhi nay apni tehqeeq kay bad likha hay keh aap ki 21 Sahaba say mulaqat sabit hay. unn ki kitab ka Kalmi Makhtoota Nuskha Maktaba Sheikh Muhammad Hashim AlMuhaddis al-Sindhi, Haiderabad Sindh mai mojood hay jo abhi tak publish nahi huwa.

 

Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih nay Tabyeez ul Saheefa main inn Sahaba kay naam likhay hain jin ko Imam Azam nay daikha hay aur inn say say riwayat e hadees bhi ki hay.

 

Hazrat Anas Ibn Malik raddi ALLAH anhu

Hazrat Abdullah Ibn Unais al-Juhani raddi ALLAH anhu

Hazrat Jabir Ibn Abdullah raddi ALLAH anhu

Hazrat Abdullah Ibn Abi Awfa raddi ALLAH anhu

Hazrat Was

post-367-1191734427.jpg

post-367-1191734686.jpg

post-367-1191734729.jpg

post-367-1191734752.jpg

post-367-1191734770.jpg

post-367-1191735174.jpg

post-367-1191735246.jpg

Link to comment
Share on other sites

Aur iss baat main Imam Abu Hanifa per koi zadd nahin parti mager aap log unn per aisi baten kerte hain jo saabit nahin ho saktin.

 

Aisi waisi baatain hum nahi kartay balkeh yeh ullma nay hee apni books main likha hay. aur Jin ullma nay imam Azam Abu Hanifa radi ALLAH anhu kay baaray main Books likhi hain unn main Hanafi ullma bhi hain aur Deegar Maslak say ta'uq rakhnay walay ullma bhi. chand kay naam yeh hain.

 

Manaqib al-A'immat al-Thalathat al-Fuqaha' by Ibn `Abd al-Barr [Maliki]

 

Manaqib Abi Hanifata wa Sahibayh by al-Dhahabi [Hanbali]

 

Manaqib al-A'immat al-Arba`a by Yusuf ibn `Abd al-Hadi [Hanbali]

 

Tabyid al-Sahifa fi Manaqib Abi Hanifa by al-Suyuti [shafi`i]

 

Al-Khayraat al-Hisaan fi Manaaqib al-Nu`maan by al-Haytami [shafi`i]

 

Uqd al-Jumaan fi Manaqib al-Nu`man by al-Salihi [shafi`i].

 

 

Imam Azam Abbu Hanifa raddi ALLAH anhu Alhamdulillah taba'i thay aur aap kay inkar say na siraf Imam Azam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu par zadd aaye gi balkeh kai Huffaz e Hadees, muhadiseen aur Murakheen par bhi zad aaye gi keh unhon nay aik ghalat baat apni kitaabon main likhi jis ka koi saboot nahi. tau kay phir unn Ullma ki authenticity mashkook nahi ho jaye gi jinhon nay Imam Azam ka Hazrat Anas bin Malik raddi ALLAH anhu ko daikhna likha hay.

 

main yahan unn ullma kay naam zikr kar doon jin kay main hawalay day chuka hoon aur jinhon nay yeh likha hay aur inn main say aksar hanfi nahi balkeh Shafa'i hain.

1.Hafiz Ibn Hajar Asqalani Shafa'i rehmatullah alaih

2.Khateeb Baghdadi rehmatullah alaih

3.Imam Hafiz Abbu Abdullah Zahbi(d.748 H)

4.Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami Shafa'i rhmatullah alaih

5.Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih

 

 

Ibn Abdul-Barr mentions in his Jami

Link to comment
Share on other sites

Ager phir bhi aap ko apne dawe per barra maan hai to aik hadees pesh ker dain jo Imam Abu Hanifa ne kissi sahabi si bian ki ho aur woh Sahih ho...?

 

Waisay yeh usool kahan parh liya aap nay keh taba'i honay kay liye Sahabi say riwayat karna bhi zaroori hay. taba'i woh hota hay jis nay kissi bhi Sahabi ki ziyarat ki ho aur iss main age ki bhi koi qaid nahi hay.

 

aur kaya yeh usool siraf taba'i honay kay liye hay ya Sahabi honay kay liye bhi RASOOL ALLAH Sallalaho alaihe wasallam say hadees riwayat karna zaroori hay???

 

Ya RASOOL ALLAH Sallalaho alaihe wasallam ko ieman ki haalat main aik lamhay kay liye bhi diakh lainay say banda Sahabi ban jaata hay???

 

 

Shoaib shaib aap aik hadees ki baat kartay hain main Imam Azam ki riwayat karda ahadees buhat si hain aur Ullma nay apni boks amin unn ko naqal bhi kiyya hay. aur unn main say taqreeban 12 ahadees 1(aik) wastay ki hain. matlab yeh keh RASOOL ALLAH Sallaho alaihe wasallam aur Imam Azam main siraf aik sahabi ka wasta hay.

 

jab keh Imam Bukhari radi ALLAH anhu kay pass Saheeh Bukhari main siraf 22 Sulasiyat(3 wastay ki ahadees) hain jin main say 20 Sulasiyat kay rawi ALHAMDULILLAH woh hain jo keh Imam Azam Abu Hanifa kay shagird hain aur Imam Bukhari kay Shaikh hain.

 

inn 22 Sulasiyat main say

11 Imam Makki bin Ibraheem rehmatullah alaih say marwi hain

aur 6 Abbu Asim Zahhaq rehmatullah alaih say marwi hain

aur 3 Muhammad bin Abdullah Ansari rehmatullah alaih say marwi hain

 

aur baqi 2 Sulasiyat kay rawi Imam Azam kay shagird nahi thay.

 

 

Imam Abu Ma'shar AbdulKareem bin AbdulSamad TaBri Shafa'i nay Imam Azam ki sahaba karam say marwiyat main aik mustaqil rislala tasneef kiya hay aur iss main riwayat ko me asnad ky zikr kiyya hay aur inn ki tehseen aur taqwiyyat ki hay.

 

Neez Imam Muwaffaq bin Ahmed Makki nay bhi Manaqibe Imam Azam main Imam Abu Hanifa ki sahaba say riwayat karda ahadees ka zikr kiyya hay.

[al-Manaqib By Imam al-Kurdari, Vol_1 pg 5]

[Manaqib Imam Azam vol_1 Pg27]

Imam Azam ki Sahaba karam say marwi ahadees ko Imam Jalal ul Deen Suyuti nay tabyeez ul Saheefa main naqal kiyya hay. tau main ko woh ahadees paish kar daita hoon jin ko Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih nay apni kitab tabyeez ul Saheefa main naqal kiyya hay.

 

رَوَي أَبُوْحَنِيْفَةَ رضي الله عنه قَالَ سَمِعْتُ أَنَسَ بْنَ مَالِکٍ رضي الله عنه قَالَ سَمِعْتُ النَّبِيَّ صلي الله عليه وآله وسلم يَقُوْلُ : طَلَبُ الْعِلْمِ فَرِيْضَةٌ عَلَي کُلِّ مُسْلِمٍ

 

 

Link to comment
Share on other sites

Aisi waisi baatain hum nahi kartay balkeh yeh ullma nay hee apni books main likha hay. aur Jin ullma nay imam Azam Abu Hanifa radi ALLAH anhu kay baaray main Books likhi hain unn main Hanafi ullma bhi hain aur Deegar Maslak say ta'uq rakhnay walay ullma bhi. chand kay naam yeh hain.

 

Manaqib al-A'immat al-Thalathat al-Fuqaha' by Ibn `Abd al-Barr [Maliki]

 

Manaqib Abi Hanifata wa Sahibayh by al-Dhahabi [Hanbali]

 

Manaqib al-A'immat al-Arba`a by Yusuf ibn `Abd al-Hadi [Hanbali]

 

Tabyid al-Sahifa fi Manaqib Abi Hanifa by al-Suyuti [shafi`i]

 

Al-Khayraat al-Hisaan fi Manaaqib al-Nu`maan by al-Haytami [shafi`i]

 

Uqd al-Jumaan fi Manaqib al-Nu`man by al-Salihi [shafi`i].

 

 

Imam Azam Abbu Hanifa raddi ALLAH anhu Alhamdulillah taba'i thay aur aap kay inkar say na siraf Imam Azam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu par zadd aaye gi balkeh kai Huffaz e Hadees, muhadiseen aur Murakheen par bhi zad aaye gi keh unhon nay aik ghalat baat apni kitaabon main likhi jis ka koi saboot nahi. tau kay phir unn Ullma ki authenticity mashkook nahi ho jaye gi jinhon nay Imam Azam ka Hazrat Anas bin Malik raddi ALLAH anhu ko daikhna likha hay.

 

main yahan unn ullma kay naam zikr kar doon jin kay main hawalay day chuka hoon aur jinhon nay yeh likha hay aur inn main say aksar hanfi nahi balkeh Shafa'i hain.

1.Hafiz Ibn Hajar Asqalani Shafa'i rehmatullah alaih

2.Khateeb Baghdadi rehmatullah alaih

3.Imam Hafiz Abbu Abdullah Zahbi(d.748 H)

4.Mufti al-Hijaz Imam Ibn Hajar al-Haytami Shafa'i rhmatullah alaih

5.Imam Jalal ul Deen Suyuti Shafa'i rehmatullah alaih

 

 

Ibn Abdul-Barr mentions in his Jami' Bayan al-'Ilm [Vol_1,pg 35], after he mentioned, alongside its sanad, a piece of news which Imam Abu Hanifah heard from Abdullah ibn al-Harith ibn al-Juz', the Sahabi, "Ibn Sa'd, author of al-Waqidi, mentioned that Abu Hanifah saw Anas ibn Malik and Abdullah ibn al-Harith ibn al-Juz'." Counting on this, Ibn al-Juz' is considered to have died late, and in priority, that Abu Hanifah saw Abdullah ibn Abi Awfa since he was Kufi with regards to his residence and place of death.

 

Furthermore, Abu Na'im al-Asfahani mentioned among the Sahaba, whom Abu Hanifah saw, Anas raddi ALLAH anhu , Abdullah ibn al-Harith raddi ALLAH anhu , and Ibn Abi Awfa raddi ALLAH anhu .

 

 

The same is reported by Sibt ibn al-Jawzi upon the authority of Thakir ibn Kamel from Abu Ali al-Haddad from his book al-Intisaru wal Tarjih.

 

 

This, considering the birth date of Abu Hanifah in the year 80 H, but if his birth date was in the year 61 H, or in the year 70 H, as in the reports of Ibn Zawad and Ibn Hayyan, the circle of his seeing of the Sahaba would be wider. Abu al-Qasem ibn Abi al-'Awam expanded on clarifying who was comtemporary of him relying on the first report in his book Fazailu Abi Hanifah wa Ashabih (Manaqib Abi Hanifata wa Sahibayh by al-Dhahabi ).

 

 

Among what was altered by the means of tampering in copying what was mentioned that Imam Daraqutni was asked about Abu Hanifah's hearing from Anas raddi ALLAH anhu , is it considered correct? He said "la wa la ru'aytuh" (No, niether his seeing).

But the original statement is "la illa ru'yatuh" (No, except his seeing).

 

As an evidence on this is what Imam Suyuti mentioned in the beginning of his book Tabyeez ul Sahifa with his saying

"Hamza al-Sahmi said, "I heard Daraqutni saying Abu Hanifah did not meet any of the Sahaba except that he saw Hazrat Anas raddi ALLAH anhu with his eyes but did not hear from him.""

 

 

And from the ones who confessed of his seeing Anas are:

Ibn Sa'd,

ad-Daraqutni,

Abu Na'im al-Asfahani,

Ibn 'Abd al-Barr,

al-Khateeb [al-Baghdadi],

Ibn al-Jawzi, as-Sam'ani,

Abdul-Ghani al-Maqdisi,

Sibt ibn al-Jawzi,

Fazlullah al-Turishty,

Nawawi,

Yafi'i,

Zahabi,

Zainuddin al-Iraqi,

al-Walyy al Iraqi,

Ibn al Wazir,

al-Badr al-'Ayni,

Ibn Hajar [al-'Asqalani],

Shihabuddin al-Qastalani,

Suyuti,

and

Ibn Hajar al-Makki, among others.

[Ta'nibul Khateeb fi ma Saqahu fi al Imam Abi Hanifah min al Akathib, Allama Zahid al-Kawthari,pg. 15].

Asslamoalaikum,

Mere bhai main keh chuka hoon k iss topic per main tafseel se likhoon ga.

Aap ne likha hai k, " Imam Azam Abbu Hanifa raddi ALLAH anhu Alhamdulillah taba'i thay aur aap kay inkar say na siraf Imam Azam Abu Hanifa raddi ALLAH anhu par zadd aaye gi balkeh kai Huffaz e Hadees, muhadiseen aur Murakheen par bhi zad aaye gi keh unhon nay aik ghalat baat apni kitaabon main likhi jis ka koi saboot nahi. tau kay phir unn Ullma ki authenticity mashkook nahi ho jaye gi jinhon nay Imam Azam ka Hazrat Anas bin Malik raddi ALLAH anhu ko daikhna likha hay."

Imam Abu Hanifa R.A. ke tabaee hone ki sarahet ager Ulma ne ki hai to Tabaee na hone ki bhi Ulma ne hi ki hai. Abb dekha yeh jae ga k kis ki baat main wazan hai. Misaal k tor per Imam Dar-Uq-Qutni R.A. aap ko tabaee tasleem nahin kerte. Abb kia unn ki hasiet mashkook ho jae gi. Jab Imam Abu Hanifa R.A ke apne shagird Unn se ikhtilaaf kerte hain to Imam Abu Hanifa ki hasiet mashkook ho jaati hai....?

Yeh aap ne acha asool banaya hai k ager kissi se daleel ki buniad per ikhtilaaf kia jae to uss ki hasiet mashkook ho jaati hai.

Khud Imam Abu Hanifa ke masael ager Imam Ahmed bin Khanbel tasleem nahin kerte to Imam Ahmed bin Khanbel ya Imam Abu Hanifa main se kon mashkook hota hai...?

Yeh asool hi galat hai k ager aik bande ki aik baat galat saabit ho jae to woh saara mashkook ho jaata hai. Bus uss ki woh baat galat maani jae gi jo galat saabit ho jae. Lahaza aisi jasbaati baaton se to apna masla saabit na karen.

Baherhaal jab main iss per aik alag post main likhoon ga to phir iss ka jawab dijie ga.

 

Aap ne yeh bhi likha k, "Waisay yeh usool kahan parh liya aap nay keh taba'i honay kay liye Sahabi say riwayat karna bhi zaroori hay. taba'i woh hota hay jis nay kissi bhi Sahabi ki ziyarat ki ho aur iss main age ki bhi koi qaid nahi hay."

Main ne yeh kab kaha hai k Tabaee k liye riwayat kerna bhi zaroori hai. Imam Abu Hanifa ki konsi rwayet sahih hai? yeh baat to issi liye poochi thi k aap unn ki hadees ke rwayet kerne ko sahih maante hain.

Phir aap ne abhi bhi jawab kuch ka kuch de dia hai. Main ne yeh nahin kaha tha k Imam Abu Hanifa se kon konsi rwaet mansoob ki jaati hai? main ne poocha tha k Imam Abu Hanifa ki konsi rwayet kerda hadees sahih hai aur woh konsi kitaab main hai?

 

Phir aap ne likha hai k Kitaab-ul-Aasaar main Imam Abu Hanifa ne itni itni ahadees bian ki hain.

Mager koi mujhe yeh to batae k Kitab-ul-Aasaar, Imam Abu Hanifa ki kitaab kab se ho gai hai..?

Ager kaha jae k Imam Abu Hanifa se isse rwayat kia gaya hai to phir uss ki sanad derkaar hai. Jo hergiz pesh nahin ki jaa sakti.

Imam Bukhari R.A apni kitaab main sanad bian kerte hain. Khud Kitaab ki apni sanad bhi sahih hai. Iss tarah ki Imam Abu Hanifa ki konsi kitaab hai....? Jo inhen Imam Bukhari ke muqabil pesh kia jaata hai.

Main pehle bhi keh chuka hoon k iss bahes se kissi ko ooncha ya neecha saabit kerna maqsood nahin bal k baat sirf itni hai k jo baat hai hi nahin usse sahih kion bawer kerwaia jaata hai.

Main phir keh raha hoon k jab iss per alag se likhoon ga to phir iss topic per bahes kijie ga.

Wasalam

Link to comment
Share on other sites

article Imam Azam bahaysiyyat Muhaddis e Azam

 

Yeh mazmoon bhi zaberdasti k dalael se bhera gaya hai

Imam Bukhari R.A ko jo sulasiat haasil hui hain woh ager Imam Abu Hanifa ke shagird se hasil kerda hain to iss main Imam Abu Hanifa ka kirdaar kaise tasleem kia jae. Sanad mojood hai dekha jaa skta hai k Imam Abu Hanifa k shagird Imam Makki kis se rwayaet ker rahe hain? Kia sanad main woh Imam Abu Hanifa ka naam lete hain...? Zahir hai ager unhon ne woh hadees Imam AbuHanifa se li hoti to unn ka naam bhi ziker kerte mager unn ka naam ziker na kerna hi to daleel hai k Imam Abu Hanifa se unhon ne hadees nahin lee.

Baherhaal jo baat start ki gai thi iss maamle main uss per dalael ke saaths likhna mere zimme hai. InshaAllah jald likhoon ga. Aap logon se bus itni guzarish hai k doosre bade ki baat ko kam se kam sunna to jae. Ager galat ho to phir islaah karen.

Wasalam.

Link to comment
Share on other sites

  • 15 years later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...