Saife Raza Sunni مراسلہ: 28 ستمبر 2016 Report Share مراسلہ: 28 ستمبر 2016 Noor e Mustafa Sallallaho Ta'ala Alaihe Wa Sallam Aur Wahabiyo Ki Maut . Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihe Wa Sallam Ki Haqiqat Noor Hai . Sabse Pehle Allah Ne Apni Qudrat Se Noor e Mohammadi Ko Faida Farmaya . Fir Uske Chaar Hisse Kiey . Pehla Hissa Se Kalam Banaya . Dura Hissa Se Loh Mehfuz Banaya . Teesra Hissa Se Arsh Banaya . Chauta Hissa Ke Chaar Hisse Kiye . Pehla Hissa Se Arsh Uthane Wale Farishtey Ko Banaya . Dusra Hissa Se Kalam Uthane Wale Farishtey Ko Banaya . Teesra Hissa Se Baaki Tamam Farishton Ko Banaya . Chauta Hissa Ke Chaar Hisse Kiye . Pehla Hissa Se Tamam Aasman banaey . Dusra Hissa Se Tamam Zameen Banai . Teesra Hissa Se Jannat O Dozak Banai . Chauta Hissa Ke Chaar Hisse Kiye . Akhri Hadees Tak Yani Isi Tarteeb Se Har Chaitey (4) Hisse Ke Chaar Hisse Hotey Gaye . Aur Puri Kaynaat Wazood Me Aai . Aur Jab Huzoor Sallallaho Ta'ala Alaihe Wa Sallam Ko Duniya Me Bejhna Chaha Bashri Libaas Me Bejh Diya . Koi Wahabi Zyada Uchal Kud Na Kare Mere Pass Hadees Mauzood Hai . Hadees E Noor . Abdul Razzk Ne Ma'mar Se Aur Wo Ibne Munkadir Se Aur Wo Hazrat Jabir Radiallahu Anhu Se Riwayat Kartey Hain - Hazrat Jabir Radiallahu Anhu Farmatey Hain Mene Rasool Allah Sallallaho Alaihe Wa Sallam Se Arz Kiya Ya Rasool Allah Mere Ma Baap Aap Par Kurban Mujhe Ye Baey Allah Ta'ala Ne Sabse Pehle Kis Chiz Ko Faida Farmaya,,?? Huzoor Sallallaho Alaihe Wa Sallam Ne Farmaya ! Ey Jabir Beshak Allah Ta'ala Ne Tamam Maqlooq Se Pehle Tere Nabi Sallallaho Alaihe Wa Sallam Ka Noor Apne Noor Se Faida Farmaya- Fir Wo Noor Jaha Chaha Kudrat e Ilahi Ke Mutabik Dorah Karta Raha Is Waqt Na Loh Thi Na Kalam, Na Jannat Thi Na Dozak, Na Farishta Na Aasman, Na Zameen Na Suraj, Na Chaand Tha Na Jinn Aur Na Hi Inshan- Aur Jab Allah Ta'ala Ne Irada Farmaya Ke Maqlooqat Ko Faida Kare'n To Us Noor Ko Chaar Hisso Me Taqsim Kar Diya- Pehle Hisse Se Kalam Banaya, Dusre Hisse Se Loh, Teesre Hisse Se Arsh, Fir Chautey Hisse Ko Chaar Hisso Me Taqsim Kiya To Pehle Hisse Se Arsh Uthane Wale Faristey Banaey, Dusre Hisse Se Kursi Aur Teesre Hisse Se Baaki Farishtey, Fir Chautey Hisse Ko Chaar Hisso Me Taqsim Kiya To Pehle Se Aasman Banaey, Dusre Se Zameen, Aur Teesre Se Jannat Aur Dozak, Fir Chautey Hisse Ke Chaar Hisse Kiye - Akhri Hadees Tak Yani Isi Tarteeb Se Har Chaitey (4) Hisse Ke Chaar Hisse Hotey Gaye ! . Teri Nasle Pak Me Hai Bachcha Bachcha Noor Ka Tu Hai Aine Noor Tera Sab Gharana Noor Ka . Sarkaar Ala Hazrat R.A . By - Saife Raza Sunni . ============== اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔