Jump to content

Kafir Kay Hath Ka Bana Hua Khana Kaissa?


Bismillah

تجویز کردہ جواب

AALAHAZRAT PAR EK AITRAZ KA JAWAB BUKHARI KE HAWALE SE:

.

Jab Humne Wahabiyon/Deobandiyon ko unki Fatawae Rasheediya ki ibarat dikhai ki Gangohi likhte hain:

.

Diwali ki Puri aur Mithai kahana jaez hai,

Dusri jaga moharram ke talluq se likha ki Moharram me batne wala dudh ya sharbat ya sabeel peena aur pilana na-jaez hai, aur ba-sabab-e-Tashbiya-e-rawafiz haram hai.

(Fatawae Rasheediya, Pg.127)

.

To in Deobandiyon ne Aalahazrat par aitraz karte hue Alahazrat ki Malfoozat ki ek ibarat dikhai jisme Sarkar Aalahazrat se pucha gaya ki

''Hinduon ke ghar se jo diwali wagaira me mithai aati hai, uska khana jaez hai ya nahi..??''

to jawab me farmaya.

Us din ne khayen, balki agle din kha len Maal mozi Naseeb ghazi samajhkar,

yani apni qismat ka rizq samajhkar khayen, na ki Diwali ki mithai samajhkar.

.

.

Awwal baat to ye ki Hume Gangohi ki is baat pe aitraz nai tha ki Diwali ki mithai jaez kyu kaha...??

Balki aitraz is baat pe tha ki jab Diwali ki mithai jaez kaha to Muharram ki sabeel kyu haram kaha??

.

Jabki Alahazrat ne Moharram ki sabeel ko kabhi haram nai kaha.

Ab Aaiye Alahazrat ke is fatwe 'Diwali etc ki mithai ko naseeb ka rizq samajhkar kha lena' ko Hadees ki roshni me samajhte hain.

.

Hadees: Anas r.a riwayat karte hain, Rasoolallah alaihis salam ke paas gosht laya gaya JO BAREERAH r.a KO SADQE ME MILA THA. Rasoolallah alaihis salam ne farmaya. SADQA TO USKE LIYE HAI, HAMARE LIYE HADIYA HAI.

(bukhari, Kitabuz Zakaat. H.no.1401)

.

Ye Hadees H.Ayesha r.a se b riwayat hai.

Umme Atiya r.a se b riwayat hai., usme Naseeba ke sadqe ka zikr hai.

.

Note: Syedo ko sadqa khana haram hai, fir b Nabi alaihis salam ne us Gosht ko khaya magar bhejne wale ko wo sadqa mila tha, aur usne jab Nabi alaihis salam ko bheja to wo hadiya ho gaya. Isliye wo khana haram na hua.

.

Theek usi tarah, Hinduon ke nazdeek wo diwali ki mithai hoti hai, aur Aalahazrat ne farmaya, usey naseeb ka rizq samajhkar kha lo.

post-18117-0-97071200-1475038314_thumb.jpg

Link to comment
Share on other sites

Main beroonay mulk rehta hoon (canada) aur yahan par indian restaurant hain aur pakistani bhi aur unkay cook hindo hotay hain kuch pakistani restaurant kay bhi. app humain is kay baray main bataey keh kya indian restaurant ka khana jaiz hai aur pakistani restaurant main jo khana pakatay hain hindou unkay haath ka khana bhi jaiz hai jaissay keh aapkay jawab say zahir to ho raha hai lekin phir bhi confirm karna chahta hoon. shukrya!

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...