Jump to content

Professional na'at khwani


bedlaminho

تجویز کردہ جواب

(salam)

Bhai AalaHadrat (ra) Fatawa-e-Razaviya men farmaaty hain k : "Na'at khuwaan agar na'at parhny se pahily hee apni fees muqarar kardetta hay hay to ye haraam hay, For example "Zaid ne aik na'at parhny ki 1 thousand fees maqarar kar rahi hay, to aisaa karna haraam hay." Zaid ne ab tak jitny b paisy lye hain, wo sab un k maalikaan ko lottana chahiyen.

Ya mein ne Fatawa-e-Razaviya men parha hay.

Aur baaqi rahi k aajkal k na'at khuwanon ki baat to agar unihon ne b apni har mehfil ki fees muqarar kar rakhi k "Aik mehfil k itny paisy hongy to is ma'aily ko ooper wali fatawa ki roo se dekhaa jaaye to ye baat sooraj se ziyadah roshan hay k aisaa karna b gunaah aur haraam hay.

Ya'any na'at shareef parhny ki pahily se ujirat tay nahin karni chahiye.

Haan albatta aap jis shakhs ki mehfil men jaa rahy hoon to wo aakhir men khud hee aap ko dy to ye lenna ja'iz hay. Lakin yahaan par aik aur masa'ila aa jaata hay k " Direct to tay na kya, lakin indirectly hee patta chal gaya k yaar jaa raha hoon yaqeenan paisy to milen gy hee, to ye b wohi baat ho gaee."

 

Aik aakhiri ja'iz soorat ye banti hay k "Jo shakhs nba'at khuwaan ko bulla raha hay, wo na'at khuwaan se ye tay kar ly k bhai aik ghanta aap ko meri mehfil men aana hay, ab meri marzi aap se jo kaam b karwaoon, aur aakhir men aap ko itny paisy doon ga, to is soorat men Ulama-e-Kiraam ne is ko ja'iz kaha hay."

 

Lakin phir b bahtar yahee k "Na'at jaisee azeem dolat k badly men dunya k paleed dolat nahin lenni chahiye, Baaqi agar kisssi ki majboori hay to us k liye ooper wali soorat ban sakti hay."

 

Agar mein ne kuchh galat likha ho to Bara-e-Madeena rahanumaee farmaadeejiye ga

W'ssalam

Link to comment
Share on other sites

Aap ne sahi farmaya Mudashir Bhai... aik cheez aur keh agar naat khawan

ko yaqeen ho keh falan jaga per paisey milain gay aur falan jaga per nahi to

agar woh paisey wali jaga per jaata hai to bhi wahi soorat hoti hai.. woh apne

dil ko azma kar dekh le keh jahan per paisey nahi miltey agar wahan jaaney main

dukh aur tangi mehsoos nahi hoti to phir sahi hai..

 

Aik aur baat keh kissi bhi naat khawan ka naam likhney aur uss ke barey main

bad gumani karney se bachna chahiye... kiyoon keh ho sakta hai keh woh bohat

bohat acha aur mukhlis ho aur kissi musalman kee badgumani gunnah hai.

 

"Naat khawan aur nazran" naam se aik risala bhi maktaba-tul-Madina ka shaya karda

mojood hai.. www.dawateislami.net se bhi download kiya jaa sakta hai.

 

W'Salaam..

Abul Usaid Imtiaz Attari

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...