Gham-e-Madinah مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Ghul utha hai chaar soo, phir Amad e Ramadaan hai Khil uthay mur jhae dil, taza huwa Imaan hai Ya Khuda hum aasiyaun par, yeh bada ehsaan hai Zindagi me phir ata, hum ko kiya Ramadaan hai Tujh pay sadqe jaoon Ramadaan! Tu Azeemush shaan hai Ke Khuda ne tujh me hi, Nazil kiya Qur'an hai Abre Rehmat chaa gaya hai, aur sama hai noor noor Fazle Rab se maghfirat ka, ho gaya samaan hai Har ghadi Rehmat bhari hai, har taraf hai Barkatein Mah e Ramadaan Rehmataun aur Barkataun ki kaan hai Agaya Ramadaan, Ibadat par kamar bandh lo Faiz le lo jald ke, din tees ka mehmaan hai Aasiyaun ki maghfirat ka, lekar aya hai paighaam Jhoom jao mujrimo! Ramadaan me ghufraan hai Bhaiyo Behno karlo, gunahaun se tauba ke ab Pad gaee dozakh pay, taalay qaid me shaitaan hai Sunnate sab jhoom kar, apnate jao bhaiyo! Khuld ke Dar khul gae hai, dakhila asaan hai Masjidein abaad hai, zor e gunah kam hogaya Mah e Ramadaan ul Mubarak, ka yeh Faizaan hai Roza daar! jhoom jao kyun Deedaar e Khuda Khuld me hoga tumhe, yeh wada e Rahmaan hai Do jahaan ki Ne'amatein, milti hai roza daar ko Jo nahi rakhta hai roza wo bada nadaan hai Ek Roza jo khaza karde, suno nau laakh saal Wo jahannam me jalay, Sarkaar ka farmaan hai Ya ILAHI! Tu Madine me, kabhi Ramadaandikha day Mud'dataun say dil me yeh, Attar ke armaan hai Rember me in duas اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Rehaan Bhai. Agar Matla ko is tarah likh den to mazeed bahtar hogga. Marhabba Sad Marhabba, Phir aamad-e-Ramdan hay Khil uthy Murjhaaye dil, Taaza huwa Emaan hay Faizan-e-Ramdan k purany edition men ye aise hay, ab new ka patta nahin. W'ssalam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 JazaK Allah azawajal ........ bohat bohat shukriya post karney ka. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔