aaftab مراسلہ: 20 اپریل 2016 Report Share مراسلہ: 20 اپریل 2016 as salam alaikum is ka jawab munasib poster ki sorat mai darkar hai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Sybarite مراسلہ: 20 اپریل 2016 Report Share مراسلہ: 20 اپریل 2016 ایسے بھونڈے اعتراضات کرنے والوں کو علمی یا تحقیقی جواب دینا فضول ہے کہ وہ ان کی عقل سے بالاتر ہوگا۔ انہیں پیرمہرعلی شاہ کا حوالہ دے کر کہہ دیں کہ ان پر فتوٰی لے آئیں۔ اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 20 اپریل 2016 Report Share مراسلہ: 20 اپریل 2016 (ترمیم شدہ) Deen e Islam mein janwar wohi haram heh jis par zabiya kartay waqat Allah ta'ala ka naam nah leeya gaya ho, yehni bis millah allahu akbar nah para gaya ho, balkay kohi yoon kahay, karishna kay naam par, toh is waja say haram huwa. Dosra woh janwar haram heh jis ko Quran o Hadith nay haram bataya, khanzeer. Darinday, gadda, gora, waghera ... haram ka talluq jaga say nahin, yahan par zabiya keeya toh halal heh, wahan par karo gay toh haram heh, Mina [Hajj] par karo toh halal, Deoband Bareilly mein karo toh haram, ... Joh yeh kehta heh kay jagoon ki nisbat say janwar haram hota heh woh biddati aur us nay deen e Islam mein esa izafa keeya jis ka kissi kism ka kohi saboot nahin, nah explicit ya implicit.Raha, ayaat ka talluq, alnnusubi ka mana agar stone altar leeya jahay toh phir, is isitimal ishara heh mushrikeen kay amal kee taraf, unoon nay apnay buttoon kay wastay jaga motayyin ki aur wahan ek qurbani ka pathar nasab keeya par ham apnay khuda kay leyeh zabiya karen gay, jab woh zabiya kartay toh apnay khuda ka naam letay thay, misaal kay tor par, mein Al-Laat kay naam par zabiya karta hoon, is waja say yeh ayat ka hissa : "Prohibited to you are ... those which are sacrificed on stone altars, ..." is hissay say ja milta heh: "... that which has been dedicated to other than Allah [whilst being slaughtered] ..."Magar Nusub ka mana Ahadith meh idol/asnam kay mafoom mein istimal huwa heh, jesay kay in doh Ahadith say wazia heh: "Narrated `Abdullah bin Masud: Allah's Messenger entered Mecca (in the year of the Conquest) and there were three-hundred and sixty idols (Nusuban) around the Ka`ba. He then started hitting them with a stick in his hand and say: 'Truth (i.e. Islam) has come and falsehood (disbelief) vanished. Truly falsehood (disbelief) is ever bound to vanish.' (17.81) 'Truth has come and falsehood (Iblis) can not create anything.'"(34.49) [Ref: bukhari, Book 60, Hadith 244]Kabah kay ird gird 360 Nusub thay jahan par mushrikeen apnay khudahoon ka naam leh kar un ko raazi karnay kay leyeh qurbani keeya kartay thay aur is ka zikr is Hadith mein heh: Narrated Ibn Mas'ud: "The Messenger of Allah entered Makkah during the year of the Conquest, and there were three hundred and sixty Nusb around the Ka'bah. So the Prophet started hitting them with a stick he had in his hand" - or perhaps he said: "With a piece of wood, and he was saying: The truth has come and falsehood has vanished. Surely falsehood is ever bound to vanish (17:81). The truth has come and falsehood can neither originate anything nor resurrect (anything) (34:49)." [Ref: Tirmadhi, Book 44, Hadith 3138] Tafsir Ibn Kathir, student of Ibn Taymiyah nay Nusub ka mana asnam/idols honay ki taeed keeh heh:"Nay, We fling the truth against the falsehood, so it destroys it, and behold, it dis- appears. Al-Bukhari recorded that `Abdullah bin Mas`ud said: The Prophet entered Makkah (at the Con- quest), and around the House (the Ka`bah) were three hundred and sixty idols. He started to strike them with a stick in his hand, saying, (Truth has come and falsehood has vanished. Surely falsehood is ever bound to vanish.) ﴿17:81 (Truth has come, and falsehood can neither create anything nor resurrect (anything).) ﴿34:49]" [Ref: Tafsir Ibn Kathir, 17:81]Alhasil, donoon mein joh bi mana leeya jahay, musalman kay leyeh kohi muzhir nahin, keun kay ham nah toh AwliyahAllah ko khuda mantay hen, aur nah un ka naam leh kar zabiya kartay hen, balkay niyat e nisbat isaal al sawab keeh hoti heh, aur zabiyah Allah kay wastay, aur Allah ka naam leh kar, yehni bismillah allahu akbar. Aur aakhar meh jin halal janwaroon par Allah ka naam leeya gaya ho aur zabiya keeya gaya ho woh halal hen, un ko haram kehnay wala munkir ayat Qurania heh, keun kay Allah nay farmaya heh kay jinpar Allah ka naam leeya gaya heh woh janwar halal hen khanay kay leyeh, 6:118.Aap ko samjana maqsood thah aur mashwara yahi heh kay pehlay apnay aqahid o nazriyat seekhen phir behas o mubaisa meh paren. Edited 20 اپریل 2016 by MuhammedAli اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔