Talinenoor مراسلہ: 21 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 21 ستمبر 2007 Asslamoalaium, Mera naam Shoaib hai. MAin pehle Brelvi tha lakin aAlhamdulillah abb Ahlehadees hoon. Iss forum per Ahlehadees ke khilaaf jo ilzaam lagae gae hain, Aik waqt tha k main bhi yehi kuch samajhta tha. Hata k Ahlehadees k peeche namaz bhi nahin parhta tha k yeh log to gustakh hai. Mager jab Allah ne Quran o sunnat ki janib rehnumai ki to Zahen bhi taasub se paak ho gia. Kia ilzaam tarashian daleel hoti hain? Mujhe to aaj tak kisi brelvi aalim ne koi aisi daleel Rafa Yaden ya kissi aur Masle per nahin di jis se behter daleel Ahle hadees ke paas na ho (Alhamdulilla). Lakin main phir bhi rigid nahin ager aap main se koi bhi kissi masle per mere saath baatcheet kerna chahta hai to main haazir hoon lakin baat ager daleel se ki jae. Mujhe sirf darr iss baat ka hai k mujhe yahaan ban ker dia jae ga. Allah ne to Yahood-o-Nisara se kaha hai k "AAo USS KALME KI TARAF JO HAM AUR TUM MAIN MUSHTARIK HAI" to phir ham sab to aik kalma parhne wale hain phir kia ham TAASUB se baalater ho ker Quran-o-Sunnat ki jaanib nahin aa sakte jo hamare dermian mushtarik cheez hai bajae iss k main yeh kehta rahoon k falan Ahlehadees aalim yeh kehta hai buss main to issi ko manoon ga aur Aap main se koi yeh kehta rahe k main to falan Brelvi Aalim ki baat hi maanon ga. Hamari Dawet sirf Quran-o-Sunnat ko miar banana hai. Abb iss ki buniad per ager Ahlehadees Aalim ki baat Quran-o-Sunnat ke khilaaf ho to uss ki galat ager kissi doosre maslak ke aalim ki baat galat saabit ho to woh galat. Quran main bhi Allah ne kaha hai k "AGER TUM MAIN KISSI BAAT MAIN IKHTILAAF HO JAE TO USSE LOTA DO ALLAH AUR USS KE RASOOL (SALLALLAH O ALEHE WASALIM) kI JAANIB" Ager aap main se koi mere saath kissi masle per baat kerna chahta hai to main haazir hoon yaqeen se kehta hoon jo baat daleel se sabit ker di jae gi usse maan loon ga. Allah ham sab ko hadayat de. Mera E.mail Address hai: ********@yahoo.com Wasalam اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madani Munna مراسلہ: 21 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 21 ستمبر 2007 hmmmm Kafi Aarsay Bad Koi Aaya Hai Bro Ap Ko Koi Ban karay Ga B Too Pehlay Warrning Day Ga Ap Ki Ghalti Par Hum Wo Nahin Joo Bagh Jain Alhamdlillah Posts Chck Kar Loo Is Forum Ki Kitnay Anti Hadees Aaye Aor Bagh Gay Ab Dekhtay Hain Ap Kitna Aarsa Tiktay Hooo See U Latr (Choonkay Ap Antihadees Ki Tarjumani Kar rahay Hoo Soo Salam Nahin Kiya Bcoz Salam Muslims Par Kiya Jata Hai Naa Kay Aasoon Par Jo Aangrezoon Ka Nam Par Pal Rahay Hoon Aor Apna name B Un Say Aalat Karwatay Hoon) Hope You Will Stay here And ....................................... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 21 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 21 ستمبر 2007 (ترمیم شدہ) Chao shoaib, baat cheet karo. Topic hay k Tumhara Imaam "Ismaeel Dehlvi" Angrezon ka agent tha aur tumhara ye maslak angrezon ki pedawaar hay. Tumhary maslak ka naam pahly wahabiya tha, aur phir angrezon se sufarish karwaa kar, apny maslak ka naam Ahle Hadith rakh waalya. Tumhaary imaam ne jo jihaad kya thaa, wo jhoota tha, us ne jihaad sikhon k saath nahin, balike NWFP k pathanon se kya tha." Aur aakhir men pathanon k haathon aik zilat aamez shikast khaa kar mar gaya. Baat cheet karni hay to karo Saudi Hukumat par, k wo America aur Birtish ki na jaiz pedawaar hain, aur Birtish ki madad se hee unihon ne Hijaaz-e-Muqadas par qabza kya tha, Jis men aik Harami "Lawarance of Arabia" ne aik plan ki tahat un ki madad ki thi. Aur aaj tak USA, UK se Saudi hukuoomat k relationship kaise hain, wo to tum jaanty hee ho. Manzoor hay ? Agar haan to phir utro medaan men. Tumhaary hee kitabon se hawalajaat detta hoon mein. Aur tum ko koee b ban nahin karega. Na Khanjar uthy ga, na talwaar in sy Ye Baazu mery aazmaaye huye hain Edited 21 ستمبر 2007 by Mudasir Yaseen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mujtaba مراسلہ: 21 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 21 ستمبر 2007 shoaib tumhain ahlehadees hona mubarik ho. yeh buhat purani story ho gai hay keh MAin pehle Brelvi tha lakin aAlhamdulillah abb Ahlehadees hoon. main aaj say 3 saal pehlay apnay muhallay keh antihadees molvi say bhi yeh sun chuka hoon khe jee mera saara khandan barelvi hay main tehqeeq kar kay iss daldal main uttra hoon waghaira waghaira baqi Molvi Sadiq Kohati ko tau jaantay ho gay tum jo keh SABIQA DEOBUNDI MUNAZIR tha aur phir gumraahi main aik step aagay barh kat ANTIHADEES ban gaya aur uss kay baad gumraahi kay aglay darjay mian ja kar SHIA ho gaya. abhi uss ka taraqi ka safar jaari hay. agar woh issi tarh taraqi karta raha tau agla step QADIYANIYYAT hee ho ga. Kia ilzaam tarashian daleel hoti hain? saheeh kaha ilzam tarashian daleel nahi hoti laikin agar unn kay saath saboot mojood haun tau woh ilzam nahi hotay balkeh uss ko haqeeqat kehtay hain. Mujhe to aaj tak kisi brelvi aalim ne koi aisi daleel Rafa Yaden ya kissi aur Masle per nahin di jis se behter daleel Ahle hadees ke paas na ho (Alhamdulilla). jee issi liye Antihadees munazir hamasha RAFFA YADDAIN kay munazira haar jaatay hain kiun keh aap ke pass behtar daleel hoti hay keh hum nay nahi man'na kuch bhi. jaisay tumhara Mubashir rabbani haar gaya tah Maulana Abdulkarim naqshabandi say aur tumhara qazi abdulrasheed haar gaya tha Maulana Mufti Ashraf Asif jallai say. aur jis tarah qazi abdulrasheed haar gaya tha Maulana Mustaf rizvi say . woh issi liye haar jaatay hain kiun keh unn kay pass daleel buhat mazboot hoti hay mukhalif ki nisbat.lolzzzzzzzzzzz aur yeh munaziar bhi agar parha hota tum nay tau iss tarh na likhtay keh jee humaray pass behtar daleel hay . Agar hay tau mujhay aik saheeh Qolli hadees dikhao Sehah Sitta say keh RASOOL ALLAH nay NAMAZ main raffa yaddain karnay ka hukm diyya hau. agar hay koi hadees tau paish karo RASOOL ALLAH ki poori zindagi ka koi aik lamha tau ho ga na jub RASOOL ALLAH nay Rafa yaddain karnay ka hukm diyya ho ga. Lakin main phir bhi rigid nahin ager aap main se koi bhi kissi masle per mere saath baatcheet kerna chahta hai to main haazir hoon lakin baat ager daleel se ki jae.Mujhe sirf darr iss baat ka hai k mujhe yahaan ban ker dia jae ga. hum bhi yaheen hain aap say baat karnay kay liye. aur aap ko koi ban nahi karay ga . haan agar aap nay abusive language use ki tau phir aap ko warning di jaye gi aur agar aap nay phir kuch kiya tau phir kuch action liya jaye ga. laikin mujhay umed hay keh aap yahan baat cheet karain gay aur pehlay walay antihadeeson aur deobundion ki tarah bhaag nahi jain gay aur na hee yeh kahain gay keh MERA KAWWA TAU SAFAID HAY tum jo marzi daleel day lau. Ager aap main se koi mere saath kissi masle per baat kerna chahta hai to main haazir hoon yaqeen se kehta hoon jo baat daleel se sabit ker di jae gi usse maan loon ga. Allah ham sab ko hadayat de. Hum baat karnay ko tyaar hain laikin Pehlay usooli masail par baat ho gi aur phir faroi par. ya jaisay tum chose karo اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Talinenoor مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 shoaib tumhain ahlehadees hona mubarik ho. yeh buhat purani story ho gai hay keh main aaj say 3 saal pehlay apnay muhallay keh antihadees molvi say bhi yeh sun chuka hoon khe jee mera saara khandan barelvi hay main tehqeeq kar kay iss daldal main uttra hoon waghaira waghaira baqi Molvi Sadiq Kohati ko tau jaantay ho gay tum jo keh SABIQA DEOBUNDI MUNAZIR tha aur phir gumraahi main aik step aagay barh kat ANTIHADEES ban gaya aur uss kay baad gumraahi kay aglay darjay mian ja kar SHIA ho gaya. abhi uss ka taraqi ka safar jaari hay. agar woh issi tarh taraqi karta raha tau agla step QADIYANIYYAT hee ho ga. saheeh kaha ilzam tarashian daleel nahi hoti laikin agar unn kay saath saboot mojood haun tau woh ilzam nahi hotay balkeh uss ko haqeeqat kehtay hain. jee issi liye Antihadees munazir hamasha RAFFA YADDAIN kay munazira haar jaatay hain kiun keh aap ke pass behtar daleel hoti hay keh hum nay nahi man'na kuch bhi. jaisay tumhara Mubashir rabbani haar gaya tah Maulana Abdulkarim naqshabandi say aur tumhara qazi abdulrasheed haar gaya tha Maulana Mufti Ashraf Asif jallai say. aur jis tarah qazi abdulrasheed haar gaya tha Maulana Mustaf rizvi say . woh issi liye haar jaatay hain kiun keh unn kay pass daleel buhat mazboot hoti hay mukhalif ki nisbat.lolzzzzzzzzzzz aur yeh munaziar bhi agar parha hota tum nay tau iss tarh na likhtay keh jee humaray pass behtar daleel hay . Agar hay tau mujhay aik saheeh Qolli hadees dikhao Sehah Sitta say keh RASOOL ALLAH nay NAMAZ main raffa yaddain karnay ka hukm diyya hau. agar hay koi hadees tau paish karo RASOOL ALLAH ki poori zindagi ka koi aik lamha tau ho ga na jub RASOOL ALLAH nay Rafa yaddain karnay ka hukm diyya ho ga. hum bhi yaheen hain aap say baat karnay kay liye. aur aap ko koi ban nahi karay ga . haan agar aap nay abusive language use ki tau phir aap ko warning di jaye gi aur agar aap nay phir kuch kiya tau phir kuch action liya jaye ga. laikin mujhay umed hay keh aap yahan baat cheet karain gay aur pehlay walay antihadeeson aur deobundion ki tarah bhaag nahi jain gay aur na hee yeh kahain gay keh MERA KAWWA TAU SAFAID HAY tum jo marzi daleel day lau. Hum baat karnay ko tyaar hain laikin Pehlay usooli masail par baat ho gi aur phir faroi par. ya jaisay tum chose karo Brelvi hazrat ka Ahlehadees ho jana kahani nahin hai Ek haqeeqat hai. Aap logon k nazren churane se haqeeqat badal nahin sakti. Yeh acha mutaliba hai k yeh dikhao k Nabi ne RafaYaden ka hukam dia ho? Kia Nabi ne namaz k start wale RafaYaden ka hukam dia hai? Kia Nabi ne Eid kia namaz main jo RafaYaden kia jata hai uss ka hukam dia hai? Kia jo witr main qanoot se pehle ahnaaf RafaYaden kerte hain uss ka hukam dia hai? Ya inn se mutaliq koi qauli hadees milti hai? Issi tarah kia Nabi ne kahin hukam dia hai k Namaz main haath bandho ya naaf ke neeche baandho to abb kia haath baandhne chor die jaen ge. Phir yeh sharat sirf Rakoo wale Rafayaden k liye hi kion hai? Doosra yeh k kia sirf deen wohi hai jis ka Nabi hukam dain, jo Aap karen woh deen nahin hai. jin masael main Aap ka amal milta ho kia woh sab khatam ker die jaen. Iss tarh to Deen ka hulia hi bagar jae ga. Allah hamen mefooz fermae Shetaan se waswason se jo aisi ulti patian parhata hai.Aameen. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Brelvi hazrat ka Ahlehadees ho jana kahani nahin hai Ek haqeeqat hai. Aap logon k nazren churane se haqeeqat badal nahin sakti. Ahle Sunnat ke tum be deen bad mazhab hamesha se dushman rahy ho or Sada-lo bholy bhaly sunniyo ko behka kar gumrah karty rehty ho ismy kya naya hai ye to bilkul wahi baat hai jo azazeel ne Allah ki na farmani ke waqt ki thi ki me tere nek bando ki rah me bethunga or unko gumrah karunga.....so keep it up tum azazeel wala kaam karo hum Allah ki farmabardari wala ... Yeh acha mutaliba hai k yeh dikhao k Nabi ne RafaYaden ka hukam dia ho? Kia Nabi ne namaz k start wale RafaYaden ka hukam dia hai? Kia Nabi ne Eid kia namaz main jo RafaYaden kia jata hai uss ka hukam dia hai? Kia jo witr main qanoot se pehle ahnaaf RafaYaden kerte hain uss ka hukam dia hai? Ya inn se mutaliq koi qauli hadees milti hai? Issi tarah kia Nabi ne kahin hukam dia hai k Namaz main haath bandho ya naaf ke neeche baandho to abb kia haath baandhne chor die jaen ge. Phir yeh sharat sirf Rakoo wale Rafayaden k liye hi kion hai? ey be deen tum to abi se ghabra gaye. abhi to baat shuru bhi nahin ki sunniyo ne or anti hadeeson ke paseeny chutny lagy...ary khud kehty ho ki baat cheet-baat cheet wo bhi dalail se ab dalail mangy to lagy mimyane..kher wo dalail tum nahin de sakogy ki ankhon par gumrahi ka parda parha hua hai..ye lo suno ki kya huzur ne rafa den karny se roka...? Rafa den humary imam Imam E Azam Abu Hnifa ke mutabiq mansookh ho gaya hai or is par Sahih Muslim Tirmidhi Shareef Nisai Shareef ke hadeesy shahid hain. Rafa Yden Huzur aleh salam ne mansookh kar diya Sahih Muslim In Hadeeson ka mafhoom hai ki huzur ne Rafa Yaden karty sahaba ko dekha to unsy kaha ki ye kya tum ghoron ki tarah dum hila rahy ho namaz ko sukun or aram se ada kiya karo...." (1) Jabir b. Samura reported: The Messenger of Allah (may peace be upon him) came to us and said: How is it that I see you lifting your hands like the tails of headstrong horses? Be calm in prayer. He (the narrator) said: He then again came to us and saw us (sitting) in circles; he said: How is it that I see you in separate groups? He (the narrator) said: He again came to us and said: Why don't you draw yourselves up in rows as angels do in the presence of their Lord? We said: Messenger of Allah, bow do the angels draw themselves up in rows in the presence of their Lord? He (the Holy Prophet) said: They make the first rows complete and keep close together in the row. (Book #004, Hadith #0864) (2) Jabir b. Samura reported: When we said prayer with the Messenger of Allah (may peace be upon him), we pronounced: Peace be upon you and Mercy of Allah, peace be upon you and Mercy of Allah, and made gesture with the hand on both the sides. Upon this the Messenger of Allah (may peace be upon him said: What do you point out with your hands as if they are the tails of headstrong horses? This is enough for you that one should place one's hand on one's thigh and then pronounce salutation upon one's brother on the right side and then on the left. (Book #004, Hadith #0866) (3) Jabir b. Samura reported: We said our prayer with the Messenger of Allah (may peace be upon him) and, while pronouncing salutations, we made gestures with our hands (indicating)" Peace be upon you, peace be upon you." The Messenger of Allah (may peace be upon him) looked towards us and said: Why is it that you make gestures with your hands like the tails of headstrong horses? When any one of you pro- nounces salutation (in prayer) he should only turn his face towards his companion and should not make a gesture with his hand. (Book #004, Hadith #0867) Doosra yeh k kia sirf deen wohi hai jis ka Nabi hukam dain, jo Aap karen woh deen nahin hai. jin masael main Aap ka amal milta ho kia woh sab khatam ker die jaen. Iss tarh to Deen ka hulia hi bagar jae ga. Deen kya hai kya nahin ye anti hadees 1886 ki paidawaar nahin batayegi balki kya sunnat hai kya nahin ye batay hain mujtahid...or humary imam ne rafa den ko mansookh mana hai sahih hadeeson ki roshni me. Allah hamen mefooz fermae Shetaan se waswason se jo aisi ulti patian parhata hai.Aameen. tumhari puri post me sirf yahi ek baat tumny sahi ki hai is liye me ameen kehta hu ki Allah in GMS se hum momino ko mehfooz rakhy ameen summa ameen Rafa_yden.rm Rafa_yden_Mansookh.rm Rafa_yden_Mansookh_s.muslim_kitab_u_salat___Book_004__Number_0864_.rm Rafa_yden___Wahabis.rm اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Brelvi hazrat ka Ahlehadees ho jana kahani nahin hai Ek haqeeqat hai. Aap logon k nazren churane se haqeeqat badal nahin sakti. Ary o bhai, Ye Allah ki marzi hay. Jissy chaahy pahily izat se nawzy, aur ba'ad men us ko zaleel-o-khuwaar kary. Apny Jad-e-Amjad, Shaikh Najdi , Azzazeel, Iblees ki example tumhaary saamuny hay. Dekho us ko Allah ne kitny bary martaby par fa'iz kya tha. Wo apny ilm ki wajah se Mu'alim-ul-Malkut ban gayya tha. Lakin phir Allah ne Ta'azeem-e-Nabi na karny par us ko la'anti qaraar de kar jannat se nikaal dya. Ab aayee baat samajh men. Allah hamen mefooz fermae Shetaan se waswason se jo aisi ulti patian parhata hai. Is ko aisy likhna chahiye tha tum ko: "Allah Ahl-e-Sunnat ko mehfooz farmaaye Shaitaan (Ahl-e-Hadith) k waswason se, jo aisee ulti patiyaan parhaaty hain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Jad Dul Mukhtar مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 ASSALAM-U-ALAIKUM WA RAHMATULLAHI TA'ALA WA BARAKATUH WA MAGFIRAH ALL SHOAIB SAY PEHLAY AQAID PER BAAT HONI CHAHIYE PHIR FROYE MASAIL PER BAAT HOGI. PEHLAY YE APNA MUSALMAN HONA SABIT KARAY PHIR RAFA YADEEN, VITER, TAREEH, SPRUM PAK HAI YA NAHI, KHIMZEER PAK YA NAJIZ, MUTA HARAM YA HALAL,.............................................ETC PEHLAY APNA EMAN SABIT KARAY PHIR BAAT HOGI AGAY. JAZAKALLAH AZZAWAJAL ALL SUNNIES AAMEEEEEEEEEN اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Talinenoor مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 (ترمیم شدہ) Asslamoalaikum 2 all Muslims, Bohat afsos hua aap sab ke jawab dekh ker. Kissi insaaf pasand ke saame meri posts rakh dain aur doosri taraf aap logon k jawab rakh die jaen to woh jaan jae ga k aap log sirf baten bana sakte ho. Ulti seedhi main bhi haank sakta hoon. Lakin main asooli tor per baat kerna chahta hoon. Mere se jo mutaliba kia gaya tha main ne ussi tarah k doosre mutalibaat ker k yeh baat saabet ker di thi k iss tarah ka mutliba hi galat hai k yoon nahin yoon dikhao. uss taraf to jawab bana nahin oar laga koi kuch to koi kuch kehne. Main pehle bhi keh chuka hoon k taasub ko aik taraf rakh ker baat ki jae to hi faeda ho sakta hai. Mager aap log apni posts parh lain her aik Eemaan o Kufer k certificate taqseem ker raha hai. Kia hood ko Ahlehadees kehne se banda kaafir ho jaata hai? Taff hai aise taasub per. Lahaza guzarish hai k ache tareeqe se baat ki jae. Allah ne to Moosa Alehisalam ko Faraoon jaise k paas bheja tha to talqeen ki thi k ache tareeqe se baat kerna. Aap log jab Nabi SallAllah o Alehe Wasalm se mohabbat ka dawa rakhte hain to unn ke usswa-e-karima ko hi saamne rakhen. Rahi baat Jabir bin Sumra R.A wali hadees ki to InshaAllah jald uss ka tafseeli jawab doon ga. Abhi sirf itna goar karen k iss hadees main to Rakoo jate Rakoo se uthte waqt RafaYaden kerne ka naam o nishaan bhi nahin. Lakin ager aap main se koi kahe k Jab RafaYaden ka lafaz mojood hai to phir Rakoo wala RafaYaden bhi aa gaya to phir iss hadees se Shuroo namaz wala RafaYaden bhi to band hona chahiye. Witer wala RafaYaden bhi to band hona chahiye. Eid ki namaz wale RafaYaden bhi to band hona chahiye. Iss Hadees per hood ahnaaf jis tarah samajhte hai amal nahin kerte. Wasalam Edited 22 ستمبر 2007 by talinenoor اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Shoeb,, afsos tum posts per nahi apni aqal per karo.. kyoon keh jab tak bunyadi aqida theek nahi ho ga firohi ikhtlafat ka zikar karna baikaar hai.. tum pahley aqeedey kee baat to karo.. phir aagey baat ho gi. Imtiaz اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Jad Dul Mukhtar مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 ASSALAM-U-ALAIKUM WA RAHMATULLAHI TA'ALA WA BARAKATUH WA MAGFIRAH SHOAIB APP SAY KAHA HAI KEH PEHLAY APNA EMAN SABIT KARO, APNA MUSALMAN HONA SABIT KARO, TUMHARA ALLAH AZZAWAJAL, MALAIKA ALAIHI SALAM, ANBIYA ALAIHI SALAM, SAHABAH IKRAM RADI ALLAH ANHUM, UMAHATUL MOMONEEN RADI ALLAH ANHUM, KAY BARAY MAIN KYA AQIDA HAIN. FROYE MASAIL PER ABHI BAT KARAIN GAY TUM SAY ITNI JALDI KYA HAI, RAFA YADEEN KI JO MANTAK TUM NAY POST KI HAI ISS SAY ANDAZA HOGAYA KAH TUM KITNAY PANI MAIN HO. IDDER UDDOR KI CHOORO OR JAWAB DO DALEEL SAY. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ghulam e Azhari مراسلہ: 22 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 22 ستمبر 2007 pehle to khud daleel par baat karne par zor de rahe the, ab khud emotional andaz apna kar apne anti-hadees maslak ko defend karrahe hain! اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madani Munna مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Salam At All Sunni bros And Siss Sohaib Sahib Tumharay In GM Imamoon Ney Tumharay Firqay Main Itni Lazatain Add Kar Di Hain K GMs Ko Us Main Say Nikalney Ki Himat Nahin Hooti Aasi Aasi Batain K Banda Openly beyan B Nahin Kar Sakta Hafiz Nisar Bhai ka WO Beyan Sunnna JO IE(IslamiEducation) par Mujood Hai Baqi Batain karney Kay leyae Baray Bhai Hain Humaray IM Main Bas Ek Req Hai Bagh Na jana Bcoz In saneeat kay Tehat Humari yeah Khuwahis hai Kay Hum Har Gumrah Ko Allah Aor Us Kay Rasool Ki madad Say Rah-e-Hidayat Par Lain Joo Tum Humain kehtay Hoo Kud B Un Par Aamal karoo dalail Say bat Karoo And rigid Na Hoo hmmm let me See .......... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Umar Taj Attari مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Aslamualikum, Shoib sahab agar ap a hi gaye hai to emotional na hon aur sidq-e dil se Allah Azzawajal ki bargah mein dua karen ke ap ko "SIRAAT_E_MUSTAQEEM" dikhaye aur us per chalne ki taufeeq bhi de. Aur apne dimag ki khirki ko khol ke ye bata do ke kya jis jaga kisi ke emaan ko qabool na kiya ja raha ho wahan apni yeh rat laga rakhna ke "mera amal theek hai" kitna ahmaqana aur tiflana tareeqa hai are bhai sab ne tuje kaha hai k pehle bunyadi baat karo apne aqaid ko sahi sabit karo, ye saabit karo ke tum musalman kehlane ke haqdar bhi ho,ya ye sabit karo ke gher muslim ke aamal Allah Azzawajal ki bargah mein koi haiseeyat rakhtein hain. Lekin tum ne tau totey ki tarhan rafayadeen ki hi rat laga rakhi hai. arey bhai terey rafayadeen ke muamley mein koi bhi nahi bhaga sab ne kaha ke is masley mein bhi tumhe inshallah Azzawajal lajawab kar dein ge. ginti sidhi gino ge tou na leki tumhara to israar hai ke tum ne ginti ulti hi ginani hai. agar meri baat samaj na aye to doobara parh lena ya kisi ba shaoor aur insaaf pasand shakhs ki khidmat hasil karna. Allah azzawajal hum sab ko ghustakhan-e-Khuda wa Mustafa Azzawajalla wa sallalahoalaihiwasalim ki makkariyoon se aur freebkariyoon se mehfooz rakhey aur hamarey emaanoon ki hifazat farmaye. (Ameen). اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 23 ستمبر 2007 tamam islami bhai.. bohat achi tarah treat kar rahey hain is matter ko. Allah azawajal in logon ko hidayat de... aur humain apney hifz o aman main rakhey.. aamin.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 23 ستمبر 2007 pehle to khud daleel par baat karne par zor de rahe the, ab khud emotional andaz apna kar apne anti-hadees maslak ko defend karrahe hain! Bhai jaan ye in ki fitrat hay. Aadaten badal jaati hain, lakin fitart nahin badalti اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Aashique-Mustafa مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Mein ye kehna Chahta hoon k Rafa yadein 1 Firoi masla hai is se na banda Daira islam se kharij hota hai,, na isse kufr lazim aata hai,, or ye k is k bager bhi aap ke ulama k nazdeek namaz ho jati hai or aap k ulama k nazdeek ye sirf 1 sunnat ki haisiat rakhti hai,, to is per bhes ho sakti hai per pehle bhes aqaid per honi chahiye,, jo k dunya or aakhirat me kaamyaabi k zimmewaar hain,, umeed hai meri baat per ghor farmaenge,, اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ussaid-e-Raza مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 23 ستمبر 2007 Subhan Allah (azawajal) dear asheque Mustafa (Sallalahoaliwasalam) bhai aap ne kiya dandan shikan aur pur asar jawab diya hai.. ab Allah azawajal se dua hai keh Shoeb aur tammam batil aqeedey waloan ko hidayat ata farmaey.. aamin.. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Talinenoor مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Asslamoalaikum, Yeh baat bilkul sahih hai k jab tak insaan k aqaed darust na hon tab tak koi amal qabool nahin hota. RafaYaden per baat zimni tor per aa gai thi k main ne yahan per aik post Rafayaden k motaliq parhi thi. Theek hai iss per baat baad main ho gi pehle baat aqaed per hi ho, main aap ki iss baat se agree kerta hoon. Lakin iss silsele main chand cheezain clear kerna zaroori hain. Main pehle bhi keh chuka hoon k main Ahehadees hoon iss naate k main hadees ko maanta hoon. Iss naate se main Ahlesunnat bhi hoon k main Sunnat ko tasleem kerta hoon. Main ne kalma parha hai Muhammad-ur-Rasool Allah ka. Lahaza mere nazdeek hujjat bhi sirf unhi ki baat hai. Koi Shah Ismail ho ya Ahmed Raza jis ki baat galat ho gi woh thukra di jae gi. Apne aqeeda bata doon k mere nazdeek Quran o Hadees se jo saabit ho jae wohi aqeeda hai. Haan, bila daleel kissi baat ko main tasleem nahin kerta chahe woh dekhne main acchi lage. InshaAllah main aqaed k mozoo per hi post keroon ga. Bohat si baaten aisi hain jo sirf ham ne jazbaati andaaz main apnai hui hain. InshaAllah ahista ahista different topics per azhaar keroon ga. Jahan mujhe galat samjhain daleel k saath islaah ker dain aur jahan apna galat hona nazar aaye wahan apni islaah ker lain. Allah ham sab ko hadayat de. Aameen اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Aashique-Mustafa مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Asslamoalaikum,Yeh baat bilkul sahih hai k jab tak insaan k aqaed darust na hon tab tak koi amal qabool nahin hota. RafaYaden per baat zimni tor per aa gai thi k main ne yahan per aik post Rafayaden k motaliq parhi thi. Theek hai iss per baat baad main ho gi pehle baat aqaed per hi ho, main aap ki iss baat se agree kerta hoon. Lakin iss silsele main chand cheezain clear kerna zaroori hain. Main pehle bhi keh chuka hoon k main Ahehadees hoon iss naate k main hadees ko maanta hoon. Iss naate se main Ahlesunnat bhi hoon k main Sunnat ko tasleem kerta hoon. Main ne kalma parha hai Muhammad-ur-Rasool Allah ka. Lahaza mere nazdeek hujjat bhi sirf unhi ki baat hai. Koi Shah Ismail ho ya Ahmed Raza jis ki baat galat ho gi woh thukra di jae gi. Apne aqeeda bata doon k mere nazdeek Quran o Hadees se jo saabit ho jae wohi aqeeda hai. Haan, bila daleel kissi baat ko main tasleem nahin kerta chahe woh dekhne main acchi lage. InshaAllah main aqaed k mozoo per hi post keroon ga. Bohat si baaten aisi hain jo sirf ham ne jazbaati andaaz main apnai hui hain. InshaAllah ahista ahista different topics per azhaar keroon ga. Jahan mujhe galat samjhain daleel k saath islaah ker dain aur jahan apna galat hona nazar aaye wahan apni islaah ker lain. Allah ham sab ko hadayat de. Aameen Bhai agar aap k nazdeek ismail dehlvi hujjat nahi to barah e karam ye Clear kardein k un ki jo ibaratein mein ne zikr ki hain wo durust hain ya nahi agar durust nahi hain to fatwa dein k ye ambia e karam ki gustakhi per mabni hai k nahi doosri baat ye k aap kehte hain k mere nazdeek sahi hadeesein hujjat hain to jo mein ny Wahabio k khurooj se mutalliq ahadees zikr kee wo aap k nazdeek hujjat kyun nahi,, umeed karta hoon jawab inayat farma kar meri tasalli karenge,, اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mudasir Yaseen مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Asslamoalaikum,Yeh baat bilkul sahih hai k jab tak insaan k aqaed darust na hon tab tak koi amal qabool nahin hota. Shoaib ab tum ne theek baat kahi hay. InshaAllah main aqaed k mozoo per hi post keroon ga. Bohat si baaten aisi hain jo sirf ham ne jazbaati andaaz main apnai hui hain. InshaAllah ahista ahista different topics per azhaar keroon ga. Jahan mujhe galat samjhain daleel k saath islaah ker dain aur jahan apna galat hona nazar aaye wahan apni islaah ker lain. Allah ham sab ko hadayat de. Aameen Chalo ye b achhi baat hay k "Tum ne ye b maan liya k pahile aqa'id par hee guftugu honi chahiye. Mery khayaal men tum ko jo baaten Aashiq-e-Mustafa bhai ne batayee hain: Ismaeel Dehlvi sahab k baary men, un k baary men kya khaytaal hay tumhaara ? Kya aisee baaten karny wala musalmaan ho sakta hay ? Pahile tum in k baary men batao. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Talinenoor مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 24 ستمبر 2007 (ترمیم شدہ) Shoaib ab tum ne theek baat kahi hay. Chalo ye b achhi baat hay k "Tum ne ye b maan liya k pahile aqa'id par hee guftugu honi chahiye. Mery khayaal men tum ko jo baaten Aashiq-e-Mustafa bhai ne batayee hain: Ismaeel Dehlvi sahab k baary men, un k baary men kya khaytaal hay tumhaara ? Kya aisee baaten karny wala musalmaan ho sakta hay ? Pahile tum in k baary men batao. Thora sa intezar main aik aik point per baat keroon ga, inshaAllah Pehle kuch galatfehmian hain woh door ker laine dain jaise k kia ummat main sirak ho sakta hai k nahin aur iss tarah ki doosri baten jo barri wajah hain hamare dermian ikhtilaaf ki. Zaati ibaaraat per bhi baat ho gi, aur inshaAllah jab Ahmed Raza khan sahib ki Ibaaraat bhi samne hon gi phir sahih nateeja nikle ga. Abhi main Aqaed per hi baat keroon ga aur unn aqaed pr jo ahlehadees aur brelviat k dermian jhagre ka baes hain unn aqaed per apna khayal Quran o Sunnat ki roshni main pesh keroon ga. Sirf thora sa intezar phir aik k baad aik post diff. topics per bhejoon ga jo main likh raha hoon. abhi filhaal aik post aam islah k liye bhej raha hoon umeed hai zaroor parhen ge. http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2496 Edited 24 ستمبر 2007 by talinenoor اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Ya Mohammadah مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Thora sa intezar main aik aik point per baat keroon ga, inshaAllahPehle kuch galatfehmian hain woh door ker laine dain jaise k kia ummat main sirak ho sakta hai k nahin aur iss tarah ki doosri baten jo barri wajah hain hamare dermian ikhtilaaf ki. Zaati ibaaraat per bhi baat ho gi, aur inshaAllah jab Ahmed Raza khan sahib ki Ibaaraat bhi samne hon gi phir sahih nateeja nikle ga. Abhi main Aqaed per hi baat keroon ga aur unn aqaed pr jo ahlehadees aur brelviat k dermian jhagre ka baes hain unn aqaed per apna khayal Quran o Sunnat ki roshni main pesh keroon ga. Sirf thora sa intezar phir aik k baad aik post diff. topics per bhejoon ga jo main likh raha hoon. abhi filhaal aik post aam islah k liye bhej raha hoon umeed hai zaroor parhen ge. http://www.islamimehfil.info/forum/index.php?showtopic=2496 talinenoor tumny phir mozu se hat kar post karna shuru kar di ki taqleed wajib hai ya nahin ya ahle sunnat me jo mukhtalif din manaye jaty hain wo manana jayaz hai ya nahin...tumsy kaha ja raha hai ki tum pehly apna imaan sabit karo or ahle hadeeson ka haq par hona sabit karo phir furuhaat or degar masail par behas hogi.abhi me tum ko warn kar raha hu is section ko chor kar kahin or pasting na karna....is liye jab tak tum is behas ko pura nahin karogy tab tak tumhari post approved nahin ki jayengi.... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Talinenoor مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Author Report Share مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Asslamoalaikum, Yeh Sahih nahin hai. Abhi to sirf pehli hi post thi usse udher hi rehne dete delete kion ki ta k sab dekh sakte kon sahih keh raha hai Abhi to start hi lia tha aur uss main zara sa bhi kissi ko abuse nahin kia gaya. tum logon main daleel se baat kerne ki himmat nahin. aik aisi post ko bhi delete ker dia gaya hai jiss main koi tanqeed nahin ki gai to phir tab kia ho ga jab tanqeedi baten saamne aayen gi. yeh kia baat hai Eeman sabit kero? Ager yehi shart tum logon per laga di jae to tum kaise Eeman saabit kero ge? Bolne ka haq to do jahan galat hoonn Nishandahi kero, Islah kero yeh kia k post hi delete ker di. itni Buzdali. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Madani Munna مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Report Share مراسلہ: 24 ستمبر 2007 Hey Bro Jab Kud Tasleem Kiya Hai Kay Aaqaid Par bat honi Chahiye (Pehlay) Too Ab Munkar Kiyon Ban Rahay Hoo Kud Ko haq par Sabit Karooo Pir Jitni Marzi Posts Karna Koi Nahin Rookay ga Na Hi Del Karay Ga اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔