mrs.tuseef مراسلہ: 23 مارچ 2016 Report Share مراسلہ: 23 مارچ 2016 a.o.a mja aik sharyat ka masla pochna hay k agar shohar t.v daikhtay ho acter ki naqul otartay hoay kahay k talak talak talak to kya talak ho jati hay shohar nay pora jumla nai kaha k main tumahain talak daita hon ya nai kaha bus talak ka lafz istamal kya hay shohor nay b.v ko daikh k ya mokhatib kar k nai kaha na hi niyat kar k kaha bus naqal otati thi acter ki اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Saad Qadri مراسلہ: 29 مارچ 2016 Report Share مراسلہ: 29 مارچ 2016 Talaq kay valid honey kay liye izafat (yani biwi ki taraf talaq ko mansoob karna) zarori hai. Aur izafat kabhi niyat mai hoti hai aur kabhi lafzon mai. Niyat mai talaq chand tareeqon se sabit hoti hai: 1. koi Qareena aisa maujood ho jis se yeh baat sabit ho kay mard nay apni biwi ko talaq denay hi ki niyat ki thi. Aur phir ager shohar inkaar kardey aur kahay kay meri aisi koi niyat nahi thi toh qasam kay sath us ki baat ka aeitibaar kia jaye ga. 2. Shohar khud bata de kay mainay apni biwi ko talaq dene ka irada kia tah. Is soorat mai talaq qazaan waqey hojaye gi. Lafzon mai izafat chand tareeqon se sabit hoti hai: 1. Clearly biwi ko Talaq ka kaha jaye. Maslana tujh ko abb talaq hai, maine tujhay talaq di etc. 2. Talaq kay alfaaz kisi aisay kalam kay jawab mai payen jaye jis mai clearly biwi ki taraf talaq zikar ki gai thi. maslan biwi kahay kay mujhay talaq do, aur shohar kahay kay mainay talaq di etc. 3. Urf mai kisi lafz ko biwi ko talaq dene kay liyay khass ho. Maslan shohar kahay kay mujhay talaq hai aur urf mai is ko biwi ko talaq dena samjha jata ho to is se bhi talaq hojaye gi. Lihaza, aap ki poochi gai surat mai ager talaq ki izafat zikar karda tafseel ki roshni mai biwi ki taraf nahi paaye gi, toh talaq waqey nahi hogi. Warna hogai. Bahr haal, Is tarah kay jumlay nikalna azdawaji zindagi par khatarnak hosakta hai. Lihaza, aainda khayal rakhay aur is kisam key fuzuliyaat mai na parein. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔