Jump to content

A'la Hadrat, Ash Shah Imam Ahmed Raza Khan al-Qaadiri (alaihir rahmah)


Nazia

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

Mien aik topic start kar rahin hoon A'la Hadrat, Ash Shah Imam Ahmed Raza Khan al-Qaadiri (alaihir rahmah) k barey mein,mein tamam member say guzarish karoongi k yahaan woh A'la Hadrat (ra) ki hayat tayaba k barey mein disscusion karein un ki zindagi k waqiat un k barey mein lakin roman mein kyun k un k barey mein bhut si kitabein likhein hain par woh mushkil urdu mein hoti hain k mujhey tou bilkul hi samjh nahi ati :rolleyes: so plzzzz asan urdu mein likhein takey sab un barey mein jaan jaye jitna mujh na'ahl ko ata hai mein likh dayti hoon plzz Un k barey mein shair zaroor karye ga

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Aba-o-Ajdad

 

Hozoor(Al,a Hadrat) k Abao ijdad kandhar k Moqar qabila barh'hitch k pathan thay.Shahan Moghliya k o'had mein Lahore aye or moaz'ziz oh'do per faiz howe.

 

App (ra) k per dada Allama Mawlana Sa'eedullah Khan (ra) k Shabzaday Hazrat Sa'adat Yaar khan (ra) hain or in k teen she'zade hain

  1. Hazrat Azam khan (ra)
  2. Hazrat Muaz'zam khan (ra)
  3. Hazrat MUkram khan (ra)

Hazrat Azam khan (ra) k Shabzaday Janab Hafiz Muhammad kazim Ali Khan (ra) app k shabzaday Hazrat Maulana Raza Ali khan (ra) app k Shabzaday Maulana Naqi Ali Khan (ra) or APP k shabzaday hain A'la Hadrat, Ash Shah Imam Ahmed Raza Khan al-Qaadiri (alaihir rahmah)

Wiladat-e-ba'sadat

App k Walid-e-Majid (ra) nay bhut ajeeb khuwab dekha,jis ki wajah say kuch pareshani lahaq rahi raat bhar is khawab ki fikr mein rahey or phir jab subha uthey tou Apnay Walid-e-muhtaram Hazrat Maulana Raza Ali khan (ra) say khuwab bayan kiya tou App (ra) nay farmaya "yeh mubarak khuwab hai,bisharat hai k PARWARDEGAR ALAM (jallah) tumhein aik farzand ata farmaye ga,jo ilm k darya bhaye ga,jis ka shu'rah mashriq-o- maghrib mein phelay ga"

App ki wiladat-e-basadat peer sharif k din waqt-e-Zuhar 10 Shawaal 1272 A.H. (14th June 1856),mein Bareilly Shareef, India ki city "jasooli" mein hoye

Edited by nazia
Link to comment
Share on other sites

Huzoor (Al,a Hadrat) k Abao ijdad kandhar k Moqar qabila barh'hitch k pathan thay. Shahan Moghliya ke ehed mein Lahore aye or moaz'zaz ohdo per faiz howe.

App (ra) k Per dada Allama Mawlana Sa'eedullah Khan (ra) k Shabzaday Hazrat Sa'adat Yaar khan (ra) hain or in k teen she'zade hain

  1. Hazrat Azam khan (ra)
  2. Hazrat Muaz'zam khan (ra)
  3. Hazrat MUkram khan (ra)

Hazrat Azam khan (ra) k Shabzaday Janab Hafiz Muhammad kazim Ali Khan (ra) app k shabzaday Hazrat Maulana Raza Ali khan (ra) app k Shabzaday Maulana Naqi Ali Khan (ra)

GREAT SOURCE....!

Jazakillaaahu Khairaa..

 

lekin plz iski source define kare... ke aapne ye knowledge kahan se takhreej farmaai... yani ke is source ka Hawala zaroor daaliye taake reader ko Itmenaan rahey...

 

Regards, Was Salaam

Link to comment
Share on other sites

ISM-E-SHAREEF

App (ra) ki wiladat k waqt APP (ra) ka khoobsorat naam "MUHAMMAD"rakha gaya .App (ra) ka tareekhi naam "Al Mukhtaar" hai, App (ra) k Dada Allama Mawlana Raza Ali Khan (radi Allahu anhu) nay App (ra) ko "Ahmed Raza." keh kar pukara or App (ra) isi naam say mash'hoor hoye

 

BACHPAN KA HALAT

Janab Ayub Ali shab farmatein hain k "Bachpan mein App (ra) ko ghar mein ek Mowlvi sahab parhaney aya kartay.Ek roz ka zikr hai Mowlvi sb App (ra) ko kisi AYAT KAREEMA ka ek lafz bar bar parhatey,magar App (ra) ki zuban-e-Mubarak say nahi niklata tha jab yeh kafiyat App (ra) k DADA Allama Mawlana Raza Ali Khan (radi Allahu anhu), nay dekhi tou App (ra) ko apnay pass bolaya or Quran pak mangwa kar dekha tou is mein katib nay zer ki jagha zabr likh diya tha yani jo Al'a Hadart (radi Allahu anhu) ki zaban say nikla woh sahi tha phir App (ra) k DADA (ra) nay phoocha Beta (ra) jaisay Mowlvi sb nay parhaya aisay kyun nahi parha tou App (ra) nay farmaya k Mein iradha karta magar zuban say na niklta tha, yeh Waqi'yaat Molvi sahab ko baar baar pash aye tou Unho nay App (ra) ko ek martaba tanhaye mein poocha Shabzaday sach sach batado mein kisi say kha'oon ga nahi tum insaan ho ya jin tou App (ra) nay farmaya ALLAH (jallah) ka sukar hai mein insan hoon haan! Allah (jallah) ka fazl-o-karm shamil hai.

 

Imaan Ki Hifizat

meray Al'a Hadrat nay imaan ki hifazat farmaye, Us waqt hamara imaan bach'aya jab jagha jagha chor phir rahay thay, Humarey Al'a Hadrat

 

 

Hashr tak jari rahey ga faiz Aqa App (ra) ka

Fiaz ka darya bhaya Aey!Imam Ahmed RAZA (ra)

 

Aleh Sunnat ka chaman ujra hoya viran tha

Khil utha tou (ra) jab k aya Aey!Imam Ahmed RAZA (ra)

 

Maslakey Al'a Hazrat salamat rahey Ameen

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

(ja)

yeh sab kuch mein nay site www.taajushshariah.com say liya hai or kuch kitab say "book name is "HAYAT-E-ALAHAZRAT" mos'sanif Hazrat Allama Maulana Muhammad Zafar-u-din kudus sar'rah hain

 

Yeh sites un k Per Potey or meray Peer-o-Murshid Taajush Shari?ah, Hadrat Allama Mufti Mohammed Akhtar Raza Khan Azhari al-Qaadiri ki hai.

 

fi-aman:

 

Duaon ki talbgar

Aghar koye ghalti ho tou islah zaroor karye ga

Edited by nazia
Link to comment
Share on other sites

yeh sab kuch mein nay site www.taajushshariah.com say liya hai or kuch kitab say "book name is "HAYAT-E-ALAHAZRAT" mos'sanif Hazrat Allama Maulana Muhammad Zafar-u-din kudus sar'rah hain.....

 

Yeh sites un k Per Potey or meray Peer-o-Murshid Taajush Shari?ah, Hadrat Allama Mufti Mohammed Akhtar Raza Khan Azhari al-Qaadiri ki hai.

 

 

Maa Shaaa Allaaahu Ta'alaa...

Great to know that Nabeerah-e-Aalahazrat aapke Shaikh-e-Tareeqat hain...

bara-e-Khak-e-Madinaa.. apni Duaaon me shamil rakhiye ga....

 

or apni har Posts me, Books ya Websites ke Hawalo ko issi tarah mentioned karte rahiye ga..

 

regards, was Salam

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...