Jump to content

What do you say about this matter?


Ghulam e Azhari

تجویز کردہ جواب

Assalamualaikum, sab se pehle to ap yeh Quran ki ayat samjhain jo ke Surah Baraqah main hai (Kanz-ul-Iman, 2:176):

یہ اس لئے کہ اللّٰہ نے کتاب حق کے ساتھ اتاری اور بے شک جو لوگ کتاب میں اختلاف ڈالنے لگے وہ ضرور پرلے سرے کے جھگڑالو ہیں

is ki Tafseer main Hazrat Na'eemi ud Din Muradabadi (Alaihir-Rahman) likhte hain keh yahan Kitab se murad Quran hai.

 

This ayah in english by Yusuf Ali:

(Their doom is) because Allah sent down the Book in truth but those who seek causes of dispute in the Book are in a schism Far (from the purpose).

 

Is hi tarha aik Hadees hai Sunan-e-Abu Dawood main Kitab-ul-Ilm main:

"jis ne Allah ki kitab ka matlab apne muakkif se kiya us ne ghalat kiya agar cheh woh sahih kiun na ho."

 

yehi Hadees english main bhi parh lain:

 

The Prophet (Peace and blessings of Allah be upon him) said: If anyone interprets the Book of Allah in the light of his opinion even if he is right, he has erred. (Sunan Abu Dawood, Book 25, number 3644)

 

Ab ap se yeh sawal hai keh agar aik hi Quran ki tabeer hai to phir aj hamain itni ziyada tabeerain kiun nazar ati hai? aur kuch zalimeen, jo apne ap ko sunni kehte hain, kehte hain keh Kanz-ul-Iman 100 saal purani Tabeer hai aur aj ke liye modern science ki tabeer ki zaroorat hai. Un Zalimon ne apna tarjuma bhi kiya hai aur woh 21 wi sadi ki science ke mutabik hai. Lekin oopar di hui ayat aur hadees se yeh baat pata chalti hai keh nai nai quran ki tabeerain banana jaiz nahi hai. Ap sab se guzarish hai keh ap is maamle main kuch na kuch tehreer karain.

 

JazakAllah Khair,

Mumtaz Hussain Attari Qadiri.

Link to comment
Share on other sites

acha sawal hai..

 

 

Is ka koi jawab bhi hoga bhai... lol

 

Khair... Zara sochne ki baat hai keh agar is hi tarha silsila chalta raha to Bible ke bohot saare versions main aur Quran ki bohot saari interpretations (tabeeron) main kiya farq reh jaega.

 

Jabke aik Hadees aur mere Zehen main arahi hai keh Huzoor Nabi-e-Kareem (Peace and Blessings of Allah be upon him) ne farmaya "Hazrat Sulaiman ne bohot se jinnon ko samandar main qaid kar diya tha, qareeb hai keh woh choot jae aur logon ke saamne Quran parhain"

 

Baraae karami agar yeh Hadees likhne main koi ghalati hogai ho to please islaah kar di jiyega. Is Hadees se saaf zahir hai keh Quran main se nai nai baatain nikali jaengi jo keh Qayamat ki nishani hai.

Link to comment
Share on other sites

Mere khayal se tafseer aur tarjuma likhney per koi aitraz nahi hona chahiye.

kiyoon keh ulema-e-ahlesunnat ne muted tarajim aur tafaseer likhi hain.

asal mamla mafhoom ka hai agar mafhoom quran o sunnat ke mutabiq akhaz

kiya jaa raha ho to koi harj nahi..

Allah azawaja aur uss ke Rasool (sallalaho ali waslam) hi behtar jaantey hain.

Link to comment
Share on other sites

Mere khayal se tafseer aur tarjuma likhney per koi aitraz nahi hona chahiye.

kiyoon keh ulema-e-ahlesunnat ne muted tarajim aur tafaseer likhi hain.

asal mamla mafhoom ka hai agar mafhoom quran o sunnat ke mutabiq akhaz

kiya jaa raha ho to koi harj nahi..

Allah azawaja aur uss ke Rasool (sallalaho ali waslam) hi behtar jaantey hain.

 

Bilkul theek. Quran ki ayaton ka matlab to 1400+ saal pehle hi wazeh hogaya tha. lekin aj ki dunya main kuch Zalimeen Qurani ayaton ke poore poore matlab badal rahe hain. Jese ke Qadyani Khatm-e-Nabuwwat par ayaton ka ma'aana badal dete hain aur ayat ko twist karte hain. Mazeed yeh keh aj kal ke Sulah-Kulliyat wale apna tarjuma samne la rahe hain jo modern science ke mutabik hai aur bohot barh charh kar science ke joote chaat rahe hain.

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...