Jump to content

Sarfaraz Khan Safdar Ki Kitab: Iza E Sunnat, Darkar Heh.

MuhammedAli

تجویز کردہ جواب

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

Salam alayqum,

Kissi waja say aap ko pm nahin behij pa raha, idhar hi paste karta hoon. Aap download kar lenh toh batayeh ga, link remove kar doon ga.

[Link Removed]

Download karnay kay leyeh link kay PDF walay hissay par click karyeh ga us ki position tasweer meh point kar deeh heh.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum,

Khadim nay Maulana Sarfaraz Khan Safdar Ghakharvi ki Kitab Rah e Sunnat ka Tafseelan jawab likhnay ka irada keeya heh magar keun kay khud Urdu likhnay say ajiz hoon [keun kay Urdu mein likhna ata nahin] is leyeh romanised Urdu meh likh raha hoon. Aur masla dar paish heh kay is material ko Urdu meh transfer kerna peray ga aur is mein aap bahiyoon ki madad ki zeroorat hogi agar kohi bahee is mein madad kerna pasand karay toh mujjay pm message keray. Dosra issue heh, kay Maulana Sarfaraz Khan nay Ulama e sabiqa zamanay ki kutub say dalahil pesh keeyeh hen aur mera ilm sirf Quran o Hadith taq hee mehdood heh Ulamah kia likh gahay hen aur kis ka kia nazria thah is par kabi tawajoh nahin keeh. Is wajah say esay hawalajat ka verify kernay ka aur ibaraat kay tarjumein meh madad bi chahyeh hogi aur Ulamah kay asal muwaqif ki tehqeeq bi. Is leyeh tawaqoh kerta hoon kay is forum ahle ilm hazraat madad keren gay. Khas request heh kay agar kissi kay pass esa material heh Rah e Sunnat kay kissi pehloo kay radd meh madad ker sakta heh toh barahay mahirbani pm per zeroor share karen.

Neechay khadim nay joh bab banday hen un ki list paish e khidmat heh. Asal mein jis numerical order meh bab hen ussi meh likhay hen, magar rawani qata ho rahi thee jis waja say color coding kar dee taqay jis mozooat ka direct ek dosray say talluq heh woh wazia ho jahay.

Aur yeh sections kohi khatami list nahin sirf Maulana Sahib kay safa 12 say 15 mein joh kuch likha heh us par rad e amal heh.

-------------------------------------------------------------------------------------------------------

Kitab: Sirat E Quran O Sunnat

Bajawab: Rah E Sunnat.

---------------------------------------------

0.0 - Allah Aur Rasool Ki Atahat:

0.1 - Ikhtilafi Masail Mein Allah Aur RasoolAllah Ki Taraf Ruju Kerna:

Qanoon Saazi Ka Mansub Ka Ikhtiyar:

Maulana SKS Ghakharvi Ka Nazria e Qanoon Saazi:

Maulana SKS Ghakharvi Kay Nazria e Qanoon Saazi Par Tanqeed:

Maulana SKS Ghakharvi Kay Nazria e Qanoon Saazi Ki Islah:

1.0 - Allah Ka Deen Islam Heh:

1.1 - Deen Akmal O Mukammil Heh:

1.2 - Deen e Islam Akmal O Mukamal Ulamah e Islam Ki Nazar Mein:

1.3 - Man-Pasand ‘Islam’ Aur Essay Mazhab Ka Mardood Hona:

2.0 - Islam Ki Akmaliat Meh Kon Sa Nazria Nuqs Sabat Karta Heh:

2.1 – Ijtihadi Islam Akmaliat e Islam Meh Nuqs Sabat Nahin Kerta:

3.0 - Nau Ijad Sunnat e Hasana O Khaira Kay Ajar Ki Khabr:

3.1 - Nau Ijad Sunnat e Zalala O Shar Kay Gunnah Ki Khabr:

4.0 – Lafz Sunnat Ka Istimal Quran O Hadith Ki Roshini Mein:

4.1 – Nau Ijad Sunnat Ka Islam Mein Dakhal Keeya Jana Biddat Ka Dakhal Islam Keeya Jana Heh:

4.2 – Lafz Sunnat Bator Lafz Biddat Ka Mutabadil:

4.3 – Biddat Ka Hasana Hona Baqawl Hadhrat Umar:

5.0 - Sunnat e Hasana O Zalala Ka Tayyun Quran O Hadith:

5.1 – Sunnat e Hasana Ka Sunnat e RasoolAllah Hona Zeroori Nahin:

5.2 – Sunnat e Hasana O Zalala Par Tafseeli Wazahat:

6.0 – Maulana SKS Gakharvi Ka Feham e Akmaliat Aur Is Ka Hasil:

6.1 – Maulana SKS Gakharvi Kay Nazriyeh Ki Islah:

6.2 – Maulana SKS Gakharvi Ka Naqis ‘Islam’ O Iman:

7.0 - Deen e Islam Akmal O Mukamal Ulamah e Islam [Barelwi] Ki Nazar Mein:

7.1 - Ulamah e Islam [Barelwi] Ka Akmaliat Par Iman Aur Is Kay Nataij:

رومن اردو کی بجائے اردو رسم الخط میں لکھیں تو ڈبل محنت سے بچ جائیں گئیں ۔کچھ صفحات آپ تحریر کریں گئیں تو لکھنے روانی آجائے گی خود ہیں

باقی کچھ مدد درکار ہو کچھ ٹائم نکالنے کی ضرور کوشش ہوسکتی ہے

Link to comment
Share on other sites

Salam alayqum,

Bas windows xp ki CD talash kar raha thah ... file install karni thee.  Meri problem Urdu meh ilfaz likhna heh. Urdu par achi khasi sakta hoon, likh nahin sakta ... only - say ray fey = sirf, ya sawad ray fey = sirf, ya seen ray fey = sirf ... lol mera matlab samaj gahay hoon gay, mujjay ilfaz ki spelling nahin pata ... aam ilfaz toh likh leta hoon magar, jesay, apna, aap, mein, tum, waghera ... magar nafees Urdu kay ilfaz ka likhna nahin aata. Allah karam karay ga, abh likhni seekhni paray gee. :) Aap bahi dua keren, Allah ta'ala mujjay apni murad par pauncha deh aur joh kam shoroon keeya heh woh muqamil karoon.

Link to comment
Share on other sites

  • 6 months later...

Salam alayqum,

Khadim Mawlana Sarfaraz Khan Safdar Sahib ki kitab kay jawab mein Sirat e Sunnat likhna shoroon ki heh. Agar kohi Sunni likhay huway material ko proof read karnay ki khawaish karay toh private mein mujjay message karen. In sha Allah tarteeb-war material post karta jahoon ga.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...