Jump to content

Small Small Islamic Question Post here


Madani Munna

تجویز کردہ جواب

  • جوابات 50
  • Created
  • Last Reply

نماز میں عمل ِ کثیر سے کیا مراد ہے۔۔۔

اور اس کو کرنے سے نماز میں کیا فرق پڑے گا۔۔۔

 

بینوا توجروا۔۔۔

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

Amal-e-qaseer namaz ko fasid kardata hai, jab k na namaz k ahkaam say ho na hi islah-e-namaz k liye kiya gaya ho. Aghar koye namaz parh raha ho or woh a'isa amal karey jis say door say dekhnay walay ko aisa lagay kay woh namaz mein nahi hai balkey guman bhi ghalib ho k namaz mein nahi tab bhi Amal-e-qaseer hai .or aghar door say dekhnay walay ko shak-o-shubha hai k namaz mein hai yah nahi tou AMAl-E-QALIL hai or namaz fasid na hogi

 

4 example

1 ruk'kun mein 3 baar khu'janey say namaz fasid ho jati hai yani 1 martaba khuja kar hath(hand) hatta liya phir khu'jaya phir hatta liya yeh 2 baar hoya aghar ab is tarahaan 3srey baar kia tou namaz jati rahi gi, Aghar 1 baar hath rakh kar chand baar harkat di tou yeh 1 martaba khu'jana kha jaye ga

 

(Namaz k Ahkaam)(Amire Ahlesunnat Hazrat Maulana Ilyas Qadri Attari (Damat Barakatuhumul Aalia)

Link to comment
Share on other sites

JazakAllah (azw) Sis Mujay Is Baray Main Nahin Pata Tha

Allahb Ap Ko Jaz-e-Khair Aata Farmaye Aor Qaseem Bhai Ap Ko B Yeahb Sawal karney Par

Keep Questioning

 

Mera Question Yeah Hai Ap (saw) Ney Mard Ko Aanghooti 4.5 Mashay Chandi Ki pehanney Ki Ejazat Di Hai Is main 4.5 mashay Ki Kiya Hikmat Hai?

 

JazakAllah (azw)

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Mera ques hai k

Silence namaz mein kitni dair tak qirat zor ho tou Sajday sahw lazim hota hai

Sister mujhy ye question kuchh clear nahin huwa, lakin phir b jitna kuchh aata hay, batany ki koshish karta hoon.

I think itni zor se k doosira aadmi (jo k qareeb khara ho) sun ly.

W'ssalam

Link to comment
Share on other sites

(wasalam)

 

g yeh tou mujhey pata hai k koye admi apki qirat ki awaz sun lay tou sajda sahw hai

Asal mein, mein yeh poochana cha rahi thi k 4 example aghar soorah soochnay mein itni taa'khair hoye k 3 baar (sa) khenay ka waqfa guzar gaya tou sajda sahw lazim hota hai is istarahn mein miqdar pooch rahin hoon k kitni dair tak awaz buland hoye tou sajda sahw hoya means 3 baar (sa) ya 1 baar (sa)

 

thnx 4 ur answere

 

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

Salaam everyone

 

Brother Madani muna

 

You ask this Question

 

Q; What is the meaning of muslims?

 

ANS;

 

The word "Islam" means "Surrender to Allah" and the word "Muslim" refers to those who surrender to Allah.

 

It applies to those who do so genuinely and by following the instructions of God as sent through His Messengers. It does not refer to those who have misunderstood these instructions or corrupted them or simply pay lip service to them to various degrees or are merely called by certain names. When such deviation from the original message occurred then God sent another Messenger to rectify the religion. Therefore, these terms refer generally to the Last Message and the people who follow them. But, of course, these may also have deviated and then it cannot apply to them either.

 

The above is the "connotation" of the terms. But their "denotation", i.e. when applied to cases then these words can be used in a number of ways. They can be applied to

 

(1)"Muslims" The followers of Muhammad (saw).

 

(2)"Mulsims" The followers of Moses, the Esa and Jesus ( the People of the Book)

 

 

Main umeed karti hoon kay mera answer thiek hey. If not please tell me where i am wronge.

 

Thnaks

 

Salaam

 

 

Link to comment
Share on other sites

plz koi jawab tou day na

(salam) madina ye ask the imam section nahi hai. agar kisi suwal ka jawab nahi ata tu samjhye ke kisi ko malom nahi. or tamam member se madni iltija hai apni zati raye per koi jawab bhi post na karain. hum par kisi suwal ka jawab dena na farz hai na wajib. ye na ho ghalat jawab de kar bajaye sawab ke apni akhirat dao par laga den. ye main kisi khas ke bare main nahi keh raha. ye just aik general bat kar raha hon. kyon ke main khud kayi bar ghair aalim se ghalat jawab pa kar dhoka kha chuka hon. is lye jawab bhi kisi ka wohi accept kya jaye jis ke sath daleel post hai. just raye waley jawab par koi bhi yaqen na kare jab tak khas qarene se uske sahi hone ki haqeqat malom na ho. ke is dor main muftyan bhi mufti e naqil hain. yani khud apne ijtihad se koi fatwa nahi detey balke kisi book se masla naqal kar ke jawab dete hain.

 

tu hum phir kis shumar main hain ke baghair daleel ke jawab post karain.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(salam)

 

 

mujh se kisi ne yah sawal poocha hay kah shaitan ko ALLAH ta'ala nai HAZRAT ADAM alaihiSALam ko sajda karnay ka hukam dia aur shitaan nai inkaar kar dia to ALLAH (azw)

nai us ko jannat sai nikaal dia phir wo HAZRAT ADAM alaihiSALam or BIBI HAWWA radi Allahu ta'ala anha ko behkanay jannat mein kaisay gaya ???

 

kia koi member is ka jawab hawalay kai saath dai sakta hai ???

 

fi-aman:

Link to comment
Share on other sites

As Salam!

mujhe hawale ka to nahi pata sis. but jahan tak mujhe pata hai wo ye k jab shetan ko janat se nikala tha us k bad bhi us ko janat men ane ki ijazat thi.to is leye us ne Hazrat Adam alaihiSALam ko behkaya.or jab hazarat Adam alaihiSALam ko dunia men bheja gaya to us k bad shetan ka janat men kya kisi bhi asman per jane ka dakhla band ho gaya.isi leye jab shetan asman per jane ki koshish kerta hai to farishte usse sitare marte hain or hum ko lagta hai k tara tota hai. isi leye kehte hain k jab tare ko totte hove dekho to LAHOL perh lena chahye.

 

This what i know.if u need any reference so i ill give but after some time. maybe 2 or 3 days latar.so if u need ref so u have to wait.I ill try my best to give u the ans.

Was Salam!

Link to comment
Share on other sites

(salam)

 

 

mujh se kisi ne yah sawal poocha hay kah shaitan ko ALLAH ta'ala nai HAZRAT ADAM alaihiSALam ko sajda karnay ka hukam dia aur shitaan nai inkaar kar dia to ALLAH (azw)

nai us ko jannat sai nikaal dia phir wo HAZRAT ADAM alaihiSALam or BIBI HAWWA radi Allahu ta'ala anha ko behkanay jannat mein kaisay gaya ???

 

kia koi member is ka jawab hawalay kai saath dai sakta hai ???

 

fi-aman:

 

(bis)

 

(saw)

 

(wasalam) Warahamtullahi Wabarkatuhu Wamagfiratuhu

 

Ibless k Hazrat Adam (as) ko Lagzish Dainay ka Waqia Tafseer e Naeemi main Aayat # 36 ki Tafseer main kuch is Tarhan say Bayan kia gaya hai:

 

K Shaitan k Dil main Hazrat Adam (as) ki taraf say Sakht Hasad paida ho chuka tha.Isliye wo in ki fikr main rehta tha.

 

1 din moqa pa kar ya to jannat main khud puhncha Ya isliye k agarchay wo jannat say nikala ja chuka tha magar ab tak us ka wahan aana jana band na huwa tha.

 

Aur ya istarhan gaya k Jannat main Mor aur Sanp nihayat khubsurat janwar thay aur ye dono Hazrat Adam (as) ki khidmat kartay thay,Shaitan Jannat k Darwazay k Bahir puhncha aur udhar Mor b Darwaza e Jannat per Aaya tha.

 

Shaitan Aur Mor ny aapas main mashwara kiya k kisi surat say Aadam o Hawa Aliahmussalam ko Darwaza e Jannat tak ly aana chaheye.udhar shaitan ny Sanp say mashwara kiya k to mujh ko mun main ly kar jannat ki deewar per uswaqt puhncha daina jab k Aadam (as) Darwazay per aaye huwe hun.

 

Ye Tajweez tay honay k baad Mor ny Hazrat Adam o Hawa Alaihmussalam k samnay nachna shuru kar dia ye dono Hazraat Raqs k daikhany main masgul huwe.Mor nachtay nachtay peechay hatnay laga ye dono sahab iski taraf barhnay lagay yahan tak k mor nachta huwa Darwaza e Jannat per aa gaya jis k sath he sath ye dono Sahab b wahin puhnch gaye.

 

Udhar sanp b tayyar khara tha,Shaitan ko foran mun main ly kar jannat ki deewar main puhnch gaya is Tarkeeb say Shaitan Hazrat Adam (as) k samnay aa gaya aur us ko kuch un say guftagu karnay ka moqa mil gaya.

 

Lehaza Shaitan to Jannat say Bahir Raha,Aadam (as) andar,yun unki Guftagu ho gai.........

 

(Tafseer e Naeemi jild Awal Para Alif Laam Meem Surah Al-Baqara Aayat # 36 ki Tafseer)

Edited by Qufl e Madinah
Link to comment
Share on other sites

Eman kiya hai?

 

eman.GIF

 

Rooh(soul) kiya chez hai?

is ka kiya kam hai aor kiya sab ikhtiyarat rooh rakhti hai ya jisam b kuch rakhta hai?

kiya aazab rooh aor jism donoo ko hoo ga ya sirf jism ko ya rooh ko?

(ja)

 

 

rooh1.GIF

rooh2.GIF

 

question dificult b nahin hai

barakAllah.. ap jawab sath post kr dya karain.

ya members se guzarish hay jawab zaror dya karain. chahe ata ho ya na ata ho. kisi ko mayos na kya karain.. :unsure:

Link to comment
Share on other sites

  • 8 months later...

(salam)

 

 

mujh se kisi ne yah sawal poocha hay kah shaitan ko ALLAH ta'ala nai HAZRAT ADAM alaihiSALam ko sajda karnay ka hukam dia aur shitaan nai inkaar kar dia to ALLAH (azw)

nai us ko jannat sai nikaal dia phir wo HAZRAT ADAM alaihiSALam or BIBI HAWWA radi Allahu ta'ala anha ko behkanay jannat mein kaisay gaya ???

 

kia koi member is ka jawab hawalay kai saath dai sakta hai ???

 

fi-aman:

(salam)

madina is baray men mazeed ye fatwa bahawala parhiye:

 

Shaitan_jannat_men.GIF

wassalam ma'al ikram

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...