Jump to content

Masla Sama-E-Mauta Or Ibn Abdul Wahab Najdi Ki Ibarat


Shadab Ashrafi

تجویز کردہ جواب

⏩ SALEHEEN QABR SE JAWAB DETE HAIN OR SALEHEEN HI AHLE QOBUR KI AWAAZ KO SUNTE HAIN⏪

 

Imamul Wahabiya Ibn Abdul Wahab Najdi Apni Tasnif AHKAM TAMANNI AL MAUT Me Ameeerul Momeneen Hazrat Umar Bin Khattab رضي الله تعالٰی عنه k Zaman-e-Khelafat Ka Ek Waqiya Naqal Karte Hain k

 

Ibn Asakir Ne Lais k Katib Abu Saleh k Hawale Se Naqal Kiya Hai Jo k Yahya Bin Ayub Khazayi Se Rewayat Karte Hain

 

Aap Ne Ek Aise Aadmi Se Suna Jo Zikr Karta Tha k Hazrat Umar رضي الله تعالٰی عنه k Waqt Me Ek Aisa Naujawan Ibadat Guzar Tha Jo k Aksar Masjid Hi Me Raha Karta Tha Or Hazrat Umar رضي الله تعالٰی عنه Us Ko Bahut Pasand Farmate The

Or Us Ka Baap Bahut Budha Tha

 

Jab Woh Naujawan I'sha Ki Namaz Padh Leta To Fir Apne Baap k Pass Apne Ghar Jata

 

Us k Ghar Ki Raah Me Ek Aurat Ka Makan Tha

Who Aurat Us Per Fareftah Ho Gayi

Or Who Aurat Us k Raste Me Khadi Ho Jati

 

Pas Woh Ek Raat Us k Pass Se Guzra To Woh Us Ko Phuslati Rahi Yahan Tak k Woh Us k Piche Chal Pada

Or Us k Ghar Me Dakhil Hone Ki Niyat Se Chala

 

To Achnak Us Ko Ibrat Huwi Or Gaflat Ka Parda Uth Gaya Or Khud Ba Khud Hi Us Ki Zaban Per Yeh Ayat Jari Ho Gayi

 

إِنَّ الَّذِينَ اتَّقَوْا إِذَا مَسَّهُمْ طَائِفٌ مِّنَ الشَّيْطَانِ تَذَكَّرُوا فَإِذَا هُم مُّبْصِرُونَ

 

(Tarjama: Beshak Woh Jo Dar Wale Hain Jab Unhe Kisi Shaitani Khayal Ki Thes Lagti Hai Hoshiyar Ho Jate Hain Usi Waqt Unki Ankhein Khul Jati Hain.

》SURAH A'RAF, AYAT 201.)

 

To Woh Naujawan Gash Kha Kar Gir Pada

To Us Aurat Ne Apni Laundi Ki Madad Se Use Uthaya

Or Us k Darwaze Per Rakh Diya

 

Jab Woh Naujawan Apne Baap k Pass Na Pahuncha To Us Ka Baap Us Ki Talash k Liye Nikla To Dekha k Woh Jawan Gashi Ki Halat Me Darwaze Per Gira Pada Hai

To Us Ne Apne Kuch Ghar Walon Ki Madad Se Us Ko Ghar Me Dakhil Kiya

 

Jab Kuch Raat Guzarne Per Us Ko Afaqah Huwa

To Baap Ne Pucha Beta Kya Huwa...?

 

Us Ne Kaha Khair Hi Hai

 

Baap Ne Kaha Main Puch Raha Hoon Batao

 

To Us Ne Sara Waqiya Bayan Kar Diya

 

Baap Ne Kaha Beta Tu Ne Kaun Si Ayat Padhi Thi...?

 

To Us Ne Fir Wahi Ayat Padh Di Or Gash Kha Kar Gir Pada To Logo Ne Us Ko Hilaya

Dekha To Woh Mar Chuka Tha

 

Fir Logo Ne Us Ko Gusl Diya Or Ghar Se Le Gaye Dafan Kar Diya

 

Subah Ko Yeh Waqiya Hazrat Umar رضي الله تعالٰی عنه k Samne Zikr Kiya Gaya To Us k Baap Ki Taziyat k Liye Tashrif Laye

Or Farmaya Mujhe Kyu Ittela Na Ki...?

 

Arz Kiya! Raat Thi

 

Hazrat Umar رضي الله تعالٰی عنه Ne Farmaya Mujhe Us Ki Qabr Per Le Chalo

 

Pas Hazrat Umar رضي الله تعالٰی عنه Ne Farmaya Aye Naujawan RAB ﷻ Ka Farman Hai

 

وَلِمَنْ خَافَ مَقَامَ رَبِّهِ جَنَّتَانِ

 

(Tarjama: Or Jo Apne RAB ﷻ k Huzur Khade Hone Se Darey Us k Liye Do (2) Jannatein Hain.

》SURAH RAHMAN, AYAT 46.)

 

To Tere Sath Kya Ma'mla Kiya Gaya...?

 

To Us Naujawan Ne Qabr k Under Se Awaaz Di k Mujhe Mere RAB ﷻ Ne Woh Jannatein Ata Kar Di Hai

Yeh Us Ne Do (2) Martaba Kaha.

 

➡ IBN ABDUL WAHAB NAJDI, AHKAM TAMANNI AL MAUT, SAFA 141-142.

 

Yahan Sama-e-Mauta Ka Masla Bhi Maloom Huwa

 

Or Hazrat Umar رضي الله تعالٰی عنه Ka Aqida Bhi Maloom Huwa k Un Ka Bhi Yahi Aqida Tha k Ahle Qobur Sunte Bhi Hain Or Sun Kar Jawab Bhi Dete Hain

 

Yeh Waqiya Hum Sab k Liye Nasihat Bhi Hai.

 

Or Wahabiyon Tumhare Sine Me To Keel Thok Di Gayi

 

Koi Fatawa Bhi Hai Ibn Abdul Wahab Najdi Per...???

post-15808-0-89967600-1442690096_thumb.png

post-15808-0-58657300-1442690132_thumb.png

post-15808-0-18221300-1442690172_thumb.png

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...