Shadab Ashrafi مراسلہ: 16 ستمبر 2015 Report Share مراسلہ: 16 ستمبر 2015 ⏩ ALLAH عزوجل NE NABI-E-KARIM ﷺ KO KYA OR KITNA ATA KIYA HAI ⏪ Qur'an-e-Pak Ki Ayat Suraَh الْكَوْثَر (Kausar) Me RAB ﷻ Ne Farmaya إِنَّا أَعْطَيْنَاكَ الْكَوْثَرَ فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ إِنَّ شَانِئَكَ هُوَ الْأَبْتَرُ Tarjama: Aye Mahboob ! Beshak Humne Tumhe Beshumar Khoobiyan Ata Farmayi To Tum Apne RAB k Liye Namaz Padho Or Qubani Karo Beshak Jo Tumhara Dushman Hai Wahi Har Khair Se Mahroom Hai. Ab Is Ayat إِنَّا أَعْطَيْنَاكَ الْكَوْثَرَ Ko Hazrat Imam Mojahid رحمة الله عليه k Qaul Se Jante Hain Haztat Imam Mojahid رحمة الله عليه Kaun Hain....??? Hazrat Imam Mojahid رحمة الله عليه Hazrat Ibn Abbas رضي الله تعالٰی عنه k Shagird Hain Or Taba'yi Hain Hazrat Imam Mojahid رحمة الله عليه Ne Hazrat Ibn Abbas رضي الله تعالٰی عنه Se سورة الْحَمْد Se Le Kar سورة الناس Tak 10 Martaba Tafsir Ka Dars Hasil Kiya Hai Yeh Imamul Mofassirin Hain Or Ibn Tamiyah Jaisa Shakhs Bhi Hazrat Imam Mojahid رحمة الله عليه k Bare Me Kahta Hai k Agar Tumhe Jahan Bhi Imam Mojahid رحمة الله عليه Ka Qaul Mil Jaye Wahi Tumhare Liye Kafi Hai Inhi Imam Mojahid رحمة الله عليه k Qaul Ko Ibn Jarir Tabri Ne Apni Tafsir Tabri Me Naqal Kiya Hai Imam Mojahid رحمة الله عليه Al-kausar الْكَوْثَر Ki Tafsir Me Farmate Hain k الْكَوْثَر الخير كُلَّه Hai ➡ TAFSIR-E-TABRI, SURAH AL KAUSAR, AYAT 1, JILD 24. Maloom Huwa k Har Khair ( خير ) Ka Kul (كُل) Ata Hai NABI-E-KARIM ﷺ Ko. Akhir Yeh Khair (خير) Hai Kya...??? ILM Ka Hona Khair (خير) Hai. Gaib Ka Janna Khair (خير) Hai. Mukhtar Hona Khair (خير) Hai. Sunna Khair (خير) Hai. Dekhna Khair (خير) Hai. Janna Khair (خير) Hai. NABI-E-KARIM ﷺ Sarapa Khair (خير) Hain ILM Khair (خير) Hai To كُل Hai. Gaib Ka Janna Khair (خير) Hai To كُل Hai. Mukhtar Hona Khair (خير) Hai To كُل Hai. Imam Mojahid رحمة الله عليه k الْكَوْثَر Ki Tafsir Se Maloom Huwa k Jitna Bhi KHAIR (خير) Hai Sab Ka KUL (كُل) Ata Kiya Hai RAB ﷻ Ne Apne HABIB-E-KARIM ﷺ Ko. Fir Hum Kaise Takhsis Kar Sakte Hain k Itna ILM Nahi Itna Hi Ata Kiya, Itna GAIB Nahi Itna Hi Jante Hain, Is Cheez k MUKHTAR Nahi Bas Itna Hi IKHTEYAR Hai. Hum To RAB ﷻ Ki Ata Karda Kalil (کلیل) Cheez Ka Shumar Nahi Kar Sakte Or Yahan To RAB ﷻ Ne Apne HABIB-E-KARIM ﷺ Ko الْكَوْثَر Ata Kiya Hai. Yaad Rahe Kalil (کلیل) Ki Zid Kasir (کثیر) Hoti Hai. Ahle ILm Hazraat Jante Hain k Kasir (کثیر) k Bad Aksar (اکثر) Hota Hai Aksar (اکثر) k Bad Kausar (كَوْثَر) Hota Hai Or Kausar (كَوْثَر) k Bad Al-Kausar (الْكَوْثَر) Hai. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔