Jump to content

Kya In Halaat Main Talaaq Dena Zaroori Hai ?


Sunny.uk

تجویز کردہ جواب

Salaam,

 

Do saal pehlay main ne ek aisi larki say Nikah kiya jo Dubai main stage pay dance karti thi. Nikah kay baad us nai sab kuch chor diya us kay ghar ki zimadari main uthata tha. Us ki ek 6 Saal ki beti bhi thi or hum dono main say ab ek beta hua tha. 

 

Mere kuch karobari halaat ki wajah say main 2 month un kay ghar ka kharcha poori tarah na utha saka, or us ki Maa kay pressure main aa kay meri biwi nai mujh say wapis Dubai janay ki ijazat mangi takay woh ghar ka kharcha utha sakay jab tak mere halaat theek ho jain. Mere pass or koi rasta nai tha kyu kay us kay ghar walay kam kharchay main compromise karnay ko tayar nai thay or agar main Na karta tab bhi woh chali jaati.

 

Ab woh wapis ja chuki hai, lekin waha ja kay us nai kaha kay woh ab wapis nahi aana chahti, or mujh say rishta nahi rakhna chahti. Us ki wajah mujhay kuch din baad maloom hui kay woh waha kisi or say talauq rakhna chahti hai jis kay sath woh mujh say pehlay thi. 

 

Main janta hoon, kay shayed islam main is sab kay mutaliq bohat sakht ehkamat hon, lekin being a practical man and deeply in love with her. Main us ko Talaq nahi dena chahta main us kay liya wapsi ka darwaza khula chorna chahta hoon. Takay jab mere halat theek hon to main us ko us keechar say nikalnay ki har mumkin koshish kar sakoon. Main janta hoon kay woh kisi or kay saath talauq rakhna cha rahi hai magar mera payar shayed is baat ko bhi nazar andaz kar day agar kal ko woh wapis aana chahe or hum log ghar basa sakain. 

Us ki soch ki wajah us kay ghar kay halat or mahol hai, is main us ki ghalti nahi kay woh us mahol main paida hui hai jaha rishton say zayada paisa zaroori hai. 

 

Magar main is kashmakash main hoon kay kya mera yeh sab kuch janany kay baad usay Talaq dena zaroori hai ? Agar main Talaq nai deta to shayed main us ko wapis izat ki zindagi main laa sakoon lekin agar main nai Talaq de di to wo us keechar say kabhi nai nikal sakay gi. 

 

Please advice. 

 

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...