Jump to content

Keya Yazid Jannati Hai?


Md shamsi rizvi

تجویز کردہ جواب

Yazeed Laanti Kyu ???

PART :- 01.

Yazeed ki Haqeeqat Hadith Aur Tareekh Ki Roshni Mein.....

آئیے آج دیکھتے ہیں کہ یزید جنتی ہے یا جہنمی ہے اور کیا اسکو رحیم اللہ کہنا جائز ہے یا نہیں۔ آج احادیث اور تاریخ کی روشنی میں دیکھتے ہیں

AAEYE AAJ DEKHTE HAIN YAZEED JANNATI HAI YA JAHANMI HAI?

AUR DEKHTE HAIN KE YAZEED KO REHMATULLAH KEHNA JAIZ HAI YA NA'JAIZ HAI?

SAB SE PEHLE WO HADEES DEKHTE HAIN JIS MEIN LASHKAR KA ZIKAR AYA HAI.

SAB PARHAIN TA KE PATA CHALE KE ZAKIR NAIK KAISE HADEES KO GHALAT TAREEKAY SE BAYAN KAR RAHA HAI.....

سب سے پہلے وہ حدیث دیکھتے ہیں جس میں سب سے پہلے لشکر کا ذکر آیا ہے۔ نیچے حدیث کی ہے پڑھیں تاکہ آپکو پتہ چلے کے زاکر نائیک کیسے اللہ کے نبی پر جھوٹ باندھ رہا ہے۔

"Meri Umat Ka Phela Laskr Jo Qaiser Ke Shaher Mein Jung Kare Ga Un Ke Liye Magfirat Hai"

Hadees.

Humse Is'haaq bin Yazeed Damishqi ne bayan kiya,

kaha hamse yahya bin hamza ne bayan kiya,

kaha ke mujh se

"THAUR BIN YAZEED"

ne bayan kiya,

Un se Khalid bin mah'dan ne aur un se Umair bin Aswad Ansi ne bayan kiya ke wo ebada bin saamet radi Allah anho ki khidmat mein hazir hue. Aap ka qayam sahil hams per apne he Ek makan per tha.

Aur aap ke sath(aap ki biwi) Ummay haraam Radi Allah anha bhi thi.

Umair ne bayan kiya ke hamse ummay haraam radi Allah anha ne bayan kiya ke mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihe Wasallam se suna hai,

Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya tha ke:

"Meri Ummat ka sab se Pehla lashkar jo daryai safar ker ke jahaad ke liye jaeyga, us ne (apne liye Allah ki rahmat o maghfirat) wajib ker li.

Ummay Haraam Radi Allah anha ne bayan kiya ke mein ne kaha tha Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!

Kiya mein bhi un ke sath hoongi?

Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke haan tum bhi un ke sath hogi.

Phir Nabi kareem Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya

"Sab se pehla lashkar meri ummat ka jo qaisar ke sheher per hamla krayga unki maghfirat hogi.....

Mein ne kaha mein bhi un ke sath hoongi Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!

Aap Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya ke Nahi.

(Sahih Bukhari, vol 4. page 345, Hadees 2924.)

HADEES ME RAWI KA KHULASA:-

Is hadees ki ravi sirf ummay haram binte melhaan hain, kisi doosry sahabi ne issay rawayat nhi kiya?

Is hadees ko bayan kerne wale saray shaami hain baqi makkah, madina aur iraq ka koi bhi ravi nhe hai is hadees mein.

Thaur bin yazeed al karahi jab madina mein aya to Imam malik ne kaha koi is k pass na baithay aur na is se rawayat likhhay.....

Asool e hadees hai ke koi admi koi aisi hadees rawayat kray aur us admi ka talluk kisi khas groh se ho aur uske ilawa koi aur na bayan kray to us ki rawayat sahih nhe mani jaeygi kyonke shuba hai ke us ne apne maslak ya aqeeday ki hamaiyat ki ho.

Is hadees mein sabi naasbi hain.

CONTINUE.....

Link to comment
Share on other sites

Yazeed Laanti Kyu ???

PART :- 02

Yazeed ki Haqeeqat Hadith Aur Tareekh Ki Roshni Mein.....

ثور بن یزید کے(باپ/دادا) جنگ صفین میں حضرت امیر معاویہ رضی اللہ تعالی عنہ کہ ساتھ تھے اور حضرت علی رضی اللہ تعالی عنہ کے لشکر کے ہاتھوں قتل ہوئے

Thaur bin yazeed ke (baap/dada) jung e safeen me

hazrat ameer Muawiya radi Allah anho ke sath thy aur Hazrat Ali radi Allah anho ke lashkar ke hathoon qatal hue...

ثور بن یزید حضرت علی رضي اللہ عنہ کے بارے میں نام لیکر کہاکہ:

"میں ایسے شخص سے محبت نہیں کرتا جس نے میرے (باپ/دادا) کو قتل کیا۔

(طبقات سعد،ج 7، اور ابن حجر، تقریب التدھیب، راوی نمبر1057،ج 2)

Thaur bin yazeed Hazrat Ali radi Allah anho ke baray mein naam le ker kaha ke "Mein aise shakhs se Mohabbat nhe kerta jis ne mere (baap/dada) ko qatal kiya.

(Tabqaat Ibn sa'ad vol 7.

Ibn e hajar)

(Taqrib al,Tahdheeb, Rawi no 1057, vol 2.)

Hazrat Ali aur Hazrat Ameer Muawiya Radi Allah anhum ki Ek dosry se jungain hui aur Thaur bin Yazeed Hazrat Ameer Muawiya ke Lashkar me the.

To phir jab dushmani ho to Insan kisi ki barrai bhi ker sakta hai dushman ko giranay k liye..

WALLAHU AALAM

حضور صلّی اللّہ علیہ وآلہ وسلّم نے فرمایاکہ "کوئی منافق علی رضی اللہ تعالی عنہ سے محبت نہیں کرسکتا اور کوئی مؤمن علی رضي اللہ عنہ سے بغض نہیں رکھ سکتا

(جامع ترمذی، 213/4)

Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ka irshaad e Mubarak hai ke:

"Koi munafiq Ali Radi Allah Anho se mohabbat Nahi kar sakta aur koi mo'min Ali radi Allah anho se bughaz nhi rakh sakta.

(Jamiya Tirimzi 213/4)

جس نے علی سے بغض رکھا اس نے مجھ (محمد صلّی اللہ علیہ وسلّم ) سے بغض رکھا اور جس نے مجھ سے بغض رکھا اس نے اللہ سے بغض رکھا۔

یہ حدیث کا آخری حصہ تھا۔ مجمع الزوائد، 109/9

Jis ne Ali se bughaz rakha us ne mujh(Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam) se bughaz rakhha aur jis ne mujh se bughaz rakha us ne Allah se bughaz rakhha

Ye hadees ka akhri hissa tha…

(Majmuaz'zawaiyd. 109/9)

Aisi he hadees Ibn majah, Nisai shareef, Sahih muslim, Abu Dawood mein bayan hoi hai lakin kisi bhi hadees mein pehle lashkar ya us lashkar ki maghfirat ki basharat nhe sunai gai jo qaiser ke sheher per hamla kray ga....

Jab ke aisi he ahadees dosray Raviyoun se sahih bukhari mein bayan ki gai hai us mein bhi kisi basharat ka zikar nhI aya hai....

(Sahih Bukhari, Vol 4, Page 327, Hadees 2894, 2895)

In books mein bhi basharat ka koi zikar nhe aya hai

Reference available is here:

(Sunnan Abu Dawood, Vol 2, Page 295,496,497/Hadees 718.719,720.)

(Sunnann Nisa'I, Vol 2, Page 967,969, Hadees 1083,1084)

(Sahih Muslim, Vol 3, Page 340,342,343,344/Hadees 437,438,439,440)

(Sunnan Ibn Majah Vol 2, Page 728, Hadees 933)

CONTINUE.....

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...