Bismillah مراسلہ: 18 جولائی 2015 Report Share مراسلہ: 18 جولائی 2015 (ترمیم شدہ) Asalamou alekum!Mujhey kam az kam 2 saal say zaban/tongue ka masla hai. Iss problem ko Geographic Tongue boltay hain. Meri zaban/jeeb pe hamesha kahin na kahin jalney kay jaissay nishan rehtay hain jo waqat kay saath bhartay aur gatay rehtay hain, jaissay kay jab koi insaan garm garm tea peeta hai aur zaban pe janley ka nishan par jata hai aissay meri zaban par bhi hai lekin koi garm cheez khanay ki wajah say nahi. Pata nahi kiss wajah say. Abhi ramzan shareef bhi poura hogaya lekin tongue theek nahi hui. Doctor ko bhi dikhaya tha uski medecin say bilkul kuch nahi hua aur iss kay ilawa beesson medecin use ki lekin problem wahi hai, mainay even sugar bhi reduce ki aur main taqreebann ek saal say Honey tea main mila kar bhi peeta hon lekin problem wahin ki wahin hai. Hadees main hai keh Honey main shifa hai.Meri tongue pain kar rahi hai jalan si mehsoos hoti rehti hai, aur woh bhi lagataar aur main iski wajah say bohat uncomfortable aur preshan rehta hoon. Din kya raat kya.Please kuch kijiey, Bohat shukrya! Edited 18 جولائی 2015 by Mughal... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
AqeelAhmedWaqas مراسلہ: 27 جولائی 2015 Report Share مراسلہ: 27 جولائی 2015 Salaam Respected Brother!. Waqt ki kami ki waja sy bs yhi btaya ja raha hai k: >pehlay ap diagnosis confirm krwaaen k waqai yi geographical tongue hai ya nahi. >agar final diagnosis ho k geographical tongue hai tu phir is mein yi dekhein: >>yi gher-khatar-naak condition hai. >>is mein agar pain wghera hota bhi hai tu hyper-sensitivity wghera sy ho sakta hai, koi dangerous cause nahi hai iski. >>symptomatic relief possible hai with medications (prescribed by your consultant). >>ap general hygienic measures maintain rkhein (e.g tobacco avoidance, no smoking, good mouthwash use, stomach hygiene etc) aor diet wghera ka problem bhi doctor sy discuss kr lein taa-k substance-associated sensitivity ka problem khtam ho saky. >>agar phir bhi apko relief nahi milti tu psychotherapy sy yi bhi possible hai. اللہ عزوجل آپ کو صحت کاملہ عطا فرمائے اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔