Jump to content

STUDENTS SE MADNI ILTIJA


Faheem Attari

تجویز کردہ جواب

Assalam o alikum dear islamic brothers and sisters.......

 

i m thinking about a point so i want to share in this madni community..........agar hum history mein jayen aur hamare muslim scholars jinhon ne apne duur mein har field mein specially science aur technology mein kafi important karname anjame diye...but unfortunately aj books waghera mein in ka namonishan bhi nahi hai......in logon ne sincere ho kar ilm hasil kya aur sub se bari baat yeh log baamal the sunnaton par amal karte aur quran pak ki kasrat ke saath tilawat karte aur har sunnat par ghoorofikar karte aur jab quran ki tilawat karte tu us par ghoorofikar karte aur is tarah yeh sirf shariat ka ilm hi hasil nahi karte bilke har field mein aage hote aur phir yeh ilm aage bhejte aur in logon ko maal ka lalach nahi hota tha such as imam ghazali,ala'hazrat,jabir bin hayyan,ibne nafis,mere piro murshid ameereahlesunnat etc.........

but hum log specially jo colleges aur university men parhte hain mein khud university ka student hon hamara yeh zahen hota hai ke 'is liye parh rahe hain ki job mil jaye ya abroad nikal jayen' aur colleges,universities waghera mein be amali ka tofan hota hai...ahh hamari sooch aur hamara amal......

aj hum jis tarah colleges aur university mein english writers ki books parhne par majboor hain kya hamar aane wali nasal bhi hamari tarah in hi yahoodi aur nasara ki books study kare gi.do u think about it???? kya hum muslims aage nahi aa sakte kya hum research waghera nahi kar sakte????kya hamara kam sirf mobile par messages karna aur net par chatting karna hai???plz think about it........

alhamdu lillah mere ameereahlesunnat ne students ke liye madni phool diye hain. un ko study karein aur soocheye wo kya chahte hain aur hum kya kar rahe hain.......meri is madni community ke students aur teachers se madni iltija hai ke dawateislami ke shobaye taleem se wabista rahen aur apne nigran ki itaat karte hoe apne idare mein deen ka kam bhi karein aur khoob dil laga kar study bhi karein............agar mujh se koi mistake hoi ho yeh likhte hoe tu baraye madina meri islah farmadain.......talib-e-dua.....m.faheem attari.....

 

murshid ke farman par jaan bhi kurban hai

kyon ke murshid meri jaan hain aur murshid hi pehchan hain.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...