Jump to content

musalmanoo kay halaat


SanaAli

تجویز کردہ جواب

(salam) 14 shaban ko GEO pay aik koi show aya tha tu mujh ko record kur kay meri cousin nay deekhaya khi mein aik host naam yaad nahin us nay diffrent shops, mall, pay ja kur question kya kay hum shabraat kyun manatay hain ? shab-e- miraj aur shab-e-barat ka kya diffrence hai ? ab logon kay jawab sunain aik nay kaha shab meraj mein nabi pak (saw) pay quran ka nuzool hua aik nay kaha koi khaas baat nahin aik nay kaha nabi pak (saw) chaand pay gaey they aik nay kaha koi khaas baat nahin aik nay kaha jo kay wahabi lag rahay they kay koi khaas raat nahin , aur bohut say log jantay hi nahin , aik nay kaha ammi batain gi kay kya hota hai us pay hi host nay kuch larkiyun say pocha what is 14 feb? kaha valentine day yani shabrat ka maloom hi nahin tha itna dukh aur afsoos hua aur itna bhi nahin maloom tha kay nazul-e-quran kab hua tha afsos sud afsos
Link to comment
Share on other sites

(salam)

Aah sister bilkul hamara haal buhat hee badtareen hay.

Aik baat apny experience ki mein b batata hoon. Aaj se taqreeban 3 & 1/2 years pahily (feb 2004 men) jab university mera first year tha, to aik teacher ne hum se poochha tha ke ye batao ke "Eid-ul-Ud'ha" hum kab manaty hain. Aap ye baat sun kar hairaan ho jaayen gi ke class men bethy huye 35 students men se ko'ee b nahin bata sakka. Aakhir men mein ne hee teacher ko bataya thaa.

To baat batany ka maqsad ye hay ke Hum ko Valentines day (14th feb) ka to patta hay, Pakistan day (23rd March) ka to patta hay, Yom-e-Takbeer (28th May) ka to patta hay. Indepence day (14th august) ka to patta hay. Defence day (6th (Sept) ka to patta hay, Iqbal day (9th Nov) ka to patta hay, Death day of Quaid-e-A'azam (11th sept) ka to patta hay, Birth date of Quaid-e-A'azam (25t h Dec) ka to patta hay, Birth date of Iqbal (21st April) ka to patta hay, Aur b buhat kuchh patta hay, Lakin afsos ke hum Eidain wagherah ka patta nahin hay.

 

W'ssalam

Edited by Mudasir Yaseen
Link to comment
Share on other sites

Assalam o Alaikum,

Really musalmanon ke yeh halat dekh kar bohut hi ufsoos hota hai.Ek taraf western culture ne tabahi laga rakhi hai doosri taraf badmazhabon ne.Aise purfitin duur mein sirf dawateislami hi aisi tehreek hai jis ke saath agar rahe tu insha Allah kamyabi hi kamyabi hai. Meri tu har islami sister aur brother se madani iltija hai ke khoob khoob madni kamoon mein hissa lein agar ham madni kam karte rahein ge insha Allah musalman apna khoya howa waqar zaror hasil kar lein ge...

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Yeh Halat Tu Buhut Hi Kam Hai.. Kal Hi Aik Islami Bhayi Bata Rahay They Jo 2 Din Pehley Sindh Mein 12 Din Key Madani Qafiley Mein Safar Ker Key Wapus Aaye Hain Woh Bata Rahay They Key Aisey Aisey Logon Sey Wasita Pera Jinko KALIMA Tak Nhin Aata Tha.. Agerchey Aisey Waqiyat Buhut Sarey Hain.. Insha Allah (azw) Waqtan Fa Waqtan Koshish Hogi Key Kuch Post Kerein Isi Topic Mein.. Main Aik Mubaligh Ki Zabani Suna Aik Waqiya Share Kerna Chahon Ga..

 

Sindh Hi Key Aik Village Mein Dawateislami Ka AIk Madani Qafila Gaya.. Tu Wahan Key Log Qafiley Key Islami Bhayon Ko Dekh Ker Khush Ho Gaye.. Kaha Aik Mayit Hai Namaz-e-Janaza Perhni Hai.. Islami Bhayi Wahan Gaye.. Abhi Imam Ney Niyat Na Bandhi Thi Key Unhein Samney Charpayi Per Rakhi Lash Mein Harkat Si Mahsos Hoyi.. Woh Foran Gaye.. Mayit Sey Jab Kafan Hataya Tu Unki Hairat Ki Intiha Nhin Rahi Key Aik Za'eef ul Umer Aadmi Aankhein Kholey Mojod Hai Aur Zindah Hai.. Unho Ney Awam Ko Dekha Tu Chand Borhey Aadmi Aagey Howey Aur Ro Ker Kehney Lagey.. Hamarey Sath Chalye.. Woh Qafiley Walon Ko Qabristan Ley Gaye.. Wahan Qabron Per Surkh (Red) Aur Sabz (Green) Jhandiyaan Lagi Hoyi Thi.. Kaha Jin Qabron Per Sabz Jhandiyan Hain Yeh Unki Qabrein Hain Jinka Namaz-e-Janaza Perhaya Gaya Hai.. Yani Jin Key Ghar Walon Mein Isti'aat thi Woh City Sey Kisi Imam Molvi Waghera Ko Ley Aaye Aur Unhon Ney Namaz-e-Janaza Perhayi... Aur Jin Qabron Per Surkh Jhandiyan Hain.. Yeh Unki Qabrain Hain Jinko Namaz-e-Janaza Perhey Baghair Dafan Kiya Gaya Hai.. Is Za'eef ul Umer Aadmi Ki Zindagi Ka Chonkey Koi Bharosa Nhin Is Liye Hum Ney Socha Key Iski Namaz-e-Janaza Pehley Hi Sey Perha Di Jaye..

 

Ae Khasa-e-Khasan-e-Rusul (saw) Waqt-e-Dua Hai

Umat Per Teri Aakey Ajab Waqt Pera Hai

 

Jo Deen Bari Shaan Sey Nikla Tha Watan Sey

Perdeis Mein Woh Aaj Ghareeb-ul-Ghuraba Hai

 

Jis Deen Sey Roshan Hoyi Ik Bazm-e-Firozan

Us Deen Ki Mehfil Mein Na Bati Na Diya Hai

 

Jis Deen Key Mad'oo They Kabhi Qaiser-o-Qisra

Woh Deen Aaj Mehman-e-Sara-e-Fuqara Hai

 

Jo Kuch Hai Yeh Sub Apney Hi Hathon Key Hain Kartoot

Shikwa Na Zamaney Sey Na Qismat Sey Gila Hai

 

Dekhein Hain Yeh Din Apni Hi Ghaflat Ki Ba Dolat

Such Hai Key Burey Kam Ka Anjaam Bura Hai

 

Haye Afsoos Aaj Musalmano Ki Halat-e-Zar Yeh Ho Gayi.. Shayed Hum Us Borhey Zaeef ul Umer Aadmi Ki Advance Namaz-e-Janaza Ka Sun Ker Hans Rahey Hoon... Afsoos Key Yeh Bhi Lamha-e-Fikriya Hai.. Hamarey Mubaligheen Aisey Waqiyat Sunatey Hain Tu Unki Aankhon Sey Ashkoon Ki Jhariyaan Jari Hoti Hain.. Yeh Unka Deen Ka Dard Hai Key Aaj Musalman Itna Bey Amal Ho Gaya.. Key Namaz-e-Janaza Perhaney Wala Koi Nhin.. Haye Afsoos Baap Ki Lash Samney Rakhi Hai.. Betey Ko Ghusl Ka Tareqa Nhin Aata.. Namaz-e-Janaza Perhaney Ka Tareqa Nhin Aata.. Perhana Tu Door Perhni (Dua) Bhi Nhin Aati.. Apney Baap Key Liye Namaz-e-Janaza Mein Dua-e-Maghfirat Bhi Nhin Mang Sakta.. Aur Is Mein 90% Maan Baap Ka Qasoor Hai Key Us Ney Apney Betey Ki Sahi Tarbeaut Kiyon Nhin Ki.. Usey Deen Key Masail Seekhney Sunaton Sey Muhabbat Kerney Ka Zehn Kiyon Na Diya.. Dunya Ki Taleem Mein Tu Usay MBBS, ENGINEER Aur Na Janey Kiya Kiya Bana Diya.. Aaj Usi MBBS Ko Apney Baap Key Liye Dua-e-Maghfirat Kerney Ka Tareqa Nhin Aata.. Hum Yeh Nhin Kehtey Key Dunyawi Taleem Hasil Na Ki Jaye.. Mager Sath Sath Deeni Taleem Hasil Kerney Ka Bhi Zehn Rakha Jaye.. Khasosan Woh Masail Jo Her Musalman Per Farz Hain...

Yeh Tu Villages Ka Haal Hai.. Cities Mein Aajayein.. Dr's, Engineers, Barey Barey Officers Ko Kalima Sahi Perhna Nhin Aata.. Yaqeen Na Aaye Tu Poch Lejiye Ga.. Aksriyat Kehti Hai..

 

La Ilah Ilalah Muhammad-ur-Rasool Allah (azw) wa (saw)

 

Ilaha ko Ilah Perha, Aur Ilalahu Ko Ilalah Perha.. Yeh Tu Mera Zati Tajriba Hai Key Log Aisey Kalima Perhtey Hain.. Namaz Ki Taraf Aajeyin Tu Sirf Sana Perhni Nhin Aati... Perhtey Hain..

 

SubhanakAllahuma Wabe Hamdeka Watabaraqasamo Ka Watalajaduka Wa Wallah Ilah Ghe'ruk

 

Pehli Tajveed Ki Ghalti.. Wabi Ko Wabe Aur Hamdika ko Hamdeka Perhtey Hain..

"Wat"atabara Perha. Is "Wa" Ko "Ta" Sey Mila Diya, Wa Ko Alag Na Kiya Yani Wa Tabara Qasmoka.. Same Wa Ta'ala Yahan Per Wa Key Ilawah Ta'ala Perhna Chahye.. Mager Tala Perhtey Hain.. Ilaha ko Ilah Perhtey Hain.. Aur Ghair'uk ko Ghe'ruk Perhtey Hain.

 

Allahu Akbar... Yeh Tu Aksriyat Ki Sirf Sana Mein Ghaltiyan Hain.. Pori Namaz Ka Kiya Haal Hoga.. Allah (azw) Apney Habeeb (saw) Key Sadqey Hamarey Haal Per Rehm Feramaye.. Musalmano Ki Buhut Buri Halat Hai..

 

Go Bad Hoon Mager Phir Bhi Aakhir Hoon Tumhara

Qismat Buhut Achi Hai Ager Haal Bura Hai

 

Faryaad Hai Faryaad Hai Faryaad Hai Ae Kishti-e-Umat Key Nigehban (saw)

Bera Yeh Tabahi Key Qareeb Aan Khara Hai

 

Allah (azw) Hum Sub Ko Ilm-e-Deen Sekhney Aur Us Per Amal Ki Tofeq Dey.. Khasosan Amal.. Imam Ghazali (Aleh Rahma) Aeha-ul-Walad Mein Fermatey Hain... Ilm Baghair Amal Key Janoon-o-Deewangi Hai.. Aur Ilm Key Baghair Amal Mumkin Nhin..

 

Allah (azw) Ikhlas Key Sath Amal Ki Tofeq Dey.. Aameen Bijahin Nabiyil Aameen (saw)

Wasalam Ma'Al Ikram

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Aah ye baaten parh kar aur b ziyadah afsos huwa.

Aaj hum ko jo kuchh aata hay to wo to mery meethy Murshid damat barkatuhum-ul-Aaliya ka hee faizan hay, Aur ab honna ye chahiye ke hum ne jo kuchh seekha hay, us ko b auron tak puhinchayen, Lakin Hum is k liye tayaar nahin hain.

 

Aur aaj to mein ne aik nihaayat hee buri khabar ye b sunni ke kuchh Ahl-e-Sunnat ki apni hee tanzimen Dawat-e-Islami k khilaaf hain, Aur chahti hain ke kissi na kissi tarah se Dawat-e-Islami ka kaam khatam ho jaaye.

Ye to mein ne kaafi arsa pahile sunna tha ke Raza-e-Mustafa walon ne Dawat-e-Islami aur bil khusous Hadrat Sahab damat Barkatuh-ul-Aaliya k khilaaf aik mahaaz bana rakha hay, Lakin aaj hee ye patta chala hay ke sirf ye hee nahin hain, balike aur b buhat saary hain. Mein ne yahan tak sunna hay ke wo log klah rahy hain ke "Agar ye kaam ho gaya to Dawat-e-Islami walon ko masjidon men b nahin aany den gy.

Patta nahin un logon ko Dawat-e-Islami se kiya shikayat hay.

Aur shayad ye log wo din bhool gaye hain, ke jab Tablighi jama'it waly toofan ki tarah poory mulk par chha gaye thy. Hamari hee masajid men aa kar tabligh k naam par bhole bhaly musalimanon ko Deobandi banaya jaata tha. Aur ye sirf aur sirf Dawat--Islami ka hee ahsaan hay ke jis ne na sirf tablighi jama'it k us asar ko za'il kardiya, balike hazaron ki ta'adad men un bhole bhaly musalimanon ko b raah-e-rast par laya gaya jo k la ilmi ki wajah se Tabligi jama'it se wabasta ho gaye thy. Agar aaj Pakistan men sunniyat thori buhat zindah hay to wo sirf aur sirf mery meethy Murshid Damatbarkatuhum-ul-Aaliya ki wajah se hee hay. Lakin aaj shayad ye log wo din bhoul gaye hain. Allah (azw) aise logon ko aql-e-saleem atta kary.

 

Mein pahile ye samajhita that ke 9th April aur 11th April 2006 ke waaqiaat ke ba'ad Ahl-e-Suunat ki sab tanzeemen aur parties ikhtalafat bhula kar aik ho jaayen gi, Lakin aissa nahin hay. Aaj mujhy na jaany kiyoun wo baaten b sach hee lag rahi hain ke 11th April 2006 wala k waaqi'ye men b dar asal sunniyon ki kissi tanzeemen ka hee haath hay.

Ab hamary mulk k haalat aisy hain k Wahabi deobandiyon ne N.W.F.P men buzrigan-e-deen ki mazarat wagherah par qabiza karina, aur un k minaar wagherah girana start kardiya hay. Ab b agar hamari haalat aisi hee rahi to wo waqt dour nahin ke yahan par Saudi jaisi haalat ho jaaye gi. Bas hum ko to sirf yahee naaz hay ke hum is mulk ki aksriyat hain. Halanke agar hum history par gor karen to Najdiyon ne jab Hijzz Shareef par qabza kiya tha to us waqt b wahan par suniyon ki aksriyat thee, Lakin najdiyon ne taqat k zor par Ulama-e-Kiram, Sadat-e-Kiraamm aur masha'ikh-e-uzaam ka qatal karina start kiya, aur kuchh hee barson men wahan par Ahl-e-Sunnat waly aksiryat ke bajaye Aqliyat men tabdeel ho gaye.

Patta nahin kiya hoga hum bechary bholy bhaly musalimanon ka !!!!!!!!!!!!!!!!

W'ssalam

Edited by Mudasir Yaseen
Link to comment
Share on other sites

  • 5 months later...

(bis)

(saw)

(wasalam)

aaaaaaaaaahhhhh...........aaaaaaaaaaaaaahhhhhh.........aaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhh.......!!!

ye parh k dil khoon k ansu ro raha hy......!!

 

YA ALLAH hamary haal e zaar py rehm farma....

 

hum log duniya me esy parh gay......aur deeen ko esy bhool gay k jesy aagy ALLAH (azw) k huzur pesh hi nhe hona......???????

pta nhe kesy musilman hain hum....?????

mahary meethy meethy AAQA, madiny waly Mustafa (saw) ny farmaya:

mujy apny baad tumhary duniya me parh jany ka khof hy......!!

aur aaaaaaahhhhhh........esa hi hy.......

 

dil mera duniya py sheda hogaya:

ey mery ALLAH ye kia hogaya...??

kuch mery bachny ki surat kiiye;

ub to jo hona tha AAQA (saw) ho gaya..... :(

Link to comment
Share on other sites

(bis)

(saw)

raah pur khaar hy, kia hona hy...??

paun afgar hy, kia hona hy...??

 

arry oo mujrim e by-parwa dekh.......!!

sir py talwaar (maut) hy, kia hona hy..???

Link to comment
Share on other sites

(bis)

 

(salam)

 

Afsoos, duniya koh kya hoh gaya, hum musalmanoon koh kya hoh gaya, rohna aata hain, parshanni hoti hain.

 

aik madani bhai ney likha kay dawat e islami walon koh masjidoon mein nahin aaney detey, afsoos aik bhar phir, doosroon koh choorein aaj kal jis ney imama shareef bhanda un koh apnoh nahin support kartey. :wacko:

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...