Jump to content

Iman E Abu Talib


muntazir

تجویز کردہ جواب

 

 



Ahle bayat e athar ki tarif hi to hai. Ishq me business ki tarha takaze nahi hotey.

Tawahifoon aur bay-haya tawahif sift larkiyoon kay ishq meh shahid takazay nah hoon, Islam meh asool o zawabat hen jin kay oopar chal kay banda hidayat ya chor kar gumrahi pata heh.

 



bhai jaha tak mujhe pata hai shia kafir to nahi hai, wo bhi kalmagoh hai.

Har kalmah go musalman be nahin aur Kafir bi nahin. Qadiyaniyoon bi kalmah goh hen ahle qibla o saum o salat hajj zakat sab kay paband hen, kia musalman hen mirza ko Nabi man kar? Har woh kalmah goh musalman heh joh kufriya aqahid ka murtaqib nahin, warna kalmah goh ka kalmah motbar nahin jab taq woh kufriyat say nah choray.
Link to comment
Share on other sites

Ala hazrat ka apna khayal tha unhone likha, huzur (saw) ke liye aap ki mohobbat kya kehti hai. Akhir unke pyare nawaso ko shaheed kiya tha.

 

iman ka tarazu koi ek taraf nam hona chahiye. ya haq ki taraf ya batil ki... bich me kaise rah sakta hai. waise jaha tak me janta hu ala hazrat me yazid ko maloon kaha hai.

 

Bagair hubbe Ali muda aa nahi milta ibadato ka bhibhargiz sila nahi milta.

Link to comment
Share on other sites

Ala hazrat ka apna khayal tha unhone likha, huzur (saww) ke liye aap ki mohobbat kya kehti hai. Akhir unke pyare nawaso ko shaheed kiya tha.

Ala Hazrat ki baat toh un ka ishq e RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) istera roshan heh jistera do-paher meh sooraj. Jab un kay is darja ishq kay bavjood unoon nay itna gawara nah keeya kay Yazeed kay khilaf kuch kehtay toh mera ishq e rasool sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam sooraj kay muqabil mom-batti barabar heh, muj say kia tawaqoh kartay ho kay meh shaytaan kay waswasy meh aah kay kuch ziyada bakoon ga? Nawasay ko shaheed jinoon nay keeya unoon nay keeya, Allah ta'ala nay Quran meh farmaya heh:

 

And no bearer of burdens will bear the burden of another. And if a heavily laden soul calls [another] to [carry some of] its load, nothing of it will be carried, even if he should be a close relative. You can only warn those who fear their Lord unseen and have established prayer. And whoever purifies himself only purifies himself for [the benefit of] his soul. And to Allah is the [final] destination. 35:18

 

Joh jis nay keeya us ka ilzam us kay zummay heh, qatal aur karay aur qatil Yazeed nahin teharta. Joh jis nay keeya aur joh kirdar Yazeed nay ada keeya us ki pooch us say hogi aur jinoon nay shaheed keeya un ki pooch un say. Jistera tum Yazeed kay khatay meh Imam Hussain radiallah ta'ala anhu ka qatal daal rahay ho istera Hazrat Ali radiallah ta'ala anhu kay khatay meh aur Hazrat Amir Muawiyah radiallah ta'ala anhu kay khatay meh bot say sahabah kay qatal atay hen. Aur istera in donoon Sahabah nay bot say Sahabah ko bi Shaheed keeya.

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

Jaha haq hai waha ali hai! yaad hai yeh hadees ya suni hai? me ali se hu ali mujhse hai. husssin mujhse hai me hussain se hu. aisi ek do nahi kai ahadees hai...mulle aur aalim sab hazam kar gaye. aur yeh ayat konse reference me likhi hai?

 

Yazid ne imam hussain (as) ke sar mubarak par chabuk marte hue kaha tha ke maine aaj badar aur ohad ka intakaam le liya. Agar yazid ke hukam se karbala nahi hua to imam hussain ka sar mubarak kyo shaam le jaya gaya..yazid confirm karna chahta tha ke aap ka qatal hua ya nahi. ta ke khilafat gasab kar sake. Aur maula ali sirf sahaba??? Wah bhai..Sarkar ko hijrat kyo karni padi? Abu sufiyan aur baki kabilo ne aap ko katal karne ka mansuba banaya tha aur us hi Abu syfiyan ka pota maloon yazid.

 

Kab tak bhagenge....imam mahdi (as) ke zuhur ke waqt to ahle bayat ke parcham tale ana hi padega...

 

Yaad rakho 70000 badey aalim Imam mahdi (as) ke mukhalif honge unke daur me. Kyo ke ap shariyat me badl karnge. Aur aalimo ka yeh ilzam hoga ki inhone hamra deen tabdil kiya hai.

 

Aur ahle bayat ki taharat aur aam aadmi ke purification me farq hai..yeh kya dalil pedh ki? Un jaisa paak koi ho nahi sakta.

Link to comment
Share on other sites

 

iman ka tarazu koi ek taraf nam hona chahiye. ya haq ki taraf ya batil ki... bich me kaise rah sakta hai. waise jaha tak me janta hu ala hazrat me yazid ko maloon kaha hai.

 

Bagair hubbe Ali muda aa nahi milta ibadato ka bhibhargiz sila nahi milta.

 

Janab banda jidr ho jahay jinoon nay raazi nahin hona unoon nay raazi nahin hona. Hazrat Ali (radiallah ta'ala anhu), Hazrat Amir Muawiyah radiallah ta'ala anhu kay khilaaf thay, magar Hazrat Ali ka betay nay Hazrat Amir Muwaiyah ko khilafat deeh aur saath ho gahay, magar Rawafiz abhi bi saath nahin huway. Kia faida huwa Imam Hassain radiallah ta'ala anhu ka ek taraf honay ka Rafziyoon kay toh fasad khatam nahin keeya.

 

Yazeed kay kufr par Ala Hazrat nay sakoot keeya aur farmaya kay nah musalman kahoon ga nah Kafir. Is kay ilawah likha kay Ummat meh ijma heh kay Yazeed fasiq o fajir aur kabahir ka murtaqib thah ... aur likha kay is par ijmah e ahle Sunnat heh. Fasiq o Fajir ki behas musalman kay zumray meh aati heh, yehni musalman thah aur fasiq fajir thah ... sakoot kufr o islam par heh. Agar fasiq fajir mana jahay toh musalman maan leeya ... aur agar is par sakoot keeya jahay aur kufr par sakoot keeya jahay toh nah musalman mana aur nah Kafir ... joh thah woh thah. Ijmah e Ahle Sunnat fasq o fajoor par heh ...

 

 

 

 

Aur ahle bayat ki taharat aur aam aadmi ke purification me farq hai..yeh kya dalil pedh ki? Un jaisa paak koi ho nahi sakta.

Ahli bayt meh kon kon dakhal hen?

Link to comment
Share on other sites

Sab se pehle imam hasan (as) khoon rezi na ho isliye Muaviya ko khilaft di aur sulah e hasan hui. Muaviya jald mar gaya is hi liye karbala hui.

 

Ala hazrat ko Abu Talib (as) kafir likhne me koi takleef nahi hai aur Yazid jaise maloon ko kafir kahne me takleef? Ala Hazrat ke is ravaiye par mujhe aitbaar nahi. Kyon ke hazrat abu talib (as) dee e ibrahim par the, huzur (saww) ke nikaah me Quran nazil hone ke pehle sura e fatiha padhi.

 

Nations prepor dajjasilsilaking Saudi Arab…:

Link to comment
Share on other sites

Sab se pehle imam hasan (as) khoon rezi na ho isliye Muaviya ko khilaft di aur sulah e hasan hui. Muaviya jald mar gaya is hi liye karbala hui.

 

Ala hazrat ko Abu Talib (as) kafir likhne me koi takleef nahi hai aur Yazid jaise maloon ko kafir kahne me takleef? Ala Hazrat ke is ravaiye par mujhe aitbaar nahi. Kyon ke hazrat abu talib (as) dee e ibrahim par the, huzur (saww) ke nikaah me Quran nazil hone ke pehle sura e fatiha padhi.

 

Nations prepor dajjasilsilaking Saudi Arab…:

Abu Talib ko Kafir is leyeh likha keun kay us nay Kalmah nah para. Hamara deen Islam daleel yehni Quran aur Hadith ki mohtaaj heh tumari shiat 'imam' muntazir ki mohtaaj heh joh dil meh ayah bana leeya. Islam meh Islam qabool kay leyeh kalmah darkar heh aur kharij honay kay leyeh Kufr. Shiat meh Shiat qabool karnay kay leyeh, paro Ali Ali, Ali Ali aur Shiat say Kharij honay kay leyeh kuch bi ... Ali ko ghoor kar dekha, Shiat say kharij ho gaya, ... Ali kay kuttay ko laat mari, Shiat say Kharij ho gaya, ... Ali kay kuttay kay peshaab say joh muhabbat nahin karta woh jannat meh nahin ja sakta ... yeh toh tumari Shiat ka haal heh. Islam meh muhabbat aur nafrat ka balance sikhaya gaya heh ... muhabbat/nafrat meh is qadr agay nah baro kay jaiz na jaiz ko bhool jaho ... tumaray mazhab meh Islam woh heh jis meh Hazrat Ali (radiallah ta'ala anhu) say muhabbat  aur kufr woh he joh in kay khilaf ho ... aur mazhab e Islam meh Islam woh heh joh Quran o Ahadith say sabat heh aur Kufr bi ineeh ka paband heh.

 

Abu Talib ko Kafir likhnay meh takleef is leyeh nahin huwi kay Abu Talib ko kalmah par kar musalman marnay par takleef thee. Jis ko Allah ka Nabi kahay kalmah par kar musalman ho ja woh inqaar karay, qaan meh kalmah parnay ka kaha inqaar kar deeya, aur hadith meh aya heh kay Abu Talib ko sab say light hissay meh dala jahay ga aur aag us kay pahoon meh dali jahay gee jis say us ka damagh ubal jahay ga. Jab itni wazia aur sahih rawayat mojood hen Abu Talib kay Kafir aur dozakhi honay meh toh musalman ko kia takleef ho ussay Kafir kehnay meh. Aur agar woh Hazrat Ibrahim alayhis salaam kay mazhab par mara toh kia lottery lagi us ki. Joh Nabi us kay wastay behja gaya yehni hamaray Nabi  toh us nay un ko na mana toh musalman kesay huwa? Aur hadith say sabat heh kay woh dozakhi heh. Is leyeh agar woh mazhab e hanif par thah bi toh us ko kohi faida nahin keun kay woh hamaray Nabi e kareem ko nah maan kar Kafir aur daymi jahanami huwa. Aur joh us kay azaab meh takhfeef huwi woh Nabi e kareem kay waseelay say huwi warna sakht sazza hoti.

 

Aahi bari Yazeed ki, toh Yazeed ka musalman garanay meh aur patli patli namazoon ka bi zikr mojood heh tareekhi kitaboon meh. Yazeed kay Kafir honay kay leyeh Kufr darkar heh agar is maslay par pehlay waloon meh ikhtilaf huwa toh bad walay kuch sulja nahin saktay. Rafzi ko Quran o Hadith say fesla nain karna rafzi nay woh andi muhabbat jis ka dawaydar heh us par karna heh is leyeh Kafir kehna asaan heh, Ali Ali bol aur Kafir kehta jah, Ali Ali. Musalman nay, apna imaan aur Islam bachana hota heh, aur jahan par daleel aur woh be sahih nah ho, woh qabi Kafir nahin tehrata. jahan par shuba o shak o kafir nahin tehrata, keun kay musalman ko pata heh kay jis ka musalman hona aur kafir hona mashkook heh ... us ko kafir tehraya aur woh kafir nahin toh kufr lot ata heh, aur agar kafir heh toh phir theek, magar musalman ko kia zeroorat apna islam dao par laganay ki fifty fifty gambling ki. Agar Yazeed Kafir thah toh ussay Kafir nah tehra kar kia faida, aur musalman thah toh Kafir tehra kar kia faida ...

 

Surah Fatihah pari, keun jhoot boltay ho, teen lafz hen, al hamdu lillah, aur woh be tumari kitaboon meh, is ko tum nay surah fatiha bana deeya. Surah Fatiha  Quran heh ... joh nah pehlay nazil huwa aur nah baad meh sirf Nabi e kareem par nazil huwa is leyeh Abu Talib ka Surah Fatiha ka wahi say phelay ka parna itna bara jhoot heh kay Kufr sari heh. O, the nikkah part, there was no Nikkah parna sharna ... jistera aaj kay dawr meh para jata heh, gawhoon ki mojoodgi meh poocha jata thah is say shadi karo gi, karoon gi. karo gay, karoon ga, qabool heh? qabool heh! nikah ho gaya ... joh aaj kay dawr ka heh yeh kuch nahin thah ... yeh kalmay parna, waghera kuch bi nahin thah nah millat ibrahim alayhis salam kay religion meh aur nah hamaray religion meh heh ... wesay gar gar kay likh rahay ho, yahi asli shiat ki nishaani heh, man pasand, gand pasnd.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

Be shak tum jaise log hai jinki wajha se Qayamat ayegi!!

Abu talib (as) nahi pura silsila hai yeh.

Aap deen e ibrahim par thy, watch, poora silsila hai. adam (as) se leke Imam Mahdi tak.

-e-Abbas (A.S) Anmbia ki Mirashai by PEER ASI…: ...

 

Chavlen nahin daleelen, meh pehlay likh chooka hoon.

 

Aur agar woh Hazrat Ibrahim alayhis salaam kay mazhab par mara toh kia lottery lagi us ki. Joh Nabi us kay wastay behja gaya yehni hamaray Nabi  toh us nay un ko na mana toh musalman kesay huwa? Aur hadith say sabat heh kay woh dozakhi heh. Is leyeh agar woh mazhab e hanif par thah bi toh us ko kohi faida nahin keun kay woh hamaray Nabi e kareem ko nah maan kar Kafir aur daymi jahanami huwa. Aur joh us kay azaab meh takhfeef huwi woh Nabi e kareem kay waseelay say huwi warna sakht sazza hoti. Abu Talib ko Kafir likhnay meh takleef is leyeh nahin huwi kay Abu Talib ko kalmah par kar musalman marnay par takleef thee. Jis ko Allah ka Nabi kahay kalmah par kar musalman ho ja woh inqaar karay, qaan meh kalmah parnay ka kaha inqaar kar deeya, aur hadith meh aya heh kay Abu Talib ko sab say light hissay meh dala jahay ga aur aag us kay pahoon meh dali jahay gee jis say us ka damagh ubal jahay ga. Jab itni wazia aur sahih rawayat mojood hen Abu Talib kay Kafir aur dozakhi honay meh toh musalman ko kia takleef ho ussay Kafir kehnay meh.

 

Qayamat un kay wastay heh joh apni jawan behnoon aur betiyoon ka mutta muhallay kay jawan larkoon kay saath ek din wastay karwatay hen, aur taqeed kartay hen khoob enjoy karna aur sawab kamana. Esay behan aur beti kay dalaloon wastay qayamat qaim hogi. Kehnay ka matlab yeh heh kay jali jali sari sari bhuni bhuni baten mujjay aati hen, agar zuban ko lagam nah dogay toh sun loh gay aur meh nahin chahta kay sunahoon.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

bhai confuse mat ho aqida aur amal me farq hai....shia kya karte hai wo mat dekho kis ko mante hai wo dekho....is dalil se islam me terrorism ke hone se kisi bhi ger muslim ka islam ko galat kahna bajaa hoga.

 

Aur nabi ko kaise nahi maana hazrat abu talib (as) ne?? Yeh ek robotic thinking hai. Kalma nahi pada. are kya kalma nahi pada ki ratt lagai hai....kya tum roz subha uth ke apni aulaad se kehte ho ke "me tum se pyar karta hu" nahi koi nahi kehta magar har bache ko ehsaas hota hai ke uske ma baap us se mohaobbat karte hai.

 

Sari zindagi huzur ko tabligh e islam me madad ki. aap ke intaqal ke baad huzur(saww) ko hijrat karni padi Sufiyan ki wajha se. Kuchh baate insaani fitrat se samjhi jaati hai...Quran har maa ko yeh nahi kehta ke tumhe ek aulaad dunga usko chahna, bachey ko chahna ma ki fitrat me hai, quran ne huquq zarur bataye hai..jo musalmaan Abu talib (as) ke ehsaan ko nahi manta wo Noogra aur begairat hai...dar asal Abu talib (as) ko isliye kafir bataya jaata hai ke wo Maula Ali(as) ke abba hai aur baaki teen khulfaa ke baap kafir the. Islaam ke firqo ki jad hi Bugze ali (as) hai. Islam aane ke pehle ke log kis binah par jannat aur jahnnum me jaynge??

Link to comment
Share on other sites

Allah kay Nabi ka farman heh ke Musalman Kafir kay warsa hasil nahin karta: It was narrated from Usamah bin Zaid, who attributed it to the Prophet (ﷺ): “The Muslim does not inherit from a disbeliever and the disbeliever does not inherit from a Muslim.” Ibn Majah, Book 23, Hadith 2833. Usama b. Zaid reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: A Muslim is not entitled to inherit from a non-Muslim, and a non-Muslim is not entitled to inherit from a Muslim. Muslim, Book 11, Hadith 3928. Aur Hadith say sabat heh kay Abu Talib ka warsa Jafar aur Ali nay hasil nahin keeya, aur Aqil aur Talib nay hasil keeya keun nay woh ghair musalim thay: Usama b. Zaid b. Haritha (Allah be pleased with him) said to Allah's Messenger (ﷺ): Will you stay in your house at Mecca (which you abandoned at the time of migration)? Thereupon he said: Has 'Aqil left for as any land or house? And 'Aqil and Talib became the Inheritors of Abu Talib's (property), and neither Ja'far nor 'Ali inherited anything from him, for both (Ja'far and 'Ali) were Muslims whereas 'Aqil and Talib were non-Muslims. Muslim, Book 7, Hadith 3132. Hasil yeh heh kay Abu Talib Kafir thah aur joh us kay Kafir thay unoon nay warsa hasil keeya aur joh musalman thay unoon nay nahin. Dosra tumara dawa kay Abu Talib millat e ibrahim par thah, jhoot heh keun kay agar hota toh zeroor kehta la ilaha il Allah: Narrated Sa`id bin Al-Musaiyab from his father: When the time of the death of Abu Talib approached, Allah's Messenger (ﷺ) went to him and found Abu Jahl bin Hisham and `Abdullah bin Abi Umaiya bin Al-Mughira by his side. Allah's Messenger (ﷺ) said to Abu Talib, "O uncle! Say: None has the right to be worshipped but Allah, a sentence with which I shall be a witness (i.e. argue) for you before Allah. Abu Jahl and `Abdullah bin Abi Umaiya said, "O Abu Talib! Are you going to denounce the religion of `Abdul Muttalib?" Allah's Messenger (ﷺ) kept on inviting Abu Talib to say it while they kept on repeating their statement till Abu Talib said as his last statement that he was on the religion of `Abdul Muttalib and refused to say, 'None has the right to be worshipped but Allah.' Then Allah's Messenger (ﷺ) said, "I will keep on asking Allah's forgiveness for you unless I am forbidden (by Allah) to do so." So Allah revealed (the verse) concerning him (i.e. It is not fitting for the Prophet (ﷺ) and those who believe that they should invoke (Allah) for forgiveness for pagans even though they be of kin, after it has become clear to them that they are companions of the fire (9.113). Bukhari, Vol. 2, Book 23, Hadith 442. Agar millat e Ibrahim alayhis salam say hota toh zeroor kehta kay nahin ilah kohi siwa Allah kay magar us nay Kalmah e Tawheed ko chor kar Shirk ko pasand keeya. Joh tum nay likha kay Abu Talib nay itna kuch keeya Allah kay Nabi ki khatir ... waghera waghera toh us ka sila ussay mila heh: Abdullah b. al-Harith reported: I heard Abbas say: I said: Messenger of Allah, verily Abu Talib defended you and helped you; would it be beneficial for him? He (the Holy Prophet) said: Yes; I found him in the lowest part of the Fire and I brought him to the shallow part. Muslim, Book 1, Hadith 409. Abu Talib dozakh kay sab say nichlay darjay meh thah ussay sab say upar walay meh laya gaya keun ki us ki bot khidmat theen. Magar us ki sazza kia hogi dozakh meh: Narrated Abu Sa`id Al-Khudri: I heard Allah's Messenger (ﷺ)s when his uncle, Abu Talib had been mentioned in his presence, saying, "May be my intercession will help him (Abu Talib) on the Day of Resurrection so that he may be put in a shallow place in the Fire, with fire reaching his ankles and causing his brain to boil." Bukhari, Vol. 8, Book 76, Hadith 569. Ibn 'Abbas reported: The Prophet (ﷺ) said: Among the inhabitants of the Fire Abu Talib would have the least suffering, and he would be wearing two shoes (of Fire) which would boil his brain. Muslim, Book 1, Hadith 413.

Ham Musalman hen aur kissi ko Kafir aur Musalman is wastay nahin tehratay kay woh falan ka abba thah. Aap kay mazhab meh Kafir/Musalman woh kis ka abba thah aur kis ka bai thah aur kis ka mama o taya thah ... in bunyadoon par Kafir Musalman tehraya jaata heh. Tumary mazhab meh joh Hazrat Ali kay khilaaf ho gaya woh Kafir ho gaya us kay khilaaf tum nay jang ka midaan laga leeya. Us Hazrat Ali radiallah ta'ala anhu ka beta Hassan radiallah ta;ala anhu kesay musalman bachay ... unnay be baaghi, kafir, baap ka ghaddar, tehratay aur un ki walida par bohtaan lagatay ... tum logoon ka nah lagana is baat ki daleel nahin kay tum logoon kay diloon aur ankhoon meh Sayyida Tahira khatoon e jannat kay martbay ka adab aur lehaz heh, balkay tumararay diloon meh haya o martbay ki pasdari bilqul nahin, keun kay hoti toh mominoon ki mahoon ka lehaz kartay aur jis ki woh biwiyan hen un ki nisbat say bi lehaz kartay magar ... yeh khamoshi sirf is waja say kay woh biwi thee Hazrat Ali (radiallah ta'ala anhu) ki ... aur us Ali (radiallah ta'aka anhu) ki muhhabat ki pasdari heh baqi kissi ki nahin. Hamara mazhab Islam heh, aur hamari kitab Quran aur tashreeh Allah kay Nabi ka farman. Nah ham kissi kay abba ka lehaz kartay hen aur nah betay ka, joh baat jistera hoti heh ham bata detay hen.Han ham sirf Sahabah, tabiyeen, taba tabiyeen, kay darmiyan joh ikhtilaf huway un par khamoshi ikhtiyar kartay hen keun kay ham adab kay banday hen is waja say kuch mamoolat meh khamoshi behtr samji, aur kuch meh keun kay ikhtilaf o jang ahle jannat meh thah is leyeh un kay baray meh behas bey-adabi taq leh jaati heh. Agar tummeh saar/jalan is baat ka heh kay ham Abu Talib ko Kafir kehtay hen aur Yazeed ko nahin toh tum yeh karo is level ki Hadith leh aaho jis ki meh nay Abu Talib kay Kafir honay par heh. Ham Yazid ko bi Kafir tehra denh gay. Agar tum say yeh nahin hota toh in Ahadith kay muqabileh meh woh Hadith pesh karo joh darja e sahih meh in kay muqabileh meh ho ya ziyada aur jin meh Abu Talib ka musalman hona sabat hota ho. Meh musalman dil say hoon, zuban say hoon, soch o feham meh hoon, aur meh nay Nabi e kareem (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko dil aur jaan say Nabi mana heh, aur farman un ka ho jis say Iman e Abu Talib sabat hota ho, meh nah manoon yeh nahin ho sakta. Meh apnay firqay aur jammat ki bat nahin karta, meray aqahid o nazriat dalahil say sabat hen aur un ki asal Quran o Hadith hen. Aur tumaray aqahid o nazriat ki bunyad andi muhabbat kay jazbat aur nafrat kay jazbat hen. Muhabbat meh Bulla kanjri ban kay nacha thah, aur us nay naach kay yaar manaya thah aur Quran o Hadith ki talimat ki kohi haya nah keeh thee. Abu Jahl nay nafrat meh kohi had nah chori thee ... tamam mojzay Nabi e kareem (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kay farmosh kar deeya aur nafrat o bughz meh is qadr appay say bahir huwa kay Kafir mara. Kehnay ka maqsad heh tumaray mazhab ka daro o madaar andi muhabbat aur nafrat par heh, joh is andi muhabbat kay mutabiq aahi chahay chawal huwi toh be theek heh ... Abhi meh tumaray saath Nusehriyoon (i.e. Nusayriyoon) ki shoroon karoon toh pata chalay kay muhabbat meh unoon nay Ali (radiallah ta'ala anhu) ko Allah (subhanahu wa ta'ala) banaya huwa heh. Han, Dhaku nay toh in ki mukhalfat ki magar majority Nusehriyoon kay saath heh ... Ghazanfar Abbas Tonsvi, Fazal Alvi, Zulfiqar Haydar Naqvi, waghera waghera saray Nusehri hen aur Shiyoon ko aksiriyat ineeh ko sunti aur Ali Allah kehti heh. Yeh sab muhabbat kee andiyat ka nateeja heh ... jistera tum nay mujjay likha thah: "Ahle bayat e athar ki tarif hi to hai. Ishq me business ki tarha takaze nahi hotey." Unoon nay bi, ishq e Ali meh Quran o Hadith, Tawheed o Shirk kay tamam taqazay faramosh kar deeyeh aur Hazrat Ali (radiallah ta'ala anhu) ko Allah (subhanahu wa ta'ala) kay darjay par faiz kar chukay hen. Dosri taraf Shia aur Rafziyoon ki bughz o nafrat meh logh is qadr guzr chookay hen kay Imam Hussain (radiallah ta'ala anhu) ko gali galoch deh rahay hen aur un ki shahadat kay mutaliq murdabad kay naray laga rahay hen. Yeh muhabbat aur bughz ki doh example hen. Apnay aap meh balance lahen aur apni muhabbat ko aur nafrat ko Quran o Hadith ka paband karen. Allah kay Nabi ka farman heh:  Muhammad bin Sirin narrated from Abu Hurairah - and I think he (narrated it from the Prophet) who said: "Love your beloved moderately, perhaps he becomes hated to you someday. And hate whom you hate moderately, perhaps he becomes your beloved someday." Tirmadhi, Vol. 4, Book 1, Hadith 1997. Apnay aap meh itni sakat peda karen kay joh baat aap ko daleel say millay ussay qabool karen. Jin logoon ki talab hidayat ki hoti heh woh issee tera kartay hen aap bi karo.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

Imam hussain se bugz!!! is ki vajah kya hai? kuchh aalim yazid ko kafir kehne se katra rahe hai hai...yeh rizvio ki tableegh ka natija hai. taziya dekhne se nikah tut jaata hai etc. kaha le ja rahe hi ummat ko? Ummat ko itna mazur aur daraa rakha hai ke imam hussain(as) aur yazid ke haq aur baatil me faisla nahi kar sakti. yeh khamoshi adab nahi kuchh aur hai.

 

Naimatullah shah kirmani ki peshangohi me aaya ke 2 ahmed naam ke shaks ummat ko gumraah karnge"

 

baaki jo ahadees pesh ki wo fabricated hai. Agar itna hi hadees manney ka dawa hai to mankunto maula aur maula ali ki deegar ahdees kyo nahi mante? kaan ki baat yad rehti hai gadeer ke mimbar ki baat bhul gaye? Jane anjane bohot bada ilzaam hai yeh sarkar(saww) par. kisi sharif insaan se chaurahe par agar rastaa puchha jaye ro wo bhi ek hi rasta batayega phir yeh to rasulallah (saww) hai, imamat aur khilafat 2 raste kaise bataa sakte hai. Mullo ne quran aur itrat wali hasees badl kar quran aur sunnat kar diya.

 

Jaha tak kalma padne ka sawal hai karbala me bhi imam hussain ko qatal karne wale kalma goh aur hafiz the..karbala se isliye dur karte ho ke waha munafiqat ke chehre se pardaa chaak hota hai. Karbla hi aisa markaa hai jisne munafiko/kafri aur momin me fark saaf aiyne ki tarha bataa diya. Ali akbar hu bahu rasulallah (saww) jaise dikte the unko kalmaa padhte hue shahid kiya kuchh kalmagoh ne.

Link to comment
Share on other sites

A narration attributed to Sa'id ibn Jubayr reports:
 
It is narrated from Ibne Abbas that the Messenger of Allah (a.s) said, “My Caliphs and successors are twelve persons, first of whom is my brother and the last my great grandson.” He was asked, “O Allah’s Messenger! Who is your brothera” He replied, “Ali bin Abi Talib.” He was asked, “Who is your great grandsona” He replied, “Mahdi, who shall fill the earth with justice and equity like it would be fraught with injustice and oppression. By the One in Whose hands is my life! Even if a day remains for the earth, the Almighty Allah will prolong this day till my son, Mahdi reappears and Isa bin Maryam descends to the earth and recites prayer behind His Eminence. The earth shall be illuminated from the east to the west.

 

hadees 12 imam, maante ho is hadees ko?? adam (as) se imam mahdi tak ka khaalis silsila hai yeh, kufr ka sawaal nahi uthta...

 

 

Abdul muttalib (rz) ke baare me, abhi Quran nazil nahi hua tha:

 

A man from the tribe of Himyar was sent by Abraha to Quraish to advise them that Abraha had not come to fight them: his only aim was to demolish the Ka'bah. But if the Quraish resisted, they would be crushed. Then followed a frightening description of his huge army, which, admittedly, was much larger and better equipped than all the tribes put together.
 
'Abdul-Muttalib replied to this ultimatum in these words: "By Allah, we do not want to fight him. So far as this House (the Ka'bah) is concerned, it is the House of Allah; if Allah wants to save His House, He will save it, and if He leaves it unprotected, no one can save it."

 

Hamare nabi (saww) ke silsile me na koi kafir hua na hoga, yeh hamara imaan hai. Bani hashim hamesha se ek parehzgar kabila tha, 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...