Jump to content

Madani Channel Ke Mutallik Aitraz

Rais.Khan

تجویز کردہ جواب

Assalamo alaykum wa rahematullahe wa barkatuhu.

Madani channel ko lekar ye aitraz uthaya ja raha hai ki, huzur madni miyan ne to 1996 me apni video ke jwaz ki tahkik pesh ki thi, aur ameere ahle sunnat ne 2008 me madni channel ki ibteda ki. to 1996 se 2008 tak ameere ahle sunnat TV ko haram kyun kahte rahe??? aur 2008 me ekdam se kyu halal kar dia???

barae maherbani, is suwal ka jawab kisi ke pas ho to inayat farmae.

jazakallah.

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...

(wasalam)

Ameer e ahlesunnat or dawateislami ne kabhi bhi mutlaqan tv ko haram nahi kaha balke hamesha or abhi bhi tv pr najaiz kamon ko najaiz kaha hai. agerche woh sirf news ka channel hi kyon na ho. jis per sirf orat bethi news de rahi ho or kuch bhi ghalat na ho tab bhi channel dekhna mana hay

Mukhalifeen se kahain ke koi aik tehreer ya bayan dikhain jis me video ko jaiz kehne wale ulema ko ghalat kaha gaya ho ya unki mukhalifat ki gayi ho. dawateislami ulema ki izzat o tazem ka dars deti hai or ulema e ahlesunnat ko apne sir ka taaj kehti hay.

Dawateislami ke pehle ijtima men taqreer ka sharf bakhshne wale Ghazali e Zamaan Allama Sayid Ahmed Saeed Kazmi (ra) bhi video ke jawaz ke qail they or unke video bayanat mojod hain. Issi terha khateeb e aazam pakistan Maulana Shafi Okarvi rehmatullah alaih, jinho ne dawateislami banane ki bunyaad rakhi, woh bhi video banwate they. Issi terha Ameer e ahlesunnat ke ustaz e mohtaram, jin se aapko khilafat bhi hasil hay. mufti e aazam pakistan mufti waqar ud din qadri alaih rahma ne bhi bhi waqar ul fatawa men jaiz video ko jaiz kaha hay. tu dawateislami ne kabhi bhi jaiz video ko haram nhi kaha.

Farq sirf itna hay ke pehle policy video banane ki na thi mager halaat or ulema e ahlesunnat ke jawaz ke fatwe ko pesh e nazer rakh ker policy tabdel ker di gayi. dawateislami pehle bhi ulema e ahlesunnat ke bayanat ki videos ko jaiz samjhti thi. abhi aa ker kuch halal nhi kya.

Link to comment
Share on other sites

Guest
مزید جوابات کیلئے یہ ٹاپک بند کر دیا گیا ہے
×
×
  • Create New...