Jump to content

Kya Ameer E Ahlesunnat Ne Olma E Deoband Ki Takfeer Ki ?


muhafiz1292

تجویز کردہ جواب

kuch name nihad sunni bhai maulana ilyas qadri sahab par aitraz karte hai ke ke unhone kabhi olma e deoband ki takfeer nahi ki 

mujhe kuch aisa proof chahiye jisse me un tak ye baat pohoncha sakun asani se

Salam alayqum,

Bunyadi Aqahid bunyad e iman kay leyeh:

Janab Sunni honay kay leyeh, Allah, Rasool, qayamat, jannat, dozakh, achahi burahi ka Allah kee taraf say hona, mawt kay bad uthaya jana - namaz ki farziat, Hajj, saum, Kalmah, in sab par joh iman rakhta heh woh Sunni heh. In say ziyada Sunni honay kay leyeh zeroori nahin.

Un kay mutaliq joh bunyad e eman ka say joray nahin:

Agar kohi bat Quran aur Sahih ya mutawatir hadith say sabat ho aur kohi itlah aur hujjat kay bad munkir ho jahay aur nah manay aur yeh wazia ho jahay kay banda samajta heh magar manta nahin, toh phir Quran aur mutawatir hadith kay matan say joh sabat hota heh us kay munkir honay kee waja say Kafir hoga aur Hadith e Sahih kay matan say joh sabat hota heh us kay munkir honay say gumrah.

Gustakhana Ibarat:


Kufr say raazi hona Kufr heh. Kufr ko kufr man-na magar murtaqib kee takfir say prez karna ahle sunnat say kharij nahin karta.Kufr ka rad nah karna ahle sunnat aur Islam say kharij nahin karta. Kissi Pir ki tanqeed say tanqeed karnay wala Ahle Sunnat say kharij nahin hota aur nah Islam say kharij hota heh - chahay tanqeed na-haq ho.

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Jab Ulamah e Ahle Sunnat ki majority kissi  ki mukhalfat karay, toh majority kay sath ho jahen. Maulana Ilyas Qadri joh qam kar rahay hen acha kar rahay hen aur jis andaaz say kar rahay hen acha heh. Joh in kay khilaf jaiz ihtijaj heh yehni masla tasweer woh jaiz heh is kay ilawa bila waja ilzam tarashi joh karay ga apni aakhirat gawahay ga.

 

Link to comment
Share on other sites

Ye sawal Ameer Ahle sunnat se direct kia gia tha aik off air muzakarey me.Ameer ahle sunnat ka jawab mulahiza fermayen khuch alfaz ki kami baishi k sath:

 

Dawat e islami Allah ka shuker he k is waqat 200 se zayed mumalik me apna pegham phuncha chuki he.dawat e islami gher muslim mumalik me bhi kaam ker reahi he or muslim mumalik me bhi.dawat e islami ne aj taq badmazhab ki tareef nahi ki.Dawat e islami ager direct nam le ker takfeer karey tu dawat e islami ko jaga jaga pbandi ka samna kerna parey ga or deen k kam bhi disturb hoga takfeer se ziyada tareef ki zaroorat he jo dawat e islami ulma ahle sunnat bi khasoos Ala hazrat ka dewana bana rahi he...Ameer Ahle sunnat or dawat e islami aik kamyab hikmat k tehet kam ker rehey hen jis ka samer sab k samney he...Ameer Ahle sunnat ne aj taq kisi bad mazhab ki tareef nahi ki balkey hamesha unki suhbat se bachney ki talqeen fermai...or badmazhabon k aqaid ki bermala tardeed ki he...

Link to comment
Share on other sites

Janab is'see achi tadbeer ki wajah say Ahle Sunnat kay Maslak kee taraf log ahay hen. Mojooda dawr meh joh bacha Sunni gar meh peda hota heh aur jab us ko school college ki hawa lagti heh toh woh bi Sunniat ko jahalat tehrata aur samajta heh. Jitna kaam Dawat e Islami nay akelay kia, agar mojooda dawr kay saray Peer aur Mushaykh jama ho jahen toh shahid es-si husn tadbeer say tableegh nah kar saken. Meh ba-zaat e khud Dawat e Islami kay khilaf hoon Tasweer kay maslay par aur hasb e zeroorat biyan karta hoon kay meh Dawat e islami kay Tasweer kay mowaqif ko gumrahi samajta hoon. Magar gumrahi aur zindeeq mulhid ka 'fatwah' kabi nahin deeya. Janta hoon kay Sahabah meh be ikhtilaf huwa, Hazrat Ibn Abbas (radiallah ta'ala anhu) nay Mutta kay jaiz honay par haram ho janay kay bad be Fatwah deeya, Hazrat Aysha (radiallah ta'ala anha) nay Ilm e ghayb, aur Allah kay deedar kay khilaf biyaan keeya, halan kay jamhoor e Sahabah aur Jamhoor Ahle Sunnat ka deedar par imaan heh,  ... Batanay ka maqsad yeh heh kay banday tehqeeq meh, samaj meh ghalti kar jatay hen, aur un ki ghalti par dushmani aur haath doh kar peechay nahin parna chahyeh. Meh khud tehqeeq say likhta hoon aur yeh toh ho nahin sakta kay meri tehqeeq har issue par ayn Ahle Sunnat kay mutabiq ho kaheen nah kaheen meh nay bi Ahle Sunnat kay uqabir Ulamah kay khilaf likha hoga, joh aap par ayan nahin aur muj par bi nahin. Biddat ki tareef joh Ahle Sunnat kee heh aur joh Ulamah e Ahle Sunnat wali heh, meri toh woh nahin, meh toh abhi be Wahhabiyoon wali ko istimal karta hoon.

Joh tareeka Ahle Sunnat nay apnaya heh woh bot umda aur kamyab heh. Yahi tareeka Wahhabiyoon aur deobandiyoon nay apnaya thah jis ki waja say un ko bot ziyada kamyabi huwi. Taqwiyatul iman, Kitab at tawheed, par kar dekh lenh, sirf hammeeh ko Kafir/Mushrik bananay kee khatir likhee gahi hen, magar kissi be jaga hamara naam istimal nahin huwa, jis ki waja say parnay wala banda in ko firqa wariat say paak, aur ayn Islam kee tarjuman samajta aur baghair ihtiraaz kay sab kuch qabool karta heh. Tableeghi jammat walay, joh in kay asal banday hen, kabi bee firqa wariat ya kissi ka direct naam nahin lenh gay kay ham barelwiyoon kay khilaaf baat kar raha hoon, sirf apni baat biyan karen gay. Yeh ZiaBashir sahib Deobandi hen aur ghaliban silsila Owaisiyyah Naqshbandiyyah ka banda heh aur Yar Muhammad kay khalifah mureed hoga ya us say kissi tareekay say nisbat heh.  Magar is ki taraf say kohi indication nahin huwi kay yeh kon say firqa say talluq rakhta heh ... jin ko apna mazhab pehlana hota heh woh naam nahin pehlatay nazriyat pehlatay hen aur nazriat pehal janay kay baad joh nazriat mantay hen woh khud apnay aqahid kay mutabiq apnay firqay say talluq jor letay hen.

Sunniat agar bachi toh Wahhabi deshat-gardoon kee deshatgardi ki waja say aur dosri dawat e Islami ki waja say, nah maulviyoon kee maulviyat say bachay gee aur nah Pir kee Peeriat say. Keun kay Maulvi ko tableegh nahin aati aur jazba aur husn tareekay say maslak ki khidmat ka pata nahin, us nay jumma kay khutba aur taqreer taq geeyarwiyoon, milaadoon, taq tableegh ko limit kar deeya, Piroon ko qawali, dance, currant laga laga kar wajd meh lanay ka shawq chara huwa heh, aur zikr nafi aur asbat, Sharah masnavi, qaseeda woh qaseeda yeh, darood shareek trillionah detay hen. Phir chand logh esay hen jin ko jazba bee heh, tareeka be heh magar wasail nahin, aur agar kissi kay pass wasail aur tareeqa e tableegh ho toh, pir aur maulvi, mil kar is kay khilaf us waqt taq mehim jari rakho jab taq yeh ilaania tor par ya kaffir honay ka iqrar nah kar leh ya khoob kushti nah ho. Is kay mureed us ko gali denh aur jawaban us kay mureed pehaly walay ko gali nah denh, is maulvi kay dosray maulvi ko gali nah denh, jab taq yahan taq baat nah ahay nah peer chup hotay hen aur nah mureed. Allah aur Rasool ki baat hee nahin rahi aaj sirf Peer kia kehta heh, Peer nay keh deeya chahay Allah be kahay Quran meh, mureed nay nahin manni, mera peer marifat aur haqiqat aur maqam e malakoot meh gharq hota heh woh kesay ghalt ho sakta heh, ... yeh haal heh mureedoon kay ghulu ka. Aqalmand banda woh heh joh maulvi aur peeroon ko raazi karnay kay leyeh donoon ko bula kar kahay aho ... maulvi tummeh tehreeri tor par likh doon kay meh kafir hoon, nah allah ko manta hoon, na rasool ko manta hoon, nah quran ko, is say tum khush ho jaho gay aur dil meh thandak paray gee ya is say ziyada kuch aur be likhwana heh, bataho woh be likh doon ga ... Peer ko kush karnay kay leeyeh us ko yeh likh denh kay meh manta hoon, tooh hee Allah aur rasool heh, tooh hee la maqah meh heh, saray farishtay haqiqat meh teri hee ibadat kartay hen, tooh makhlooq kee rooh heh aur Allah ka ayn heh, aur toooh hee BAS EK HEE ASLI SYED HEH, IMAM HUSSAIN AUR HASSAN KEE ULAAD HEH, AUR HQIQAT MEH TOOH UNEEH KEE AULAAD HEH TOOH GHAYBAT MEH RAHA AUR PHIR TERA NUZUL LONDON MEH HUWA. - London wala ek Abdul Qadir heh yeh us ko raazi karnay ka behtreen tareeka heh.

Maulviyoon kee maulviyat aur peeroon kee periat say bilqul tang aur aajaz aa chuka hoon. Meh nay 15 saal say ziyada Maulviat kee heh, abh meh tanq a chuka hoon is say. Joh haq baat Quran aur Hadith say aur Jamhoor Ulamah Ahle Sunnat o Islam ka nazria heh ussay maneh. Jab ek banda AhleSunnat kay khilaaf nazriat apnay ka mamool bana leh jitera Abdul qadir london wala aur Tahir Ul Qadri hen ... toh phir husn tadbeer say awaam ko sahih aqahid o nazriat biyan karen, agar kohi tehqeeq meh ghalti karta heh ya kissi ek maslay meh jamhoor kay khilaf jata heh toh chor denh, us ko maaf kar denh, Allah bi maaf kar deh ga, insaan ghaltiyan karta heh. Joh Ahle Sunnat kay Ulamah hen agar kohi ghalti karen toh bi adab ko malhooz rakhen, aur un say rabta rakhen, baat nah maneh, woh maneh joh Quran Hadith kay mutabiq ho, magar dushmani maan behan ki nangi galiyoon taq banday ko nahin aana chahyeh.

Link to comment
Share on other sites

  • 3 weeks later...

Janab, saboot ba asani mil sakta hay or kayi dahayon se mojod hay..

 

Dawat e islami ke Matkabatul Madina se Alahazrat ki kitab Tamheed ul Iman maa Hassam ul Huramen khareed len. us pr Ameer e Ahlesunnat ki tasdeeq or tehreeri bayan mojod hay shurow men hi. Nez ameer e ahlesunnat ki hidayat hay apne mureedon or chahne walon ko keh Tamheed ul iman zaror perhen, or madani inamaat ke card ko check keren tu aik inaam ye bhi hay, or bayt wala maktoob per bhi ye mojod hay. tu kya ye kam tazdeek hay deobandi ulema ki takfeer pr? phir bhi koi na mane tu woh khud apne apko bewaqof bana raha hay.

 

IMG_20141217_151226.jpg

IMG_20141217_151351.jpg

 

bayt-maktoob1.jpg

 

p149.jpg

 

http://www.dawateislami.net/books/bookslibrary.do#!section:onlineRead_1140.2.149

 

Edited by Kilk-e-Raza
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...