Jump to content

جناب محمدﷺ کی دعوت توحید اور عرب کے لوگوں کا شرک


ziabashir

تجویز کردہ جواب

 

:excl:

کیا مملوک ماننے کامطلب ماذون مانناہے؟ کبھی سبھی مملوک ماذون ہوتے ہیں؟

مشرکین(الا شریکا ھو لک تملکہ وما ملک)کے الفاظ سے بتوں کےمملوک ہونے کا

اقرار توکرتے تھے مگراس سے ماذون ہونے کاقول اسی صورت میں آپ سمجھ سکتے ہیں جب مملوک

اورماذون مترادف ہوں۔

مجھے اس حوالے سے دلائل کی ضرورت ہے ، کوئی بھائی مثالیں پیش کر سکے کہ ہر مملوک ماذون نہیں ہوتا تو بہت مہربانی ہوگی۔

کاش کہ میرے سید خود ادھر موجود ہوتے تو انہی کو زحمت دیتا۔

سیدی سعیدی صاحب بدمذہبوں کی ایسی چھترول کرتے ہیں کہ دوبارہ ان بدبختوں کو سر اٹھانے لائق نہیں چھوڑتے۔

مگر مجھ کم علم کو ایک تو خود اتنی قابلیت نہیں کہ دلیلیں ڈھونڈوں اور ساتھ غلطی کا ڈر لگا رہتا ہے۔

سو پلیز میری مدد کریں

Link to comment
Share on other sites

  • 4 years later...

Salam alayqum,

Zia Bashir Sahib nay yeh likhay thay aur us ka jawab mein nay deeya thah:

Quote

 

کسی ہستی کے بارے میں سمجھنا کہ اب وہ ہر نفع کو دے سکے ہر نقصان سے بچا سکے کوئ بھی کسی بھی قسم کا ہو، زرق نہیں مل رہا بیٹا چاہیے،

کسی بھی بیمارئ سے جسے مرضی نجات دہ دے، ہر مشکل پریشانی کو دور کر سکےیاں کسی کو کسی بھی مشکل پریشانی میں ڈال سکے، جو نعمت چاہے دے جو نعمت چاہے روک لے عرض

ہے کہ پورا اختیار کسی کو جو چاہے دے کسی بھی سے جو چاہے روک لے۔ اللہ کی سلطنت میں جیسے چاہے تصرف کر سکے یہ ہے اس ہستی کو الہٰ بنانا۔

Khadam nay lafz har, kissi bi, ko qull kay mafoom meh samja, yehni Allah kay jesa 'qull', jis mafoom meh Allah kay leyeh har/ every/ qulli/ ka lafz bola jata heh. Meh nay aap ki likhi huway ko ba-ghor para aur Ahle Sunnat kay asool o zawabat kay mutabiq paya. Agar kissi makhlooq kay mutaliq yeh nazria rakha jahay kay woh qulli tor par nafa nuqsaan raziq mushkal kusha ... par qadir heh toh phir us ko Ilah ka darja deeya gaya. Yehni meri taraf say joh aap nay likha heh aur jis mafoom meh khadam nay samja aur apnay ilfaaz meh biyan keeya, us mafoom meh aap ka point bilqul darust heh.

 

Meray likhay huwi is taeed ko madd e nazr rakh kar Zia Bashir nay yeh neechay walay sawal keeyeh. Shahid yeh samaj kar kay hamaray aqahid wohi hen jin ko mein nay darja ulluhiyat tehraya heh aur Shirk bataya heh:

On 11/26/2014 at 11:00 AM, ziabashir said:

محمد علی صاحب سوالات کا جواب تو آپ نے دیا نہیں وہ تو دے دیں

کیا بریلوی جناب محمدﷺ کے پاس مکمل نفع نقصان کا اختیار نہیں مانتے ؟

کیا بریلوی جناب محمدﷺ کے بارے میں نہیں مانتے کہ وہ اللہ کی سلطنت میں جیسے چاہیں تصرف کریں؟

اب اگر مانتے ہیں تو محمد علی صاحب آپ کے اقرار کے مطابق یہ شرک ہوا کہ نہیں؟؟

Agar kissi makhlooq kay mutaliq yeh nazria rakha jahay kay woh qulli tor par nafa nuqsaan raziq mushkal kusha ... par qadir heh toh phir us ko Ilah ka darja deeya gaya. Yehni meri taraf say joh aap nay likha heh aur jis mafoom meh khadam nay samja aur apnay ilfaaz meh biyan keeya, us mafoom meh aap ka point bilqul darust heh.

Salam alaykum,

Moteram bhai aap ka bhot shukria is post ki taraf motowajoh keeya. Please email nah keeya keren bot kam check karta hoon. Forum par private message kar deeya keren. Is kay mutaliq jawab nah likha keun kay yeh bhot tafseel talab thah.

Sawal 1 kay jawab wasteh zerooriat:

Ahle Sunnat ka nazria heh kay Allah subhanahu wa ta'ala nay zameen kay tamam khazanoon ki kunjiyan RasoolAllah 
(sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko ata kee hen aur denay wala Allah ta'ala heh aur RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) taqseem karnay walay hen. Yeh nazriat Sahih Bukhari say wazia hen.

Muqambal, qulli, tamam aik Allah subhanahu wa ta'ala wala aur dosra makhlooq wala heh. Makhlooq wala mukambal: Misaal kay tor par banda kehta heh yeh makan muqambal/qulli tor par meri malikiat heh. Is mein banday nay aik juzz kay mutaliq kaha yeh qulli tor par meri malikiat heh. Dosri baat yahan par us nay juzz/makan ka ata e Illahi honay ka inqar nahin keeya magr kissi aur makhlooq ki makan mein malikiat ki shirkat ki nafi wasteh yeh ilfaaz bolay hen. Allah wala Mukambal: Agar kahay jahay Allah makhlooq ka qulli tor par Malik heh toh, is mein tamam makhlooq ki malikiat ki aur kissi ghayr ki atah ki nafi heh. Hasil yeh kay laff tamam/qull/sab/har aik/ jab makhlooq wasteh istimal hoon toh aik juz wasteh aur us juzz ki atah e illahi kay izhar saath hota heh aur jab Allah kay wasteh toh tamam makhlooq aur ghayr ki ata ki nafi kay saath istimal hota heh. Jab mukambal RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) wasteh bola jata heh toh atah e illahi juzz wasteh hota heh.


Janab Zia Bashir Sahib ka sawal thora conusing heh. Sawal doh ihtimal peda karta heh:

1a) Kia RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko ikhtiyar thah kay woh apni marzi say kissi ko kissi kism ka nafa nuqsaan denh saken?
1b) Kia RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko nafa nuqsaan par qulli ikhtiyar hasil thah yehni jissay chahen nafa nuqsaan aur jitna chahen denh?  Yehni Zia Bashir Sahib kay sawal kay doh ihtimal hen pata nahin kiss ki taraf in ka ishara heh. Magr is aik sawal ko 1a aur 1b mein taqseem kar letay hen.

Jawab 1a:

Bunyadi baat tamam makhlooq kay pass nafa o nuqsaan ka ikhtiyar heh ... maslan nafa denh toh naiki keren ... nuqsan denh toh gunnah kay murtaqib hoon ... makhlooq pass nafa nuqsaan ki qudrat aur ikhtiyar hoga toh naiki aur gunnah kay amaal kay zummedar hoon gay ... jab ikhtiyar aur qudrat nahin toh phir sazza jaza kay mustahiq kesay hoon gay ... is wasteh nafa nuqsan par mukammil ikhtiyar heh. Khaas baat ham RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kay wasteh yeh mantay hen kay un ko nafa denay aur nuqsaan denay par mukamil ikhtiyar thah magr gunnah walay nafa nuqsan say masoom thay.

Jawab 1b:

RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko tamam ZAMEEN kay khazanay ata huway aur denay wala Allah aur taqseem par RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kay teht  ZAMEEN kay tamam niamatoon kay khazanay ki taqseem ka ikhtiyar toh ata huwa aur ham mantay hen.  Niamaten nafa hi hen is leyeh tamam nafa joh zameen par banda aur baqi makhlooq khuda ko milta heh RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki taqseem aur un kay khazanoon mein say milta heh. Ham RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kay wasteh yeh nazria nahin rakhtay kay joh nuqsaan misaal kay tor par zakhm, qatal, jalna, bemari, ulaad nah hona, ameer say ghareeb hona waghayra ... RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kay ikhtiyar mein hen. Yeh nuqsaan kissi bi ayaat u Hadith say RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) wasteh sabat nahin.

Bilfarz Muhaal:

Chalen farz kar lenh, ham yeh mantay hen kay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) tamam nafa nuqsaan par ikhtiyar rakhtay hen toh kia Shirk lazam ata? Kia ham nay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko Ilah bana-nay kay murtaqib hotay? Har giz nahin keun kay nazria yahi heh nafa nuqsaan ki taqseem ki qudrat aur ikhtiyar Allah ki taraf say hasil huwa magr deta Allah heh taqseem RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kartay hen. Makhlooq ko nafa nuqsaan denay say Ulluhiyat ka kohi murtaqib nahin hota jab taq banda ussee nazria say nafa nuqsaan denay ka iqrar nah karay jistera woh Allah wasteh karta heh. Allah (subhanahu wa ta'ala) ka joh iktiyar nafa heh woh sirf RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) walay ikhtiyar taq hi mehdood nahin balkay qayamat baad joh jannat/jahhanum mein nafa/nuqsaan deh ga ... misaal kay tor par sooraj ki dhoop ... yeh zameen kay khazanoon say bahir heh ... magr nafa mein shamil heh magr RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ki malikiat nahin keun kay atah e illahi nahin huwi woh toh sirf zameen kay khazanoon ki ata thi aur phir taqseem bi toh nahin kartay. Allah (subhanahu wa ta'ala) ka nafa o nuqsaan mein aur makkhlooq kay nafa nuqsaan ki miqdar mein farak, aik Allah (subhanahu wa ta'ala) la mahdood nafa nuqsaan denay wala aur dosra mahdood. Aik ko nafa nuqsaan ki qudrat aur ikhtiyar Allah (subhanahu wa ta'ala) nay baksha. Dosra (subhanahu wa ta'ala) (subhanahu wa ta'ala) ka apna thah aur ghayr nay nah baksha. Ulluhiyat ka kohi tab hoga jab woh nafa nuqsaan ko makhlooq wasteh nazria Zaati, Qulli, Haqiqi, bi-ghayr izni, la-mahdood, Qadeem kay mutabiq manay agar atahi, baaz, hadis, bi izni, majazi tor par nafa nuqsan denay wala manay toh kohi harj nahin aur agar is lehaz say kohi makhlooq kay nafa nuqsaan ka inqar karta heh toh ya jahil mutliq heh aur Tawheed ka kuch pata nahin ya phir pagal khanay say mareez farar heh ussay wapis jama karwa denh.

2ra Sawal Aur Jawab:

Ham RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) wasteh yeh nazria bilquk nahin rakhtay kay woh makhlooq e illahi mein jaisay chahen tassrruf kartay hen. Yehni RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) makhlooqaat banatay hen aur nizaam e qaynaat ko chalatay hen waghayra ka hamara kohi nazria nahin. Ham sirf tassarruf taqseem mein mantay hen aur mojza'an aur hasb e zeroorat RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) balkay tamam Nabiyoon kay wasteh aisa tassarruf mantay hen jaisay matti kay parinday mein jaan dalna, murdoon ko zinda karna, nabeena bandoon ko nazr dena ... magr yeh nazria har giz nahin kay un ka tassarruf is had taq heh kay woh har waqt makhlooqaat bana rahay hen aur  nizaam e makhlooq chala rahay hen. Sirf aur sirf taqseem aur muj'za'an tassrruf mantay hen.

3ra Sawal Aur Us Ka Jawab:

Aap kay pehlay sawal ki doh jehaten theen, 1a ka toh aap inqar nahin kar saktay, 1b nafa aur woh bi zameen waloon ki had taq mahdood mantay hen. Aur nuqsaan ka sirf mahdood hadd taq aur woh bi gunnah say baghayr wala toh ham mantay hen. Magr har kism ka nuqsaan aur woh bi tamam makhlooq wasteh ham nahin mantay RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kay leyeh. Zia Bashir aur aap kay bad-aqal walay batahen yeh Shirk heh ya nahin ham say poochyeh mat. Dosra tassarruf makhlooq wala sawal ... is kay toh ham qail hi nahin ham toh sirf mojza'an tassarruf kay qail aur taqseem mein tassarruf kay qail hen.

Dar asal Zia Bashir nay yeh sawal is wasteh poocha kay is Jahil ko awal Tawheed Shirk kaya heh aur Shirk kistera lazam aata heh ka pata nahin aur nah hamaray nazriat ka. Is Wahhabi nay samja kay yeh RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam)  wasteh tamam nafa nuqsaan mantay hen ... yehni tamam makhlooq ko joh nafa nuqsaan milta heh aur millay ga aur joh zameen aur asmanoon mein hen sab ko RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) ko nafa nuqsan denay ka hamara nazria heh. Dosra is nay yeh jhoot mansub karnay ki koshish ki kay ham RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) kay wasteh tamam makhlooq mein tassaruf mantay hen yehni bana-nay aur chalanay mein bi ... yeh is waja say ham say sawal pooch raha heh kay bataho Shirk heh ya nahin ... Shirk toh Allah (subhanahu wa ta'ala) say aisi barabari heh jis mein kissi sift mein mein Allah (subhanahu wa ta'ala) aur makhlooq mein kohi farq nah rahay ... misaal tor ... Allah (subhanahu wa ta'ala) hamesha say tha ... banda hamesha say thah ... hamesha say hona Allah ki sift heh aur banda ko yeh sift deh kar banda ko Allah (subhanahu wa ta'ala) kay barabar kar deeya hamesha say honay ki sift mein ... lehaza Shirk heh. Jab RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) aur Allah kay ikhtiyar nafa/nuqsan mein aur tassarruf mein be-hadd farq heh ... misaal tor Allah (subhanahu wa ta'ala) nafa/nuqsaan par hamesha say qadir/ikhtiyar rakhta thah ... Rasoolallah  (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam)hamesha say wujud mein hi nahin thah phir hamesha say nafa/nuqsan ka ikhtiyar hasil nahin ho sakta ... Allah (subhanahu wa ta'ala) Zaati tor say nafa/nuqsaan deta heh ... RasoolAllah  (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam)Atahi tor para nafa/nuqsaan detay thay ... Allah (subhanahu wa ta'ala) nafa/nuqsan denay mein mohtaj nahin ... RasoolAllah (sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam) Allah  (subhanahu wa ta'ala)kay mohtaaj hen nafa/nuqsaan denay mein ... waghayra ... jab barabari nahin toh Shirk nahin.

Al-hamdu-lillah Allah kay fazl say ham nay apnay maslak aur Tawheed bayan kar deeya ... abh kohi Wahhabi ya Zia Bashir sahib jinnoon nay Shia kay 12wen ki tara Ghaybat ikhtiyar kar leeh heh ... aah kar sabat karay hamaray aqahid o nazriat kesay Shirk hen. Aur yahi sabat kar denh kay joh mein nay taeed mein Shirk kaha thah hamaray nazriat ussee taeed kay mutabiq hen. Zia Bashir kia in kay abba bi yeh aqahid hamari kutub say sabat nahin kar saktay. Ham nahin mantay kay RasoolAllah ka ikhtiyar nafa nuqsaan qulli heh jaisa Allah (subhanahu wa ta'ala) ka. Tafseel bayan kar chooka. Mazeed agar tafseel talb huwi toh sawal idhar hi kar leejeeyeh ga.

Muhammed Ali Razavi
Wama alayna ilal balaghul mubeen.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...