Jump to content

Kai Bewakoof Kahte H Khuda Ka Muqaam Arsh Par H Zameen Par Nahi.. Jawaab Janiye ...|


raza brother

تجویز کردہ جواب

attari bhaee, apni aik adat hay kaee saaloon say, jab bhee ko ee naee baat miltee hay  to yaqeen karnay k liee hamisah kisi na kisi say share kia, taa k yaqeen ho ja ay k kahen ko e molvee,moulana,khateeb ghalat to naheen keh raha. 3000/4000 milta hay aam tour par punjaab main masjid k khateeb sb, ab wo kia tehqeeq karain gay,books kahan say purchase karain.

 

bahut saari cheezaain discuss hoti rehtee hain.  ab main nay aik baat likh dee, us kee tashee  kar dee jaati k sahee tarjama ya hay.  aik khateeb sahib ab bhee ya kehtay hain  ya bhee tarjma sahee hay k AALAH BARA HAY> magar ALLAH (azw) ke shaan ya hay k ya kaha ja ay,ALLAH (azw) sub say bara hay.  jab aap ko kissi cheez kee lagan ho to bahut saaray meaning saamnay aatay hain.

 

about 15 saal pehlay krachi say by air multan aana tha via faisalabad.  wahan flite late ho gaee. masjid main ishaa ke namaz parhi. wahan syed hamid saeed sahib say mulaaqaat ho gaee. gup shup start ho gaee. us waqat main bank executive tha.  wo hairan ho gay  sooted booted aadmi bhee deen main is tarah interest laita hay. main nay meraaj un nabbi, aik waqat main bahut jagah hazir hona, masjid e aqsaa main namaaz ka anbiaa karaam ka hazir hona ,different swaal kiee ay. yahee swaal main khateeb qari iqbal sahib, madina masjid sahiwal bhee kar chuka tha magar sahee jawaab na milla.   kazmi sahib nay jo jawab dia, us nay mairay ten years k swaaloon ka jawab day dia.

 

un ka jawab ya tha jis ko sun kar main jhoom gia.  aik swaal k jawaab main farmaanay lagaay, HAZOOR (saw) masjid nabvi main tashreef farma hotay thay, aur ussi waqat un ka deedaar aik he waqat main bahut saari qaboor main muslimaanoon aur ghair muslims ko karwaya jaata tha jab munkar nakeer swaal kartay thay.

 

ab swaal bhee main nay kia aur jawaab bhee main nay he arabic language kay hisaab say dia k ALLAH SUB SAY BARA HAY.  is ka matlab hay bahut saaray parhnay waalay khamosh thay kauns matlab sahee hay.  TO JAB TAK POOCHAIN GAY NAHEEN TO ILAM KAISAY HASIL HO GA.

 

aap ka bahut bahut shukria.  main jo kuch daikhta hoon,sunta hoon, likh daita hoon.for example, hazrat awais qarni  (raa) kay mazaar par gunbad hay.  main kehta hoon kia sirf saudi arabia waalay sahee muslimaan hain aur syria waalay naheen, to jawab milay k hawaala dain.  to bhaee main to aankhoon daikhee baat kar raha hoon, kia hawaala doon, ya to hawaala say bhee bara saboot ho gia k aankhoon say daikha hay. 

 

aik ghalti kia main to saari ghaltiaan maan raha hoon.  main nay to kissi ka naam bhee naheen lia k falaan nay kaha,  mujhey to ya bhee yad naheen tha k kub kee baat thee. topic chala to zehan main baat aa gaee to likh dee. us kee correction kar daitay. bus itni see baat thee.

 

magar is k baawajood  main dar gia hoon k kaheen kuch jhoot na likha ja ay. main aap sub ko chor naheen raha attari bhaee, thora sa mohtaat ho ja oon ga. thjank you

Link to comment
Share on other sites

waseem bhaee mairay mohalla k khateeb nay ya baat naheen kee. bahut pooraani baat thee, kis nay kahee,kab kahee,kahan kahee,yaad naheen.topic chala to zehan main baat aa gaee to likh dia.  jab saeed sb nay objection kia to main samjh gia wo kehna cahtay hain k tarjama sahee ya ha k ALLAH SUB SAY BARA HAY.  main tasdeeq k liee ay mohallay ke masjid k khateeb kay paas gia jin say is baaray main poocha.

 

phir aik arabic professor say poocha to us nay  bataya k  AKBAR sub say bara and KABEER bara hota hay.  main to saath saath wazahtain karta gia saeedee sb ko about 4/5  jawaabaat main.

 

main bhee yahee kehna cahta hoon k hum yahan seekh rahay hain.we all are student. ab student sahee swaal bhee karay ga and wrong bhee.  any how,  thank you for your muhabbat. dua main yaad rakhain.

Link to comment
Share on other sites

شہزاد صاحب  آپ نے فرمایا:۔


ulma karaam kehtay hain


ya mat kahain k


ALLAH (azw) sub say bara hay


اس پریہ پوچھا گیاتھا کہ اُن علماء کرام کے نام ؟آپ بات بڑھاتے چلے گئے۔ 


اب آپ یہ بتائیں جو100کتابیں آپ کے پاس ہیں اور آپ پڑھتے رہتے


ہیں۔اُن میں یہ مسئلہ کہیں نہیں ملتا؟؟


سیکھناچاہتے ہوتوسیکھنے کی ٹون میں بات کرو۔


دھڑلے سے علماء کرام پرجھوٹ بولا۔اب باتیں بنارہے ہو۔


مجھے زیادہ وقت نہیں ملتا۔بائی چانس آپ کی اس پوسٹ پرنظر پڑگئی۔


آپ کوآگاہ کرناچاہاتوآپ کے باتونی پن کی وجہ سے بات طول پکڑگئی۔


ستم آیا ۔غضب ٹوٹا :excl: ۔قیامت    ہوگئی  برپا ؂


فقط اتنا ہی پوچھاتھا کہاں مصروف رہتے ہو؟


اگرآپ نازک مزاج شاہوں سے شمارہوتے ہیں اور تاب سخن نہیں


رکھتے اورچاہتے ہیں کہ یہاں آپ کی تحریر پر نہ تو دھول دھپا ہواورنہ ہی پیش دستی


توارشادفرمائیں۔


Edited by Saeedi
Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...

ALLAH ARSH PER MUSTAVI hay ya bahes side may reh gayee. or is baat per bahes shuru ho gayee kay ALLAH sub say bara hay ya kehna chahiya ya nahi.

 

muhjay ahle sunnat wa jamaat ka fatwa kahi nahi mill raha kay ALLAH kay mutaliq Ahle Sunnat wa jamaaat ka kiya Aqeedah hay? kiya ahle sunnat wa jamaat allah ki zaaat ko arsh per mustavi manti hay? kiya arsh kay siwa kahi bhi ALLAH ki zaaat mojoud nahi hay?  

 

barai madinah jawab irshad ferma dien

Link to comment
Share on other sites

ALLAH ARSH PER MUSTAVI hay ya bahes side may reh gayee. or is baat per bahes shuru ho gayee kay ALLAH sub say bara hay ya kehna chahiya ya nahi.

 

muhjay ahle sunnat wa jamaat ka fatwa kahi nahi mill raha kay ALLAH kay mutaliq Ahle Sunnat wa jamaaat ka kiya Aqeedah hay? kiya ahle sunnat wa jamaat allah ki zaaat ko arsh per mustavi manti hay? kiya arsh kay siwa kahi bhi ALLAH ki zaaat mojoud nahi hay?  

 

barai madinah jawab irshad ferma dien

AhleSunnat mante hain kai Allah Arsh per Mustavi hai per wahabiya ke terha mustavii ka meaning baithna nahi kerte.

 

Ahlesunnat ka tafseeli moaqif jane kai lea "Mufti Asharaf Asif Jalali" ke ye speech samat fermain.

 

http://www.islamimehfil.com/topic/21631-allah-kahan-hay-allah-arsh-per-mustavi-hay/

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...