Jump to content

Kai Bewakoof Kahte H Khuda Ka Muqaam Arsh Par H Zameen Par Nahi.. Jawaab Janiye ...|


raza brother

تجویز کردہ جواب

Allah Arsh Par Mustavi Hai Aur Woh Har Jagah Se Ba-Khabr Hai:

 

Yeh Allah ki shaan nahi ke woh apne wajood ke saath har jagah mojood ho, uski shaan bohat azeem aur muqaddas hai, woh apne arsh par mustavi hai jaise uski shaan ko laaiq hai. Haan uska ilm, uska ba-khabr rehna woh zaroor har jagah hai, Allah har jagah se ba-khabr hai...

 

Kam aqal logo ko unki aqal ke muttabiq logic aur hikmat se samjhana chahiye, usse bataayen ke chhoti si misaal hai, ek scientist jo America mein beth ke, dunya ke har har corner ko satellite ke zariye se dekhta hai, unka daawa hai ke woh chhoti si sui (needle) bhi dekh sakte hain. Jab America mein beth ke ek shakhs satellite ke zariye dunya ka kona kona dekh sakta hai toh kya Allah ka nizaam Google Earth Satellites se zyada advance nahi hoga???

 

Issi tarha Allah ki misaal hai ke woh apne Arsh par mustavi ho ke bhi poori kainaat ke koney koney se ba-khabr hai, woh sab ko sunta hai, sab ko dekhta hai, sab ke dilon ke raaz jaanta hai. Uss se kuch chhupa huwa nahi hai... Lekin yeh kehna ke Allah khud apne wajood ke saath har jagah mojood hai toh yeh intehai ghalat aqeedah hai, yeh Wahdatul Wujood ka aqeedah hai, Sufiyon ka aqeedah hai jo Shirk-e-Akbar kehlaata hai...

 

Aur phir Rasoolullah(Salallaho alaihi wa sallam) ka meraaj par jaana, Maqaam-e-Sidra-tul-Muntaha tak jaana, Allah ke intehai qareeb jaana... Yeh tamaam saboot saabit karte hain ke Allah har jagah mojood nahi balkey woh apne Arsh par mustavi hai jaise uski shaan ko laaiq hai... Jazakallaho khairan

 

Agar ap apne tasalli bakhs jawab pa liya ho to reply karen

Link to comment
Share on other sites

ulma karam to ya bhee kehtay hain k sidra tul muntaha k baad na to ko e simat, yaani mashraq/maghrab/shumal/janoob  na ko e makan, na waqat ke hisaab,  wahabee aam tour par  yahee kehtay hain k Allah Taala  arash par mustavee hay.   ko e sahib roshnee daal sakain.

Link to comment
Share on other sites

اگر اللہ تعالیٰ عرش پر نہیں ہے تو نبی صلی اللہ علیہ وسلم معراج کی رات عرش پر کیوں گئے اللہ سے ملنے ؟

Huzoor s.a.w ne 2 martaba Allah ta'ala ka deedar kiya. Ab batayiye aap s.a.w 2 martaba arsh par kab gaye the?

1. http://www.islamimehfil.com/index.php?app=core&module=attach&section=attach&attach_rel_module=post&attach_id=61982

2. http://www.islamimehfil.com/index.php?app=core&module=attach&section=attach&attach_rel_module=post&attach_id=61983

Link to comment
Share on other sites

ALLAH (azw) bara hay. ulma karaam kehtay hain ya mat kahain k ALLAH (azw) sub say bara hay kion k is tarah chotay say muqabla nazar aata hay k Allah (azw) k muqabil ko e hay.

 

Choonk Allah (azw) bara hay is liee hamisha ysahee kaha ja ay ga k ALLAH (azw) ka arsh saat aasmaanoon say ooper hay aur sahee bhee yahee hay k arash ooper hay. HAZOOR (saw) bhee meeraaj kee raat aasmaanoo say ooper gay.

 

ab sidra tulmuntaha say aagay ko e tasawaar naheen simtoon ka.  na waqat ka. Hazrat jibraeel bhee sidra say aagay naheen ja sakay.  sirf  Allah  (azw) aur NABI (saw) he jaantay hain. ya bhee books main likha hay kay sidra say aagay 70000 noor kay pardoon main say aap guzray ALLAH (azw) kay deedaar aur mulaqaat k liee ay.

 

to ALLAH (azw) apni shan k mutabiq ustawa hay.  ko e tasawwar naheen bandh sakta.  

 

saada zabaan main kuch araz kar saka hoon . hope all will understand

Link to comment
Share on other sites

 ulma karaam kehtay hain

ya mat kahain k

ALLAH (azw) sub say bara hay

kion k

is tarah chotay say muqabla nazar aata hay k Allah (azw) k muqabil ko e hay.

 

شہزاد صاحب !۔

کون سے علماء نے کہا ہے کہ یہ مت کہیں کہ اللہ سب سے بڑا ہے۔

اللہ اکبر کاترجمہ کیاہے؟

شہزادصاحب !بات حوالہ سے کریں۔

 

Link to comment
Share on other sites

jumma k waaz main aksar suntay rahay hain.  agar aap kehtay k  Allah (azw) sub say bara hay, kehna sahee hay to phir aap kee baat maan laitay hain. jo main nay baat kee wo ya thee   sub say bara kehnay main  kissi say muqabla nazar aata hay.

 

any how, saray tasleem kham hay, ainda  yahee kahoon ga, ALLAH (azw) sub say bara hay.

Link to comment
Share on other sites

hopefully tell you after discussing in details with our local khateeb.  aap jaantay hain hamaaray khateeboon kee kitni taaleem hoti hay.  jahan time hu aa jumma parh lia. but mairay local khateeb  MA islamiat,arabic,hafiz and darse nizami k farigul tehseel hain . un say raabta kar k ,pooch kar aap ko itlaa karoon ga.

 

aap k jawaab say faida ho gia, k main un say mil kar mazeed clear kar loon ga.

 

jazakAllah.  waisay english main agar ko e bat karay to is tarah boltay hain hamiasha........GOD IS GREAT,  never say.......GOD IS GREATEST.

 

however,will inform you later on.  naheen cahta k khud ko e lafaz likh kar gunah gaar ho ja on.

Link to comment
Share on other sites

janab sage madina sb, main nay to kaheen bhee kisi alam ka naam naheen lia.  punjab main khateeb hee ko alam bhee kehtay hain. jab ko e alam taqreer karta hay to ko e bhee ja kar un say naheen kehta k falan baat jo aap nay kee ,wo sahee naheen. and na he wo jawaab daina pasand kartay hain un ka ilam he itna hota hay.

 

na main topic main likhta aur na he saeedi sahib poochtay to ya masla aisay he rehta aur main samjhta k khateeb sahib nay jo kaha theek he kaha.

 

aap nay bhee sahee roshni naheen daali ALLAH HO AKBAR kay matlab par k Allah (azw) BARA kehna sahee naheen. ALLAH (azw) sub say bara hay ya kehna theek hay.

 

 

main wazahat karta hoon .

 

   asghar                    bahut            choota

 

  sagheer                                        choota

 

  kabeer                                          bara

 

  akbar                                            sub say bara

 

 

 

ALLAH HO AKBAR    Allah (azw) sub say bara hay.

 

jab kissi insaan k liee ay AKBAR ka lafaz istemaal ho to is ka matlab ho ga, BAHUT BARA.

 

 

saeedee sahib objection na kartay to baat chupi rehti, mujh ay ya kuch doosroon say bhee, magar un k poochnay par  (azw) tehqeeq ho gaee aur  sahee meaning clear ho gay.

 

thank you saeedi sahib, 

Link to comment
Share on other sites

اگر اللہ تعالیٰ عرش پر نہیں ہے تو نبی صلی اللہ علیہ وسلم معراج کی رات عرش پر کیوں گئے اللہ سے ملنے ؟

Allah agar Koh e Toor par nahin thah toh phir Musa alayhis salam keun gahay thay Allah say ham kalam honay kay leyeh? Musa alayhis salam ka koh e toor par jana sabat karta heh kay Allah Koh e Toor par rehta heh. Kia yeh theek heh mantaq baazi.

Link to comment
Share on other sites

شہزاد صاحب پہلے آپ نے فرمایا:۔


ulma karaam kehtay hain


ya mat kahain k


ALLAH (azw) sub say bara hay


پھر آپ نے فرمایا:۔


hopefully tell you after discussing in details with our local khateeb.  aap jaantay hain hamaaray khateeboon kee kitni taaleem hoti hay.  jahan time hu aa jumma parh lia. but mairay local khateeb  MA islamiat,arabic,hafiz and darse nizami k farigul tehseel hain . un say raabta kar k ,pooch kar aap ko itlaa karoon ga.


اب آپ فرمارہے ہیں:۔


na he saeedi sahib poochtay to ya masla aisay he rehta aur main samjhta k khateeb sahib nay jo kaha theek he kaha.


کہاں (علماء کرام )کادعویٰ کیا اورکہاں  تان(ایک مقامی خطیب)پر آکرٹوٹی۔


چلئے اُس مقامی خطیب کانام ہی بتا دیجئے۔تاکہ اُس سے رابطہ کریں اور پوچھیں۔


مگرمیرا خیال ہے کہ آپ اُس مقامی خطیب کانام  بھی نہیں بتائیں گے۔


کیونکہ  اُس کا کوئی وجود نہیں ۔


آپ علماء کرام سے چلے اور خطیب پرآکردم توڑگئے!!۔


Edited by Saeedi
Link to comment
Share on other sites

main nay guzarish kee thee jahan waqat milta jumma k roze, wahan juma parh lia karta hoon.  kissi masjid main jumma parah, wahan ko e masla us nay bataya, sun liee aa aur yaad rakha.  kabhi khial aaya to kissi say confirm kar liee aa.

 

main nay ya naheen kaha k mohalla kay local khateeb nay ya kaha tha.  aap nay kaha reference dain. main reference kahan say daita.  aap nay bhee ko e wazahat na ke  AALAH (azw) ko sub say bara kehna caheeyay.  main nay aap say kaha is baaray main  local masjid k khateeb say poochoon ga.jo educated hay.

 

main nay tehqeeq kee, jo jawaab milla ,us ke wazahat kar dee. local khateeb nay ya baat naheen kee thee k kaho Allah bara hay.  jahan jumma parah, mujhay kia pata us ka naam kia tha.

 

haan local khateeb ka naam Hafiz Khuda Bakash usman hay. Iqra masjid  mohalla pak colony,multan cantt main hain.    thori hee door  moulna qasim saeedi sahib kee masjid hay  graas mandi main.  jo jumma main moulana sahib jumma parahain gay, hum urfay aam main un ko alam ya khateeb he kahain gay na ?

Link to comment
Share on other sites

شہزاد صاحب پہلے آپ نے فرمایا:۔


ulma karaam kehtay hain


یہاں کون کون سے علماء مراد ہیں؟ جن کانام بھی آپ نہیں جانتے!!!۔


ایسے نامعلوم علماء کے کندھے پررکھ کراپنے جھوٹ کی بندوق نہ چلائیں۔


محترم آپ نے فورم میں لکھنے کوشغل سمجھا ہواہے۔


پلیزبغیرتحقیق کے یہ شغل نہ فرمائیں۔


Link to comment
Share on other sites

thank you saeedi sahib, i will act upon your advice. magar main nay kabhee is foroumn ko fahashee kay swaal kar k mazaaq naheen uraya foroumn ka.  aisay aisay gandy swaal log kartay hain jin ko parh kar sharam aa jay.  un ko kabhee kisi nay manna naheen kia.  2 swaal sirf likh  raha hoon. swaal to bahut saaray hain.

 

maira husband kaafi dinnoon baad ghar aata hay, 3 din ho gay hain un ko mana rahee hoon, mgar wo kehtay hain maira mood naheen ban raha.  islam kia kehta hay.

 

 

2.  aadmi ko kis age  main b v say.......karna chor daina theek hay.

 

 

 

islam kee taaleemat ke roshni main guide karain.  ya swaal is foroumn par ho chukay hain. kissi nay manna  naheen kia.

Link to comment
Share on other sites

ایسے واقعات کا حل کسی نے پوچھا ہے تووہ اور بات ہے۔


کیاکسی نے علماء کرام کے نام پرایساجھوٹ بولا جوآپ نے بولا ہے؟


اللہ اکبر کاترجمہ نہ آئے اورآدمی استواء علی العرش اور وحدت الوجود


کے ادق مسائل میں جھوٹ بول کربحث میں حصہ لے،تو افسوس ہوتا ہے۔


آدمی کے جھوٹا ہونے کے لئے یہی کافی ہے کہ


وہ ہرسنی سنائی بات آگے بیان


کرتا پھرے۔


اورآپ نے جس طمطراق سے علماء کرام کانام لیاتھااور جس طرح پسپائی اختیار


فرمائی ہے اس سے آپ کوسبق سیکھناچاہیے۔یہ آپ کے لئے تنبیہ ہے۔


Link to comment
Share on other sites

khamkhaw baat lambee ho rahee hay. main is ko wind up kar raha hoon.  miray pass about 100 books hain, jin ko parhta rehta hoon. qibla kazmi sahib kee. qaazi ayyaz sb ke,peer karam shah sb ke, and bahut saaray doosray authors ke bhee jin ka main yahaan naam naheen likh sakta.  kabhee jo kuch bhee likhta hoon to us k peechay kuch na kuch mawaad hota hay.

 

last week main nay 4 swaal likhay thay. wo 4 swaal Q t v par kissi nay taqreer k douraan bataya ay thay. main nay yahan share kiee ay.

 

main madni channel,ARY Q TV,Mufti akmal,mufti Abubakar Shiblee, and others,ko sunta hoon,point note karta hoon, phir zaroorat parnay par share karta hoon.  kabhee  masjid k khateeb say discuss karta hoon.   AAp  kehtay hain main jhoot khta hoon ya likh raha hoon, to ALLAH (azw) kee bargah main tauba karta hoon..  

 

kosish karnay laga hoon topics likhnay band kar raha hoon, taa k jin ko pasand naheen,wo khush ho ja ain. mazeed m ain naheen cahta mujh say ko e  jhoot likha ja ay and ALLAH (azw) kee grift ho. is say pehlay jo nadanista tour par ghaltiaan ho chuki hain. Allah (azw) say mafi maangta hoon. Q T V par khasa sun nay ko mil jaata hay, 

 

Abhee abhee masjid main milaad sharif attend kar k aa raha hoon. aik hadees khateeb Qari Khuda baksh usman sahib nay sunnaaee. perhaps parhnay waaloon ko faida pohnchay.  

 

SUBJECT :  KIA QABAR KO CHOOMNA JAIZ HAY.

 

Aik sahaabee nay bargahe risalat main araz kia,YA RASOOL ALLAH (saw) main nay mannat maani thee k maira falan kaam ho gia to jannat kee cokht choomoon ga. magar ya to na mumkin hay.  AAP (saw) nay farmaya,apnay baap ka maatha ya walida kay paoon choom lo. manaat poori ho ja ay gee. araz kia,both fout ho chukay hain. AAP (saw) nay farmaya qabarstaan ja o, walida ke qabar  kay paoon kee side say aur waalid ke qabar par sir ke taraf say choom lo.  araz kia YA RASOOL LALLAH  do noon kee qabar ka bhee pata naheen,ya waqat k saath khatam ho chuki hain. to AAP (saw) nay aik lakri say 2 mustateel ya square numa zameen par line khaich kar dabba ke tarah bana dia and farmya ya tumharay maan baap ke qaboor hain, is jagah ko he  choom lo, manaat ada ho ja ay gee.( O KAMA KALL (saw) )

 

Ab ho sakta hay,sub ko is baaray main pata ho, magar mairay liee ya new hadees aur baat thee. main yahan likh raha hoon. ho sakta bahut saaroon k liee ay new baat ho. to is tarah main bahut saari cheezain share kar lia karta tha.

 

aap samajh lain perhaps akhri topic ho jo likh raha hoon.   kion k darta hoon kaheen ghalat baat

na likhee ja ay and gunah  ho ja ay.    aap sub nay mujhey bardhast kia  ,aap sub ka shukria

Link to comment
Share on other sites

Shehzad bhai aap to bura maan gaye. Yahan sab seekhne ke liye hi aaye hain. Aap phir ek baar uss khateeb se baat kijiye aur puchiye ke "ALLAHU AKBAR" ki meaning kya hai? Tab aapko aapke sawal ka jawab mil jaayega aur khateeb saab ko unki galti bhi samajh me aa jayegi.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...