Jump to content

Aakhir Bivi Kya Karey


polite

تجویز کردہ جواب

G mami myra rishta ni lyna chahti thi one month phly unho n kha m n ni krna phr rishta ly liya smj ni ata q liya mami ko axhy s pta tha mama n ye rishta ni krna jb myra rishta hva tb ghr s taveez nikly hmra muo he bnd kiya hva tha taveez s kch boly na or rishta dy dy sb n mna kiya tha k na kry yha rishta koi b razi ni tha anti wgra sb or jis din myra nikah tha osi din ghr s taveez nikly or un taveezo py myra name b likha tha mjy ab jb s nikah hva h larka mjy axha ni lgta shadi s ghutan hoti h lakry s pyar b ni ha bechani s lgi ryhti h nend ni ati thk h jb s nikah hva h 1 din b skn ni ha nikah k bd taveez ghr s nikl rhy ha ma ab os k sth ni ryhna chahti divorce lyna chahti hn kya islam es bt ki ejzt dyta ha ? Or pta krwya h taveez mami n e kiay thy

Link to comment
Share on other sites

Reply ????

جی لے سکتی ہیں لیکن بنا کوئی شرعی مجبوری کے طلاق لینا جائز نہیں۔

اگر آپ خوش نہیں ہیں اپنے والدین کو بتا دیں کہ آپ فلاں شرعی مجبوری کے شادی نہیں کر سکتیں وہ آپ کا نکاح ختم کروا دیں گے

Edited by Raza Asqalani
Link to comment
Share on other sites

BARAYE MEHERBANI ISE PURA PADHE..TALAQ Ki 3 Qisme'n Hain.

 

1=> RAJ'EE رجعى

 

2=> BA'IN بائن

 

3=> MUGALLAZAH

 

Raj'ee TALAQ Kya Hai.?

 

Rajee TALAQ Ye Hai Ki Use Dene Ke Bad Biwi Faoran Nikah Se Bahar Nahi Hogi Balki iddat Guzarne Ke Bad Nikah Se Bahar Hogi, Aur iddat Ke Andar Wapas Lena Chahe To Le Sakta Hai Naye (New) Nikah Ki Bhi Zaroorat Nahi.

 

(Talaq Ki iddat 3 Haiz/M.C. Aana Hai, Agar Haamelah (Pregnant) Hai To Bachcha Paida Hote Hi iddat Khatm Ho Gai Chahe Jab Paida Ho, Agar Nabligh Hai Ya 55-year's Se upar Hai Jise Haiz Na Aata Ho To in Dono Ke Liye iddat 3-Month Hai Chand Ki Tareekh Ke Hisab Se)

 

Wazahat-

Jo Log Ye Samajhte Hain Ki 1-TALAQ Rajee Hai Aur 2-Ba'in Wo Galti Par Hain, 1 Bhi Rajee Hai Aur 2 Bhi Rajee Hai, Matlab Jisse Bagair Naye Nikah Ke Rujoo Kiya Ja Sake Phir Se Use Nikah Ki Zaroorat Nahi..

 

Guzarish:

TALAQ Ke Masayel Bahot Bareek Aur Ahem Hain Uske Liye Aap Fiqhe Hanfi Ki Urdu Me Mash'hoor Kitab Qanoone Shari'at Ya Bahare Shari'at Padhen Aur Ho Sake To Kisi Sunni Alim Ke Samne Padh Ke Samjhen Aur Ziydah Behtar Ye Hai Ki Aap TALAQ Ke Masayel Apne Rabte Ke Kisi Mustanad Sunni Hanfi Barelvi Aalime Deen Se Puchen, Mai Ne Hattle imkaan Koshish Ki Hai Ki Masle Ko Aasan Se Aasan Andaz Me Samjhaun Phir Bhi Koi Baat Samajh Me Na Aaye To Zaroor Kisi Sunni Aalim Se Rujoo Karen.

 

Ba'in TALAQ Kya Hai.?

 

Talaq Ki Dusri Qism Ba'in Hai, iska Matlab Ye Hai Ki Biwi Faoran Nikah Se Bahar Ho Jaye, Ab Agar Usi Biwi Ko Rakhna Hai To Naya (New) Nikah Naye Maher Ke Sath Karna Hoga, Agar Aurat Dusre Se Nikah Karna Chahe To Use iddat Puri Karni Hogi.

 

Talaqe Ba'in Kaise Padti Hai.?

 

Saaf Kahe Ki Mai Ne Tumhe Talaqe Ba'in Dee, Ya Gusse Ke Aalam Me Jaa, Chal, Nikal Rasta Naap, Ghar Khali Kar, Rawana Ho, Dafa Ho, Bistar Utha Wagerah Ye Sab Alfaaz TALAQ Ki Niyyat Se Kahe To Talaqe Ba'in Hogi. Agar Aurat TALAQ Chah Rahi Ho To Uspe Aisa Kaha Jaa, Chal Nikal, Ab Aisi Surat Me Ba'gair Niyyat Bhi TALAQE Ba'in WAAQE Hogi.

 

MUGALLAZAH TALAQ Kya Hai.?

 

TALAQ Ki Tisri Qism Mughallazah Hai, Yani 3-TALAQ Ab Chahe Eik Sath De Ya Alag Alag Ab is Surat Me Aurat Ko Wapas Rakhna Chahe To Bina Halalah Kiye Nahi Rakh Sakta.

 

Wazahat-

TALAQ Ke Saaf Alfaaz Kaha Jaise Tujhe Talaq Dee, 1 Ya 2 Baar Kaha To Ye TALAQE Raj'ee Hai, Aisi Surat Me Biwi Ko Wapas Rakhne Ke Liye Bosa Liya Ya Akele Me Mulaqat Ki Ya Kaha Mai Ne Tumhe Wapas Liya To Nikah Baqi Rahega. Han Behtar Hai Ki Jab WAPAS Lena Ho To Kam Az Kam 2 Gawah Zaroor Bana Le Ye Behtar Hai Aur Tohmaton Se Bachane Wala Hai. Aur Agar Wapas Na Lena Ho Chhodh Dena Ho To iddat Guzarne De Ab Wo Khud Bakhud Nikah Se Bahar Ho Jaygi.

 

TALAQ Ki Qisme'n Malum Hone Ke Bad Ye Bhi Malum Karna Chahiye Ki TALAQ Diya Kaise Jaye.?

 

Awwal To Be'wajhe Shar'ee TALAQ Dee Hi Na Jaye Lekin Jab Dena Ho To Behtar TARIQE Ko Apnaya Jaye,

 

TALAQ Dene Ke 3-TARIQE Hain.

 

=> AHSAN (احسن)

 

=> HASAN (حسن)

 

=> BID'EE (بدعی)

 

• TALAQE AHSAN (Sab Se Behtar TARIQAH) Haiz Ke Bad Paaki Ke Dinon Me Biwi Se Hambistari Na Kare Aur Eik TALAQ De Kar Chhod De, Iddat Puri Hone Par Biwi Khud Nikah Se Bahar Ho Jaygi.... Ab isme Option Ye Hai Ki Agar Usi Ko Rakhna Chahe To iddat Se Pehle Usse Rujoo Kare Ye Keh Kar Ki Tume Nikah Me Rakhta Hun, Ya Bosa (Kiss) Le Kar Ya Akele Me Mulaqat Kar Ke, Agar Iddat Puri Ho Gai To Ab Use Rakhna Chahta Hai To Biwi Se Naya (New) Nikah Naye Maher Par Kare, Agar Nahi Rakhna To Biwi Dusre Se Nikah Kar Sakti Hai.

 

• TALAQE HASAN (Behtar, Theek) Ye Hai Ki Haiz Aane Ke Bad Paaki Wale Dino Me Bina Hambistari Kiye Eik TALAQ De, Phir Dusri Baar Haiz Aaya Phir Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Kiye Dusri TALAQ De, Tisri Baar Bhi Paaki Ke Dino Me Bina Sohbat Tisri TALAQ De, Ab Biwi Nikah Se Bahar Ho Gai, Agar Use Rakhna Ho To iddat Ke Bad Halalah Ke Bina Nahi Rakh Sakta.

 

• TALAQE BID'EE (Bura Tariqah, Naya Tariqah) Ye Hai Ki Haiz Ki Halat Me TALAQ Dena, Ya Paaki Ke Dino Me 3-TALAQ EIK Sath Dena, Ya Paaki Ke Dino Me Sohbat Kiya Aur Phir TALAQ Dee.

 

(ماخوذ از- کتب فقہ حنفی)

 

Pehle Hum Ne TALAQ Ki Qisme'n Zikr Kee, Phir TALAQ Ka TARIQAH Bataya Jo Behtar TARIQAH Hai (TALAQE

Link to comment
Share on other sites

  • 4 months later...

Asslam u alakum... sir meri shadi ko abi sirf 4 month hoy hain.. mera r meri nand ka watta satta hua hai.. meri nand shadi k bad sirf ak month rhi hai mery bhai k ghr. mgr usy hmara ghr pasnd nahi aya. r kuch mazid compications ki wja se wo 2sry month hi apny maiky jak bath gai hai.. mery susral ny mjhy b meri ami k ghr bhej dia hai islye k unki beti unk ghr bathi hai.. ab nobat yahan tak agai hai k rishty khtm hony ko hain.. r mery husbend apny parents k bht obedient bety hn mery susaR NY mery husbend ko mjhse bat tk krny se mana krdia hai. blky sbhi ghr waly mery bht khilaf ho chuky hain wo chahty hi nhi k ma us ghr ma wapis jaon.. mery husbnd bht jaldi baton ma ajaty hain mery susral walo ny unk dimag ma dosri shadi ka khyal daal dia hai.. lakin ma ye rishta khtm nhi hony dena chahti.. ma apni shadi ko nibhana chahti hun apna ghr basana chahti hun mery husbend kbhi meri trf hojtty hain to kbi apny ghr walo ki side pe. plz mjhy koi suggestion vgara dain k ma kia krun ma kaisy apny husbend ko apna bna lun r kaisy mery susral waly mjhy wapis us ghr ma ly jayen.. ma dil se ghr basana chahti hun r apny husbend k sath rehna chahti hun.. plz mjhy btayen ma kia krun..

Link to comment
Share on other sites

بہت دکھ ہوتا ہے جب    ایسے قصے سننے کو ملتے ہیں۔تمام بہنوں سے درخواست ہے کے پانچ وقت کی نماز کی پابندی کریں اور درود پاک کو کثرت    سے پڑھیں ان شاء اللہ آپ کی مشکلیں دور ہوں گی۔مزید    برکات کے لیے کتاب "آب کوثر" کا مطالع                    کریں۔

درود پاک اس طرح پڑھیں۔

 

p274.thumb.jpg.77c5890b3115badfc17091742fc5b0a8.jpgp275.thumb.jpg.2b473c5255ca3fb22a2c1e3dbb29762d.jpg

Edited by فقیرقادری
چند غلطیاں
Link to comment
Share on other sites

  • 2 months later...

Aj kal am tor par shohar aur bivi ke darmian is bat par jhagra rahta hai keh shohar bivi ko alag ghar mai kio nahi rakhta. 

shohar kahta hai keh mai apni mother ko akela nahi chor sakta, kio keh mere ilawah mother ki dekh bhal aur khidmat karne wala koi nahi hai. aur agar mai ne old mother ko is age mai akela chor dia tu qiamat ke din mai jahannam ki aag se nahi bach sakoo ga. lekin bivi in bato ko nahi manti.

masla yeh hai keh shohar agar bivi ko alag ghar mai rakhta hai tu khood kis ghar mai rahe? bivi ke sath bivi ke ghar mai ya phir apni old age mother ke sath mother ke ghar mai? dono mai se kis ka sath chore aur kis ka sath de?

 

Edited by Eccedentesiast
link removed
Link to comment
Share on other sites

  • 2 years later...
On 10/19/2014 at 0:46 AM, polite said:

Assalam o Alaikum wr wb 

 

meri shadi ko saal ooper hua hai ...mera aik beta hai uski birth ko 4 months huay hain .....mein aik aise susraal meinr ehti hoon jahan saas aik khuda ki terha treat kya jata hai .....meri saas gher ka koi kaam nhi kerti .....sab kaam mujhey hi kerna hota hai .....or Alhumdulilah sab kaam kerti hoon lekin wo beja kaam erwati hein ......routine k kamo k sath exytra kamo ki bhermaar kerdeyti hein....poora gher dekhna sab k kaprey press n all tht or us k sath aik aik min sabko jwb deyna  bht diff hai ......remote mein cell dalney or ghari mein cell na dalney pe dant khana ... ghater ka pipe lagao gatar ka dhakan fix kero ...aise sab kaam b mujhey kahey jatey hein or na aanay p batein sunana ....... .... mein is waja se hed derja beemar hogai hoon meri jethani or un k bachi k kaam k liye b mujhey danti hai n kaam zaleel ker k kerwati hai .......or bht shikayatin kerti hein husband se mein kya keroon merey husband bht muhabbat kerney walay hein mgr shikayato pe her choti moti bat p mujhse jhagertey hein ... meri behen se galay kyun nhi mili hath kyun milaya ....tumhein kisi kam se bulatey hein to aik min ruk bachey ko kyun dekhti hoon etc etc ..... or shikayatein aise kertey hein k suni an suni kerti hai mujhse badtameezi kerti hai.

 

shuru se hi bht maslay rahey bht mushkils e handle hua sab.... husband her choti moti bat pe lertey hein .....aise merey husband achey hein mgr gher k kisi mamlaat mein support nhi .....bilkul norkro ki terha ka sulook hai ...meri sas kahey jis waqt mene jo kaam kaha us waqt ho bs .....sab kuch Allah Allah ker k chal raha tha kabhi acha kabhi bura .....ab mene socha tha k husband se directly bat keroon k ye matter soolve ker k dein werna mein ammi k gher ja rahi hoon ... mgr mene koi bat na ki ... ....k aik subha sab ko nashta deney or kaprey press etc ker k office bhejney k bad ... me zara deir ko laiti as tabyat theek nhi thi .....to laitney per meri sas ne khasa danta ... to mene kaha k maa aap itna sunatey hoto pareyshani hoti hai mein sab kaam abhi kerloongi unhone merey husband ko call ki k ye mujhse badtameezi kerti hai k aap ne mujhey pareshan kerdiya hai pareshan kerdiya hai to jai ammi k gher ( merey shoher ne kaha k mein aata hoon )... or meri ammi ko call ker k bhi bola k issey ley jao... (or aise calls wo akser kerti hain ... or merey husband b akser meri ammi ko keh deytey hein ...)

 

merey shoher us waqt office se aai or atay hi mujhey awaz di mene pechey dekha to aik thappar laga di .... or gala dabana shuru kerdiya .....us waqt mein apni ammi k gher agai ....

 

mujhse itni beizzti or ahanat sahi nhi ja rahi ... mein kya karoon mujhey samajh nhi araha .....

 

plz islam ki roshni mein meri madad karein.

Madam aap ka masla koi aisa nazuk masla nahin hay Please TV daramoo ko daikh kar koi faisla na karay kal aap kay parents nahin raheingay tu kia karay gi aap socha hay agar 2/3 saal sabr o bardasht bhi karlay tu acha hoo jaye ga . bs hur cheez zaban per hoti hay maazrat k sath aaj kal larkia zaban darazi bhi karti hay jo aap kay husban apni walida ko samjhtay hay aap unsay zia samjhayunko. 

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...