polite مراسلہ: 18 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 18 اکتوبر 2014 Assalam o Alaikum wr wb meri shadi ko saal ooper hua hai ...mera aik beta hai uski birth ko 4 months huay hain .....mein aik aise susraal meinr ehti hoon jahan saas aik khuda ki terha treat kya jata hai .....meri saas gher ka koi kaam nhi kerti .....sab kaam mujhey hi kerna hota hai .....or Alhumdulilah sab kaam kerti hoon lekin wo beja kaam erwati hein ......routine k kamo k sath exytra kamo ki bhermaar kerdeyti hein....poora gher dekhna sab k kaprey press n all tht or us k sath aik aik min sabko jwb deyna bht diff hai ......remote mein cell dalney or ghari mein cell na dalney pe dant khana ... ghater ka pipe lagao gatar ka dhakan fix kero ...aise sab kaam b mujhey kahey jatey hein or na aanay p batein sunana ....... .... mein is waja se hed derja beemar hogai hoon meri jethani or un k bachi k kaam k liye b mujhey danti hai n kaam zaleel ker k kerwati hai .......or bht shikayatin kerti hein husband se mein kya keroon merey husband bht muhabbat kerney walay hein mgr shikayato pe her choti moti bat p mujhse jhagertey hein ... meri behen se galay kyun nhi mili hath kyun milaya ....tumhein kisi kam se bulatey hein to aik min ruk bachey ko kyun dekhti hoon etc etc ..... or shikayatein aise kertey hein k suni an suni kerti hai mujhse badtameezi kerti hai. shuru se hi bht maslay rahey bht mushkils e handle hua sab.... husband her choti moti bat pe lertey hein .....aise merey husband achey hein mgr gher k kisi mamlaat mein support nhi .....bilkul norkro ki terha ka sulook hai ...meri sas kahey jis waqt mene jo kaam kaha us waqt ho bs .....sab kuch Allah Allah ker k chal raha tha kabhi acha kabhi bura .....ab mene socha tha k husband se directly bat keroon k ye matter soolve ker k dein werna mein ammi k gher ja rahi hoon ... mgr mene koi bat na ki ... ....k aik subha sab ko nashta deney or kaprey press etc ker k office bhejney k bad ... me zara deir ko laiti as tabyat theek nhi thi .....to laitney per meri sas ne khasa danta ... to mene kaha k maa aap itna sunatey hoto pareyshani hoti hai mein sab kaam abhi kerloongi unhone merey husband ko call ki k ye mujhse badtameezi kerti hai k aap ne mujhey pareshan kerdiya hai pareshan kerdiya hai to jai ammi k gher ( merey shoher ne kaha k mein aata hoon )... or meri ammi ko call ker k bhi bola k issey ley jao... (or aise calls wo akser kerti hain ... or merey husband b akser meri ammi ko keh deytey hein ...) merey shoher us waqt office se aai or atay hi mujhey awaz di mene pechey dekha to aik thappar laga di .... or gala dabana shuru kerdiya .....us waqt mein apni ammi k gher agai .... mujhse itni beizzti or ahanat sahi nhi ja rahi ... mein kya karoon mujhey samajh nhi araha ..... plz islam ki roshni mein meri madad karein. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 19 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2014 (ترمیم شدہ) Salam alayqum,Meri behan, aap kay leyeh teen rastay hen. Ek, apnay khawand say baat karen aur apnay masla hal karen. Dohim, agar khawand kuch nah karay aur halat nah badlen, toh phir sabr karen, aur jistera ho sakkay Allah ki raza kay leyeh bardasht karen. Aur agar yeh bi nah ho sakkay toh phir chup kar kay walden say rojooh karen aur talaq leh lenh aur beta jis ka heh us kay hawalay karen aur phir jahan par aap ko asaani lagay Nikkah kar lenh. Beta agar woh nahin leta toh phir court meh case kar kay betay kee parwarish ka kharcha shar'an aap leh sakti hen. Aap kay zummeh woh pesa nahin joh aap betay kee parwarish meh karch karen gee. Balkay Shar'an yeh khawand ka haq heh jis kee adaigi talaq kay baad be us par farz hogi. Aur is kay saath joh aap apna waqt sirf karen gee betay kay kapray donay, khana pakanay waghera waghera us kee ujrat be leh sakti hen. Edited 19 اکتوبر 2014 by MuhammedAli اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 19 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 19 اکتوبر 2014 3/4 month khamoshi say guzarain.daikhain is period main aap k susraal say ko e aata hay ya naheen. agar ko e aata hay to us ko poori story bata ain. susral say muraad,ko e buzarg jis ke wo bhee izzat kartay hoon aur aap k ghar waalay bhee. apnay parents ko sub kuch bata dain. Allah taala say dua bhee karti rahain. namaz and darood sharif kee pabandi. kuch period k baad ko e result naheen nikalta to aap islam ke rooh say khulla lay sakti hain. ho sakta hay,husband ko samjh aa ja ay. ya aap nay naheen likha k us ghar main kia aap kay husband ke ko e sister, ya un k bhaee ke b .v bhee thee. agar theen to kia wo kaam naheen karteen theen. aap ke saas kia aap ke rishta daar hain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 20 اکتوبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 20 اکتوبر 2014 (ترمیم شدہ) jazakallah brother Ali n shahzad 3/4 month bht lamba tym nhi .... mera to abhi se sir literally phat raha hai ,.....mujhey khulla nhi chahiye ... na itni beizati sahi ja rahi hai....mujhey izzat se pyar se rehna hai ....thora bht samajh ata hai magr is hed tk tang kerna to nhi . Allah malik hai. ager koi buzrug na aai or koi b aam shakhs aai tb ? kisi aam se bat kerna to yani rai ka pahar bnana khair meri sass meri rishtedaar nhi hain ... 2 nandein hain married hain , jethani hai alag rehti hai ( lekin wo 5 bar apney maikay ja chuki hai - ab hi aik month pehley aai hai )pehley week mein 3 days wo aati thi .. ab meeting wagera mein decide hua k haftey mein sirf 1 din aaigi or rukeygi nhi . or mein apney husband se kese bat ker sakti hoon ( as Ali bhai ne suggest kya) unhone khudse koi sms ya msg nhi kya ..... magr FB per aisi posts kertey hein islamic ones... n haji imran attari k lectures share kiye hain bivi ko kesa hona chahiye or shohar ko kesa hona chahiye. lekin koi change nhi . jo islam k muhafiz hain wo in maamlat p kuch kyun nhi kertey ..... sirf lectures or speeches se to sab sahi nhi hota na ..... han kahi logo mein koi changes atay b hon ..... mgr koi step kyun nhi liya jata ... in cheezo ki waja se saaso kai gher berbaad horahey hein ... insan ki married lyf bilkul berbaad hojati hain... koi kyunb kuch nhi kerta jis se sab theek ho .... islamic lectures mein kaha jata hai merd hakim hai .... beshak hai mgr kya zalim hakim hai .... Hakim to hazrat Umer they k un ki hakmiyat mein shair or bakri aik ghaat se pani peetey they ... or shair bakri ko khata nhi tha ......aisa insaaf ka alam tha ....aajkal k merd to sirf naam k merd hain ya aurto p jabir banney k liye ..... merd ki qualities to nhi protect kerney mein inko dushwari provide kerney mein inko dushwari. Edited 20 اکتوبر 2014 by polite اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Faysal مراسلہ: 20 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 20 اکتوبر 2014 ager mumkin ho to ap husband our bety ko ly ker alag house main rahin. Ye sirf aik bivi ka masla nai hy . Balky is dunia mai kuch kamzor log hn our kuch taqatwar jin ka kam kamzor ko daba k rakhna hota hy . Abi 2 char din pehly ki baat hy humary neighbour mai aik ourat ko us k shohar sy bohat mar perri . Jis ki waja us k apny ghar walo ny shohar k kaan bhary. Saber kerna aik acha amal hy . Our Allah saber kerny walo k sath hy lakin ye be yaad rakhna chaiy k zulam bardashat kerny wala be zalim k sath braber ka sharek ho ta hy اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 21 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 21 اکتوبر 2014 or mein apney husband se kese bat ker sakti hoon ( as Ali bhai ne suggest kya) unhone khudse koi sms ya msg nhi kya ..... magr FB per aisi posts kertey hein islamic ones... n haji imran attari k lectures share kiye hain bivi ko kesa hona chahiye or shohar ko kesa hona chahiye. lekin koi change nhi . jo islam k muhafiz hain wo in maamlat p kuch kyun nhi kertey ..... sirf lectures or speeches se to sab sahi nhi hota na ..... han kahi logo mein koi changes atay b hon ..... mgr koi step kyun nhi liya jata ... in cheezo ki waja se saaso kai gher berbaad horahey hein ... insan ki married lyf bilkul berbaad hojati hain... koi kyunb kuch nhi kerta jis se sab theek ho .... islamic lectures mein kaha jata hai merd hakim hai .... beshak hai mgr kya zalim hakim hai .... Hakim to hazrat Umer they k un ki hakmiyat mein shair or bakri aik ghaat se pani peetey they ... or shair bakri ko khata nhi tha ......aisa insaaf ka alam tha ....aajkal k merd to sirf naam k merd hain ya aurto p jabir banney k liye ..... merd ki qualities to nhi protect kerney mein inko dushwari provide kerney mein inko dushwari. salam alayqum, Meri behan Islam kay muhafiz kia karen. Sari kharabi nizam aur parwarish kee heh. Jab beta/beti peda hoti heh toh engineer bananay aur actress aur actor bananay aur Doctor bananay kay khawab dekh kar un ko kuffr kay nazam par joh taleemi idharay hen wahan tarbiyat hoti heh ulaad kee, jab woh soch, fikr, zawq, shoq meh kafir ho chookay hotay hen aur deen islam say is wastay joray hen keun kay jin kay gar woh peda wo khud la ila il allah muhammadur rasoolAllah kee had taq hee musalman thay, phir esi ulaad ko Islam say aur musalman say kia muhabbat aur Islam kay ihkamat ka kia parwa. Kuch toh taleemi idharoon meh be hayyahi aur be parwahi seekh leeh jaati heh aur joh rehti heh woh TV par tawahifoon kay naach ganay dekh aur sun kar jaati rehti heh. Nateeja kia hota heh jis musalman kee sari zindgi Quran aur Hadith kee talimat ko pahoon neechay kuchalnay meh guzrti heh jab us ko ISLAM KAY MUHAFIZ batatay hen kay yeh deen kay khilaf heh aur esay karna chahyeh toh phir woh aadaati shariat e mutahira ko pahoon neechay rondnay walay kay qaan say joon nahin rengti. Us nay toh sari zindgi madhuri dixit kay naach ganay dekhay hen ussay kia lagay parda say aur woh kesay raazi ho parda karnay say. Mera matlab heh kay aadati tor par deen ki talimat ko ignore karnay wala ek daffa do daffa das daffa hujjat karnay sa badalay ga nahin. Meh Muhammed Ali apnay behan bahiyoon rishtay daroon ko agar kohi deeni advice doon ya kissi ghair shari kaam say rokoon ya sunoon kay kohi wahhabi/deobandiyoon kay saath chalta heh toh agar meh kaam par hoon toh fori kaam chor kar gar aa jata hoon aur joh advise ho us kay imaan ko bachanay kee khatir deta hoon, roti kha raha hoon toh chor chala jata hoon magar islam aur musalmanoon kay imaan kay muhafizoon ka mahak uraya jata heh kay yeh pagal heh damagh kharab ho gaya heh is ka kitaben par par kar, beta/beti is kay pass mat jaya karo yeh khud damaghi tawazoh kho betha heh aur tummeh be pagal kar deh ga. Yeh family say bahir kee baat nahin family kay andar kee baat heh. Aaj kay dawr meh Islam aur Musalman ajeeb fitrat par lot'h chukay hen jis ka Nabi e kareem sallallahu alayhi wa aalihi was'sallam nay bataya thah. Islam ko apnana aur us par amal karna jalti aag meh haath dalna barabar ho chuka heh. Balkay jalti aag meh haath dalnay kay wastay aap ko encourage keeya jahay ga aur puri qom kee support hogi, go on, go on we are supporting you, clap clap clap, Tv channel par talent kay tor par dekhaya jahay ga magar musalman apnay mulk meh aur gar chupnay par majboor heh keun kay bahir bey-ghairatoon aur bey-haya aur musalman aur Islam dushman la ilaha il Allah ... parnay waloon ka raaj heh. Aur woh apni izzat aur imaan aur haya ko bachanay kee khatar andar choopnay par majboor heh. Vote log Nawaz jesay Shareef, Asif Ghardari ko detay hen, Imran Khan, jesoon ko detay hen joh nizam e kufr ko nafiz karnay kay leyeh kuch be kar saktay hen. Aaj ka la ila ha il allah ... parnay wala PPP kay leyeh sab kuch kar sakta heh PTI kay leyeh kuch be kar sakta heh, democracy kay leyeh pooray SYRIA kee eent say eent baja sakta heh, magar LA ila il allah ... joh parta heh kay leyeh street meh ek second kay leyeh khara nahin ho sakta. Allah aur rasool kay nizaam KA SUNTAY HEE HEART ATTACK KA DORA PARTA HEH. Ham kesay nangi larkiyoon ko nachta dekhen gay ISLAMI HAKOOMAT ho gahi toh. Yeh nangi larki dekhna toh hamaray insaani haqooq ka hissa heh, yeh maulvi toh mulk ko barbad kar denh gay. Udhar larkiyan, hay mera Allah meh skin tight kapray kesay pehnoon gi badan kee numaish nah huwi toh kesay pata chalay ga kay mera wajood bee dunya meh heh. Yeh maulvi to parda karwhen gay yahni soch kar GHALI KOOCHOON MEH AGITATION SHORON ho jahay jis ka solgan yeh ho: MAULVI MARO, QURAN JALAHO, HADITH JALAHO AUR PAKISTAN BACHAHO. Yeh heh musalman joh apnay aap par Islam ko nafiz karnay kay bajahay har kafir kay saath mil kar ISLAM khatam kar sakta heh magar kabi MAULVI kay saath khara ho kar ISLAM NAFIZ karnay kee khatir ek mint nahin laga sakta na kuch deh sakta heh. Aur jab taq Allah ka nizaam nafiz nah ho mulk aur qom meh us waqt taq ISLAM KAY MUHAFIZ KISSI KAY LEYEH KUCH NAHIN KAR SAKTAY, woh bicharay meri tara apnay hee gar waloon say choopay bethay hen. Nizaam ka nafiz hona zeroori heh, keun kay kuch logoon kee tarbiyat/education agar theek ho toh woh badal jatay hen. Kuch logoon ko litroon kee barish say control meh rakha jata heh. Jistera school meh kuch bachay sabak yaad kar letay hen aur un ko peeta jahay toh woh perform nahin kar patay, aur kuch esa hen kay unneh agar nah peeta jahay toh sabak yaad nahin kartay aur kuch esay hen jinnay peeta jahay tab bee nahin kartay, aur kuch esay un meh salahiyat hee nahin ... har ek kay leyeh different approach heh. Is'see tera qom meh be esay logh hen, kuch ko bazar meh khara kar kay darray maray jahen aur jootoon ka haar aur gadday par betha kar goomaya jahay ta kay zillat us ko seeda chalahay. Alhasil yeh heh kay Islam kay muhafiz ko power chahyeh kay jab Islam kay khilaf amal ho toh phir Islam ka muhafiz shar'ri hokam lagahay aur das itnay zor say darray lagwahay kay badan ka ghost hawa meh uray. Allah nay be Allah ho kar, dozakh banahi aur us kay baray meh bataya kay esa esa karo gay toh is kay mustahiq hogay, is ki waja kay insaan kabi lalach meh aur kabi khauf meh aur kabi maar peetahi kay dar say ghalt kaam nahin karta. Nizam ko chalanay kee khatir yeh zeroori hissa heh. Allah ta'ala logoon kay halat ko us waqt taq nahin badalta jab taq woh khud ko nah badlen, aap namaz paren ba'qaida panch, Quran kee tilawat, aur ba parda hoon, muttabeh shariat hoon, in sha allah aap kay joh mojooda halat hen badlen gay. Bandoon par musibaten aati hen magar us ko door karnay ka tareeka Allah kee raza hasil karna heh. Baqi Pakistani qom ka kia keeya ja sakta heh joh nizam e kufr ko musallat karnay kay leyeh civil war kay dahnay par khari heh magar Islam kay ek qanoon nafiz karnay par tiyar nahin. 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 24 اکتوبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 24 اکتوبر 2014 walaikumus salam jab aap keh arhey hein k sari kharabi nizam or pervarish ki hai ..... yani logo k dilo mein itna islam nhi ... mager yeb atein to insaniyat ki hain kya logo mein insaniyat b nahi ....or jab logo k dilo mein islam nhi to phir to islam k muhafizo ki or zimmedari or zada banti hai ......ager ye unki behnein betiyan yun khuwaar ho rhi hoti to kya kertey sukoon se apney ghero mein bethey hotey( muafi chahti hoon bura lagey to) .....lekin aaj kal insaniyat kahan hai ?? aajkal ka merd smaajhta hai k merey gherwalo ki khidmat nhi balkay un ka kaha her kaam kerna meri bivi ka farz hai or un k hatho zaleel hona b awwaleen ferz hai ...... ( kyun is p nhi roshni daltey Islam k muhafiz) maa kahey to bivi pe cheekhna chillana .... maa k liye hath uthana ... kya ye gunnah nhi .....Islam ki aisi tasveer paish ki jati hai k .... shohar hakim hai jo chahey karey .....maa ka derja buland hai .... beshak hai ... lekin maa k liye bivi ko zaleel kerna theek hai ? iski wazahat kyun nhi kertey ... aise to ye merd apni maa ko gunahgaar bana rahey hein or khud b .... nigrane shoora Haji imran attari ko msg bhejnay ka koi tareeka hai kisi k pass plzz tell me .... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 24 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 24 اکتوبر 2014 walaikumus salam jab aap keh arhey hein k sari kharabi nizam or pervarish ki hai ..... yani logo k dilo mein itna islam nhi ... mager yeb atein to insaniyat ki hain kya logo mein insaniyat b nahi ....or jab logo k dilo mein islam nhi to phir to islam k muhafizo ki or zimmedari or zada banti hai ......ager ye unki behnein betiyan yun khuwaar ho rhi hoti to kya kertey sukoon se apney ghero mein bethey hotey( muafi chahti hoon bura lagey to) .....lekin aaj kal insaniyat kahan hai ?? aajkal ka merd smaajhta hai k merey gherwalo ki khidmat nhi balkay un ka kaha her kaam kerna meri bivi ka farz hai or un k hatho zaleel hona b awwaleen ferz hai ...... ( kyun is p nhi roshni daltey Islam k muhafiz) maa kahey to bivi pe cheekhna chillana .... maa k liye hath uthana ... kya ye gunnah nhi .....Islam ki aisi tasveer paish ki jati hai k .... shohar hakim hai jo chahey karey .....maa ka derja buland hai .... beshak hai ... lekin maa k liye bivi ko zaleel kerna theek hai ? iski wazahat kyun nhi kertey ... aise to ye merd apni maa ko gunahgaar bana rahey hein or khud b .... nigrane shoora Haji imran attari ko msg bhejnay ka koi tareeka hai kisi k pass plzz tell me .... Salam alayqum, Meri behan, agar aap insaniat say muraad insaanoon kee ijmahi/ittifaqi nazriat leh rahi hen toh meh essi insaniat ka qail nahin hoon keun kay insaniat meh joh Islam meh jaiz woh ghalat heh aur joh ghalat heh woh theek heh. Aur agar aap insaniat say murad logoon ka achay tareekay say pesh ana, sach bolna, kissi ka haq nah marna, kissi par zulm nah karna, toh phir aap batahen kay aap nay Pakistan meh reh kar kitnay logoon meh essi insaniat dekhi heh? Kia joh aap kay saath huwa aur jesay aap bata rahi hen aur jesay Pakistan kay logh hen kia in meh essi insaniat aap ko nazr aati heh? Agar aati heh toh phir aap kay sawal ka jawab yeh heh kay heh aur agar nahin toh phir aap khud samaj jahen. Khadam nay joh samja heh woh yahi heh kay, Joh tehzeeb, character, tawr o tareeka, Islam ka heh wohi insaniat heh. Allah nay deen e Islam ko deen e fitrat farmaya heh, yehni insaan kee fitrat. Abh agar insaani fitrat ko insaaniat ka tehraya jahay toh phir kitnay hen jen meh Islam wali insaniat/fitrat heh? Aur deen e Islam fitrat e insaani ka hissa heh, abh aap khud andaza kar lenh kay kitnoon meh Islam heh. Meri behan deen e Islam meh, nah Insaniat, nah democracy heh yeh sab Kuffar kee ijad hen ham musalmanoon kay leyeh sab Islam heh. Jahan par musalman ko yeh zerh nahin kar saktay, ussay insaniat ka masla bana kar pesh karnay hen, insani haqooq/ human rights, yeh insaniat ko ussee waqt laya jata heh jab deen e Islam kee jarh qati ja rahi hoti heh. Tawaif nanga naach karay toh kuch be nahin ghair-islami be nahin magar insaniat kay haqooq ka hissa heh aur self expression heh magar kohi musalman ussay ghalat kahay ya dantay toh phir TV par beth kar tabasray hotay hen aur sawal hota heh maulvi saab aap nay nay itnay sakht ilfaaz bolay, dozakhi kaha darray laganay ka batya kay essee auratoon ko darray lagnay chahyeh ... kia maulvi sahib aap ka insaaniat kay khilaaf nahin? Us waqt insaaniat kee yaad aati heh logoon ko aur Shariat aur deen e Islam ka pata nahin kay joh tawaif naach rahi thee us nay kia acha amal keeya heh jis par us ka nanga nach TV par dekha rahay ho. Yeh insaaniat waniat kuch be nahin sirf deen e Islam kee jarren qatnay ka harba heh joh TV waloon nay pehlaya heh. Isaniat shaniat sab ko chor denh, musalman kay leyeh Islam heh, aur musalman ko siwa'hay islam kay kissi democracy insaniat human rights animal rights gay rights rights ka kohi tasawar nahin. Joh kuch heh woh Islam heh aur joh kuch is kay khilaf heh, Shirk, Kufr, Gumrahi heh. Joh aap ko Allah kay Quran aur Nabi kay farman say millay woh leh lenh aur joh nah millay qaan nah darren. Islam ka muhafzoon ki sirf do zimmidariyan hen ek deen e Islam ka messag pauchana aur dosra Islami state meh joh juraim hen un kee sazza dena logoon ko zabardasti amal karwana Islam kay zimmidaroon ka kaam nain. Jab kissi kay gar shaadi hoti heh toh woh dosroon ko sirf batata heh kay shadi heh aap ko dawat heh aanay kee. Jinoon nay jana hota heh woh maheena pehlay tiyar ho kar kapray khareed kar dari mooch clean shave kar kay suit boot pehan kar sun glasses laga kar - esay ban kar jatay hen jesay un ka baap enzraz thah. Joh dawat karta heh us ko batanay kay zeroorat nahin ka kia pehan kar aayeh ga balkay woh khud sab kuch karta heh. Batanay ka maqsad sirf yeh thah kay jin ko amal karna heh un ko bata deeya jahay toh kafi heh woh baqi sab kuch khud kar leta heh. Jis nay namaz parni heh woh surah Fatiha bee seekh leh ga aur wuzu be seekh leta heh kapray be paak saaf pehan leta heh. Jinnay parwa nahin taweez agar gol gol kar pilahay jahen gaseet gaseet kar masjid meh khara keeya jahay toh be namaz nah paray ga. Deen par amal karnay waloon ko batana kafi hota heh aur baqiyoon ko lakh bataho nahin kuch karen gay. Islami qanoon ko doh hissoon meh taqseem keeya ja sakta heh, civil law, aur personel law. Civil law ka talluq juraim say heh joh state kee responsibility heh agar aap kohi civil islami qanoon toren toh us kee sazza millay gee state kee taraf say. Personal Law, yehni namaz, roza, hajj, aap nah karen is par aap ko state kee taraf say kohi sazza nahin millay gee, agay qayamat kay din litrawl hogi. Islam kay zummedaroon ka kaam sirf message dena aur musalman ka kaam us par amal karna agar nahin karta ham manwa nahin saktay aur karwa nahin saktay. Meri behan aap baat ko samjen, agar aap kay khawand aap say naraz hen aur aap par haath uthatay hen ya aap kee saas tang karti heh aur jis kee waja say aap ko parshani hoti heh. Toh chalen, mujjay aap bata denh kay aap kay khawand kahan par rehtay hen un ka naam be bata denh aur saas ka naam be, meh in sha allah koshish karoon ga kay chand Islam kay muhaffiz un kay gar par behjoon joh jaa kar pehlay batoon say samjahen aur agar baat nah banay toh phir donoon ko gadday par betha kar jootoon ka haar pehna kar aur laatoon aur mukoon aur gali muhallay meh gaseet kar seedha karen aur un ko samjahen kay aap biwi/bahu kay saath ziyadti kee heh ham islam kay muhafiz aahay hen aap ko sirat e mustaqeem dekhanay. Magar phir yeh mat kaheeyeh ga kay aap kay khawand nay ussi gadday par aa kar aap ko talaq thama deeh heh aur wohi haar aap kay galay meh daal kar gar gahen hen. Jis khawand ko beech bazar 10 darray parren biwi mazalim kee waja say ya biwi ussay report karay sharab peeta heh aur ussay dass darray paren. Mujjay nahin lagta essi biwi ko woh mard das darray khanay kay baad das second be nikkah meh rakhay ga. Agar kohi rakhay toh phir kohi bot bara wali e kamil aur zamanay ka ghaws qutub abdal type banda hoga. Maqsad samjana yeh heh kay behan kuch batoon meh Islam kay muhafiz dakhal andaazi kar saktay hen aur kuch meh nahin. Joh aap masla bata rahi hen us meh dakhal andaazi jalti par fuel dalnay kay mutaradif heh esay maslay par Islam kay muhafiz kuch nahin kar saktay. Agar kohi Islam ka muhafiz chala jahay kissi kay gar esay maslay par toh agar kohi agay say kahay kay kia lagti heh yeh aap ki, kia rishta heh aap ka is say, aap ko kesay maloom huween yeh baten, agay say meh islam ka muhafiz hoon sula saffai karnay aya hoon. Islam kay muhafiz ko toh shahid jootay paren magar larki ko talaq ho najaiz talluqat kay ilzaam meh. Es'say masail meh Islam kay muhafizoon ki kohi dakhal andaazi behtr nahin sirf ussi halat meh behtr heh jab larkay aur larki walay Islam kay muhafiz ko munsaf banahen. Is leyeh aap ko bataya thah kay baat tarbiyat kee heh, jab tarbiyat darust nahin toh ham essay masail meh kuch nahin kar saktay sirf sabr kay advice say ya tallaq leh lenh ka advice deh saktay hen. Is say ziyada agar islam kay muhafiz karen toh phir biwi kay sar par kulhari marna heh. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 30 اکتوبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 30 اکتوبر 2014 Walaikumus salam wr wb Brother! Aap bht zada jazbati hogai mene aapki bat se ilhtilaaf nhi kya lekin aise mahol me terbiyat b to diff hai na .... Well mene islam k mujafiz se mtlb sirf aalim mufti liya .... Bat mar dhar ki nhi bt sirf wuhi kerne ki jo kertey hein like speeches n fatwa to dey saktey hein .... Loug samajhtey he ma ki bt k khilaf gai to hum gunahgarr jannat haram isliye ma k kehne p bivi ko zaleel kero etc etc .... Awareness zaruri he na... Khair aap dua to ker saktey hein aap dua karein .... Allah in sha Allah theek kereyga sab. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 30 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 30 اکتوبر 2014 one side programme hay. jab tak do fareeqoon ka muaqaaf saamnay na aa ay, tuch naheen kaha ja sakta. is ka behtren hal aap k waaldain k pay ya aap k baray buzargoon k pass hay. us say baat karain. wo aap ke saas aur husband say baat karain. wagarna khula aur talaaq hay. kia karain ge talaq lay kar. phir shaadi karain grr, kia wo in say achhay hoon gay. is say buray niklay to ? sp apnay waaldain ko poori haqeeqat bata ain. hum main say kisi k pass is ka hal naheen. haan ALLAH say ham bhee dua kartay aur aap bhee. namaz parahain and darood shrif kie kasrat karain. kissi jhootay amil kay paas na jain taaweez k liee ay, wahan baray haalat kharab hain اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 30 اکتوبر 2014 Report Share مراسلہ: 30 اکتوبر 2014 (ترمیم شدہ) Walaikumus salam wr wb Brother! Aap bht zada jazbati hogai mene aapki bat se ilhtilaaf nhi kya lekin aise mahol me terbiyat b to diff hai na .... Well mene islam k mujafiz se mtlb sirf aalim mufti liya .... Bat mar dhar ki nhi bt sirf wuhi kerne ki jo kertey hein like speeches n fatwa to dey saktey hein .... Loug samajhtey he ma ki bt k khilaf gai to hum gunahgarr jannat haram isliye ma k kehne p bivi ko zaleel kero etc etc .... Awareness zaruri he na... Khair aap dua to ker saktey hein aap dua karein .... Allah in sha Allah theek kereyga sab. Salam alayqum meri behan Meh nay toh baray shafeeq aur tahamul mizaaji say sab kuch likha thah. Meh bi yahi samja thah kay Islam kay muhafizoon say murad Ulamah o Muftiyan e kiram hen ... Meri behan Muftiyan e kiram kar rahay hen joh un say ho sakta heh. Magar musalman ko indian dramoon aur filmon say fursat nahin kay kuch Islam ka seekhay aur agar kuch seekh be leh us nay kia amal karna heh. Edited 30 اکتوبر 2014 by MuhammedAli اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 30 اکتوبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 30 اکتوبر 2014 Assalam o alaikum Kal sath hi mujhe or post kerni thi , nhi ker pai I'm sorry aap logo ka bht waqt n energy le rhi hun .... Aik advice needed hai .... As kal merey husband aai baher ley gai kafi bt hui .... Unho ne apney kisi act p sorry nhi ki lekin ye kaha k meri galti thi .... But baki sab cheezein ulat di k tm kuch kerti hi nhi isliye tmhe bola jata he etc etc ...... Or kaha k meri maa ko kuch b minor sa b na kaho ... Kahein utho to uth jao betho to beth jao .... Din ko rat kahe to rat he .... Koi b kam bolay to jo ker rhi ho usko chor k wo kam shuru kerdo .... Or ab masi nikal deingey tmko kerna he sab ... Or apne ammi abbu ko le k kal ajao ... Tmhe b bht sunaeinge zaleeel karenge tmharey ma baap ko b .... Or tmharey ma bap samne se koi shikayat nhi karey mafi mang k zaberdasti tmhe bithaein hum mana kareynge me b mana kerunga bht sunaoonga mgr tmhe wuhi chor k chalay jaein .... ( me kamrey me sahi hojaoonga) Or kaha k 2-4 roz k bd sab kamo ki setting ker lenge .... Namaz ka tym hoga her cheez ka tym houga .... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 4 نومبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 4 نومبر 2014 Assalam o alaikum plzz will someone reply ...? i need advice... i don have any peace of mind .... kindly help. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 4 نومبر 2014 Report Share مراسلہ: 4 نومبر 2014 please discuss in detail with your parents who have blood relation with you, they will solve. if you leave susraal house and settle at parents house, will they detain you, they would have to face many problems. so first of all un ko aitmaad main lo. phir agar wo raazi hoon to khula lay lo. maira khial hay tumhara husband kissi aut larki main interrsted hay and us ke mother us ke shadi kaheen aur karna cahtee hain. so apnay waaldain say he baat kro. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 5 نومبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 5 نومبر 2014 Assalam o alaikum brother mene apni family se detailed me discuss ker chuki hoon .... wo mujhey janey ka mana ker re hein ... k husband guarantee deytey hein k insaf kareingey to jao else nahi ...... merey husband ki call aii thi milney k next day k is tym pe ana ... mene poocha aap guarantee deytey ho k kuch bura nahi hoga ab .... to he said k ... jese tum p bht zulm ho raha hai ...aogi apni shadi bachaney aogi mujh p ehsan nhi kerogi .... bas itni bat hui ... thn mene sms ker diya k aap insaf kerogey izzat se rakhogey to kyun nhi aoongi aapki b khidmat keroongi appki ammi ki b lekin aise kese k ao tumhe beizzat kareingey bura sulook kareynge .... jab aapko bivi bachay ki responsiblity samajh aai aap lay jana .... koi reply nhi aya next day call aai mummy ko .... mummy ne kaha k mujhse bat nhi kerwaigin .... or mujhey usi soorat me bhejengi jab aap guarantee do k ghalat nhi houga ... or kaha k aapko hath nhi uthana chahiye tha aap se iski umeed nhi thi .... wo meri ammi ko bolne lagay k mujhey aap se iski iumeed nhi thi ... or dhamki di k bht bura ho sakta hai ...yani chorney pe keh rahey they ... mummy ne kaha Allah malik hai ... aap guarantee do to abhi bhej doon werna nahi ... ab mujhse b sab yehi keh rahey hein k .... ager guarantee deytey hein sukoon ka gher deingey aise nhi houga ab to jaogi werna nahi .... mager mujhey kuch samajh nahi araha..... bht tense hoon ... mein chahti hoon sab sahi hojaein ...umnhein pata lagey k unhoney ghalat kya hai ... or us p or ghalat ker re hein ...aise to koi b nahi reh sakta na .....mujhey idher bethney mein b sukoon nahi or udher janey mein b ... bht buri phans gai hoon bs Allah asani karey ...aameen or un ko unki ghalti ka ehsas shiddat se ho k sab sahi hojai agay k liye aameen . اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 5 نومبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 5 نومبر 2014 & im v sure k wo kisi or lerki mein interested nahi or meri sas b unki shadi kahin or nhi kerna chahti thin phir baki allah janta hai. ....meri sas thori lalchi typ ki hein k unhein merey maikay se waqtan foqtan kuch milay ..... jis bais per sunati hain or i guess isi waja se fasad dalwa rahi hain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mughal... مراسلہ: 5 نومبر 2014 Report Share مراسلہ: 5 نومبر 2014 & im v sure k wo kisi or lerki mein interested nahi or meri sas b unki shadi kahin or nhi kerna chahti thin phir baki allah janta hai. ....meri sas thori lalchi typ ki hein k unhein merey maikay se waqtan foqtan kuch milay ..... jis bais per sunati hain or i guess isi waja se fasad dalwa rahi hain. Mari bahan Shohar k bi kuch haqook hotay hean ,,,,,,, Meara tow Mashwara ya hi ha aap khula lay lean ... ALLAH na kary aap ki jaan ko bi kahtra ho sakta ha susral mean gusay mean aaj kal bahi bahi ko ni dahkta ap tow phr biwi hean ... So plz take care ... ALLAH aap ka hame o Nasir .................... اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 5 نومبر 2014 Report Share مراسلہ: 5 نومبر 2014 aap k gharailu haalaat ka hal aap aur aap k ghar waloon k pass tha .aap pehchaan naheen sakay. aap nay likha hay aap ke saas lalchi hay. aap ko chaheeay tha start say say he ko na ko e gift saas ko daitee rehteen. apnay waldain say bhee kahain. aap bazar ja ain to kuch na kuch fruit ya ko e gift waghaira us ko la dia karain. 3/4 month ya tareeqa ikhtiaar karain. aap kee saas aap kee taareef aap k husband k saamnay khud karay gee. agar aap ko husband ghusay ho gato wo us ko daantay gee aur aap kee taraf daari karay gee. husband ko saas kay zarryyaa qabu karain. ya ko e mushkil kaam naheen. agar saas aap ke ho ja ay to husband apnay aap aap ka ho ja ay ga. agar husband aap ka ho gia, aur saas na ho saki to wo husband ko bhee aap ka naheen rehnay day gee. aap umeed hay baat samajh gaee hain. saas ko call karain aur poochain kay aap ko kuansa colour pasand hay. us colour ka suit lay ja ain. 8/10 hazar kharach karain 3/4 month m,ain, sub kuch theek ho ja ay ga INSHA ALLAH. aik dafa ua try kar k daikh lain. kaam na banay to phir khulla ka soch lain. jo aap kee ghaltiaan hain un k baaray bhee sochain aur theek kar lain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 5 نومبر 2014 Report Share مراسلہ: 5 نومبر 2014 aap k gharailu haalaat ka hal aap aur aap k ghar waloon k pass tha .aap pehchaan naheen sakay. aap nay likha hay aap ke saas lalchi hay. aap ko chaheeay tha start say say he ko na ko e gift saas ko daitee rehteen. apnay waldain say bhee kahain. aap bazar ja ain to kuch na kuch fruit ya ko e gift waghaira us ko la dia karain. 3/4 month ya tareeqa ikhtiaar karain. aap kee saas aap kee taareef aap k husband k saamnay khud karay gee. agar aap ko husband ghusay ho gato wo us ko daantay gee aur aap kee taraf daari karay gee. husband ko saas kay zarryyaa qabu karain. ya ko e mushkil kaam naheen. agar saas aap ke ho ja ay to husband apnay aap aap ka ho ja ay ga. agar husband aap ka ho gia, aur saas na ho saki to wo husband ko bhee aap ka naheen rehnay day gee. aap umeed hay baat samajh gaee hain. saas ko call karain aur poochain kay aap ko kuansa colour pasand hay. us colour ka suit lay ja ain. 8/10 hazar kharach karain 3/4 month m,ain, sub kuch theek ho ja ay ga INSHA ALLAH. aik dafa ua try kar k daikh lain. kaam na banay to phir khulla ka soch lain. jo aap kee ghaltiaan hain un k baaray bhee sochain aur theek kar lain. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 6 نومبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 6 نومبر 2014 aap k gharailu haalaat ka hal aap aur aap k ghar waloon k pass tha .aap pehchaan naheen sakay. aap nay likha hay aap ke saas lalchi hay. aap ko chaheeay tha start say say he ko na ko e gift saas ko daitee rehteen. apnay waldain say bhee kahain. aap bazar ja ain to kuch na kuch fruit ya ko e gift waghaira us ko la dia karain. 3/4 month ya tareeqa ikhtiaar karain. aap kee saas aap kee taareef aap k husband k saamnay khud karay gee. agar aap ko husband ghusay ho gato wo us ko daantay gee aur aap kee taraf daari karay gee. husband ko saas kay zarryyaa qabu karain. ya ko e mushkil kaam naheen. agar saas aap ke ho ja ay to husband apnay aap aap ka ho ja ay ga. agar husband aap ka ho gia, aur saas na ho saki to wo husband ko bhee aap ka naheen rehnay day gee. aap umeed hay baat samajh gaee hain. saas ko call karain aur poochain kay aap ko kuansa colour pasand hay. us colour ka suit lay ja ain. 8/10 hazar kharach karain 3/4 month m,ain, sub kuch theek ho ja ay ga INSHA ALLAH. aik dafa ua try kar k daikh lain. kaam na banay to phir khulla ka soch lain. jo aap kee ghaltiaan hain un k baaray bhee sochain aur theek kar lain. Assalam o Alaikum ... ji mein starting se hi kuch na kuch deyti thi ... as merey bhai bahaer country se atay they to koi na koi cheez mein saas ko nando ko deyti thi ....husband ko to merey bhai hi kuch na kuch deytey they .....or meri ammi k gehr b kabi dawat etc hoti to mummy khana wagera sab bhijwati for saas..... shadi k doosrey month hi sas ne masi nikalwadi thi ..... & me kaprey dhotey gir gai thi when i was preg. us k bad laitney nhi diya i asked k 10 mins lait k mein baki kaam poora ker leyti hoon ..unhone mana kya to usi waqt sab kya n kafi tbyat kharab hogai thi kafi tym hsp. mein admit rahi ..... us k bad ammi ne dena gifts etc kum kerdiya tha .....hal hi mein mom ne delivery kerwai bnachey etc k liye sab diya as houta hai hamaray culture mein ....sab berh cherh k ..... but is me b ye tha k is design k kaprey kyun aai ye thorey puraney hein mujhey new walay chahiye ... tmhari ammi ne tmhe gold diya to mujhey kyun nahi diya etc ..... meri husband se mashaAllah banti thi ,,,, ghussay k taiz hain but houjata tha sab chalta tha ...hmari Alhumdulilah kbi larai nhi hui thi....wo lertey they bato mein a k but Alhumdulilah sab handle houjata tha ....abhi b hamari koi larai nhi thi .... as saas ne call ki or office se a k bina kuch poochey hath utha diya .... or jo aap call ka abhi keh rahey ho ..... aisi condition mein to call nhi ker sakti na sas ko ....muamlay ki nazakat hai. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mubahsir مراسلہ: 7 نومبر 2014 Report Share مراسلہ: 7 نومبر 2014 Behan Apko chahiye ap bas sabar karen inshallah ap ke haq main behter hoga sub apki saas bhi apke sat theek hojain gi. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
polite مراسلہ: 7 نومبر 2014 Author Report Share مراسلہ: 7 نومبر 2014 Behan Apko chahiye ap bas sabar karen inshallah ap ke haq main behter hoga sub apki saas bhi apke sat theek hojain gi. in sha Allah ..jzk khair for dua . اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mariam Tariq مراسلہ: 18 مارچ 2017 Report Share مراسلہ: 18 مارچ 2017 Myra masla ye h k myra nikah hva h feb me meri mami taveez wgra krti h unho n rishta taveez s liya h jb rishta hva tha tb ghr s taveez nikly thy ab m khush ni hn apni shadi s mjy ghutan ho ri h es rishty s jb s nikah hva h 1 din b skn ni h bechani c lgi ryhti h abi rukhsti ni ab m divorce lyna chahti hn apny shohar s kya mera divorce lena thk h q k m khush ni hn apny nikah s اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Mariam Tariq مراسلہ: 18 مارچ 2017 Report Share مراسلہ: 18 مارچ 2017 Reply me plz kya m divorce ly skti hn islam me jaiz h k agr larki khush na ho tu divorce ly ly ?? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Abdullah Yusuf مراسلہ: 18 مارچ 2017 Report Share مراسلہ: 18 مارچ 2017 Reply me plz kya m divorce ly skti hn islam me jaiz h k agr larki khush na ho tu divorce ly ly ?? Sister ap apna poora maslah btain apko taweez ki wajah se bechaini hai ya apko is baat ka dar hai k ap per koi asar na kr de ? apko kis baat ki ghabrahat hai or ap nikah khatam kyun krna chahti hain? اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔