Jump to content

alcohol wali perfume


Iqra

تجویز کردہ جواب

  • 4 months later...

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم ‎‏

السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبارکۃ!

والصلوۃ والسلام علیک یا رسول اللہ

جزاک اللہ خیر

ماشاءاللہ عزوجل اللہ آپ کے دونوں جہان آسان فرمائے (امین) اور آپ کے صدقے اللہ مجھ جیسے گنہگاروں کے سردار کی بھی مغفرت فرمائے (امین ثم امین)

وعلٰی آلک و اصحاب یا حبیب اللہ

 

Edited by محمد عویدص
Link to comment
Share on other sites

subhan Allah Azzawajal.............jazakumullahu khiara ameen..............SPIRIT key barey main details k liyee Ammeer e AHlesunnat damat barakatuhum aliya ka MADANI MUZAKARA #139 hasil fermayee.

 

waslam with request of dua e maghfirat.

Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...

(salam)

 

Wah kiya do rangi bat hai.

Eik taraf Alcohal wali perfume ko istemal karne ki ijazat milti hai wahin Chaumin mein dali jane wali ashia AJINO MOTO ko mamnoo karar diya ja raha hai.

 

Aaj ke zamane mein dono kasrat se istemal ki ja rahi hai. Dono me najaiyz ashiya maujood hai. Lehaza dono cheez par hurmat honi chahiye. Yahi shariat ka takaza hai.

 

Kiya is tarah ki dorangi batein achhi lagti hai?

 

Is tarah ki dorangi rukh se hum sabhi Ahle Sunnat wal Jamat ko bachaie. AMEEN

fi-aman:

Edited by pqrst313
Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...

ager kissi key paas................Ammeer e Ahlesnnet ki taraf sey FAIZAN E RAZA KEY 8 hUROOF KI NISBAT SEY ..........dawateislami key 8 madani phool................hein tu yahan baray Madina paste ker dijyee

 

Dawateislami key intodution mein mujood hein

 

insha Allah Azzawajal clear hu gayee ga k ullama e Ahlesunnet ki tazeem kiss qadar zarori hey

 

aor inn ki Tehqeer ..............kabi haram aor kabi kufer ban jati hey

 

waslam with request of dua e maghfirat.

Link to comment
Share on other sites

Wah kiya do rangi bat hai.

Eik taraf Alcohal wali perfume ko istemal karne ki ijazat milti hai wahin Chaumin mein dali jane wali ashia AJINO MOTO ko mamnoo karar diya ja raha hai.

 

(salam)

Bara-e-Karam Fatwon Ko Tassali Sey Perh Ker Reply Kiya Kerein.. Aur Apney Moa'aqaf Ko Dalail Sey Sabit Kiya Kerein.. Is Terha Do Rangi Policy Waghera Kehna Sahi Nhin... Ager Aapko Oper Waley Fatwon Per Aitaraz Hai Tu Apni Tehqeeq Yahan Pesh Kerein Takey Sub Ko Malom Hoo Key Auney Poney Damo Jadeed Muhaqiq Koun Hai....

 

Awal tu Ajeeno Moto Alcohal Ki Wajah Sey Mamnoo Nhin Hai.. Us Mein Napak Janiwron Ki Hadiyaan Shamil Hoti Hai.. Aur Usko Bhi Ulema Ney Sarahatan Haram Nhin Kaha Balkey Asal Fatwa Tu Indonasia Waghera Countries Key Ulema Ney Diya Hai.. Hamarey Ulema Ney Us Cheez Per Fatwa Diya Hai Key Ager Is Mein Confirm Shamil Hai Tu Na Jaiz Hoga Mager Chonkey Pak-o-Hind Key Ulema Ki Apni Tehqeeq Nhin Hai Key Aaya Us Mein Aisi Cheez Shamil Hoti Bhi Hai Ya Nhin Is Liye Bachney ka Kaha Hai Key Behter Hai Bacha Jaye... Mager Jab Tak Kisi Cheez Mein Haram Cheez Ki Milawat Ka Confirm na Hoo Tab Tak Uska Haram Hona Sabit Nhin Hoga Khali Shak Per... Oper Jo Link Diya Isko Perhein Is Mein Fatawa Razwiya Shareef Sey Dalail Mojod Hain...

 

Aub Aap Ney Chauman Waley Topic Mein Likha Hai Key

 

Dawate Islami ke Mufti e karam ka fatawa alkohal wali perfume ko istemal karne ki ijazat deta hai. Mufti sahab ka manna hai ki alcohal wali perfume common ho gai hai is liey iska istemal jaiz ho gaya. Isi buniyaad par agar kaha jai ke Chaumin mein dali jane wali ashia AJINO MOTO bhi common ho chuki hai; lehaza isko bhi jaiz kar dena chahiye? Kiya is tarah ki batein achhi lagti hai?

 

Kiya Aapko Pata Hai Key Amoom-e-Balwa Aur Ikhtilaf-e-Zamana Asbab-e-Sitta Ki Bunyad Per Qaul-e-Imam-e-Aazam (ra) wa Aalahazrat (ra) Tu Kiya Nass-e-Shara Bhi Tabdeel Ho Jaya Kerti Hai...

 

Kiya Aap Is Mash'hoor Hadees لا تمنعوا اماء اللہ مساجد اللہ Key Tehat Auraton Ka Masjid Mein Ja Ker Namaz Perhna Zarori Samjhtey Hain?? Kisi Mufti Sahib Sey Is Hadees Per Fatwa Lein Dein Key Yeh Jab Hadees Mein Aagaya Tu Zarori Kiyon Nhin Hai?

 

Aur Muftiyan-e-Karaam Ka Aap Ney Istidlal Perha Hai Key Yeh Amom-e-Balwa Mein Shumar Ho Gaya Hai Aur Unho Ney Alcohal Wali Perfume Per Fatwa Imam-e-Aazam (ra) Key Qaul Per Diya Hai.. Aur Is Per Kaseer Jayid Ulema Ki Tasdeeqat Mojod Hain..

 

Nez Yeh Ikhtilafi Masa'ala Hai.. Hum Bhi Kehtey Hain Key Alcohal Waley Perfume Sey Bacha Jaye Mager Kiya Aap Lakhon Musalmano Ki Namaz Barbad Honey Ka Fatwa Detey Hain?

 

Kiya Aapko Amom-e-Balwa Ki Tareef Aati Hai Key Kab Kisi Cheez Per Amom-e-Balwa Ka Hukm Lagta Hai?

 

Aap Kuch Tehqeeqi Maqala Is Per Pesh Kerein Aisay Ulema-e-Ahle Sunnat Per Apni Soch Sey Aitarazat Na Kerein... Yeh Aap Key Apney Haq Mein Acha Hai...

 

Meri Koi Baat Buri Lagi Ho Tu Muazrat...

Wassalam Ma'Al Ikram

Edited by Sag-e-Attar
Link to comment
Share on other sites

  • 3 months later...
(salam)

 

Wah kiya do rangi bat hai.

Eik taraf Alcohal wali perfume ko istemal karne ki ijazat milti hai wahin Chaumin mein dali jane wali ashia AJINO MOTO ko mamnoo karar diya ja raha hai.

 

Aaj ke zamane mein dono kasrat se istemal ki ja rahi hai. Dono me najaiyz ashiya maujood hai. Lehaza dono cheez par hurmat honi chahiye. Yahi shariat ka takaza hai.

 

Kiya is tarah ki dorangi batein achhi lagti hai?

 

Is tarah ki dorangi rukh se hum sabhi Ahle Sunnat wal Jamat ko bachaie. AMEEN

fi-aman:

 

(bis)

(saw)

hazrat.....!! ap agr sunni hain to apko sharm aani chahiye k ap beghair daleel k sunni ulama pr etraaz utha rahy hain..........aur agr aap wahabi etc hain to isko aapki adat hi kaha ja skta hy.......!!

 

usul e fiqh hy k:

 

{"urf" ko fauqiyat hy "qayas" pr}

 

yani agr fatwa Qayas ki bina pr diya gya ho to wo us surat me wapas liya jata hy jb k us fatwy k khilaf URF paya jay.

 

(pehly QAYAS ko samjh lijiye:

 

*. jo baat Quran o hadis me wazeh tor pr bayan ki jay to usko "nass e qat'ee" kaha jata hy,

 

*. jo baat Quran o hadis me wazeh tor pr na ho aur usko Quran o hadis sy akhaz kia gya ho, usko QAYAS kaha jata hy)

 

ye baat yad rakhiye.....Nass e Qat'ee wala fatwa kabi b wapis nhe liya ja skta.........haan qayas wala fatwa us waqt wapas liye jata hy jis k khilaf (amal krna aam yani) urf hojay.

 

ye wazahat MUFTI AKMAL sahib ny farmai thi jisko apny alfaz me pesh kr diya.......agr mujy ghalati pr paaen to islah farma dijiye.....

Link to comment
Share on other sites

  • 1 year later...
  • 1 month later...
  • 2 months later...

yahan mene abi kuch fatway read kiye hen jin ko parh kr muje boht zyada hi herat ho rahi ha kyo k yahan perfume se mutaliq ek fatway me likh ha k " hum perfume k halal hony ka fatwa is liye de rahen hen, ta k aj kal k musalman gunah gar na hoon"

me yahan ye ni kehna chata k perfume use kerna "HALAL" hai ya "HARAM" me sirf ye kehna chahta hun k haram or halal ya jaiz or najaiz ka taluq ALLAH k hukum se hota ha kya agr aaj tmam dunya k musalman kisi najaiz kam ko kerny lag jaien to kya ye ulam karam usy be deen me jaiz qrar de den ge.

shayed aisi hi baton ki waja se aj duny bhr me hmara mazak uraya jata hai.

Link to comment
Share on other sites

Wah "COMPOSER" bhai jan kya bat hai humari fiqa ki books ki yani agr koi Aalim QURAN or HADIS se kisi maslay ko apni samj k mutabiq qayas kr ka akhz kry to wo "QAYAS" kayamt tak puri ummat per nafiz kya jaye ga.

 

MERI DUA HA KA ALLAH PAK TAMAM MUSALMANO KO QURAN SAMAJ KER PARHNY KI TOFIQ ATA FARMAYE.

 

AAKHIR ME AIK BAT ARZ KARNA CHATA HUN K QURAN PAK ME ALLAH FARMATA HAI K YE AIK MUKAMMAL KITAB HAI OR JO BAT ALLAH KEH DE WO KABHI GHALAT HO HI NAI SAKTI.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...