ashfaq ahmed مراسلہ: 22 جولائی 2014 Report Share مراسلہ: 22 جولائی 2014 hamare rasol s.w ne farmaya meri umat me 72 firke banege un me se 1 firka haq pe hoga batao wo konsa firka he kia aqida he اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Kilk-e-Raza مراسلہ: 22 جولائی 2014 Report Share مراسلہ: 22 جولائی 2014 Woh AhleSunnat wal jamaat hai. Jiska Aahadith main naam bhi aaya hay aur woh Sahaba e Karaam radi allahu anhum ke raste per hay. Aaj kal 2 number log apne aapko sunni/ahlesunnat kehte hain.. Woh dar asal wahabi kharji hain. AhleSunnat ki pehchaan ab Ya Rasool Allah ka naara hay. Baqi aqaid ki tafseel buhut lambi hay. Kahain tu kuch books ke links pesh kye ja sakte hain. Start Ja-Alhaq se behter ho sakta hay. http://www.islamieducation.com/category/library/ja-al-haq-aqaid-e-ahlesunnat/ اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
ashfaq ahmed مراسلہ: 23 جولائی 2014 Author Report Share مراسلہ: 23 جولائی 2014 lekin ap kareem rasol s.w ne ye wazhe naam to kesi firke ka nahe lia he ke fala firka haq pe he mujhe aaj tak koai a.c baat ya hadis nahe meli mene buhat koshash ki he ke haq ko dhonda jai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 23 جولائی 2014 Report Share مراسلہ: 23 جولائی 2014 hazoor kay wisal k about 80 saal baad jab firqay zahir honay lagay to sahaba karam nay apnay aap ko ahli sunnat wa jamat kehlwaana shuru kardia.jo lafaz chota hotay hotay SUNNI ban gia. HAZOOR nay irshad farmaya tha janti firqa wo hay jo mairay aur mairay sahaba k tareeqa par ho ga. AAP nay frmaya mairi ummat kabhee gumrahi par jama naheen ho gee. AAP nay farmya baray groh kee itbaa karo. baray group 4 hain. hanfi/hanblee/maalki/shaffi. ys sub sunni hain.dunya main do he group hain. sunni aur shia. total muslim abbadi 1,60,00,00,000 hanfi/shafi/malki/hanblee about 1,30,00,00,000 shia about 38,00,00,000 ahle hadees/wahabi/ghairmuqalad 2,00,00,000 poori islami dunya main sirf india/pakistan/aur bangla desh main ghair muqalad hain . batoor jamat in ka kaheen bhee doosray mulak main wajood naheen. 4 mazahab swaad e azam yaanee bara groh hain. in ke itbaa lazmi hay. kisi bhee baray say baray ALLAH k wali nay in 4 mazahab say nikalnay kee kosish naheen kee. wo sub k sub muqalad thay. maslan imam bukhari shafi,imam muslim shafi, hazrat Data ganj bakash hanfi, ham namaz main surat fatiha main kaheen bhee naheen kehtay kay YA ALLAH apnay raastay par chala. hum ya kehtay hain un k rastay par chala jin par tu nay inaam kia. quraan k mutabia ALLAH nay inaam kia, anbiaa karam,shuhda,siddiqeen aur sualeyheen par. ALLAH kay wali saualayheen hain. ab jo in ka mazhab hum ko ussi raastay par chalna hay. try karoon ga k un sualheen kay naam likhoon jo muqalad hain taa k aap ka zehan saaf ho sakay. hazoor ghous pak bhee hanblee thay. 80 saal kay baad sahaba/tabaa taabeen nay sunni kehlwana start kia. hawala khilafat o malookiat by moulana moudoodi اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
ashfaq ahmed مراسلہ: 24 جولائی 2014 Author Report Share مراسلہ: 24 جولائی 2014 hazrat karem rasol s.w ne hazrat umar aur hazrat ali k.w se farmaya ke mere baad awais karni se dua karwana hanla ke wo taabe tha aur ye sahabe the magar wajha ye thi ke awais karni apni ma ki buhat khid mat karta tha to hazrat umar hazrat ali k.w ne awais se dua karwai the .qisa to buhat bara he me kuch mukhtsir likh raha ho. Fir awais maka me raha tha kuch taim baad hazrat umar ke pas taabe i the maka se to hazrat umar r.a.t.a ne pocha ke apne awais karni se dua karwai he to unho ne kaha ke nahe to hazrat umar ne kaha ke awais dua karwana to wo taabe wapis aakar awais dua karwane lage to awais karni ne pocha ke apko kis ne kaha he hazrat umar ne to unho ne kaha g ha to awais ne ausi raat ko waha se hijrat kardi ke yaha pir parsti na hojai . To kia pir pasti gunha he kia piro se mangna chaheye اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 24 جولائی 2014 Report Share مراسلہ: 24 جولائی 2014 dear, jahan aap rehtay hain wahan kisi achaay alam/khateeb say mil kar wazahat lay lain. aik to aap baar baar hazrat awais (OWAIS)karni k liee ay wahid ka seegah istemaal kar rahay hain, yaanee,awais nay ya kaha,. hamaisha buzargoon kay liee jama ka seegah istemaal kartay hain. 2nd aap nay ya lafaz kahan say liee aa k unhoon nay kaha k yahan to peer parastee start ho ja ay gee. peer lafaz to urdu ka hay. us waqat peer kahan thay aur kaun thay. sirf naam kee mashoori kay liee to foroumn ko istemaal karnay ka ko e faida naheen. immature question ka ko e faida naheen. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
wasim raza مراسلہ: 24 جولائی 2014 Report Share مراسلہ: 24 جولائی 2014 http://library.faizaneattar.net/Books/index.php?id=411 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔