Jump to content

Ala Hazrat Barelvi Ya Hanfi .... ?


Hazrat

تجویز کردہ جواب

Assalamau Alaikum ...  Mujhe koi bataye ga k ALA HAZRAT Barelvi thay ya Hanfi ... ? Hum apne ap ko Barelvi kiyu kehte hain ... ALA HAZRAT ki nisbat ki waja se ... ? Agar esa hai to ALA HAZRAT ne apni khud ki books me aj tak apne ap ko Barelvi mention nahin kiya ... Hanfi hi mention hai ... to hum ziyada Hanfi hain ya Barelvi ... ? Jab k Barelvi koi maslak nahin hai , hum ne isse maslak bana diya hai , esa kiyu ? koi bata sakta hai please ? 

jawab ka intizar rahay ga ,

Thanks 

 

Link to comment
Share on other sites

Barelvi koi maslak nai hy Barelvi sunni ki sahi pehchan k naam hy 

 

Nahmaduhu wanu salli ala Rasoolihil kareem
Bismillahir rahmanir raheem 

Alhumdulillah, Jahaan Ahle Haq ne Har daur me Baatil ka Asli chehra Logon ke Samne Pesh kiya hai Vahin Deen-e-Haq ki Sachhi Raah bhi logon ko Bataya hai. Apni Buzurgane ke faizo karam se Aur Unke tarike par Amal karte hue Jahan Sunni Tableegi Jamaat Batil Ke Chehre Se Naqaab utha kar logon ke Samne unka Parda Fash kar rahi hai Vahin Insha Allaho Ta'ala Raah-e-Haq, Yani Sirat-e-Mustaqeem ki Raah bhi Musalmano ke Samne Zaroor Pesh karegi. 


nekbande.gif 

(Hadees-e-pak Mafhum)
Rasoolallah(Salllalaho Alaihiwasallam) Ki badi Maroof aur Mashhoor Hadees-e-Pak hai Jisme Sarkar (Alaihisalam) ne Sahaba Ikram(Ridwanullahi ta�ala alaihim ajmaeen) se Farmaya: 
� Meri Ummat me 73 firke Honge..! 72 Jahannam me Jayenge..! Sirf ek Jannat me Jayega..!� Sahaba Ikram ne Jab Arz kiya � Ya Rasoolallah(Salllalaho Alaihiwasallam), Vo Jannati firka Kaun hai, Uski Pehchan kya hai � Huzoor(alaihisalam) ne Farmaya: �Jis par main hun Aur mere Sahabi hain� (Subhan Allah).

Huzoor (Salllalaho Alaihiwasallam) Ka ye Mubarak Javaab Kaabil-e-gaur hai, Aur Isme Beshumar Hikmate bhari hui hai. Aur Agar Koi shaks Is Hadees-e-Pak Ko Muhabbat Aur Sachhe Dilse Se Samajh le to Zarur Haq Aur Batil Ko Pehchaan lega..(Insha allah) 

Jab Sahaba Ikram(Ridwanullahi ta�ala alaihim ajmaeen) ne Savaal Kiya to Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) Ka itna farma dena hi Kaafi tha ke �Jo Mere Raste Par chale,Vo Jannati hai� Lekin Huzoor(Alaihisalam) ne Ye kyu Farmaya � Jis Par Main hun Aur mere Sahabi hai�. 
Isse Saaf Zahir Hogaya ke Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) ne Apni Deen-e-Haq ki Pehchaan ke Liye Apne Sachhe Ghulamon ka Intekhaab Farmaya..Tamam duniya walon ko Zehen Diya Ae Logon, Mere Parda Farmane ke Baad agar Deen-e-haq Sikhna Ho to Mere Sahaba se Sikhna Aur Jo unke Khilaf ho to Vohi Gumraah aur Badmazhab hai. 
Isse Pata Chalta hai ke Deen e Haq ki Pehchan ke Liye Allah Ta�ala Aur Uske Pyare Habeeb ne Har Daur me Apne Sachhe Ghulamon ka Intekhaab Farmaya.

Jab Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) ne Hamari Ankho se Parda farmaya 
�to Jannatiyon ki Pehchaan Sahaba Ikraam hue,
Ek Daur Aya Jab Kalma Padne walon ne Zakat ka Inkaar karna shuru kiya� To Haq ki Pehchan Abu Bakr Siddiq hue�, Farooque Azam Hue, Usman-e-Zunnurain Hue, Maula Ali Hue(Ridwanullahi ta�ala alaihim ajmaeen) 

Yahi Nahi Jab Karbala Ka wakiya Pesh Aaya Yazidi Bhi Usi Nabi ka kalma Padte the,Bazahir Hukumat bhi Yazid ki thi, Tadaad Yazid ke Paas thi �
Lekin Haq ki Pehchaan Husain-e-Azam Aur unke 72 Afraad ke lashkar se hui� 

Jab Sahaba Ikram ne Is Duniya-e-fani se Parda Farmaya 
to Jannatiyon ki Pehchaan �Tabaeen Hue� ( Yani Jinhone Sahaba Ikram se Deen Ko sikha)

Isi Tarah Se Kabhi Ek Daur me Deen �e-Haq ki Pehchan Sarkar Gaus-e-Azam Huey, Kabhi Sarkar Gareeb Nawaz Huey, Kabhi Sarkar Mujaddid Alf-e-Saani Huey. 
Allah Ta�ala ne apne Fazl se Zarurat ke Waqt me Apne Deen ki Hifazat ke liye Apne Mehboob Bando ko Paida Farmaya Aur unhi ke Naam Se us Daur Me Deen-e-Haq ki Pehchaan Hoti Rahi� 


gustakzahoor.gif 


14vi Sadi me Jab Hind me Kuch gustakh firqon ne Rasool-e-Azam ,Tamam Nabiyon ke Sardar Muhammadur Rasool allah(Sallalaho Alaihiwasallam) Ki Shaan me Gustakhiyan karna Shuru kiya, 
Aur Logon ko Ye Napak Zehen Dena Shuru Kiya ke Nabi ka khayal Namaz me aaye To Vo Namaz me Zina ke Khayal se bhi Badtar hai(Ma�azallah).

Aur Un Gustakhon ne yahan tak kaha ke Nabi Marke Mitti me Mil gaye, Aur Nabi ka ILM-e-Ghaib to Aisa hai Jaise Pagalon, Janwaro Ka hai..(Ma�az Allah)
Logon ko Ye zehen diya ke sirf Allah Ta�ala ko mano Rasooallah(Sallalaho Alaihiwasallam) ki Tazeem ki koi Zarurat nahi!�(Ma�azallah) 

Jabke Sach to ye hai ke Sahaba Ikram ka to Ye Amal tha Jab vo Namaz me Hote Aur Huzoor(alaihisalaam) Unhe Bulate to Namaz Chor Kar Huzoor Ki Bargah me Hazir Hote, Aur Phir Lautne Par vahin se Rakat Padte jahan se vo gaye the, Aur Unhe Aisa karne Ka Hukum Khud Allah Ta�ala ne Quran Sharif me Diya hai� 


Jabke Hadees �e-Pak me Hai Huzoor(sallalaho Alaihiwasallam) Ne Farmaya: �Allah Ta�ala Ne Mitti Par ye Haram kar diya hai ke vo Nabiyon ke Jism ko khaye, Allah ke Nabi Zinda Hai Aur Rizq Diye Jate Hain.� 


Aur Aisi Beshumar Gustakhiyan Jo Koi khula Kafir bhi na kare, Vo Bazahir Kalma Padne Wale Wahabi/Deobandi ne kiya. 
Aisa Badtar Mahol Paida hogaya tha, koi (Ma�azallah) Allah Ta�ala ko Jhoot bolne par qadir keh kar Allah Subhanwata�ala ki Shaan me gustakhi kar raha tha�
Koi shia Bankar Sahaba Ikraam Ki shaan me gustakhi kar raha tha, Koi Wahabi/Deobandi kehlakar Ahle Bait Ki shaan me gustakhi Kar raha tha, Koi Nabiyon aur waliyon ke Ikthiyarat ka Inkaar kar raha tha, 
Jab Aise Jhoote Kalme Padne Wale, Jhooti Namaz Padne Wale�Logon ka Imaan Barbaad Kar rahe the Aur Allah ke mehboob bandon Ki Azmat Aur Muhabbat Logon ke dilon se Nikal rahe the� 
To Allah Tabarak wa Ta�ala ne Phir Hum Par Karam Farmaya Aur Apni Nabi Ki Azmat ka Parcham Buland Farmane k Liye, Bareilly Shareef ki Sar-Zameen SeIMAM AHMED RAZA Ko Paida Farmaya�(Subhan Allah) 

Vo IMAM AHMED RAZA Jisne Tamam Gustakhon Ko ,Tamam Munkiron ko Quran Sharif Aur Hadees-e-Pak Se Unke Jhoote Aqeede ka Muh tod Javaab Diya, Aur Rasoolallah (Sallalaho Alaihi Wasallam) ki shaan me Gustakhi ki bina par Unka Kufr Saabit kiya.Aur Sunniyat ki Haqqaniyat ka parcham lehrayaa. Aur Rasoolallah (Sallalaho Alaihi Wasallam) ki Azmate Bayan Karte Hue Ilm ka Darya Baha Diya�.. 

Aur Apne Aqa ki Bargah me Yu Arz Kiya :

�Tu Zinda Hai Valla Tu Zinda Hai Valla, 
�Tu Zinda Hai Valla Tu Zinda Hai Valla, 
Meri Chasme Alam Se chup Jaane Wale�


Aur Farmaya:
Ya RasoolAllah(Sallalaho Alaihiwasallam)
�Aur Koi Gaib kya,Tumse Niha ho Bhala
Jab na khuda hi chupa..Tum Pe Karodon Durood� 

Aur Hum Jaise Karodon Musalamano Ke Imaan o Aqeede Ki Hifazat ki Aur Unki Is Khidmat aur Baatil ko Benaqaab Karne par, Arab-o-Ajam Yani Saari duniya ke Ulma-e-Karam Ne aapko 14vi Sadi Ka Mujaddid Karar Diya Aur Aapko �ALAHAZRAT� Ke Mubarak Alqab se Nawaza.

Ye us waqt ke Arab ke Ulma-e-Kiram the Jab 1200 saal se Harmain Sharifain me Sunniyon ki Hukumat thi, Aj kal ke Najdi/wahabi ki zalim hukumat jo zabardasti kabza karliya hai usko sirf 200 saal hue hain. Jab In gustakho ki Asliyat samne Agayee to ab ye Gustaakh bhi Apne Aapko sunni kehne lage the , Ahle Sunnat Wal Jamaat kehne lage the�. 


Zaroorat thi ke Sachhe Sunni Aur Jhoote Naam ke Sunni Ko Pehchanne ke liye koi tarika mukarar kiya jaye: Us waqt ke Ulama Farmate the Ke �Hind Se Jab koi Musalmaan Ata Hai to hum Usse Ahmed Raza Ke Bare Me Poochte hai, Agar Vo Unki Taarif Karta tha to Hum Samajh Jate the ke Ye Sunni Imaan Wala hai, Aur Agar Hind se Aanewala Ahmed Raza Ki Burai karta tha to hum samajh lete the ke ye Ahle-Biddat hai, Gustakh hai�

Us waqt se Sari Duniya Me Imaan Wale Sunniyon ki Pehchaan IMAM AHMED RAZA ban gaye. 

Isliye Ulma-e-Arab-o-Ajam ne Imaan wale aur gustakhon ki Pehchan ke Liye MASLAK-E-ALAHAZRAT kehna shuru kiya. Aur Allah ta�ala aur Uske Pyare Habeeb (sallalahoalaihiwasallam) ki Raza bhi Isi me thi warna Aaj duniya ke Har kone me Maslak-e-Alahazrat ki gunj na hoti�Ye Sabse bada saboot hai Ke Allah ta�ala jise chahta hai Izzat bakshta hai. 

Isliye shaayar ne kya khub kaha

Sab Unse Jalne walon ke gul hogaye charaag
Ahmed Raza ki shamma faroza hai aaj bhi. 

Aur Ab Is Daur Me �MASLAK-E-ALAHAZRAT � hi Deen-e-Haq ki Pehchaan Hai.
MASLAK-E-ALAHAZRAT hi vo Maslak hai Jo Is Hadees-e-pak Par Sahi mana me Amal Kar raha hai
�Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Tarike Par ho�(Hadees-e-Pak)


Aaj agar koi Banaam Sunni Is �Maslak-e-Alahazrat� ke Naare Par Aitraz karta hai to Use Sochna Chahiye Ke Allah Ta�ala aur Uske Pyare Habeeb ne Har Daur me Kisi na Kisi Ko Apne Deen Ki Pehchaan Ke liye Chuna, Is Daur me ALAHAZRAT Ko Is Khidmat se Nawaza, Lihaza Isme kisi ko koi Hasad Ya Jalan Nahi Rakhna Chahiye. Balke Hume ALAHAZRAT ka Shukr Manna Chahiye ke Agar Vo Hamare Imaan Ki Hifazat Na karte aur In Wahabi, Deobandi, Ahle Hadas! ke Kalma Aur Namaz ke Piche Chupe hue Kufr Ko Benaqab na karte, To Kya Hota? 

Yaad Rakho Jisne Allah Ta�la ke Bando Ka Shukr Na Mana, Goya Usne AllahTa�ala ka Shukr Na mana..!

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...