Jump to content

Ameer E Ahle Sunnat Par Aitraz Ka Jawab Chahiye! "murda Ki Tasveer"

Usama Sultan

تجویز کردہ جواب

salam 

mayyat ki tasveer k masle k hawale se jawab chahiye ( detail me )

bapa jaan ne apne 1 madani muzakare me poche gae sawal k jawab me farmaya tha (apne ilfaz me btane ki koshish krta hu)

k mayyat ki tasveer jaiz hai fatwa razvia shareef k mutabiq ,  mayyat ki tasveer jandar k hukam me nahi ati or tasveer k haram hone ka hukam sirf jandar ki tasveer par lagta hai

kuch fitna khoor khud ko razvi kehne wale bapa jaan k is jawab ko le k boht galat ilfaz istemal kr rahe hain yahan tak bol diya k bapa jaan Alla hazrat par tabra krte hain or jhoote or apni trf se masail k jawab deite hain 

or is trhan humare kai bhole bhale bhai badzan ho rahe hai DI se so plz detail me jawab deyn maine age dena hai jawab

Link to comment
Share on other sites

....

Salam alayqum,

my brother mera nazria aur tehqeeq yahi heh kay jaandar kee tasweer haram heh chahay us meh jaan ho ya nah ho. Masla ikhtilafi heh is leyeh joh tehqeeq aap ko behtr aur baraheen e Quran o Hadith kay mutabiq lagay us ko apnahen, dosray position par tanqeed nah karen sirf apnay mowaqif kay mutabiq dalahil biyan karen, mukhalifeen par jara nah karen, is say joh fasad hoga us say ham bachen gay.

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

w.salam

mere piyare bhai jara hum nahi kr rahe wo kr rahe hain , humne to apne bhaiyon ko jawab dena hai k oi bad'zahn na ho

abi mujhe mufti akmal sahab ka b 1 clip mila usme b apne ye farmaya hai k mubah hai na gunnah or na sawab , ap le skte hain

lekin pori detail nahi mil rahi ispar 

Edited by Usama Sultan
Link to comment
Share on other sites

مسئلہ اختلافی ہے۔ فورم کے ممبر نجم میرانی بھائی نے اس کا جواب لکھا تھا، سنی تبلیغی جماعت کے خلاف۔ جو کہ اہلسنت کے درمیان شدید فتنہ پھیلا رہی ہے۔ جواب نیچے موجود ہے، فتوی رضویہ شریف کے اسکین کے ساتھ۔ جس میں میت و بے روح کے الفاظ موجود ہیں۔

tasveer maiiyat1.jpg

“Al Atayal Qadeer Fi Hukm il Tasveer”
http://www.alahazratnetwork.org/modules/TDMDownloads/singlefile.php?cid=1&lid=226
Yahan Se Aap Fatawa Ridawiya Ki Jild 24 Ko Download Kar Sakte Hein Is Jild Ke Page No. 559 Se 642 Tak Tasweer Ka Mas’ale Hein Jismein “Al Atayal Qadeer Fi Hukm Il Tasveer” Bhi Maujood Hai Aur Yeh Fatawa Bhi Maujood Hei Jo Yahan Post Kiya Gaya Hai.

attachicon.giftasveer maiiyat1.jpg

jazak'Allah bhai

ji maine parha hai kafi acha likha hai najam bhai ne

hazoor masla ye hai inho ne 1 neya aitraz utha diya hai issi scan par

pic attach nahi ho rahi to dosri site par upload kr k link diya hai check kre or ho ske to jawab deyn bhai

http://i.imgur.com/2G9hnSO.jpg

Edited by Usama Sultan
Link to comment
Share on other sites

jazak'Allah bhai

ji maine parha hai kafi acha likh hai najam bhai ne

hazoor masla ye hai inho ne 1 neya aitraz utha diya hai issi scan par

pic attach nahi ho rahi to dosri site par upload kr k link diya hai check kre or ho ske to jawab deyn bhai

http://i.imgur.com/2G9hnSO.jpg

Salam alayqum,

Baee chor denh maslay ko agar nahin raha ja raha toh private meh discuss keren. Meray jesa chawani ka banda kabi kissi Sunni e Aalim e Deen say 100% ittifaq nahin kar paya. Doh paray likhay banday joh shahib e ilm aur sahib e aqal aur sahib e feham o firasat hoon woh kabi 100% kissi mozoo par ittifaq nahin kar pahen gay kissi nah kissi aqeedeh ya fiqhi ya issue par ikhtilaf rakhtay hoon gay. Ikhtilafoon kay peechay nah par jaya karen, bhool janay deeya keren.

Link to comment
Share on other sites

jazak'Allah bhai

ji maine parha hai kafi acha likha hai najam bhai ne

hazoor masla ye hai inho ne 1 neya aitraz utha diya hai issi scan par

pic attach nahi ho rahi to dosri site par upload kr k link diya hai check kre or ho ske to jawab deyn bhai

http://i.imgur.com/2G9hnSO.jpg

Hazrat, masla ikhtilafi hay. Fitna bazon ka tu ap kuch bhi nhi ker saken ge ke unka kam hi fitna phelana hay. albata jisko badzan hone se ap bachana chahte hain. unko samjhane ke lye itna hi kafi hay ke ye masla ikhtilafi hay, jis terha speaker or video wala masla hay. mukhtalif ulema ki mukhtalf raye hay.

Hades e pak ka mafhom hay ke meri ummat ke ulema ka ikhtilaf baes e rahmat hay. or ulema ka ikhtilaf ulema men hi rehne den.

Nez apko zamana ka bhi kuch khayal rakhna pare ga. main koi mufti ya alim nhi hoon. Shurow main tasveer jo thi woh hath se banayi jati thi ya kanda ki jati thi. Phir 18th or 19th sadi main ba mushqil camera ka istimal shurow howa or picture ka result ap wikipeda pr dekh sakte hain.

Us terha ki pics lene main bilkul yeh pata na chalta hoga ke aaya ye zinda ki tasver hay ya murda ki tasver. or abhi mojoda camere dekh len. jis men abhi tu UHD ultra high definition ki tasver or video banne wale camere bhi achuke hain. jo jism per lage howe barek nukte ya aik safaid bal ko bhi clear dikha den ge. Aisi sorat main murda ko murda ki tasver na samjhna tu bohot hi mushkil hay.

Khusosan hamare haan jo log tasveer lete hain woh kafan phenane ke baad ya qabar main rakhte howe, aisi halat main lete hain ke guman or shaiba bhi na hoga ke murda nhi belke zinda hay.

Aub aisi sorat ko pesh nazer rakhte howe fatwa ko perhen. Alahazrat (ra) likhte hain.

tasveer-maiiyat2.jpg

yani tasveer ki tor phor is lye ki jati thi ke zinda hone ka shaiba na ho.. aub ager tasver ho hi aisi jis se zinda hone ka sahiba na ho tu phir kya hukm hoga.. Kayi dafa zamane ke sath kuch ahkaam tabdel hote hain. main yeh nhi kehta ke main ne jo kuch likha woh thek hay. balke jese shuro main kaha ke masla ikhtilafi hay. is lye is main zyada na paren or jinko batana hay unhen ikhtilaf ka batain ke ulema main fiqhi masail per ikhtilaf nayi chez nhi. yeh zamane se hote chale aaye hain.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...