Jump to content

اشرف علی تھانوی مناظرے سے ڈرتا تھا


Ghulam E Mustafa

تجویز کردہ جواب

اشرف علی تھانوی مناظرے سے ڈرتا تھا

Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat,

 

Ghulam Mustafa baee yeh darnay walay banday ka tareeq nahin balkay suljay huway aur zameer jaag banday kee nishani heh. Yeh khoobi achi cheez heh aur bandoon meh honi chahyeh yehni haq baat ki wazahat kerna aur us waqt taq biyan kerna jab taq wazia ho jahay mukhalif per aur phir khamosh ho jana aur haq baat qabool kerna. Pehli shart per meh be kafi munazray haar chuka hoon. Har banday meh achi aur buri khoobiyan hoti hen aur yeh achi meh say heh. Meray yeh kehnay ka matlab yeh nahin kay Thanvi acha thah sirf yeh khoobi achi thee. Shaytaan kay halat toh sab per wazia hen magar achahi us meh be thee. Us nay Hazrat Bilal radiallah ta'ala anhu ko kissi Surat kay fazail batahay. Thanvi ko Shaytan per qiyas ker lenh jis kay laheen aur bad bakht o baghi e hokam e illahi aur dushman e ahle eman aur kafir honay per kissi ko shaq nahin siwahay be-iman kay.

 

Is mardood kay aqahid o nazriat ka radd keren joh Quran o Ahadith kay khilaf hen aur is kay batin ka mo-ayna nahin. :) Batin kay mo-aynay meh qiyas ka haath hota heh aur bazahir kuch nahin hota. Sirf apnay ek idea kay mutabiq banda fesla kerta heh joh ghalat be ho sakta heh aur darust be.Mujjay thanvi kee khoobi is leyeh lagi keun kay meh Sunni in do khoobiyoon kee waja say huwa hoon, haq ko pa ker qabool ker leeya, aur haq ko achi tera biyan kernay kay bad phir khamosh ho gaya aur logoon nay samnay aur peechay jeet kee baglen bajaheen magar khadam nay sabr ka daman nah chora aur khamosh raha. Magar alhamdulillah fatah haq ko hee milli aur jahan per meh kaam kerta thah sab joh bad mazhab ho chukay thay Sunni huway toh maghz mari khatam huwi. Haq baat ko biyan kernay kay baad khamoshi is leyeh behtr heh kuen kay har baat fori damagh meh nahin utarti insaan ko ghor o fikr kay baad samaj aati heh baat aur banda phir connection banata heh points ka dalahil nazriyat say. Munazroon meh joh aqalmand banda hota heh woh hamesha tareekay aur saleekay say apna mowaqif biyan toh kerta heh magar mawl esa hota heh kay agar kohi zera lachak aur narm ho toh dosra apni jheet kee baghlen bajata heh. Aur nafs parasti kay alam meh itna sabr kisi kay pass nahin aur agar ho toh bee banda apnay dost joh saath hotay hen un kee besati nah krwanay kee waja say majbooran bari bari deengen marta heh.

 

Is tera shaytaan insaan kee aqal per parda dal deta heh. Agar kohi munazir apni ghalti ko mehsoos be keray aur ghalti tasleem ker leh toh yeh esa heh jesay munazray meh manna apnay aap ko aur apni maan behan ko nanga kerna, yehni joh sharmindgi aur zillat esa kernay say ho woh sirf ek ghalti tasleem kernay say millay toh kon gawara keray ga kay ghalti tasleem ker leh. Balkay is'see waja say munaziroon ka kohi fesla nahin hota. Agar kohi banda munaziray meh ghalti mehsoos ker be leh aur jab taq woh munazira kay ikhtimam bad jashan a fatah aur dastarbandi aur tareefi taqreeren sun ker farigh hota heh us waqt taq shaytaan nay us ko bula deeya hota heh kay us nay kia apnay mowaqif meh ghalti mehsoos kee thee. Agar doran e munazira agar munazir apnay mowaqif kee ghalt tasleem kerta heh toh kia aap samajtay hen kay aaj kay dawr meh maulvi tabka itna sakhi heh kay woh us kee pagri nahin uchalay ga aur us ko awaazen nahin kasay ga! Mujjay toh nahin lagta kay esa hoga. Agar munazir ba shahoor hoon aur mukhalif kee izzat ko lehaz keren aur ek dosray ka adab malhooz rakhen toh yaqeenan aksar munaziroon ka fesla ho jahay aur mukhalif party apnay mowaqif ka ghalat hona be tasleem ker leh ya kam say kam thora sa apni position say zeroor chal ka haq kee taraf ahay. Magar aaj kay munazir aur joh tabka sath hota heh un ko apni izat bachani hoti heh aur dosray kee izzat ko khaq milana hota heh is leyeh ba-shahoor sulja huwa aur khush aur narm tabiyat banda munazira kee taraf ana gawara nahin kerta. Munazra charb zubani, ilm, filmi type dialogues waghera 

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

  • 4 weeks later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...