Jump to content

Marsiya Gangohi Ke Ek Sher Par Deobandi Difa Ka Rad Chahiye(Murabbi Khalaiq)


MunAAm

تجویز کردہ جواب

Meri ek deobandi se marsiya gangohi par behas huyi maine aitraz kiya :

 

KHUDA UNKA MURABBI WO MURABBI KHALAIK KE

 

MARE MOLA MARE HADI THE BESHAK SHAIKH RABBANI

 

is sher me mehmood hasan sahab ne rashid ahmad sahab ko murabbi khalaik likha hai jo rabbul aalameen k ham mana hai shayed zarurat shayeri ki wajah se rabul aalamin nahi la rahe ye hai peshwaye deoband ki aqidat mandi kitne khule lafzo me apne peer ko sari makhlookh ka palne wala keh rahe hai waqayi peer parasti ise kehte hai...

 

BAAT YEHI KHATM NAHI HOTI

 

Thanvi sahab bayanul quran me surah fatiha ki pehli aayat ka tarjuma me likha

 

"HAR AALAM KA MURABBI ALLAH HAI"

 

SHER KI TASHRIH

 

KHUDA UNKA MURABBI WO MURABBI KHALAIK KE

 

MARE MOLA MARE HADI THE BESHAK SHEK RABBANI

 

Is sher me mehmud hasan sahab ne rashid ahmad gangohi to MURABBI KHALAIK likha hai jo RABBUL AALAMEEN ke ham mani hai.

 

Kyu ke rabbul aalameen me 2 lafz hai rab aur aalameen isi trah MURABBI KHALAIK me 2 lafz hai murabbi aur khalaik

 

MURABBI RAB KE MAANI ME HAI kyu ke rab ke maani me hai tarbiyat kuninda aur parvarish kunanda aur murabbi ke mani me tarbiyyat kunanda hai.agrcha urdu me sarparast k maani me b aata hai LEKIN US WAQT JB KHALAIQ AUR AALAMEEN KI TARAF IZAFAT NA HO AUR YAHA KHALAIK KI TARAF IZAFAT HAI

 

LIHAZA WAHI HAQIQI MAANI TARBIYYAT KUNANDA YANI PARVARISH KRNE WALA HUYE

 

AUR KHALAIK AALAMEEN KE MANA ME HAI .KYU KE KHALAIK JAMA KHALAK BA MANI MAKHLOOQ KI HAI.

AALAMEEN JAMA AALAM KI HAI AUR ALLAH KE SIWA HAR SHAI JO MOJUD HAI ISKO AALAM KEHTE HAI

USI TRAH ALLAH KE SIWA HAR SHAI KO KHALK KEHTE HAI YAANI JO CHEEZ AALAM HAI WO KHALQ HAI AUR JO KHALQ HAI WO AALAM HAI

 

MALUM HUA MURABBI KHALAIQ RABBUL AALAMEEN KE HAM MANA HAI

 

sabit hua deobandiyo ke nazdik molavi rashid ahmad murabbi khalaik yani sari makhlooq ka palne wala hai

 

DEOBANDI JAWAAB :::

 

((((((+(+(((((( kya aap.mujhe ye bata sakte he k ye maana or aapka bayan kiya hua qaida lugat ki konsi kitaab me he????

2) iska ilmi or asaan jawab ye he k Allah k liye jo lafz e Murabbi ka istimal hua he wo haqiqat k itebar se he or molana k liye jo istimal hua he wo majazi maana me he

Or haqiqat or majaz me asman o zamin ka farq he jaisa k Allah k dusre b sifati naamo ko dusro k liye majazan istimal liya hi jaata he Jo aapse poshida na hoga

3) niz lafz e murabbi k dusre b bhot sare manaa he to Allah k liye uski shan wala mana or molana k liye unki shan k itebar se manaa murad liya jaa sakta he jaisa k tarbiyat karne wala nigrani karne wala wagera (al qaamusul waheed or digar kutub e lugat)

4)niz nabi sallahu alahi wa sallam ko b murabbi kaha gya he k aap s.a.w logo ki tarbiyat karte the unki nigraani karte the waha koi ye iteraaz nahi karta he balke aitiraz hota hi nahi he aitiraz karna hi gakat he to isi trh nabi s.a.w ki miraas jin avliya Allah ko mili he or unhone apne habib s.a.w k naqsh e qadam ki ittiba karte hue logo ki tarbiyat ki unko b murabbi kaha jane pr koi ishkal o iteraz nahi hona chahiye jaisa k gos pak jilani r.a or hazrat khawja moinuddin chisti r.a ko murabbi or naa jane kya kya kaha jata to yaha koi iteraz nahi or allama rashid ahmad gangohi r.a ke bare me hi ye iteraz q???

kya ye khullam khulla bugz or hasad nahi  

AUR KHALAIK AALAMEEN KE MANA ME HAI .KYU KE KHALAIK JAMA KHALAK BA MANI MAKHLOOQ KI HAI.

AALAMEEN JAMA AALAM KI HAI AUR ALLAH KE SIWA HAR SHAI JO MOJUD HAI ISKO AALAM KEHTE HAI

USI TRAH ALLAH KE SIWA HAR SHAI KO KHALK KEHTE HAI YAANI JO CHEEZ AALAM HAI WO KHALQ HAI AUR JO KHALQ HAI WO AALAM HAI

 

MALUM HUA MURABBI KHALAIQ RABBUL AALAMEEN KE HAM MANA HAI

upar ki gyi tasrih se is maane ka galat hona sabit ho gya he or uoar lugat ka hawala b he or aapka daawa bila dalil he jo ahl e aqal or ahle ilm k nazdik bilkul bekaar or na qabil e qabul he

 

sabit hua deobandiyo ke nazdik molavi rashid ahmad murabbi khalaik yani sari makhlooq ka palne wala hai

 murabbi khalaik ki jo tasreeh aapne ki he uski puri detail or dalil k sath upar tardeed kar di gyi he or aapki byan jarda tasreeh ka galat hona ilm ki rosni me bilkul galat balke hasad o bugz ki saaf dalil he

khulasa ye he k molana k liye murabbi e khalaik ka istimal majazan he or iska mana makhlooq ki tarbiyat karne wala wagera hota he or isme koi shirkiyya maanaa he hi nahi k iteraz kiya jai jaisa k dusre bade hazraat k liye istimaal hua or unpar iteraaz nahi kiya gya

lihaza allama rashid ahmad gangohi r.a pr aitiraz karna hasad ki alamat or unse bugz ki dalil hi he

 

niz murabbi k alawa molana or sarparst wagera alfaaz jo aap apne ulamaa k liye b istimaal karte ho uska kya jawab doge kya ise b shirk qarar doge

agr haa to aap b apne hi qol k mutabik mushrik or agr naa to fir hum pr iteraz o ilzaam Q

 



Allah kare aapke dil me utar jai meri baaat

Wallahu Aalam

 

aapke jawab ka muntazir

 

................

 

Mai apni taraf se toota phuta jawaab de saktahu magr mujhe ilm walo se ilmi jawaab chahiye jisse hamara ilm badhe maine jo tashrih likhi wo ta'aruf ulma e deoband book padhke likhi

Link to comment
Share on other sites

1)kya aap.mujhe ye bata sakte he k ye maana or aapka bayan kiya hua qaida lugat ki konsi kitaab me he?

Almeen ba mana khalaik, aur murabbi ba bmana rab. murabbi khalaik aur rabbil alameen ka mafoom ek hee heh. Sher kay sayaq o sabaq meh khalaik meh kon say makhlooq dakhal kertay hen? Jin, insaan, farishtay, parinday, chopahay, in meh say doh ya teen agar aap dakhal keren toh khalaik toh phir khalaik ka istimal darust heh. Aap sher kay context meh, apnay abba hazoor ko aur ammi hazoor ko khalaik meh dakhal ker in per khalaik ka ittlaq nahin ker saktay. Keun kay sher meh likha heh: Khuda un ka murabbi thah woh murabbi thay khalaik kay, yahan per Allah subhanahu wa ta'ala ka Gangohi sahib ka murabbi hona aur phir Gangohi sahib ko khalaik ka murabbi tehrana Murabbi e almeen wala mafoom deta heh. Keun kay Gangohi sahib kay leyeh Khuda ko murabbi aur baqi makhlooq kay leyeh Gangohi sahib ko murabbi zikr keeya gaya heh.

 

2) iska ilmi or asaan jawab ye he k Allah k liye jo lafz e Murabbi ka istimal hua he wo haqiqat k itebar se he or molana k liye jo istimal hua he wo majazi maana me he. Or haqiqat or majaz me asman o zamin ka farq he jaisa k Allah k dusre b sifati naamo ko dusro k liye majazan istimal liya hi jaata he Jo aapse poshida na hoga

3) niz lafz e murabbi k dusre b bhot sare manaa he to Allah k liye uski shan wala mana or molana k liye unki shan k itebar se manaa murad liya jaa sakta he jaisa k tarbiyat karne wala nigrani karne wala wagera (al qaamusul waheed or digar kutub e lugat)

Kia Allah subhanahu wa ta'ala tarbiyat kernay wala nahin? Allah nay hamari tarbiyat kay leyeh Nabi aur Rasool behjay ya nahin? Kia Allah makhlooq kee nigrani nahin kerta? Aap nay murabbi kay mafoom palnay walay ko Allah kay leeyeh khaas keun keeya?  Kia Allah nay ya us kay Nabi nay Rabb ka mafoom sirf palnay wala keeya heh? Kia aap samajtay hen kay murabbi kay saath agar aap palnay wala ka mafoom khaas ker denh gay toh phir aap kee jaan choot jahay gee? Allah woh Rabb heh, woh Murabbi heh joh palnay wala be heh, nigran be heh, tarbiyat wala be heh, aap nay Gangohi kay leyeh nigran aur tarbiyat wala mafoom khaas ker kay socha kay jaan chootay gee. Agar aap murabbi ka mafoom nigran keren  ya tarbiyat kernay wala keren, ya palnay wala keren, joh be mafoom aap murabbi ko denh aap nay Gangohi ko apnay mazhab kay mutabiq Allah subhanahu wa ta'ala ka shareek banaya aur apnay hee mazhab kay mutabiq aap Mushrik huway. Kia aap apnay leyeh woh mazhab gawara keren gay jis kee bunyad per aap apni taweelat kay mutabiq Mushrik hen? Agar aap Sunni hotay toh aap ko har maslay aur nuqtay kee samaj hoti magar aap nay haq say dushmani ker leeh heh.

 

Janab aap ko haqiqi aur majaazi meh farq bee pata nahin, agar meh kahoon: give me hand, ya yehkahoon; [is kaam meh] haath doh, ya; kaam meh haath bataho [literally, exchange hands in work] toh banda samaj jahay ga kay haqiqi mafoom meh haath nahin maang raha, yehni yeh nahin keh raha kay haath qaat per mujjay doh balkay madad maang raha heh. give me hand, ka majaazi mafoom heh kay kaam meh madad kero. Majazi mafoom woh hota heh jis ka haqiqi mafoom muhaal ya khilaaf e layk ho aur lafz ka kohi AUR na ho. Jistera yadullah, wajullah, keun kay in ka lafzi mafoom Allah kay leyeh muhaal heh. Aur Yad ka dictionary meh mafoom haath heh yehni char ungloon aur angoothay wala haath,  aur waj ka dictionary mafoom chehra, yehni ankhon, naaq, hont, qaan wala chehra. Is leyeh kuch ulamah nay in ko majazi per mamool keeya heh. Murabbi e Khalaik hona majaazi mafoom meh kistera huwa? Joh aap nay mafoom deeya heh point 3 meh woh toh lafzi aur haqiqi mafoom heh majaazi kesay huway? Ya majaazi kee ratt lagahen aur dictionary ko chor denh ya dictionary ko pakr lenh aur maajazi ko chor denh. Joh mowaqif jhoota ho us kay bayanat aur wazahaten kabi ek dosray ko compliment nahin keren gay balkay contradict keren gay. Jistera aap kee wazahat meh tazad biyani joh aap kay mowaqif kay batal honay ka saboot deh rahi heh.

 

Jab apnay panday meh apna hi sar pansa toh haqiqi aur majazi be yaad aahi aap ko. Agar RasoolAllah (sallallahu alayhi was'sallam) kay leyeh yeh ilfaaz likhay jatay aur likhnay wala kohi Sunni hota toh phir aap haqiqi aur majazi kee taraf moon nah kertay. Phir kehtay ham Shariat, Quran o hadith kee baat kertay hen Quran aur hadith meh haqiqi aur majazi ka zikr kissi be jaga nahin heh. Aur Allah nay hammeh Quran aur hadith per fesla kernay ka hokam deeya heh aur farmaya heh kay agar Quran ko chor ker kissi aur per fesla kero gay toh kafir hogay. Is leyeh ham toh sirf Quran per fesla keren gay aur Quran meh majazi aur haqiqi nahin is leyeh RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam ko murabbi e khalaik kehna Shirk heh keun kay Murabbi sirf Allah hee heh, DATA sirf Allah heh. Quran meh Rabb/Murabbi kissi ghair kay leyeh istimal nahin huwa sirf Allah subhanahu wa ta'ala kay leyeh is waja say tum nay Shirk keeya aur mushrik qabar parast kay fatway lagatay. Magar abh jab apnay ullu ka sar pansa panday meh toh woh joh Deobandi raywaiyati aur joh tumaray uqabir aur joh tumari param para rahi heh us ko chor ker ahle sunnat kay asoloon kee taraf pesh qadmi shoroon ker deeh. Allah kay Nabi sallallahu alayhi was'sallam kee shaan meh joh naatia kalamat likhay jatay hen un ko toh tum log bila Shar'ri uzr Shirk aur  tehratay ho magar apnay Gangohi sahib kee shaan meh kufr likha gaya us kay difa kay leyeh dor peray.

 

4) niz nabi sallahu alahi wa sallam ko b murabbi kaha gya he k aap s.a.w logo ki tarbiyat karte the unki nigraani karte the waha koi ye iteraaz nahi karta he balke aitiraz hota hi nahi he aitiraz karna hi gakat he to isi trh nabi s.a.w ki miraas jin avliya Allah ko mili he or unhone apne habib s.a.w k naqsh e qadam ki ittiba karte hue logo ki tarbiyat ki unko b murabbi kaha jane pr koi ishkal o iteraz nahi hona chahiye jaisa k gos pak jilani r.a or hazrat khawja moinuddin chisti r.a ko murabbi or naa jane kya kya kaha jata to yaha koi iteraz nahi or allama rashid ahmad gangohi r.a ke bare me hi ye iteraz q?

kya ye khullam khulla bugz or hasad nahi

 

khulasa ye he k molana k liye murabbi e khalaik ka istimal majazan he or iska mana makhlooq ki tarbiyat karne wala wagera hota he or isme koi shirkiyya maanaa he hi nahi k iteraz kiya jai jaisa k dusre bade hazraat k liye istimaal hua or unpar iteraaz nahi kiya gya

lihaza allama rashid ahmad gangohi r.a pr aitiraz karna hasad ki alamat or unse bugz ki dalil hi he

 

Mujjay ilm nahin kay RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam ko murabbi kaha gaya ya nahin. Magar chalen bil farz maan lenh kay Murabbi likha gaya, toh ihtiraaz murabbi e khalaik per thah keun kay yeh kehna Rabbil Alameen kehnay kay motaradif heh. Aap RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay murabbi aur murabbi e khalaik honay per aap Quran o hadith say daleel pesh ker denh. Aur Ghawth e Azaam alayhi rehma aur baqi AwliyahAllah ko kon aur kis kitab meh Murabbi e Khalaik likha heh? Janab AwliyahAllah kee tarbiyat kee kohi baat nahin aur un kee ittiba e Shariat per kohi ihtiraz nahin. Magar Gangohi aur Tandvi ko Awliyah meh ginna esa heh jesay Firawn ko Nabiyoon meh ginna. Joh banday musalman nahin un ko Awliyah meh ginnay say aap ko sharm nahin aahi? Joh Allah subhanhu wa ta'ala aur RAsoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kay gustakh hoon un say bugz kia imaan nahin? Kia musalman ko zeb deta heh kay woh Kafiroon ka difa keray aur un ko AwliyahAllah meh ginnay?

Wahhabi aur Deobandi taleemat kay mutabiq Gangohi ko Murabbi e khalaik man'na aur likhna Shirk Rububiyyah. Yehni Allah kay saath us kee Rububiyat meh makhlooq ko shareek kerna. Nahin tehryeh mujjay abhi new Tawheed ban-nanay denh, Tawheed Murabbiyat yehni Allah hee Murabi heh aur us kay siwa kohi aur Murabbi nahin, Allah akela aur ek hee Murabbi heh. Shirk Murabbiyat yehni Allah kay Murabbi honay meh makhlooq ko dakhal kerna. Abh aap khud fesla ker saktay hen kay Shirk huwa ya nahin. Note keryeh ga yeh tawheed aur shirk murabbiyat ka joh mafoom bataya heh woh Wahhabi aur deobandi mazhboon kay asooloon kay mutabiq heh.

 

 

 

niz murabbi k alawa molana or sarparst wagera alfaaz jo aap apne ulamaa k liye b istimaal karte ho uska kya jawab doge kya ise b shirk qarar doge. agr haa to aap b apne hi qol k mutabik mushrik or agr naa to fir hum pr iteraz o ilzaam Q

Allah kare aapke dil me utar jai meri baaat Wallahu Aalam aapke jawab ka muntazir

 

 

Mawlana ka mafoom sam-jata hoon, mawla+na = mawla+hamara/hamaray  yehni hamaray mawla, mawla bamana muhafiz leeya jahay toh hamaray muhafiz. Hadith meh lafz Mawlana istimal huwa heh: “The Prophet judged that she should be given to her aunt, and said that the aunt was like the mother. He then said to 'All, "You are from me and I am from you", and said to Ja'far, "You resemble me both in character and appearance", and said to Zaid, "You are our brother and Mawlana (i.e. our mawla)." [Ref: Bukhari,  B49, H863] Dosra Quran kee ayaat meh Mawla ka lafz istimal huwa aur jin kay leeyeh huwa woh perh lenh: “If you two turn in repentance to Allah your hearts are indeed so inclined but if you help one another against him, then verily, Allah is his Mawla, and Jibrael, and the righteous among the believers, and furthermore, the angels are his helpers.” [Ref: 66:4] Agar Mawlana ka istimal Shirk hota toh RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kabi be Sahabi ko Mawlana nah kehtay. Aur nah Allah subhanhu wa ta'ala bandoon ko RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam ka mawla kehta.

 

Janab aap kay leyeh english meh yeh teen articles hen peren Shirk kee sahih tareef seekh lenh:

 

http://www.islamimehfil.com/topic/21041-critical-analysis-of-ahle-sunnat-wahhabi-concept-of-exclusivity/

 

http://www.islamimehfil.com/topic/21427-a-dialogue-with-wahhabi-on-shirk-of-attributes/

 

http://www.islamimehfil.com/topic/21417-analysis-of-differing-wahhabi-methodologies-of-determining-exclusivity/

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

 

Meray baee aap say guzarish heh kay aap khaloos e dil say toba ker kay sachay aur suchay Sunni ho jahayn. Allah ta'ala aap kay ilm meh barkat aur dil meh noor bar deh ga jis say aap ko in masail kee samaj aa jahay gee. Asal ikhtilaaf joh heh ham aap ko samja denh gay kay yeh Murabbi wala ihtiraaz keun aur kesay wojood meh aya aur is kee taraf ishara meh nay ker deeya heh. Meray baee aap nay ilm hasil keeya is jazbay meh kay apnay Deobandi maulviyoon ka difa keroon ga ya phir Sunniyoon ka Shirk sabat keroon ga. Kabi aap nay RasoolAllah sallallahu alayhi was'sallam kee shaan e mutahira ka difa bee keeya hoga? Ya aap nay is waja say kabi ilm hasil keeya kay meh is ilm say RasoolAllah kee shaan e aqdas ke difa keroon ga? Meray baee aap ka sara zor apnay mazhab kay maulviyoon kay difa meh laga heh aur aap kay ilm kay hasool ka asal maqsid be yahi heh. Meray baee apni aakhirat kee fikr keren gustakhoon aur Kafiroon ka difa nah keren. Jab Allah (subhanahu wa ta'ala) hokam keray ga kay is ko is kay chahnay walooon kay saath aag meh dalo toh kon hoga joh aap ko dozakh kee aag say bachahay ga? Kia Gangohi Sahib aap kay badlay aur azaab bardasht kernay kay leyeh tiyarho jahen gay? Ya Tandvi sahib aap kee rahayat kay leyeh khud ziada azaab bardasht kernay kay leyeh tiyar ho jahen gay? Har giz nahin aap ko pehchannay say inqaar ker denh gay balkay apnay azaab ko aap per dalnay kee darkhawat shahid keren. Ghor kero meray baee kay woh aag kitni sakht hogi kay agar pahoon ko jalaya jahay toh damagh ubal peray ga heat say. Jab aap ka sara badan har har hissa aag meh hoga toh kia aap tasawar ker saktay hen kay azaab kitna sakht hoga? Toba ker kay sachay aur suchay musalman ho jahen aur aynda niyat keren kay in ka difa nahin keroon ga aur nah in zalimoon kay baray meh acha zann rakhoon ga. Meri dua heh kay Allah ta'ala is ko aap kay leyeh waseela e hidayat banahay, ameen. Agar kohi kalamt sakht hoon toh mazrat khawa hoon.

 

Link to comment
Share on other sites

DEOBANDI JAWAAB :

 

Bhai kya sawal or kya jawab kaha ki mitti kaha ka roda

bhanumati ne kunba joda

 

Bejaa tatweel e la taail he

k hasad o bugz ki aag me kisi ki baat k aam mafhoom ko khinch khinch kar shirk k mafhoom tk phonchana

jab k uske kalaam k bhot se sarih or wazeh maana mojud he

halanke ulamaa e ahnaf ka qaida he k agr kisi ne sarih kalimat e kufriya b kahe ho or uske kalaam ki 99 taweele kufr ki ho rahi ho or ek taweel adm e kufr ki to adm e kufr ki taweel kar k uspar kufr ka fatwa nahi lagaya jaiga

 

Lihaja ajib adavat he k bila taweel k haqiqi mana se samjh me aane wale mofhoom ko ghuma fira k tod marod k bina kisi sar o paa ki baato se isi pr kufr o shirk ka fatwa lagana ulama e haq ulama e ahnaf k usul k bilkul khilaf or unse mukhalifat he

 

Lihaza jab murabbi k haqiqi mana bhot saare he jaisa k khud aapne apne jawab me iqrar kiya

to ab saare iteraz karne se pehle aal ye baat saabit jar dijiye k Jab murabbi k haqiqi manaa mukhtalif he to Kalam ka maana sahibe kalaam se liya jayega k sahib e kalaam ne konsa manaa murad liya jara aap unki sahih murad unse sabit kar k batao

 

Lihaza short me itna kijiye k murabbi ka maana rabb sahibe kalaam se sabit kar dijiye Aap sahib e kalaam se murabbi ka manaa rabb sabit kar dijiye to hum aage baat kare warna bina sar o pair ki baate karne ka time mere pass nahi

 

Haqiqi dusre mana b he yaa nahi???

Link to comment
Share on other sites

Bejaa tatweel e la taail he k hasad o bugz ki aag me kisi ki baat k aam mafhoom ko khinch khinch kar shirk k mafhoom tk phonchana

jab k uske kalaam k bhot se sarih or wazeh maana mojud he

halanke ulamaa e ahnaf ka qaida he k agr kisi ne sarih kalimat e kufriya b kahe ho or uske kalaam ki 99 taweele kufr ki ho rahi ho or ek taweel adm e kufr ki to adm e kufr ki taweel kar k uspar kufr ka fatwa nahi lagaya jaiga

Lihaja ajib adavat he k bila taweel k haqiqi mana se samjh me aane wale mofhoom ko ghuma fira k tod marod k bina kisi sar o paa ki baato se isi pr kufr o shirk ka fatwa lagana ulama e haq ulama e ahnaf k usul k bilkul khilaf or unse mukhalifat he

Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat.

 

Baee sahib agar meh hasad kee aag meh jal raha hoon toh aap aur aap kay maulvi hasad kee sab say nichli jahanum meh sakht kaali aag meh jal rahay hen. Keun kay yeh logh esay hasid hen kay yeh har kissi kay Islam aur eman say jallay aur is jallan ka nateeja yeh nikla kay aap ki jammat ka kaam hee musalmanoon ko Mushrik banana heh. Logoon ko qabr per chadar charnay kay jurm meh Musrhik, milaad bananay kay jurm meh Mushrik. Taqiwyatul eman kee ek ibarat joh char panch lines kee heh us meh 17 wajoohat hen jin kee waja say musalman mushrik tehra-hay gahay hen. Yeh keech-tani aur kufrstani aur Mushrik-banani aap ka warsa heh joh aap ko samp kee tera das raha heh. Yeh keecha-tani aur zabardasti mafoom ko badal badal ker fatway Shirk or kufr dena aap ka warsa heh. Kia aap wohi Deobandi hen joh Data, Ghareeb Nawaz, kay title per Musalmanoon ko Mushrik tehrata heh aur kehta heh Data [yehni denay wala] sirf Allah heh, Ghareeb Nawaz sirf Allah heh? Abh apnay ullu ka sar pansa toh ham ko bata rahay ho kay ham keecha tani say kaam chala rahay hen aur bugz aur hasad ke aag meh jal rahay hen. Baee sahib yeh keecha-tani aur is keecha-tani say Mushrik bana-ni aap ka tareeka heh aur ham aap kee kay asool o zawabat say aap ka radd ker rahay hen. Jis talwar say tum puri Ummat ko Mushrik kafir banatay ahay ho us'see talwar kay neechay abh tumara sar heh.

 

Mujjay ahnaf ka pata nahin kay un kay kia asool thay aur hen magar jin ahnaf kay tum follower ho woh kissi musalman ko ratti bar excuse nahin detay. Aur kohi taweel qabool nahin kertay balkay SHIRK SHIRK SHIRK MUSHRIK MUSHRIK KAFIR KAFIR QABAR PARAST kee takfir wali gun har ek musalman ko halak kerti jaati heh. Agar janab ko shok huwa toh dalail mangna. Rasheed Ahmak Gangohi nay Fatwah Rasheediya meh likha heh kay joh ATAHI ilm e ghayb manay woh mushrik heh. [Agar daleel scan page reference darkar huwa toh mangna.] Yehni jitnay be Sunni musalman, joh majority hen sab Mushrik yehni woh Kafir joh Allah kay saath auroon ko shareek tehrata ho. Aap kay abba hazoor nay 99 meh say ek excuse istimal nahin keeya. Aap kay firqa e batil sirf apnay mazhab e Deobandiat kay wastay 99 say kaheen ziayda excuse banata heh, magar sirf us'see Kafir aur bey-iman kay leyeh joh apnay aap ko aap kay mazhab aur aap kay uqabir say ho. Is ka zabrdast example, deta hoon. Kissi hoshiyar Sunni nay Qasim Nanotavi kee ibarat ko Dar ul uloom deoband meh behja magar yeh nah bataya kay yeh ibarat kis kee hen. Muftiyan e Deoband nay khoob bar char kay fatway e kufr lagahay aur tasdeeqat huween magar jab khabr pehli kay in ibarat per kufr ka hokam deeya heh aur dosray Deobandiyoon nay khoob ala ala ala keeh aur zabrdasti majboor keeya kay maulvi fatwa e kufr waspis lenh toh unoon nay chay maheenoon kee taweel muddat kay pressure kay baad rojooh keeya. Agar un ko pehlay bataya jata kay yeh Qasim Nanotavi kee ibarat hen kabi fatwah e kufr nah detay aur phir maloom huwa toh deh ker ker roojooh ker leeya. Aur is'see tera kissi aur Sunni Aalim nay Marsia Gangohi kay ashaar ek aur Deobandi madrassay meh behjay, aur khoob kufr kay fatway lagwahay aur likha kay yeh jis nay likha heh shariat ka ilm nahin jahil mutlaq heh. Magar maloom honay per kay yeh toh hamaray cha-haytay maulvi ka marsia heh is leyeh roojooh ker leeya.

 

Is kay bar-khilaaf aap kay kissi maulvi nay kissi non-Deobandi per kufr, shirk, biddati, ka fatwah lagaya ho aur phir rojooh ker leeya ho saboot pesh ker denh. Aap kay ahnaf sirf apnoon taq 999999 taweelat ka tareeka apnatay hen joh Deobandi nahin un kay leyeh 1 bee nahin. Haathi kay dant dekhanay kay aur aur khanay kay aur hotay hen, is'see tera aap kay ahnaf hen apnoon kay leyeh 99 taweelat balkay sar'ri kufr meh be taweelat jaiz kertay hen aur non-deobandiyoon kay leyeh jaiz shar'ri dalail per mowaqif ko bee qabool nahin kertay. Aur agar itjihadi dalahil say kuch likhay toh us ko biddat, biddat, biddat, aur wazia, qatti as saboot dalail mangtay hen aur Qasim nanotavi nay Tahzir Un Naas joh kufr ka qabarstan heh meh Quran aur hadith kay khilaaf sab kuch likha gaya magar joon nahin reengi tum logoon kay qanoon say. Yeh ahnaf hen jinnay aap follow kertay hen, aap hee Allah aur aap hee Rasool, joh marzi halal ker deeya aur joh marzi haram ker deeya, joh marzi Shirk kerar deeya aur joh marzi ayn Islam kerar deeya. Tum log bata-tay woh ho joh kertay nahin aur joh kertay ho woh bata-tay nahin. Keun kay joh bata-tay ho us say na-samaj logh tumaray saath ho jatay hen aur joh kertay ho agar bata doh toh logh tum Deobandiyoon ko tamachay maren.

 

Lecture khatam huwa, abh aap ko samjata hoon, sar'ri kufr meh kohi taweel nahin kee jaati. Agar kohi kahay kay; meh Allah hoon toh aap kitnay aur kia kia excuse banahen gay us ko musalman sabat kernay kay leyeh. Aap sirf mujjay char + 1 = panch excuse pesh keren kay in in wajoohat kee bina per banda musalman ho sakta heh. Chalen teen meh pesh ker deta hoon, ek agar kehnay wala na-balagh ho yehni bacha ho aur samaj nah ho kia keh raha heh, dosra agar sharab kay nashay meh ho, aur tesra woh banda joh musalman toh thah magar pagal ho gaya, aur choti, banda soya huwa khawab meh esa kehta heh. yeh char wajoohat woh hen jin per banda musalman ho sakta heh. In char kay ilawah kohi aur uzr nahin jin kee bunyad per banda musalman ho. Chalen farz keren meh kahoon kay meh Allah hoon aur aap muj say kahen keun kaha toh meh kahoon kay Allah muj meh bolta heh meh nahin bolta Allah muj meh khud kehta heh meh Allah hoon toh kia aap kahen gay kay meh musalman hoon? Chalen meh nay aap ko taweel pesh ker deeh abh aap meri taweel ko qabool keren gay ya nahin yeh batayeh ga? Chalyeh agar kohi aapnay aap ko Khatamun Nabiyeen kehta heh aur bar bar ilaania tor per kehta heh meh Muhammad aur Khatam un Nabiyeen hoon aur taweel yeh keray kay meh ishq e Rasool sallalahu alayhi was'sallam meh is qadr doob jata hoon kay mujjay apnay aur RasoolAllah sallalahu alayhi was'salam meh farq maloom nahin rehta. Kia aap is excuse ko qabool ker kay us ko musalman maan lenh gay? Agar aap ko hosh huwi toh samjen gay kay KUFR SAR'RI kee kohi TAWEEL qabool nahin kee jati. KUFR SAR'RI kernay kay baray meh hokam e musalman hona ho sakta heh magar KUFR SAR'RI kee kohi taweel nahin kee jahay gee aur nah kohi taweel qabool kee jati heh. Maslan agar kohi kahay meh Allah hoon ya Muhammad aur Khatam un Nabiyeen hoon toh joh marzi lafzi taweel keray, misaal kay tor per, Muhammad bamana, hamd kernay wala batahay aur khatam ba mana AKHIRI, aur nabiyeen ba-mana khabr dena wala leh, aur yeh mafoom deh: MEH HAMD KERNAY WALA AUR AAKHIRI KHABR DENA WALA HOON. Toh kia aap yeh TAWEEL QABOOL ker lenh gay? Agar ker lenh gay toh janab Mirza Ghulam Ahmad ka aap jesa musalman hona aap ko mubarak ho. Keun kay us nay bee essi baqwasat keen hen aur phir taweelat.

 

Meray baee aap ka tareeka Ulamah e ahnaf aur ahle aqal o feham waloon kay khilaaf heh bas aap ham ko bata rahen kay hamara tareeka khilaaf e mazhab e ahnaf heh magar apnay tareekay per ghor nahin ker rahay kay agar yeh darust hota toh phir kabi kohi kafir kafir nah hota. Mujjay hujjaten kernay say aap ka tareeka darust nahin hoga. Ahnaf, Ahnaf ker kay ham Ahle Ahnaf ko darana kay un kay tareekay kay khilaaf hen, ajeeb heh. Aap nay kabi uqabir Ulamah e Ahnaf kee kutub be nah dekhi hoon gee bas sunneeh sunahi per apnay aap ko ahnaf kay asooloon kay mutabiq tehra rahay hen. Kabi uqabir Ulamah e mazhab e ahnaf kee kutub peryeh ga masla e takfir per toh phir aap ko pata lagay ga kay KUFR E SAR'RI kee taweeel hoti heh ya nahin. Dil toh kerta heh kay aap kee ankhoon da dund uqabir ulamah e ahnaf kee kutub say door keroon magar yeh bot taweel ho jahay ga. Is leyeh joh ooper jirah kee gaee heh Ahle Ahnaf kay asool o zawabat kay mutabiq aap kay mowaqif ko khoob batal sabat kerti heh jis ka maqool jawab nah aap pesh ker saktay hen aur nah keren gay.

 

Abh aap nay yeh likh hee deeya heh toh aap batahen Mirza Qadiyani apni tehreeri ibarat aur taweelat kee bina per musalman keun nahin aap kay mazhab kay mutabiq? Aap nay Mirza Ghulam Qadiyani kay leyeh kitni taweelat keenh? Kia meri yeh taweel joh meh nay biyan kee heh kia aap ussay Mirza per apply ker kay musalman maneh gay ab? La hawla wala quwatta ... Aap ko shaytaan nay apnay geray meh leeya huwa heh aur aap kee aqal aur feham per us nay parday daal deeyeh hen. Allah ka naam leh ker aap toba keren aur Sunni sahih ul aqeedah ho jahen. Haq aap per is say ziyada waziha nahin hoga. Ahle Sunnat Wal Jammat kay maslak ko qabool ker lenh meray baee. Aap Allah ka naam leh ker hidyat kay darwazay meh say guzr ker Ahle Sunnat ka maslak qabool keren. Meh bee aap kee tera ek zamanay meh Deobandi thah. Aap thoray narm Deobandi hen meh Maulana Haq Nawaz Jhangvi type wala Deobandi thah; Kafir Kafir Shia Kafir joh nay manay woh be Kafir. Kafir kafir Barelwi Kafir joh nah maneh woh be Kafir. Yeh mera wird huwa kerta thah forums per. Magar jab Allah nay hidayat ka darwaza khola meh nay Allah ka naam leh ker dakhal huwa aur Sunni ho gaya, aap Sunni ho jahen gay toh shaytaan zaleel hoga kay us ka hawari sacha aur suchay musalmanoon meh gaya heh. Allah ka naam leh ker ilaan keren, ham Sunni aur hamari duahen aap kay saath hen.

 

Lihaza jab murabbi k haqiqi mana bhot saare he jaisa k khud aapne apne jawab me iqrar kiya

to ab saare iteraz karne se pehle aal ye baat saabit jar dijiye k Jab murabbi k haqiqi manaa mukhtalif he to Kalam ka maana sahibe kalaam se liya jayega k sahib e kalaam ne konsa manaa murad liya jara aap unki sahih murad unse sabit kar k batao

Lihaza short me itna kijiye k murabbi ka maana rabb sahibe kalaam se sabit kar dijiye Aap sahib e kalaam se murabbi ka manaa rabb sabit kar dijiye to hum aage baat kare warna bina sar o pair ki baate karne ka time mere pass nahi

Haqiqi dusre mana b he yaa nahi???

 

Janab murabbi kay haqiqi manay waqia hee bot saray hen aur mujjay inqar bee nahin magar majaazi kee chawal toh aap nay mari nah ya meh nay? Jab aap kee ilmi oqat yeh heh kay haqiqi mafoom leh ker aap us ko majazi bata rahay hen. Kiaa aap iqrar kertay hen kay murabbi kay manay majazi nahin haqiqi hen aur aap ka majazi wala dawa ghalat heh?[*]

 

Janab kalam ka mana sahib e kalam say hee lenh. Magar sahib e kalam joh mana mutayyin keren gay Gangohi sahib kay leyeh woh Allah kay leyeh be sabat? Kia aap kay mazhab meh yeh asool nahin kay Allah aur makhlooq meh barabari Shirk heh? Heh na! Toh phir Sahib e kalam joh mafoom denh gay murabbi ko Gangohi kay leyeh wohi sabat hoga Allah kay leyeh aur phir Shirk kesay nah hoga aap kay mazhab meh? Aap nay likha kay meh batahoon kay kon say mana leeya gaya jahay ga murabbi ka. Janab jab ittifaq ho chuka kay sahib e kalam batahay ga kay kon say manay meh murabbi ka mana leeya jahay ga toh phir meh keun batahoon? Yeh mera farz nahin kay murabbi ka mana mutayyin keroon sher kay leyeh, yeh sahib e kalam ya sahib e kalam kay wakeel yehni aap kay leyeh heh kay aap kon say mana mutayyin keren gay. Meray layk aap kay mutayyin mana per jirra heh meh woh keroon ga. Agar meh hee mujrim kee safahi pesh keroon meh hee mujrim kee jira keroon aur meh hee judge ban kay fesla keroon toh aap kis bagh kee mooli apnay aap ko samaj ker muj say maghz mari ker rahay hen? Meray zummeh ba hasiyat e wakeel e ahle sunnat aap kay mowaqif kee tardeed aur radd aur jirah heh woh alhamdulillah ba khoobi say anjam deh raha hoon.

 

Murabbi ka mana Rabb nahin yehni palnay wala nahin, muj say ghalti huwi. Is leyeh palnay walay ilfaaz ko qaat deeya jahay. Murrabi kay do joh mani aap nay biyaan keeyeh hen agar wohi leeyeh jahen toh un a ittlaq Allah subahanahu wa ta'ala per be hota heh aur agar Gangohi per be un meh say kissi ek ka keeya jahay toh app ka mowaqif batal ho jata heh. Aap joh be bana mutayyin keren aap kee taweel bey-sood heh aur aap ko kohi faida nah deh gee.  Aap ka aakhir meh joh sawal heh us kee samaj toh aahi magar talluq kis baat say heh ya aap kia kehna chahtay hen yeh wazia nahin is leyeh meh chor raha hoon.

Note:

 

- [*] Wesay toh woh Deobandi kissi maan nay aaj taq nahin jana joh apni ghalti ka ihtiraaf keray kay meh nay ghalti kee heh. Aur mujjay yaqeen heh kay aap mujjay ghalti tasleem ker kay mujjay sharminda nahin keren gay. Aap nay abhi be wohi kehna heh yeh majazi heh BARELWI ko kia pata haqiqi aur majazi kia hota heh.

 

------------------------------------------------------------

 

Meray baee aap kay leyeh hidayat ka darwaza khula heh aur haq ko pehchaan ker us meh dakhal hoon. Keun apni aakhirat ko kharab kertay hen? Ahle Sunnat Wal Jammat hee woh firka heh joh sacha aur sucha heh aur joh Nabi e kareem kee sunnatoon per amal kernay wala aur Nabi e kareem kay batahay huway asool o zawabat kay mutabiq chalnay wala. Deobandi aur Wahhabi amal meh sirf Sunnatoon taq mehdood hen magar fesla apnay mangarat asooloon per kertay hen. Ahle Sunnat sirf wahid firka heh kay amaal kay saath masail ko janchna aur samajna taleem e asool o zawabat e nabvi kay mutabiq kertay hen. Aap kush kismat hoon gay agar aap haq ko qabool ker kay Sunni ho jahen toh. Meri dua heh Allah ta'ala aap ko haq samajnay aur qabool kernay kee tofeeq deh. ameen.

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

Aapki puri bhas se aapke ilm o zehniyat ka pata chal gya or aapki islaah karwaane k jhute daawe ka b parda fash ho gya isliye aapse bhas karna ba faida or waqt ka ziyaa he Mene aapko pehle hi jaha tha k me bhot jyada mashgul rehta hu iska maqsad hi ye tha k fizul bhas naa ho or ye shart b thi k har baat dalil s ho lkn aapne hamesa apna daawa bila dalil hi k sirf khawhishat ki pervi karte hue kiyaOr topuc change karne me b maahir ho baat sher ki chal rahi thi or uski tashreeh b ki gyi lkn usko manne k bajai pata nahi ya bakwas o jabardasti k dusre ishkal khade kardiye k asal baat or ishkal me zameen o asmaan ka farq he jo aap sapparah chasm ko kaha nazar aata Khair haq wazeh hone k baad b aapne use qabul karne k bajai dusre ishkal chede jisse mera bat karne ka maqsad fot hua isliye ab me aapse baat kar k apna waqt zaaye nahi karna Apni adat k mutabik ab ye mat kehna k jaan chuda rahe ho balke saaf mafhum he k aap apni hi baato ko thande kaleje se padhe to khud hi pata chal jaiga k baat kaha se kaha ghumai he Or baat naa karne ki dusri vajah ye b he k me aapko saahib e ilm samjhta tha lkn meri soch galat sabit hui

 

Aapke aakhri tamam msg se saaf pata chal gya k itna kam aqal aalim nahi ho sakta k mera iteraz kya he or uspar jawab kya 

Ye to aisa hi hogya jese aapke radd me humare ahle sunnat wal jamat k aalim ne ek kitab likhi he jiska name he

sawal gandum jawaab chana 

 

Aapke msg padhkar ab is name se sharh e sadar hua

Baee sahib bazahir baat Sher kee heh magar asal joh maghz mari heh woh aap kay asool o zawabat per heh. Aap kay asooloon kay mutabiq agar kissi meh Allah kee khoobi mani jahay aur phir us khoobi kay saath pukara jahay toh SHIRK heh. Aap denay wala Allah ko mantay hen is waja say DATA yehni denay wala aur aap mushkil kusha  yehni mushkil door kernay wala Allah ko mantay hen, Awliyah ko kaha jahay toh aap Shirk ka fatwah detay hen. Yahi baat heh ya nahin? Meh jhoot toh nahin bol raha nah? Chalen aap mujjay daleel nah denh meh daleel nahin mangta aap sirf halfan keh denh kay essi kohi baat nahin aur aap ka esa asool nahin meh aap per kuch ihtiraaz nahin keroon ga. Abh keun kay murabbi wali khoobi Allah kee heh aur aap kay asool kay mutabiq Allah kee khoobi yehni nigran aur tarbiyat wala heh toh phir aap batahen Shirk kesay nahin huwa? Agar meh ziyadti keroon aur kohi es'see baat keroon jis ka ilm aap ko first hand nahin toh aap muj say daleel talb ker saktay hen magar joh meh likhta hoon is per aap ba-khoobi say waqif hen kay aap kay Deobandi mazhab ka yahi asool aur yahi tareeka heh.

 

Mozoo badalna khadam kee adat nahin khadam kee adat apnay mowaqif ko achee tera pesh kerna hota heh. Aap sahib e baseerat nahin agar hotay toh samajtay kay misalen deen hen taqay aap kay mowaqif ka radd wazia ho. Dosray ashkalat is leyeh kharay huway kay aap nay woh baten keen joh khalis jahl theen is waja say un kee islah kerna zeroori thee. Agar meh mozoo ka lehaz ker kay  aap kee deegir gumrahiyan joh wazia huween hen un per girift nah kerta toh logh aap kee baat ko aur meri khamoshi ko malhooz rakh ker aap kee gumrakun nazriyeh ko haq samajtay aur khud be gumra hotay aur auroon ko be kertay. misaal kay tor per aap nay likha kay Ulamah e Ahnaf toh kufr e sar'ri meh be 99 taweelat kertay hen aur agar un meh say ek jaiz ho toh phir bee takfir nahin kertay. Aap ka yeh kehna Sher kay difa meh thah aur maqsood yeh tha kay Sher meh toh jaiz taweelat kee ja sakteen hen is leyeh Shirk nahin.  Magar mujjay is gumraqun point kee islah kernay kay leyeh Mirza Ghulam Ahmad Qadiyani kay sar'ri kuffriat ka zikr kerna pera aur meh nay phir us kay sar'ri kufr kee chand taweelat aap ko apni taraf say pesh keen. Aur poocha kay aap in taweelat kee bina per Mirza ko Musalman maan saktay hen? Maqsad yeh thah kay aap kay point ka rad ho. jab aap kay point ka rad jaiz tor per ho gaya toh phir aap ka is point ko Sher kay context meh istimal kerna be jaiz nahin hoga. Keun kay aap kay aqeedeh kay mutabiq murabbi yehni nigran aur tabiyat kernay wala Allah heh. Aur agar Gangohi ko be nigran aur tarbiyat kerna walay murabbi mana jahay toh aap kay Deobandi mazhab kay asool kay mutabiq yeh SHIRK SAR'RI nahin toh aur kia heh? Jab yeh sabat ho gaya kay sar'ri kufr meh taweel nahin hoti toh phir SHER kay SAR'RI SHIRK meh aap taweel kesay jaiz kerar deh saktay hen? Aur aap ko maloom hoga kay kufr gumrahi kay darjay meh Shirk say neechay heh, Shirk Kufr say ziyada gumrahi heh. Jab joh darjay meh kam heh us kee taweel nahin ho sakti toh joh us say ziyada bura heh us kee taweel kesay jaiz hogi?

 

Joh ihtiraaz sher per keeya gaya heh woh is leyeh nahin kay Shirk Murabbiyat sabat keeya jahay aur aap ko Mushrik aur Kafir tehraya jahay. Yeh joh Shirk aur Mushrik ke fatwah aap per ham Ahle Sunnat ka nahin heh yeh aap kay apnay asool o zawabat kee bunyad per heh. Ahle sunnat kay asool o zawab kay mutabiq marsia gangohi kay sher kay ilfaaz murabbi e khalaik ka ittlaq Gangohi per keeya jana haram heh Shirk nahin. Han agar Gangohi Sahib ko darja e ulluhiyat per mana jahay ya zaati, qadeemi, qulli, haqiqi murabbi mana jahay toh phir SAR'RI SHIRK hoga. Aur meh nahin samajta kay kohi musalman kalmah pernay wala Deobandi, Wahhabi, Sunni, ya Shia esa nazria kissi makhlooq kay baray meh rakh sakta heh. Ahle Sunnat kay mutabiq Shirk a akbar ulluhiyat ya zaati, qadeemi, haqiqi aur qulli tor per kohi sift kissi maskhlooq meh mani jahay toh Shirk hoga ilfaaz kay ittlaq per Shirk lazam nahin aata. Is leyeh agar kissi per murabbi, data, ghareeb nawaz, banda nawaz, dastgeer, mushkal kusha ka ittlaq keeya jahay toh har giz Shirk nahin hoga. Is behas ka asal maqsad aap Deobandi mazhab kay makrooh asool o zawabat ko be-niqaab kerna thah jin kee bina per aap nay jamhoor aur sawad e azam yehni Ahle Sunnat ko Mushrik, Kafir, Qabar Parast, Peer Parast, kay ilqaab say nawaztay ahaay hen. Aur dosra maqsad Deobandiat kay ek aur aham asool ko high light kerna thah. Yehni Deobandiyoon meh say agar kohi kufr/shirk bakkay toh us ka difa har halat meh kerna heh cha'hay woh Deobandi asool o zawabat kay mutabiq bee kafir/mushrik keun nah ho. Aur aap nay yeh be sabat ker deeya, aap kay apnay mazhab kay mutabiq jo Shirk e Akbar aur Sar'ri Shirk heh aap nay us ka difa keeya keun kay aap ka apna Maulvi aur aap khud, apnay Shirk kay asooloon kay mutabiq Mushrik bantay thay. Agar aap ba-asool hotay toh apnay asool o zawabat jin kee bunyad per Shirk e Akbar ka tayyun keeya jata heh us kay mutabiq fesla kertay aur murabbi ittlaq ko makhlooq kay leyeh Shirk jantay. Aur aap ka esa nah kerna sabat kerta heh kay aap joh dant ham ko dekhatay aur jin say ham ko martay hen woh aur hen aur apnoon kay leyeh aur hen. Yeh apnoon aur ghairoon kee tafreeq ba-asool logh nahin bey-asool logh ker kay faisla badaltay hen. Joh ba-asool aur haq parast hotay hen woh sang ya mom hotay hen apnoon kay leyeh mom aur ghairoon kay leyeh sang nahin. Aap ko Ahle Sunnat yahee kehtay ahay hen:

 

Dorang chor deh yaq rang ho ja,

sara-sar mom ya sang ho ja,

 

Joh maqasid thay khadam nay unneh ahle feham o firasat kay leyeh sabat ker deeya. Khadam Deobandi thah aur Deobandiyoon say maghz mari ka itna experience heh kay khadam Deobandi kee zehniyat ko samajta heh. Is leyeh toh meh nay alal ilaan likh deeya thah kay aap apni ghalti ko tasleem nahin keren gay. Keun kay Deobandi ghalti tasleem ker leh toh phir mosoomoon meh say kharij ho jata heh aur Deobandi kesay gawara ker sakta heh yeh? Aap agar kertay toh khadam zeroor sharminda hota magar aap ko tofeeq nah huwi. Aur Allah nay Sunni ko izzat bakshi. Khadam kee taraf say yeh aakhiri response thah jis kay baad mazeed kuch nahin likhoon ga.

 

Haq batal per, Islam aur Kufr per, ilm jahl per, ba-asool bey-asool per ghalab ata heh aur hamesha hotay rahay ga. Is leyeh mujjay kohi dialogue marnay kee zeroorat nahin prnay walay samaj jahen gay haq islam ilm aur asool kis taraf thah. Meh aap ko us Ahle Sunnat kee taraf anay kee dawat deta hoon, joh apnoon aur ghairoon kay leyeh haq per mom rehti heh aur apnoon aur ghairoon kay leyeh batal meh sang rehti heh. Us Ahle Sunnat kee daraf dawat heh joh apnay aur parahay kee bunyad per hokam e Shariat nahin badaltay. Aap ko ba-asool Ahle Sunnat ko qabool kernay keee dawat heh, aur bey-asooloon say dori kee dawat heh. Allah ta'ala aap kay dil meh khauf e khuda peda keray aur haq qabool kernay kee tofeeq deh.

 

Wama alayna ilal balaghul mubeen.

Muhammed Ali Razavi

Edited by MuhammedAli
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...