rehman alvi مراسلہ: 17 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 17 جنوری 2014 (ترمیم شدہ) Hazrat Abu Talib ka nikah perhana bhi sabit hai ab batao k kiya aik mushrik aik nabi ka nikah perha sakta hai ?? Edited 17 جنوری 2014 by rehman alvi اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
rehman alvi مراسلہ: 17 جنوری 2014 Author Report Share مراسلہ: 17 جنوری 2014 sory Ala Hazrat Is Bara Ma Kya Likhty Ha اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 17 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 17 جنوری 2014 maira swaal jab aap ka nikah hua us waqat kia aap nay nubuwwat ka elaan kar dia tha aur us waqat hazrat khadeeja ka kia mazhab tha . us waqat ko to zamana e fitrat kehtay hain shaid. hazrat EISSA alay hissalam aur RASOOL PAK ke nabuwwat kay darmyaan ka jo waqfa us ko kia kahain gay. is kay baad aap ko jawab millay ga اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
rehman alvi مراسلہ: 17 جنوری 2014 Author Report Share مراسلہ: 17 جنوری 2014 mara bhai muja nai pata is hi liya tu ap sa sawal kiya ha ap muja tafseel sa jawab bata da plz اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 17 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 17 جنوری 2014 Hazrat Abu Talib ka nikah perhana bhi sabit hai ab batao k kiya aik mushrik aik nabi ka nikah perha sakta hai ?? Nikah perwaya nahin jata. Nikah contract heh, gawahoon kee moojoodgi meh ek larka larki ka iqrar kerna kay woh dosray ko bashiyat e khawand/biwi qabool kerta hoon. Jis ka zeroori hissa haq mahr heh. Nikah perwanay ka tasawur joh aaj kal mojood heh yehni kalmay perwana yeh baad kee ijaad heh. Nah RasoolAllah (sallallahu alayhi was;sallam) nay aur nah Sahabah nay yeh kalmay perwahay. Us zamanay meh gawahoon kee mojoodgi meh sirf dosray ko qabool kerna nikkah thah. Is leyeh Abu Talib ka musalman hona zeroori nahin keun kay us nay kab kalmah perwana thah, sirf Allah kay Nabi (sallallahu alayhi was'sallam) say poochna thah, kia aap in ko apnay nikah meh qabool krtay hen, aur aap qabool kerti hen aur yeh nikah ho gaya. Is say Abu Talib ka musalman hona kistera sabat hota heh. Abu Talib nay kon say Quran kee sooraten peri hen. Ahadith e Bukhari say sabat heh kay RasoolAllah (sallallahu alayhi was'sallam) nay Abu Talib ko kaha kay musalman ho jahay magar woh nah huwa aur Kafir mar gaya. Ek Christian muj say behas ker raha thah aur woh apni Trinity yehni Salasiat e Khuda ko sabat krnay kay leyeh Quran meh jahan per Allah (subhanahu wa ta'ala) Ham, Hamara waghera kay plural istimal keeyeh un ko bunyad bana ker woh Trinity ko Qurani taleem bata raha thah. Yehni, ek essay point ko leh ker, clear wazia ayaat, joh juzziat e illahi ka rad aur ahadiat ka izhar kerti hen un ko ignore aur taweel ker raha thah. Yeh haal is jahil ka heh ek waqia joh tareekhi heh aur jis kee us ko asaliat ka be ilm nahin us waqia ko aaj kay dawr meh joh Nikkah ka tareeka rainj heh us per qiyas ker kay yeh sabat kerna chahta heh kay Abu Talib Musalman thah keun kay us nay kalmay waghera aur duahen waghera perwahi hoon gi. Jistera yeh qiyas ker raha heh istera toh yeh be kaha ja sakta heh kay Rasoolallah (sallalahau alayhi was'sallam) nay nabuwat say pehlay apni jin betiyoon ka Nikkha Mushrikoon kay saath kerwaya thah woh Mushrik nahin magar Momim muttaqi parezgar aur Hazrat Ali (radiallah ta'ala anhu) jesay muttaqi momin thay keun kay Nabi kesay apni beti ka Nikah mushrik say ker sakta heh. Nahin teharyeh, Mushrik paleet heh, ham aaj Mushrikoon kay haath ka pakka huwa nahin khatay aur jis cheez ko woh choo lenh toh ussay najs mantay hen. Allah kay Nabi (sallallahu alayhi was'sallam) toh ham say ziayada muttaqi parezgar thay woh kesay Mushrikoon kafiroon kee touch kee huwi cheezoon ko nabuwat say pehlay kha saktay thay, is leyeh zeroori heh kay saray Makkah walay momin muttaqi Muwahid aur asal Musalman thay. Keun kay peej bonay wala, whole sale kharenay wala, aur dokan laga ker bechnay wala, aur phir khareed o foroghat meh choonay walay agar Mushrik hotay toh sab paleed ho jata heh is leyeh zeroori heh kay sab muttaqi muwahid momin asal aor khalis musalman hoon warna joh ham apnay leyeh gawara nahin kertay kia ussay Nabi (sallallahu alayhi was'sallam) apnay leyeh kesay gawara ker saktay hen? Is ko kehtay hen qiyas e shaytaani wazia dalahil ko chor ker esi qiyas per imaan lana. Kuttay kay baal ko leh ker is pr apni qiyaas kerna aur phir us ko insaan ka baal maan-na aur phir us baal say pura insaan banana aur kehna is baal say sabat hota heh kay jis ka baal heh woh is shakal o soorat qad o qamat rang aur nasab ka banda thah. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Toheedi Bhai مراسلہ: 17 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 17 جنوری 2014 (ترمیم شدہ) جناب عرض ہے کہ دو گواہوں کی موجودگی میں ایجاب وقبول کرنے کا نام نکاح ہے، اسے کویٗ بھی کرادے، نکاح ہوجاءے گا۔ Edited 17 جنوری 2014 by Toheedi Bhai اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 18 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 18 جنوری 2014 rehman alvi par hansi aati hay. na swaal ka pata na jawaab ka. jis waqat AAP ka nikah huaa us waqat aap ke age 25 saal thee. nubawaat ka ilaan 40 year ke age main kia. maira swaal rehman alvi say hay jis waqat aap ka nikah huaa us waqat aap nabi thay ya nahee, asaan lafzoon main ab aap ko samajh aa jay gee umeed hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 18 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 18 جنوری 2014 rehman alvi par hansi aati hay. na swaal ka pata na jawaab ka. jis waqat AAP ka nikah huaa us waqat aap ke age 25 saal thee. nubawaat ka ilaan 40 year ke age main kia. maira swaal rehman alvi say hay jis waqat aap ka nikah huaa us waqat aap nabi thay ya nahee, asaan lafzoon main ab aap ko samajh aa jay gee umeed hay. Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat, Meray baee janab say kissi aur nay sawal keeya aur janab ko jawab maloom nahin is leyeh ham say jawab talab keeya is meh aap ko hansi kis baat per aahi. Ghor say per leeya keren baee aur logoon ka lehaz keeya keren har kissi kay saath munazrana salook nah keeya keren. Ham sunniyoon kay kohi ek Wahhabi, Shia, Deobandi, kabi Sunni nahin huwa hoga keun kay ham say agar kohi sawaal keray ilm hasil kernay kay leyeh toh ham us ko khoob zaleel kertay hen taqay woh dil barkhasta ho ker chala jahay. Deen ko bachana aur pehlana heh toh; sawali aur munazir, ahle ilm aur baghayr ilm walay, ghali aur mukhlis, meh farq keeya keren aur jab taq wazia saboot darkar nah hoon kohi fesla nah keeya keren kay kon kia heh aur keun sawal ker raha heh. Ham Sunniyoon ko tareeka a tableegh nahin aata sirf logoon ko zaleel ker kay bagana ata heh is leyeh kabi kohi Shia, Wahhabi, Deobandi, Sunni nahin hota. Wahhabiyoon kay pass agar kohi Sunni jahay asool e ilm kay leyeh toh woh piyar, shafqat, narmi aur gantay lagatay hen apna mazhab kay ek point manwanay kay leyeh. Deen daleel aur mubahisay say nahin pehla thah balkay piyar aur narmi aur kush ikhlaqi say pehlay thah aur yahi tareeka heh deen pehlanay aur deen bachanay aur deen per amal kernay ka. Is ko apnahen. Mazrat chahta hoon is lecture kay leyeh umeed heh aap nay apnay baee kee baat ka bura nahin mana hoga. Agar aap ko kuch bura laga toh mazrat khawa hoon. 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
rehman alvi مراسلہ: 20 جنوری 2014 Author Report Share مراسلہ: 20 جنوری 2014 MuhammedAlishukriya اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 20 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 20 جنوری 2014 mujhey ko e ghussa nahee aa raha. rehman alvi ko jo shia nay swaal kia wo main start main day chuka hoon. shia ka ya kehna tha k abu talib agar mushrik thay to unhoon nay AAP ka ya aik nabi ka nikah kaisay parah dia. shia sabit karna cahta hay k abu talib mushrik naheen thay. main nay start main jawaab day dia tha k jab AAP ka nikah hua us waqat kia AAP nay ilaan e nubawaat kia tha k naheen. zahir hay naheen kia tha. to abu talib nay nikah apnay bhateejay ka kia tha 25 saal ke umar main. jab aap nabi naheen thay. to shia ka swaal he ghalat ho gia kay nabi ka nikah abutalib nay parahya tha. ab umeed hay rehman alvi ko samajh aa ja ay gee. bahut asaan jawab tha. jo main nay samjha dia hay. ab rehman alvi us shia ko samjha day. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Syedali09 مراسلہ: 22 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 22 جنوری 2014 Mujhay Sirf Itna Saabit karkay Day Koi shia kay Hazrat Abu Talib ki Janaaza Namaz Kis nay Parhai thi, Aur un ko Ghusul Kis nay diya thaa. Phir Aagay Baat ho sakti hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 22 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 22 جنوری 2014 mujhey ko e ghussa nahee aa raha. rehman alvi ko jo shia nay swaal kia wo main start main day chuka hoon. shia ka ya kehna tha k abu talib agar mushrik thay to unhoon nay AAP ka ya aik nabi ka nikah kaisay parah dia. shia sabit karna cahta hay k abu talib mushrik naheen thay. main nay start main jawaab day dia tha k jab AAP ka nikah hua us waqat kia AAP nay ilaan e nubawaat kia tha k naheen. zahir hay naheen kia tha. to abu talib nay nikah apnay bhateejay ka kia tha 25 saal ke umar main. jab aap nabi naheen thay. to shia ka swaal he ghalat ho gia kay nabi ka nikah abutalib nay parahya tha. ab umeed hay rehman alvi ko samajh aa ja ay gee. bahut asaan jawab tha. jo main nay samjha dia hay. ab rehman alvi us shia ko samjha day. Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat. Hazrat, aap nay joh likha sach aur darust likha magar aap kay likhay huway meh joh shaytaan nay ghalti daal deeh heh us ko point out kerna zeroori heh. Hamaray Nabi e kareem (sallallahu alayhi was'sallam) pedaish say pehlay be Nabi thay, peda huway toh be Nabi thay, ilaan e nabuwat kay baad be Nabi thay aur dunya say rukhsat ho janay kay baad be aap Nabi hen. Farq yeh heh kay pedaish kay baad aap nay ilaan e nabuwat nahin keeya thah keun kay hokam e illahi nahin thah. Ahadith meh ata heh kay hamaray Nabi us waqt Nabi thay jab Nabi Adam alayhis salam matti aur pani kay darmiyan thay. Quran meh aya heh kay hamaray Nabi us waqt Nabi thay jab Ambiyah alayhis salam kee arwah (roohen) jama kee gaheen aur un say Nabi e kareem sallallahu alayhi was'sallam kee nabuwat ka iqrar kerwaya gaya aur madad ka wada leeya gaya. Is pur fitan dawr meh ihtiyaat keren. Allah ta'ala aap kay ilm o amal meh barkat deh, ameen. 1 اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
MuhammedAli مراسلہ: 22 جنوری 2014 Report Share مراسلہ: 22 جنوری 2014 Mujhay Sirf Itna Saabit karkay Day Koi shia kay Hazrat Abu Talib ki Janaaza Namaz Kis nay Parhai thi, Aur un ko Ghusul Kis nay diya thaa. Phir Aagay Baat ho sakti hay. salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat, baee aap ka yeh per kar meray chehray per muskarahat aa gaee. Wesay sar goshi meh batata hoon kissi ko batayeh ga mat [janaza kay ihkamat nazil nahin huway thay]. Jistera janaza kay ihkam nahin thay is'see tera Abu Talib nay jab Nikkah perwaya toh kalma perwanay aur Quran Khawani joh Nikah meh hoti heh woh be nahin thee. Phir Abu Talib ka Islam aur musalman hona kesay sabat huwa? SyedAli baee yeh sawal aap say nahin Shia hazrat say heh. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Rimz مراسلہ: 12 مئی 2020 Report Share مراسلہ: 12 مئی 2020 jis ki nazar mai abu sufyan musalman tha bhala wo Janab e Abu Talib s.a kay shan aur martaby tk kaisy pohanch sakta hy. Mazeed ap ki itla kay leye arz hay 2 bety Abu Talib ne jawan kiye. 1. Hazrat Muhammad saw 2. Mola. Ali ibn e abi Talib Aur 2 bety abu sufyan ne 1. Maviya 2. Yazeed Aur tm log usi abu sufyan ki olaad mai se ho. Bar dushmanan e Ahle bait lanat beshumaar sad bar hazaar bar. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
Rimz مراسلہ: 13 مئی 2020 Report Share مراسلہ: 13 مئی 2020 (ترمیم شدہ) On 1/17/2014 at 2:15 PM, shahzad6058811 said: Edited 13 مئی 2020 by Rimz اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔