Jump to content

Khilaafat--Hamain kia kerna chahye??


Muhammad Ameen

تجویز کردہ جواب

Assalam-o-alaikum,

 

Aajkal Khilaafat ki bahaali k liye mukhtalif tanzeemain kaam kerrahi hain, jin mein Hizbut Tahrir aur Tanzeem-e-Islami sar-e-Fehrist hain. Qata'-e-nazar is baat say k In donon jama'aat say hamaray(Ahlus Sunnah k) kia Nazri-o-Mantiqi ikhtilaafaat hain, main apnay Qabil-e-Qadr aur saahibaan-e-Ilm sathion say chand sawalat discuss kera chahta hoon:

 

1) Kia khilaafat qaaim kernay ki jidd-o-jehed kerna her musalman per Ferz hay? Hizbut Tahrir walay is Da'way ki daleel mein kuch ahaadees paish kertay hain, jin k hawalay denay say is waqt qaasir hoon.

 

2) Kia JAMHOORIYAT(Democracy) Islam ki roo say HARAAM qaraar paati hay? Is ki daleel ye hazraat aisay detay hain k Jamhooriyat mein Insan apnay qawaaneen khud banata hay( yani Laws made by people for the People). Aur choon kay ye Nizaam kufr ki paidawaar hay lihaza is nizaam ki bina per Islami Riyasat qaaim hi nahin hosakti.

 

3) (Hizbut Tahrir k ilaaqaai nigraan k mutabiq:) Ulama-e-Ahl-e-Sunnat najanay kion Khilaafat k baray mein khamosh hain aur Awam ko haqeeqat say agah kernay ki zimmay dari ada nahin kerrahay. Aur Hukoomat k hathon KHILONA banay huay hain. Jamhooriyat mein reh ker HARAM kaam kerrahay hain.

 

4) hum log aajkal jis tareeqay say zakaat ada kerrahay hain us tareeqay say zakaat ada nahin hoti. Yani apnay maal say zakaat nikaal ker kisi bhi ghareeb ko de dena. Jub k UN k mutaabiq zakaat ada kernay ka durust tareeqa wohi hay jo Nabi-e-Kareem (sallallaahu Alaihi wasallam) aur Khulafaa-e-Raashideen k adwaar mein hua kerta tha. Yani Hukoomat k Ummaal(zakaat jama kernay walay) Muqarrar hotay thay k jo zakaat jama ker k Khaleefa ko bhejtay thay aur phir Khaleefa unhain "Kisi" tareeqay say baant-ta tha.(Aur is "kisi" tareeqay ki sahih wazaahat nahin ho paai thi.)

 

Filhaal to ye chand sawaalaat hain. main khud bhi research kerta hoon, aap bhai behen bhi is k baray mein ba hawaala tehqeeq ker sakain to kia hi khoob baat hogi!!!

 

 

Fee amaanillaah,

Wassalaam-o-alaikum warahmatullaah.

Link to comment
Share on other sites

(salam)

(azw)(ja) Brother. Aap ne buhat hee achhy masail bayaan kiye hain. Hum to in ke jawabaat dene se Qaasir hain, Albata mein ne ye sawalaat dawateislami.net aue ahlesunnat.net par post kardiye hain. Jaise hee jawaab aaye ga, Insha Allah (azw) yahaan par post kadoon ga.

Wasslam.

Link to comment
Share on other sites

(salam)]

Brother Ameen Syed Shah Turab-ul-Haq Qadiri Razavi Noori Damat Barkatuhum-ul-Aaliya se kissi ne poochha ke "Kiya Islam men Jhamoriyat ki koi gunja'ish hay.?" Hadrat Shah Sahab ka Jawaab sunine ke liye ye clip download karen: 1236__Kiya_Islam_men_Jhamooryat_ki_gunja__ish_hay.mp3

 

Mazed ye ke mein ne aap ke ye Questions Qibla Shah Sahab ko send kiye hain, Abhi tak jawaab nahin aaya. Jaise hee jawaab aa gaya to yahan post kardoonga.

Wsalam

Link to comment
Share on other sites

(salam)

Brother kissi bhai ne Qibla Syed Shah Turab-ul-Haq Qadiri se ye question kiya tha:

post-832-1187982910.gif

Is ka jawaab hadrat ne kuchh youn diya: 1803.mp3 (Clip ko download karen aur sunen).

Itefaaq se us bhai ka naam b "Muhammed Ameen" hay, lakin ye U.K ke hain, Aur aap ki profile men aap ka city Bab-ul-Madina (Karachi) hay. Aap se mein ye poochina chahita hoon ke kaheen aap ne to nahin poocha tha Qibla Shah sahab se ?

Kiyoun k Question ki wording bilkul aik jaisee hay. :)

Wasslam

Link to comment
Share on other sites

مراسلہ: (ترمیم شدہ)

جزاکم اللہ۔۔۔۔

نہیں بھائی میں وہ والا محمد امین نہیں ہوں۔ اصل میں انگلستان میں حزب التحریر آجکل مخفف نام (ایچ ٹی) سے کام کر رہی ہے، اسلیے وہاں کے نوجوان اس سلسلے میں زیادہ فکرمند ہیں۔ اور موقع ملنے پر سوالات کرتے ہیں، جس طرح یہاں انکا کام دیکھہ کر مجھے جستجو ہوئی۔

بہر حال کافی مطالعہ کر چکا ہوں خلافت کے مسئلے پر۔۔۔مگر ابھی بھی مکمل تشفی نہیں ہو سکی ہے۔۔۔۔۔کیوں کہ حزب التحریر کا تو بنیادی نکتۂ اعتراض ہی یہی ہے کہ جب خلافت قائم کرنا فرض ہے تو اکابر علماء اس سے پہلو تہی کیوں کر رہے ہیں؟ اس کے لیے منظم جد و جہد کیوں نہیں کر تے؟

پھر جمہوریت نظامِ کفر ہے۔۔۔یہ بھی انکا اعتراض ہے۔۔۔۔اسکا جواب بھی ابھی تک علمائے اہلِ سنت سے لینا باقی ہے۔۔۔ یہ لوگ کہتے ہیں کہ جمہوریت کو بوجوہ حرام قرار دیتے ہیں اور جو علماء جمہوری عمل میں حصہ لیتے ہیں ان کے اس عمل کو نا جائز قرار دیتے ہیں۔۔۔۔

 

؀ اس راز کو اک مردِ فرنگی نے کیا فاش،

ہر چند کہ دانا اسے کھولا نہیں کرتے۔۔۔۔

جمھوریت اس طرزِ حکومت ہے کہ جس میں،

بندوں کو گنا کرتے ہیں تولا نہیں کرتے!!!!۔ (اقبال)۔

 

(جی نہیں اس شعر کا اس بحث سے کوئی تعلق نہیں ہے۔۔۔مگر ذہن میں آگیا تھا تو درج کردیا :rolleyes:

Edited by Muhammad Ameen
Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...