Jump to content

Ek Deobandi Ne Sarkar Alaihissalaato Wassalaam Ke Ilm Ghaib Par Itne Aitrazat Kiye Hai Mujhe Jald Se Jald Iska Jawab Chahiye Shukriya


Zahidmobi88

تجویز کردہ جواب

Assalamoalaikum

Ek deobandi ne sarkar alaihissalaato wassalaam ke ilme ghaib par bahot si hadeese di hai

Mujhe in hadeeso ka pura ibaarat aur mudallal jawab chahiye

Mai yaha uske saare aitrazat rakh raha hoo

Mujhe in sab ka jawab urdu me chahiye

 

 

1 )Aap saw ne farmaya k jab me meraj se wapas hua or

mene mushrikeen k samne apna ye sara qissa bayan kiya k

me makka mukarrama se masjid e aqsa tak or fir waha se

sidratul muntaha tak or fir jaha tak khuda taala ko manzoor

tha : alam e bedari me ek hi rat ke andar apne jasad e ansari

k sath allah taala k hukm or uski khas nawazish or qudrat se

ser kar aya hu to mushrikeen ne kaha accha agr ap waqai

gaye he to hame batlaye ke baitul maqdis ki fala fala chiz

kaha he or kis moqe par waqe hui aap farmate he k mujhe

maloom na tha ( or na mere jane ki ye garz thi )

Is par mushrikeen ne phabti udai

Ap ke alfaz me suniye ﻓﮑﺮﯾﺖ ﮐﺮﺑﺖ ﻣﺎ ﮐﺮﺑﺖ ﻣﺜﻠﮫ ﻗﻂ muslim

jild 1. $ 94

Me itna pareshan ke esa pareshan kabi bhi na hua tha

Allah taala ne baitul maqdis ko thode waqt k liye mere samne

hazir kar diya mushrikeen jo puchte jate the me dekh kar

jawab deta jata tha

( bukhari shafeer jild 1 $ 548 )

( Muslim shareef jild 1 $ 94 )

.

Gor farmaiye hazrat

Agr aap saw hazir o nazir hote or ilme gaib hota to itni

pareshani ki kya zarurat thi ??????

.

Agr ap saw ko ilme gaib hota to ap ye q farmate ke mujhe

malum na tha ?????

.

Agr ap saw hazir o nazir hote to fir Allah ne unke samne

baitul maqdis q hazir ki ?????

 

 

( 2 ) hazrat ayisha farmati he ke huzur s.a.w. ne

farmaya agr me pehle se apne kam ke bare me jam

leta jo bad me maloom hua to me hadi ( qurbani ka

janwar ) na hank lata or logo ke sath a'hram se

bahar hota jab wo log e'hram se bahar hue

.

( bukhari shareef kitabut tamanni )

agr nabi ko ilme gaib hota to wo ye q kehte ke agr

me pehle se jan leta jo mene bad me jana

 

 

3 ) hazrat ayisha rz.a farmati he :- ek dafa huzur

mere

pas se gaye or aap bhot mutmain or khush khush

the jab aye to gamgeen the mene iska sabab pucha

aap ne farmaya me khana kaba me dakhil hua tha

or me chahata tha ke esa na karta

( tirmizi jild 1 s.no. 106 )

.

ye hadees daud shareef me b he or iske alfaz ye

he :- is bat ko mujhe pehle se maloom hota jo ab

hua to me khana kaba me dakhil na hota andesha

hua ke mene apni ummat par mashaqqat dali he

( sunann abu daud jild 1 $ no. 277 )

.

is hadees me nabi ne khud kaha ke is bat ko mujhe

pehle se maloom hota

mtlb nabi ko maloom nai tha agr ilme gaib hota to

nabi esa na karte jis se ummat ko mashaqqat me

dalne ka andesha ho

na nabi ye kehte ke mujhe pehle se maloom hota jo

bad me imaloom hua

 

 

4 ). Hazrat abu hurairah rz.a. kehte he ek siyah fam

orat ( kali orat ) masjid ki safai kiya karti thi aap

saw ne use kuch din mafqood paya ( kuch din

nazar na ayi ) to us ke bare me daryaf farmaya -

huzur saw ko khabar d gayi ke wo fot ho gay

( intqal kar gayi , mar gayi ) aap saw ne farmaya

tumne mujhe kyu na batlaya

Kya pas tumne kyu na batlaya aap ne ye isliye

kaha ke goya un hone is marhooma ka mamla

mamuli samjha tha

Aap saw ne fir kaha ke mujhe uski qabar ki taraf

rehnumayi karo aap ne fir us par namaze janaza

padhi

( muslim sharif jild 1 $ no. 310 )

.

Agr nabi ko ilme gaib hota to us orat ke bare me q

puchte

.

Agr nabi ko ilme gaib hota to wo sahabi se ye q

kehte ke tumne mujhe q na batlaya

.

Agr nabi ko ilme gaib tha to uski qabar pe jane ke

liye rehnumayi ki zarurat q padhi

.

.

.

Yahi riwayat nisai shareef me is tarah he

.

( 5) So ap ne farmaya ke jab ye mar jaye to mujhe

ittala ( khabar ) dena wo rat ko fot hoi or un hone

aap saw ko iski ittala na d jab subah hui to aap

saw ne uske bare me daryaft farmaya sahaba ne

arz kiya ki hamne aap ko jagana munasib na

samjha tha fir aap iski qabar par aye or waha apne

4 takbeero se iski namaze janaza padhi

( nisai shareef jild 1 $ no. 28 )

.

Agr nabi ko ilme gaib hota to wo us orat ke marne

ki khabar dene ke liye sahaba se q kehte

.

Agr nabi ko ilme gaib hota to subah aap saw us

orat ke bare me q puchte

.

Agr sahaba ka b yahi aqeeda hota jo barelwiyo ka

he to wo aap saw se ye q kehte ke hamne apko

jagana munasib na samjha

Sahaba ye ke sakte The ke aap to alimul gaib ho

aapko to sab pata he isliye nahi bataya

 

 

6 ) Hazrat huzaifa rz.a. kehte he me jang e ahzab ke

moqe par mosam sardi ka tha or kadi sardi ( tez

sardi ) padh rahi thi aap saw dushman ki khabar

( positoin ) maloom karna chahate The aap ki

khwahish thi ke koi shakhas himmat kar le or

dushman ke halat se apko bakhabar kar de jab koi

sar had par jane ko tayyar na hua to aap saw ne

hazrat huzaifa se kaha

.

Huzaifa utho or hame unki khabar la kar do aap

saw ne chunke mera nam le kar farmaya tha mujhe

uthne se chara na raha ( uthne ke siwa koi dusra

rasta na tha ) aap ne fir kaha jao or un logo ke

halat mujhe la kar do or unhe apne khilaf uthana

nahi

( muslim shareef jild 2 $ no. 107

.

Ye barelwiyo ka aqeeda hazir o nazir ke b khilaf he

agr nabi har jagah mojood hote to khabar lane ki q

kehte jab wo waha b mojood he agr har jagah jazir

nazir he to

.

Agr hamare nabi ko ilme gaib hota to itni tez sardi

me wo hazrat huzaifa se khabar lane ki q kehte

.

Or agr ilme gaib tha fir b itni sardi me sahabi ko

zabardasti takleef kyu d apne kya ilme gaib hone ke

bawajood sahabi ko itni tez sardi me takleef d to

barelwiyo ke aqeede ke mutalliq nauzubillah nabi

gunah gar he

 

 

7)Hazrat masoor bin mukhrima rz.a. kehte he k ap saw ne

farmaya

Me nai jan raha k kon ijazat de raha he or koi nai ap log

wapas chale jaye yaha tak k tumhare bade tumhara fesla

hamare pas laye fir sab log chale gaye or un se un.ke

chodhriyo ne bat ki

( sahi bukhari jild 2s.no. 1064 )

 

8)

Hazrat huzaifa kettle he k ham ap saw k pas bethe hue the k

aap saw ne farmaya me nai janta kitna arsa tum me rahu so

tum mere bad un do.ki perwi.karna or ap saw ne hazrat

abu.bkar or hazrt umar ki taraf ishara kiya

.( tirmizi.jild 2 $ no. 207 )

Masnad e ahmad jild 5 s. No. 285 )

.

 

.9)

Hazrat jabir bin abdulllah ansari rz.a. kehte he ke mene

yamunnah pr aap saw ko.apni.sawari.par rami.karte dekha or

ap.keh rahe the

Tum apne manasik.haj sikh lo.qk mujhe maloom.nai..shayad

me is.hajj ke bad or.hajj na kar saku

.(.sahi muslim jild 1 s. No. 491 )

 

 

10) Hazrat abu sayeed khudri rz.a kehte he k ek a' rabi huzur saw

k pas.ek.goh le kar aya k ap use khaye aap saw ne.irshad

farmaya

Aye a'rabi allah taala ne.bani israil ke ek qabile par lanat ki or

un.apne gazab ka izhar farmaya unhe zamin par chalne wale

janwar.bana diye mujhe ilm.nai.k.shayad ye goh.un

me.se.ho.ise khata nai.na (.dusro.ko.) is se rokta hu

Sahi.muslim jild.jild 2 s. No. 152

.

 

11)

Hazart sabit bin yazeed ansari rz.a kehte he k me huzur saw

k.sath ek safar me.tha un hone raste me ek.goh pakdi

use.bhuna or huzur saw ki.khidmat me.le aye aap

saw.ek.chadi.( lakdi ) se.uski.ungliya ginne.lage or farmaya

Banu.israil ka ek. giroh zamin.par chalne wale

janwro.ki.surat me.mskh hua.tha or.me.nai janta.ke.wo.kon

.se janwar.the

( nisai jild 2.s.no.198 )

Abu daud jild 2 s. No. 176 )

 

 

12) Hazrat jabeer bin motim rz.a kehte he k duck shakhs ne huzur

saw.se.pucha konsi jagah markaze.share.he ( zyad buri he )

aap saw ne farmaya me.nai janta jab tak.k.punch na lu

Hazrat imam ahmad riwayat karte he

Aap saw ne kaha me nai.janta yaha tak.k puch na.lu.fir.aap

saw ne uske bare.me hazrat jibrail se pucha un hone.b kaha

me bagair.puche nai.bata sakta aap gaye or jab fir aye to

bataya mene allah taala se pucha tha allah taala ne farmaya

zamin.par sabse buri.jagah bazar he

( masnad imam ahmad jild 4 s. No. 81 )

 

 

13) .

Hazrat bin amr bin aas rz.a kehte he ke ek rat aap saw ne

badi becheni.se.guzarguzari zada jagte rahe aap se arz kiya

gaya huzur esa q.raha aap saw ne farmaya

Mene ek.khjoor.giri hui payi.or mene .khali fir.mujhe yad aya

ke hamare pas kuch sadqe ki.khajoore.bhi.rakhi me nai janta

ho.sakta he ye khajoor un.me.se.ho.ya mere ghar

ki.khajooro.me se fir is bat me mujhe rat bhar jagaye rakha

( sahi.bukhari jild 1 s. No. 328 )

.

 

14) Aap saw ne farmaya.ke me nai janta ke hazrat tab'a nabi the

ya na or me.nai.janta k.zulqarnain.nabi the.ya na

.( mustadrak hakim jild 1 s.no.36 )

.

 

15) Hazrat abdullah bin masood rz.a.kehte he:-

Tumare nabi saw ko.har chiz ka ilm diya gaya siway un.5

chizo.ke qayamat ka waqt or 4 or.bate

(Fatahul bari jild 1 jild 8 jild 13 )

 

In sab ka jawab mujhe roman urdu ya urdu me hi chahiye mujhe English nahi aati

Shukriya

Link to comment
Share on other sites

پہلے دیوبندی سے یہ پوچھیں کہ کیا یہ تمام احادیث بالکل صریح اور قطعی الدلالۃ ہیں؟پہلے یہ تویہ ثابت کریں۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔کیونکہ اکابردیوبند کے نزدیک ایسے مسائل جن کا تعلق عقائد سے ہو انکے اثبات کیلئے  "قطعیات نصوص"درکار ہوتی ہیں یہاں تک کہ ان میں صحاح ستہ کی خبر واحد احادیث بھی قابل قبول نہیں [دیکھوبراہین قاطعہ،ص 55]۔ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔post-15145-0-90602700-1387899972_thumb.jpg                                                 ‎

Link to comment
Share on other sites

Bhaijan ye scan page jo aap ne diya saaf nahi dikh raha hai

Waise agar aap un sab hadeeso ke scan mujhe de dete to bahot maherbaani hoti aur aap koshish yehi kijiye ke in sab hadeeso ka jawab diya jaaye Taqe baad me koi deobandi aise aitrazat uthaye to uska moo tod jawab diya jaa sake

Aur baraheen qatiya ka page dhundla jaisa hai samajh nahi aa raha

Shukriya

Link to comment
Share on other sites

baqi hadeeso ke jawab ke liye ek hi hadees kaafi hai...

Hadees: sarkar  (saw) ne ek jaga kyaam farma kar, dunya ke shuru hone se le kar, jannati jannat me, dozakhi dozakh me chale gaye, sab bata dia (Bukhari)

is hadees me sare waqiaat agaye...

 

 

Hadees: qaom ko kya haq pohanchta hai ke mere ilm per ta'an kare...qayamat tak ke sawaalaat mujh se pooch lo, me har shai ke bare me batao ga (tafseer e khazin)

Link to comment
Share on other sites

Assalamoalaikum saeedi bhai

Aap ne in sawalo ka jawab diya uske liye bahot bahot Shukriya

Allah aap ke ilm me aur izafa de aur aap aise hi ham jaise logo ki madad kare

Aap ne to jawab behtareendiya hi hai saath me in deo ke bando ki makar o fareb bhi dikha diye

In sab par Allah ki lanat ho

Aur ham sunni musalmano ko Allah aise hi ishqe rasool me rakhe rahe aur in badmazhabo se hamare iman ki hifazt farmaye

Ameen

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...