Jump to content

Hadhrat Umar Ka Auraton Ko Masjidon Se Rokna


ghulam e murshid

تجویز کردہ جواب

(salam)

 

Hadhrat Umar ne Auraton ko masjidon se jo roka wo kis bina par tha aur aaj un ka Masjidon mein jana kaisa hai aur kya wo illat jo Hadhrat Umar ke daur mein paai jaati thji aaj bhi paai jaati hai in sab Suwaalon ke Juwab par koi Book aap log yaha tajweez kar sake to please help kare but pdf mein ho. aur is baat ke taalluQ se Wahabiyo ko kin daleelo ke zariye samjhya ja sakta hai is par bhi rehnumaai farmaae.

Link to comment
Share on other sites

Huzoor Sallallahu Alaihi

Wasallam Ka Zamaana

Khair-Ul-Quroon Hai

Auraton Ko Masaajid

Me Namaaz Padhne Ki

Ijaazat Thi Unki Safein Aa Khir Me Mardon,

Bachchon Ke Ba'd Laga

Karti Thi Dekhiye...:

(Saheeh Bukhari, Jild 1

Safha 120. Saheeh

Muslim, Jild 1 Safha 234. Nasai''almunfar

id Khalfas Saf''jild 1

Safha 139. Tirmizi, Jilad

1 Safha 55, Abu

Dawood, Jild 1 Safha

90. Musnad Ahmad Jild 3 Safha 164) (1) Huzoor

Sallallahu

Alaihi Wasallam Ka

Zamaana Khair-Ul-

Quroon Tha... (2) Fitnon

Se Mahfooz Tha.....

(3) Rasool Maqbool

Sallallahu Alaihi

Wasallam Banafs E

Nafees Tashreef Farma

The. Wahee Naazil Hoti Thi.... Naye Naye

Ahkaam Aate The.....

(4) Namaaz Wa

Ghairah Ke Masaayel

Seekhne Ki Zarurat Thi....

(5) Aur Sabse Badh Kar Huzoor Sallallahu Alaihi

Wasallam Ki Iqtida Me

Namaaz Ada Karne Ka

Sharf Haasil Hota Tha....

In Tamaam Baaton Ke

Ba Wajood Auratein Namaaz Ba Jama'at

Padhne Ki Mukallaf

Nahi Thin Sirf Ijaazat

Thi Aur Woh Bhi

Mashroot Thi. Y'ani

Unke Liye Masjid Me Jaane Ka Hukm Aam

Nahi Tha Unke Liye

Laazim Tha Keh Woh

Masjid Ki Namaaz Ke

Liye Ijaazat Lein. Isi

Liye Hadees Me Huzoor Sallallahu Alaihi

Wasallam Ne Farmaaya

Keh''jab Tum Me Se Kisi

Ki Aurat Masjid Me

Jaane Ki Ijaazat Chaahe

To Use Na Roko... ''(Saheeh Bukhari, Jild 1

Safha 120, Saheeh

Muslim Jild 1 Safha 183

Wa Ghairah). Ijaazat Ki

Shart Fitno

Se Ehtiyaat Hi Thi.

Link to comment
Share on other sites

Khaleefah-E-Raa shid- E-

Saani Hazrat Umar

Faarooq Rz (Jinke Haq

Me Bhi Yeh Hadees

Saadiq Aati

Hai''alaikum Bi Sunnati....... Y'ani Tum

Par Laazim

Hai Meri Sunnat Aur

Khulafaa-E-Raas

hideen Ki Sunnat'') Ka

Daur Aaya Aur Auraton Ki Haalat Me Tabdeeli

Dekh Kar Aap Ne Un

Auraton Ko Jo Masjid

Me Aati Thin Rok Diya.

Tamaam Sahaaba-E-

Kiraa m (Rz) Ne Is Baat Ko Pasand Farmaaya

Kisi Ne Mukhaalifat

Nahi Ki. Albatta Ba'z

Auraton Ne Umm-Ul-

Momineen Hazrat

Aaisha Siddeeqah (Rz) Se Iski Shikaayet

Farmaai To Hazrat

Umm-Ul-Momineen Jo

Mizaaj E Nubuwwat Ki

Pehchaanne Wali Thin

Aur Asraar E Sharee'at Se Waaqif Thin Unhone

Bhi Faislah-E- Faarooqi

Se Ittifaaq Karte Huwe

Farmaaya.''Umm- Ul-

Momineen Hazrat

Aaisha Siddeeqah (Rz) Se Riwaayet Hai Keh

Auraton Ne Jo (Zaib Wa

Zeenat Aa Raaish Wa

Zaibaaish Ka) Tareeqah

Eejaad Kiya Hai, Agar

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ise

Mulaahza Farmaate To

Unhein Masjidon Se

Zarur Rok Dete Jaisa Keh

Bani Israaeel Ki

Auraton Ko Rok Diya Gaya Tha...

''(Saheeh Bukhari, Jild 1

Safha 119, Saheeh

Muslim Jild 1 Safha 183,

Abu Daawood Jild

1 Safha 84, Muwatta Imaam Maalik Safha

69, Musnad Bazaar Jild

3 Safha 149). Ibne

Taimiya

Farmaate Hain

Keh Hazrat Umm-Ul- Momineen (Rz) Ke Is Asr

Me Jisko Imaam

Bukhaari (Rh) Ne Naqal

Kiya Is Baat Ki Daleel

Hai Keh Jab Auraton Me

Bida'at Paida Ho Jaaye To Phir Unka Masjidon

Me Jaana Durust Nahi

Hai...

(Umdat-Ul-Qaari

Sharah Saheeh Bukhari

Jild 2 Safha159) Ahnaaf, Maalikiya,

Shawaafe, Hanaablah

Gharz Jamee Ahle

Sunnat Wal Jama'at Ke

Nazdeek Auraton Ka

Masaajid Me Namaaz Ke Liye Jaana Makrooh

Hai. Khaleefah-E-Raa

shid-E-Saani Ne Aur

Umm-Ul-Momineen

Hazrat Aaisha (Rz) Ne

Tanbeeh Farmaai Aur Hazraat-E-Sahaa ba-E-

Kiraam Ajmaeen (Rz),

Taabaeen Uzaam, Aur

Fuqahaa E Ummat Ne

Is Par Ittifaaq Kiya.

Auraton Ko Masaajid Me Jaane Se Roka Gaya.

Aur Is Par Ijmaa E

Ummat Ho Gaya. ..

Allaama Badruddin

Aini (Rh) Farmaate

Hain Keh Hamaare Ashaab Ne Auraton Ko

Masjidon Me Jaane Ko

Makrooh Tehreemi

Qaraar Diya Hai. Kyunki

Unke Nikalne Me Fitna

Ka Andesha Hai Aur Ye Sabab Hai Hurmat Ka.

Aur Jo Cheez Haraam

Tak Pahonchaaye Woh

Bhi Haraam Hai..... Is

Ijmaa E Ummat Par

Har Daur Me Amal Baaqi Raha..... To Phir

Kya Wajah Hai

Ke Aaj Auraton Ko

Masaajid Me Jaane Par

Zor Diya Jaa Raha Hai

Balke Isko Sunnat Samjha Jaa Raha Hai.

Kya Aaj Ka Mua'ashrah

Umm-Ul-Momineen

Aur Hazraat-E-Sahaa

ba-E-Kiraam (Rz) Ke

Mua'ashra Se Achha Ho Gaya Hai? Ya Hazraat-E-

Sahaa ba-E-Kiraam (Rz)

Manshaa-E-

Nubuw wat Ko Behtar

Taur Par Samajhne

Wale Nahi The? Kya Hazraat-E-Sahaa ba-E-

Kiraam (Rz) Huqooq E

Niswaan Ka Paas Wa

Lehaaz Karne Wale

Nahi The? Muqallideen

Ki Zid Me Gair Muqallideen,

Auraton Ko'' Masaajid

Me Namaaz'' Ke Naam

Par Gharon Se Nikaalte

Hai........

Link to comment
Share on other sites

  • 1 month later...

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...