shahzad6058811 مراسلہ: 13 دسمبر 2013 Report Share مراسلہ: 13 دسمبر 2013 do din pehlay madni channel par mujadad k baaray main lecture tha. har sadi k mujadad ka naam bataya gia. 14 ween sadaee kay mujadad Aalaa hazrat Ahmad Raza khan fazal e brailvee thay. ALHAMDO LILLAH 2/3 question karna cahta hoon. 15 ween sadi k mujadad kaun hain. kia mujadad ka pata un k intiqaal k baad chalta hay ya zindgi main he pata chal jaata hay. kia mujadad us khaas ilaaqay/ya country kay liee a hota hay. kia aik waqat main do mujadad bhee ho saktay hain. jis waqat mujadad ke tashreef aawri hoti hay to kia us waqat pooray aal may islam main deen ke tajdeed ke zaroorat hoti hay. indoneshia/malaysia/ ya africa k kissi mulak main deen main bigaar paida ho chuka hay wahan mujadada ke ALLAH ke raza say paidaash hu e to hamain kaisay pata chalay ga kay wahan mujadad ke moujoodgi hay. wahan mujadad ke tashreef aawri ho chuki/magar pakistan ya india/afghanistan main bhee deen kee tajdeed kee zaroorat ho chuki hay, to kia yahan bhee ko e na ko e mujadad lazmi ho ga ya indoneshia walay mujadad kee taalimaat bhee hamaaray kaam aa ain ghee. please is baaray main kuch roshni daalain. thanks to all اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔