Jump to content

Ek Kawali Ka Sher Kya Ye Sahi Hai


MunAAm

تجویز کردہ جواب

SHER :

 

HAZRAT ki hi Surat ko gaye the dekhne HAZRAT..

 

HAZRAT hi the HAZRAT ka tamasha Shab-e-Meraj ..

 

kya ye sher sahi hai? mujhe to ye kufriya lagta hai ALLAH HI JANTA HAI MUHAMMAD KA MARTABA is qawwali me hai

 

Aap kaise Attari ho ?? kya itni bhi tameez nahi keh Huzoor-e-Aqdas Sall-Allah-o-Alaihe Wasallam ka Ism-e-Mubarak likkha per durood shareef na likkha? agar koi jaahil wahabi yeh harkat kare to itna afsos na hoga jitna khud ko Attari likhne wala kare to.

Edited by Ghulam.e.Ahmed
Link to comment
Share on other sites

mere khiyal se roman me likhne se koi matlab nahi bnta mai roman me durood wagera likhna chor raha hu aur mai mobile se hu ...

kya matlab hai is baat ka keh " roman me likhne se koi matlab nahi bnta mai roman me durood wagera likhna chor raha hu " ???

kya meri post me jo Durood Shareef roman me likkha hai us ka koi matlab nahi banta?

aap Durood likhna chhor rahe hein :o  :o ? yeh kya mazaaq hai ?

kya aap ne logon ko DHOKA dene k liye apni ID Attari k saath bana'ey hai or apny ko Ameer E Ahlesunnat ka mureed likkha hai ? Maslak-e-Aala-Hazrat Zinda Baad ka na'ara lagaane wala koi bhi kisi bhi tarah Durood likhna chorr dega ?

Link to comment
Share on other sites

roman me arbi durood likhna kaisa? kisi aalim e deen se puchke fatawa dijiye  (ja)

 

Yahaan per yeh section mojood hai, aap khud hi fatwa lay lein roman me likkhay is Durood per Sall-Allah-o-Alaihe Wasallam

 

mein bad gumaani nahi ker raha, jo kuch aap ne likkha hai who ssamne hai.

 

please, ab is topic ko yaheen khatam ker lein. mujh se jo bhi ghalati hui us k liye ma'azrat chahta hoon, Durrod-o-Salaam k baaray mein aisi baat parrh ker ya sun ker dil jalne lagta hai.

Edited by Ghulam.e.Ahmed
Link to comment
Share on other sites

ghulam ahmad bhaee ko bud gumaani naheen thee, asal main ya GHAIRAT E SUNNI-ATT,jo har sunni main honi lozmi hay.  zulfi bhaee ghussa na karain,  ya do bhaeeoon kee apas main muhabbat kee conversation thee.

 

as topic ai qawali ka shair tha.   ko e is par roshni daalay.  main bhee apni samajh k mutabiq is ko saheen naheen  samjha. ya shair bahut ghalat hay.   lafaz tamasha  to intahaee  he bay/adbi/ghustaakhi hay.

 

ko e sahib e ilam roshnee dalain. thanks to all

Link to comment
Share on other sites

sher ka jawaab to hamein pata nahi ....magar munaam bhai par plzzz shak shubha na karen .....

aap kisi ke dil mein to nahi jhaank sakte na .....

munaam bhai aap roman mein na saheeh english mein hi peace be upoun him likh liya karen.....ok?

 

hamesha khush rahen. :)  :)  :) ......................... (saw)  (saw)  (saw)

Link to comment
Share on other sites

dar asal ham sub seekhnay k amal main  hain.  keh saktay hain ham sub student hain.  start main main bhee SAWW likha karta tha. magar system ke samajh aa gaee to ab poora darood sharif likh sakta hoon.    mumkin hay kissi ko ROMAN URDU  main bhee darood sharif sahee tour par na likhna aata ho. tp us soorat main  SAWW  ya PBUH  likh lay.  magar likhay laazmi.  jab seekh ja ain to phir laazmi poora arabic wala likhain.

 

jab aap topic likhtay hain to front par screen par aik muskuraata hua gole saa foot baal ke tarah gole sa daira hay.  jissay aap smile kehtay hain.  writing k douraan jab aap is smile ko click kartay hain to neechay kuch  alfaaz fouran nazar aa ain gay  in main darood sharif bhee likha hu  aa hay. AAP (saw)   ka jab naam mubarik likhain to darood sharif ko click karain to naam k saamnay darood sharif automatically likha ja ay ga.  

 

experience k lie 2/4 dafaa try karain  ,aap kahain gay ya to bahut aasaan kaam hay.  

 

 

with regards,   rozaana new comer fouroumn main shamil ho rahay hain, aahista aahista muhabat piar say sub kuch seek ja ain gay.

Link to comment
Share on other sites

ہر کسی کے پاس کمپوٹر نہیں ہوتا تو وہ درود شریف  مکمل لکھ لیا کرے ...


سمایلس موبائل سے استعمال نہیں کی جا سکتی اس لئے یہی بہتر ہے کے خود ہی لکھ کر نیکی کما لی جائے 


 


اللہ پاک توفیق عطا کرے ............


!جزاک اللہ عزوجل 


Link to comment
Share on other sites

gulam bhai muafi to mujhe mangni chahiye aapka gussa jaiz hai mere alfaz hi kuch aise the ALLAH AZZAWJAL MUJHE MUAF KRDE MAI APNE ALFAZ SE TOBA O RUJU KRTA HU...

 

Kisi se sunta hu roman me likhna haram hai koi jaiz kehta hai ALLAH BEHTAR JANE

 

KOI BHAI MERE SUWAAL KA JAWAAB DE DE

Link to comment
Share on other sites

gulam bhai muafi to mujhe mangni chahiye aapka gussa jaiz hai mere alfaz hi kuch aise the ALLAH AZZAWJAL MUJHE MUAF KRDE MAI APNE ALFAZ SE TOBA O RUJU KRTA HU...

 

Kisi se sunta hu roman me likhna haram hai koi jaiz kehta hai ALLAH BEHTAR JANE

 

KOI BHAI MERE SUWAAL KA JAWAAB DE DE

 

Salam alayqum wa rahmatullah wa barakaat,

 

meray baee ham hazar chawal baten kertay hen aur hazar bateh joh likhnay kay qabil nahin hoteen puri puri likhtay hen. Kissi TV kee tawaif ka naam logh is tera poora aur adab say likhen gay jesay yeh Quran ka hissa heh magar dua kay kalamat ko abreviate ker detay hen, saw, ra,  salam alayqum wr wb,  Allah subhanahu wa tala ham ko deen per chalnay kee tofeeq deh. Baee Allah ta'ala niyatoon ka haal behtr janta heh. Aap apni koshish sirf keren Allah subhanahu wa ta;ala zeroor inaam say nawazay ga.

Link to comment
Share on other sites

roman urdu main likhna kis nay kaha haraam hay.  aisa ko e fatwa naheen hay. ya aik tarah say urdu he hay.  attari bhaee do not worry

Yahi meh soch raha thah kay is ko roka nahin gaya aur hadith meh heh kay jis say roka nahin gaya us ka kerna harj nahin. Magar niyat kee baat heh meray baee. Unoon nay achi niyat say agar chora toh insha'allah is ka sawab millay ga aur agar achi niyat say likhen gay toh sawab millay ga. Hadith meh aya kay ek sahabi nay goroon ko band nay kay leyeh ek lakri ka danda zameen meh gar deeya, dosray sahabi ahay unoon nay danday ko zameen meh gara dekha toh yeh soch ker nikaal deeya kay kissi kay pahoon ko lagay ga. Donoon Sahabiyoon kee niyat achi thee, is leyeh jaza be niyat aur amal donoon kee millay gee. Hamaray baee nay joh keeya achi niyat say keeya aur inshallah is ka jaza zeroor millay gee, aur jin bahiyoon nay behtr bataya un kee niyat be achi thee aur un ko be sawab millay ga. Magar behtr tareeka wohi heh jis per ham sab mutafiq huway hen.

 

Allah ta'ala ham sab ko naik amal kernay kee tofeeq deh, ameen.

Link to comment
Share on other sites

بحث میں حصہ لیں

آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔

Guest
اس ٹاپک پر جواب دیں

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
  • حالیہ دیکھنے والے   0 اراکین

    • کوئی رجسٹرڈ رُکن اس صفحے کو نہیں دیکھ رہا
×
×
  • Create New...