shahzad6058811 مراسلہ: 9 دسمبر 2013 Report Share مراسلہ: 9 دسمبر 2013 urdu main aik muhaawra hay,zaid apni mother kay paoon dho dho kar peeta hay. bakar,nay apni walida kay paoon par pani daala, glass main ikatha kia aur pee gia. us kay ya amal kaisa hay,kia jaiz hay. bakar ke mother khari hu e thee, bakar jhuka aur aur us kay paoon ko bosa dia. bosa dainay main bakar kay jism ke shakal SAJDAY jaisi ban gaee. magar na to paishanee zameen par lagee aur na he naak zameen par lagi. haqeeqat main ya sajda naheen tha sirf hayyat aisi ban gaee paoon ko bosa dainay ke waja say. doosra daikhnay wala is amal ko sajda say taabeer karta hay, kia bakar ka ya amal theek hay. اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
shahzad6058811 مراسلہ: 9 دسمبر 2013 Author Report Share مراسلہ: 9 دسمبر 2013 islamabad k nazdeek main aik mazar sharif par gia,wahan urs bhee tha. zuhar ke namaz k baad sajada nasheen aik mazar k qareeb kharay ho gay. zai y reen ke lambee line lag gaee. zaiy reen qabar par aatay ,qabar thori see oonchee thee,wo stair chartay, sajday kee shakal ikhtiaar kartay ,sahib e mazar ke paintee kee jagah ko coomtay aur chalay jaatay. main waheen tha. main nay siraf dua kee. wo log qabar wali jagah ko choomtay thay, paishanee aur naak zameen par naheen laga rahay thay. kia ya saara amal shariat k mutabiq jaiz hay/ agar kuch islaah talab hay to kaisay, daikhnay wala is ko sajda samajhta hay aur ahle sunnat ko badnaam karta hay. main nay sajada nasheen( ap present died) ko letter likha is baaray main, jawab dia gia, kafi time consuming subject hay kabhee jalsa main biaan karoon ga. sultan bahu k mazzar par gia,wahan aik sahib mazaarka twaaf kar rahay thay. k afi log bari bari paintee(qadmain )ke taraf aatay,mazar sharif par pari lambee chadar k andar moon daaltay, aur us paoon wali jagah ko choomtay. mairay istafsaar par kehnay lagay k wo sajda naheen kar rahay thay, us paoon wali side ko choom rahay thay. kia ya jaiz hay,naajaiz hay ya haram hay, daikhnay wala is ko sajda he samjhta hay. please guide so that we may give correct answer to deobandi/ghair muqalids. thank you اقتباس Link to comment Share on other sites More sharing options...
تجویز کردہ جواب
بحث میں حصہ لیں
آپ ابھی پوسٹ کرکے بعد میں رجسٹر ہوسکتے ہیں۔ اگر آپ پہلے سے رجسٹرڈ ہیں تو سائن اِن کریں اور اپنے اکاؤنٹ سے پوسٹ کریں۔
نوٹ: آپ کی پوسٹ ناظم کی اجازت کے بعد نظر آئے گی۔